الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {لَقَدْ كَانَ فِي يُوسُفَ وَإِخْوَتِهِ آيَاتٌ لِلسَّائِلِينَ}:
Bab: (Yusuf Alaihis Salam ka bayan) Allah Taala ne farmaya ke“Beshak Yusuf aur un ke bhaiyon ke waqiaat mein poochhne walon ke liye qudrat ki bohot si nishaniyan hain”.
Hadith Number: 3389
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة، انه سال عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم: ارايت قوله حتى إذا استياس الرسل وظنوا انهم قد كذبوا او كذبوا، قالت: بل كذبهم قومهم، فقلت: والله لقد استيقنوا ان قومهم كذبوهم وما هو بالظن، فقالت: يا عرية لقد استيقنوا بذلك، قلت: فلعلها او كذبوا، قالت: معاذ الله لم تكن الرسل تظن ذلك بربها واما هذه الآية، قالت: هم اتباع الرسل الذين آمنوا بربهم وصدقوهم وطال عليهم البلاء واستاخر عنهم النصر حتى إذا استياست ممن كذبهم من قومهم وظنوا ان اتباعهم كذبوهم جاءهم نصر الله، قال ابو عبد الله استياسوا سورة يوسف آية 80 افتعلوا من يئست منه سورة يوسف آية 80من يوسف ولا تياسوا من روح الله سورة يوسف آية 87 معناه الرجاء.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya kaha hum se Laith ne bayan kiya un se Aqeel ne un se Ibn Shihab ne kaha ke mujhe Urwah ne khabar di ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zauja mutahira Aisha (Radi Allahu Anha) se ayat ke mutalliq pucha 'hattu iza-stai-asa-r-rusulu wa-zhannū annahum qad kuz-zibū' (tashdeed ke sath "kuz-zibū") hai ya "kuzibū" (baghair tashdeed ke) yaani yahan tak ke jab anbiya na-umeed ho gaye aur unhein khayal guzarne laga ke unhein jhutlaya diya gaya to Allah ki madad pahunchi to unhon ne kaha ke (ye tashdeed ke sath hai aur matlab ye hai ke) un ki qaum ne unhein jhutlaya tha. Mein ne arz kiya ke phir maane kaise baneinge paighambaron ko yaqeen tha hi ke un ki qaum unhein jhutla rahi hai. Phir Quran mein lafz "zhannun" guman aur khayal ke maane mein istemal kyun kiya gaya? Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha: Ae chhote se Urwah! Beshak un ko to yaqeen tha. Mein ne kaha to shayad is ayat mein baghair tashdeed ke "kuzibū" ho ga yaani paighambar ye samjhe ke Allah ne jo in ki madad ka waada kiya tha wo ghalat tha. Aisha (Radi Allahu Anha) ne farmaya: Ma-azallah! Anbiya apne Rabb ke sath bhala aisa guman kar sakte hain. Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha murad ye hai ke paighambaron ke tabedar log jo apne maalik par iman laye thay aur paighambaron ki tasdeeq ki thi un par jab muddat tak Allah ki aazmaish rahi aur madad aane mein darr hui aur paighambar log apni qaum ke jhutlane walon se na-umeed ho gaye (samjhe ke ab wo iman nahi layein ge) aur unhon ne ye guman kiya ke jo log in ke tabedar bane hain wo bhi in ko jhoota samajhne lageinge is waqt Allah ki madad aan pahunchi. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke "astai-asū", "afta-alū" ke wazan par hai jo "ya-istu minhu" se nikla hai. "ay min Yūsufa" (Surah Yusuf ki ayat ka ek jumla hai yaani Zulaikha Yusuf Alaihis Salam se na-umeed ho gayi.) "la tai-asū min rau-hillahi" (Surah Yusuf: 87) yaani Allah se umeed rakho na-umeed na ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3390
اخبرني عبدة، حدثنا عبد الصمد، عن عبد الرحمن، عن ابيه، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الكريم ابن الكريم ابن الكريم ابن الكريم يوسف بن يعقوب بن إسحاق بن إبراهيم عليهم السلام".
