الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {إِنَّ قَارُونَ كَانَ مِنْ قَوْمِ مُوسَى} الآيَةَ:
Bab: (Qaroon ka bayan)“Beshak Qaroon, Musa Alaihis Salam ki qaum mein se tha”al-ayat (Surah Al-Qasas).
Show diacritics
Hadith Number: Q3412-3
لتنوء سورة القصص آية 76 لتثقل قال ابن عباس: اولي القوة سورة القصص آية 76 لا يرفعها العصبة من الرجال يقال الفرحين سورة القصص آية 76 المرحين ويكان الله سورة القصص آية 82 مثل الم تر ان الله يبسط الرزق لمن يشاء ويقدر سورة الرعد آية 26 ويوسع عليه ويضيق.
(Aayat mein) «latanoo-u» bamaani «latathqulu» yani bhari hoti thien. Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne «ulul quwwati» ki tafseer mein kaha ke is ki kunjiyon ko logon ki ek taqatwar jamaat bhi na utha pati thi. «al-fariheena» bamaani «al-mariheena» itrane wale. «wayka-anna» «alam tara anna» ki tarah hai. «allahu yabsutur rizqa liman yashau wa yaqdiru» yani kya tumhein maloom nahi ke Allah Ta'ala jis ke liye chahta hai rizq mein farakhi kar deta hai aur jis ke liye chahta hai tangi kar deta hai


بَابُ: {وَإِلَى مَدْيَنَ أَخَاهُمْ شُعَيْبًا}:
Bab: Is bayan mein ke «wa ila Madyana akhaahum Shu‘ayba» se ahl-e-Madyan murad hain kyunke Madyan ek shehr tha Bahr-e-Qulzum par.
Show diacritics
Hadith Number: Q3412-2
إلى اهل مدين لان مدين بلد ومثله واسال القرية سورة يوسف آية 82 واسال العير سورة يوسف آية 94 يعني اهل القرية واهل العير وراءكم ظهريا سورة هود آية 92 لم يلتفتوا إليه يقال إذا لم يقض حاجته ظهرت حاجتي وجعلتني ظهريا قال الظهري ان تاخذ معك دابة او وعاء تستظهر به مكانتهم ومكانهم واحد يغنوا سورة هود آية 95 يعيشوا يياس سورة يوسف آية 87 يحزن آسى سورة الاعراف آية 93 احزن، وقال الحسن: إنك لانت الحليم سورة هود آية 87 يستهزئون به وقال مجاهد: ليكة: الايكة يوم الظلة سورة الشعراء آية 189 إظلال الغمام العذاب عليهم.
Is ki misal jaise Surah Yusuf mein farmaya «was-alil qaryata was-alil eera» yani basti walon se aur qafila walon pooch le «zihriyyan» yani idhar udhar phir kar nahi dekhte. Arab log jab un ka kaam na nikle to kehte hain «zaharatu hajati» ya «ja-altani zihriyyan» tu ne mera kaam pas-e-pusht daal diya ya mujh ko pas-e-pusht kar diya. «zihri» is janwar ya «zurf» ko kehte hain jis ko tu apni quwwat barhane ke liye sath rakkhe «makanatahum» aur «makanahum» dono ka ek hi maani hai. «lam yaghnau» zinda nahi rahe thay. Wahan base hi na thay (Surah Al-Maidah mein) «fala ta-sa» ranjida na ho (Surah Al-Araf mein) «aasa» ranjida hoon gham karoon Imam Hasan Basri ne kaha (Surah Hood mein) kafiron ka jo ye qoul naqal kiya. «innaka la-antal haleemur rasheedu» to ye kafiron ne thatthe ke taur par kaha tha. Mujahid ne kaha Surah Ash-Shuara mein «laikata» se murad «aikata» hai yani jhari mein. «yaumuz zullati» yani jis din azab ek saiban ki shakal mein namoodar hua (abr badal mein se aag barsi)


بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَإِنَّ يُونُسَ لَمِنَ الْمُرْسَلِينَ} إِلَى قَوْلِهِ: {فَمَتَّعْنَاهُمْ إِلَى حِينٍ}:
Bab: (Yunus Alaihis Salam ka bayan) Surah As-Saaffat mein Allah Taala ke is qaul