Mujhe Abdah Bin Abdullah ne khabar di unhon ne kaha hum se Abdussamad ne bayan kiya. Un se Abdur Rahman ne bayan kiya un se un ke walid Abdullah Bin Dinar ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Sharif bin Sharif bin Sharif bin Sharif Yusuf Bin Yaqub Bin Ishaq Bin Ibrahim (Alaihimus Salam) hain."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَأَيُّوبَ إِذْ نَادَى رَبَّهُ أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنْتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ}:
Bab: Allah Taala ka farman“Aur Ayub ko yaad karo jab us ne apne Rab ko pukara ke mujhe bimari ne aa ghera hai aur Tu «Arhamur Rahimeen» hai”.
Hadith Number: Q3391
{اركض} اضرب. {يركضون} يعدون.
Jo (Surah Saad mein) «arkuz birajlika» bamaani «izrib» (yani apna paon zameen par maar) «yarkuzun» bamaani «yadun» (Surah Anbiya mein, yani daurte hain)
Hadith Number: 3391
حدثني عبد الله بن محمد الجعفي، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينما ايوب يغتسل عريانا خر عليه رجل جراد من ذهب فجعل يحثي في ثوبه فنادى ربه يا ايوب الم اكن اغنيتك عما ترى، قال: بلى يا رب، ولكن لا غنى لي عن بركتك".
Mujh se Abdullah Bin Muhammad Jafi ne bayan kiya kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya kaha hum ko Maamar ne khabar di unhein Hammam ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ayub (Alaihis Salam) nange ghusal kar rahe thay ke sone ki tiddiyan un par girne lageen. Wo un ko apne kapre mein jama karne lage. Un ke parwardigar ne un ko pukara ke ae Ayub! Jo kuch tum dekh rahe ho (sone ki tiddiyan) kya mein ne tumhein is se be-parwah nahi kar diya hai? Unhon ne arz kiya ke sahi hai ae Rabb-ul-Izzat! Lekin teri barkat se mein kis tarah be-parwah ho sakta hoon."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَاذْكُرْ فِي الْكِتَابِ مُوسَى إِنَّهُ كَانَ مُخْلِصًا وَكَانَ رَسُولاً نَبِيًّا وَنَادَيْنَاهُ مِنْ جَانِبِ الطُّورِ الأَيْمَنِ وَقَرَّبْنَاهُ نَجِيًّا} كَلَّمَهُ:
Bab: (Surah Maryam mein Allah Taala ne farmaya)“Aur yaad karo kitab mein Musa Alaihis Salam ko ke woh chuna hua banda, rasool-o-nabi tha aur hum ne Toor ki dahini taraf se unhein awaz di aur sargoshi ke liye unhein qareeb bulaya”.
Hadith Number: Q3392
ووهبنا له من رحمتنا اخاه هارون نبيا سورة مريم آية 53 يقال للواحد وللاثنين والجميع نجي ويقال خلصوا نجيا اعتزلوا نجيا والجميع انجية يتناجون.
Aur un ke liye apni meharbani se hum ne un ke bhai Harun (Alaihis Salam) ko Nabi banaya. Wahid tathniya aur jama sab ke liye lafz «najiyyan» bola jata hai. Surah Yusuf mein hai. «khalasu najiyyan» yani akele mein ja kar mashwara karne lage (agar «najiyyan» ka lafz mufrad ke liye istemal hua ho to) is ki jama «anjiyah» hogi. Surah Al-Mujadilah mein lafz «yatanajun» bhi isi se nikla hai
بَابُ: {وَقَالَ رَجُلٌ مُؤْمِنٌ مِنْ آلِ فِرْعَوْنَ} إِلَى قَوْلِهِ: {مُسْرِفٌ كَذَّابٌ}:
Bab: (Allah Taala ne farmaya)“Aur Firaun ke khandaan ke ek momin mard (Sham’aan nami) ne kaha jo apne iman ko posheeda rakhe hue tha”Allah Taala ke irshad «musrif kazzab» tak.
Hadith Number: 3392
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب سمعت عروة، قال: قالت عائشة رضي الله عنها:"فرجع النبي صلى الله عليه وسلم إلى خديجة يرجف فؤاده فانطلقت به إلى ورقة بن نوفل وكان رجلا تنصر يقرا الإنجيل بالعربية، فقال:" ورقة ماذا ترى فاخبره، فقال: ورقة هذا الناموس الذي انزل الله على موسى وإن ادركني يومك انصرك نصرا مؤزرا الناموس صاحب السر الذي يطلعه بما يستره عن غيره".
Hum se Abdullah Bin Yusuf Tanisi ne bayan kiya kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya un se Ibn Shihab ne unhon ne Urwah Bin Zubair se suna unhon ne bayan kiya ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) (Ghaar-e-Hira se) Umm-ul-Momineen Khadija (Radi Allahu Anha) ke pas lout aye to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka dil dharak raha tha. Khadija (Radi Allahu Anha) Aap ko Waraqah Bin Naufal ke pas le gayeen, wo Nasrani ho gaye thay aur Injeel ko Arabi mein parhte thay. Waraqah ne poocha ke aap kya dekhte hain? Aap ne unhein bataya to unhon ne kaha ke yehi hain wo «namoos» jinhein Allah Ta'ala ne Musa (Alaihis Salam) ke pas bheja tha aur agar mein tumhare zamane tak zinda raha to mein tumhari poori madad karoon ga. «namoos» mahram-e-raaz ko kehte hain jo aise raaz se bhi aagah ho jo aadmi doosron se chupaye
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ: {وَهَلْ أَتَاكَ حَدِيثُ مُوسَى إِذْ رَأَى نَارًا} إِلَى قَوْلِهِ: {بِالْوَادِي الْمُقَدَّسِ طُوًى}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Taha mein) farman farmana“Ay Nabi tu ne Musa ka qissa suna hai jab unhon ne aag dekhi”aakhir ayat «bil-wadil muqaddas Tuwa» tak.
Hadith Number: Q3393
آنست سورة طه آية 10 ابصرت نارا لعلي آتيكم منها بقبس سورة طه آية 10 الآية، قال ابن عباس: المقدس المبارك طوى اسم الوادي سيرتها سورة طه آية 21 حالتها و النهى سورة طه آية 54 التقى بملكنا سورة طه آية 87 بامرنا هوى سورة طه آية 81 شقي فارغا سورة القصص آية 10 إلا من ذكر موسى ردءا سورة القصص آية 34 كي يصدقني ويقال مغيثا او معينا يبطش ويبطش ياتمرون سورة القصص آية 20 يتشاورون والجذوة قطعة غليظة من الخشب ليس فيها لهب سنشد سورة القصص آية 35 سنعينك كلما عززت شيئا فقد جعلت له عضدا وقال غيره كلما لم ينطق بحرف او فيه تمتمة او فافاة فهي عقدة ازري سورة طه آية 31 ظهري فيسحتكم سورة طه آية 61 فيهلككم المثلى سورة طه آية 63 تانيث الامثل، يقول: بدينكم، يقال: خذ المثلى خذ الامثل ثم ائتوا صفا سورة طه آية 64 يقال: هل اتيت الصف اليوم يعني المصلى الذي يصلى فيه فاوجس سورة طه آية 67 اضمر خوفا فذهبت الواو من خيفة سورة طه آية 67 لكسرة الخاء في جذوع النخل سورة طه آية 71 على جذوع خطبك سورة طه آية 95 بالك مساس سورة طه آية 97 مصدر ماسه مساسا لننسفنه سورة طه آية 97 لنذرينه الضحاء الحر قصيه سورة القصص آية 11 اتبعي اثره وقد يكون ان تقص الكلامنحن نقص عليك سورة يوسف آية 3 عن جنب سورة القصص آية 11 عن بعد وعن جنابة وعن اجتناب واحد، قال مجاهد: على قدر سورة طه آية 40موعد ولا تنيا سورة طه آية 42 لا تضعفا يبسا سورة طه آية 77 يابسا من زينة القوم سورة طه آية 87 الحلي الذي استعاروا من آل فرعون فقذفتها القيتها القى سورة طه آية 87 صنع فنسي سورة طه آية 88 موسى هم يقولونه: اخطا الرب ان لا يرجع إليهم، قولا: في العجل.
«aanastu» ka maani mein ne aag dekhi (tum yahan thehro) mein is mein se ek changari tumhare pas le aoon. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha «muqaddas» ka maani mubarak. «tuwa» is waadi ka naam tha jahan Allah Paak ne Musa (Alaihis Salam) se kalam farmaya tha. «sirataha» yani pehli halat par. «al-nuha» yani parhezgari. «bimalkina» yani apne ikhtiyar se. «hawa» yani badbakht hua. «farighan» yani Musa ke siwa aur koi khayal dil mein na raha. «rida-an» yani faryad ras ya madadgar. «yabtish bi-zamm-e-ta» aur «yabtish bi-kasr-e-ta» dono tarah qiraat hai. «yatamirun» yani mashwara karte hain. «jazwah» yani lakri ka ek mota tukra jis mein se aag ka shoula na nikle (sirf is ke munh par aag roshan ho). «sanashuddu azudaka» yani teri madad karenge. Jab tu kisi cheez ko zor de goya tu ne is ko «azud» bazu diya. (Ye sab tafseerein Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se manqool hain) auron ne kaha «uqdah» ka maani ye hai ke zaban se koi harf yahan tak ke "T" ya "F" bhi na nikal sake. «azri» yani peeth «fayus-hitakum» yani tum ko halak kare. «al-muthla» «al-amthal» ki muannas hai, yani tumhara deen kharab karna chahte hain. Arab log kehte hain «khuzil muthla, khuzil amthal.» Yani acchi rawish accha tariqa sanbhaal. «thumma-tu safan» yani qatar baandh kar aao. Arab log kehte hain aaj to «saf» mein gaya ya nahi yani namaz ke maqam par. «fa-aujas» yani Musa ka dil dharakne laga «khifatan» ki asal «khoufatan» thi wao ki bajaye «kasrah ma qabla» ke "Y" se badal diya gaya. «fi juzu-in nakhli» yani «ala juzu-in nakhli» . «khatbuka» yani tera haal. «misas» masdar hai «massahu misasan» se. «la misas» yani tujh ko na chuye na tu kisi ko chuye. «lanansifannahu» yani hum is ko raakh kar ke darya mein ura dein ge. «la taz-ha» «zuha» se hai, yani garmi. «qussihi» yani is ke peeche peeche chali ja kabhi «qasas» ka maani kehna aur bayan karna bhi aata hai. (Surah Yusuf mein) isi se «nahnu naqussu alaika» hai. Lafz «an junubin» aur «an janabatin» aur «an ijtinabin» sab ka maani ek hi hai, yani door se. Mujahid (Rahimahullah) ne kaha «ala qadarin» yani waade par. «la taniya» yani susti na karo. «yabasan» yani khushk. «min zinatil qoumi» yani zewar mein se jo Bani Israel ne Firaun walon se maang kar liye thay. «faqazaftuha» yani mein ne is ko daal diya. «alqa» yani banaya. «fanasiya» is ka matlab ye hai ke Samiri aur is ke log kehte hain ke Musa (Alaihis Salam) ne ghalti ki jo is bichre ko khuda na samajh kar doosri jagah chal diya. «an la yarjiu ilaihim qoulan» yani wo bichra un ki baat ka jawab nahi de sakta tha
Hadith Number: 3393
حدثنا هدبة بن خالد، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن انس بن مالك، عن مالك بن صعصعة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم حدثهم عن ليلة اسري به حتى اتى السماء الخامسة فإذا هارون، قال: هذا هارون فسلم عليه فسلمت عليه فرد، ثم قال: مرحبا بالاخ الصالح والنبي الصالح"، تابعه ثابت وعباد بن ابي علي، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Hadbah Bin Khalid ne bayan kiya kaha hum se Hammam ne bayan kiya un se Qatada ne bayan kiya un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne aur un se Malik Bin Sa'sa'ah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se is raat ke mutaliq bayan kiya jis mein aap ko Meraj hua ke jab aap panchvein aasman par tashreef le gaye to wahan Harun (Alaihis Salam) se mile. Jibrail (Alaihis Salam) ne bataya ke ye Harun (Alaihis Salam) hain unhein salam kijiye. Mein ne salam kiya to unhon ne jawab dete hue farmaya: Khush amdeed saleh bhai aur saleh Nabi. Is hadees ko Qatada ke sath Sabit Bunani aur Abbad Bin Abi Ali ne bhi Anas (Radi Allahu Anhu) se unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat kiya hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَهَلْ أَتَاكَ حَدِيثُ مُوسَى}، {وَكَلَّمَ اللَّهُ مُوسَى تَكْلِيمًا}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Taha mein) farman“Aur kya tujh ko Musa ka waqia maloom hua hai aur (Surah An-Nisa mein) Allah Taala ne Musa Alaihis Salam se kalaam kiya”.
Hadith Number: 3394
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ليلة اسري بي رايت موسى وإذا هو رجل ضرب رجل كانه من رجال شنوءة ورايت عيسى، فإذا هو رجل ربعة احمر كانما خرج من ديماس وانا اشبه ولد إبراهيم صلى الله عليه وسلم به، ثم اتيت بإناءين في احدهما لبن وفي الآخر خمر، فقال: اشرب ايهما شئت فاخذت اللبن فشربته، فقيل: اخذت الفطرة اما إنك لو اخذت الخمر غوت امتك".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya kaha hum ko Hisham Bin Yusuf ne khabar di kaha hum ko Maamar ne khabar di unhein Zuhri ne unhein Saeed Bin Musayyib ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is raat ki kaifiyat bayan ki jis mein Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Meraj hua ke mein ne Musa (Alaihis Salam) ko dekha ke wo ek duble patle seedhe balon wale aadmi hain. Aisa maloom hota tha ke qabila Shanwah mein se hon aur mein ne Isa (Alaihis Salam) ko bhi dekha wo miyana qad aur nihayat surkh-o-safaid rang wale thay. Aise tar-o-taza aur paak-o-saaf ke maloom hota tha ke abhi ghusal khana se nikle hain aur mein Ibrahim (Alaihis Salam) se un ki aulad mein sab se zyada mushabeh hoon. Phir do bartan mere samne laye gaye. Ek mein doodh tha aur doosre mein sharab thi. Jibrail (Alaihis Salam) ne kaha ke dono cheezon mein se aap ka jo ji chahe pijiye. Mein ne doodh ka pyala apne hath mein le liya aur ise pee gaya. Mujh se kaha gaya ke aap ne fitrat ko ikhtiyar kiya (doodh aadmi ki paidaishi ghiza hai) agar is ke bajaye aap ne sharab pee hoti to aap ki ummat gumrah ho jati
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3395
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن قتادة، قال: سمعت ابا العالية حدثنا ابن عم نبيكم يعني ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا ينبغي لعبد ان، يقول: انا خير من يونس بن متى ونسبه إلى ابيه.
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya kaha hum se Ghundar ne bayan kiya un se Shuba ne bayan kiya un se Qatada ne bayan kiya un se Abu Al-Aliyah ne bayan kiya aur un se tumhare Nabi ke chacha zaad bhai yani Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kisi shakhs ko yun na kehna chahiye ke mein Yunus Bin Matta se behtar hoon, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ka naam un ke walid ki taraf mansoob kar ke liya."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة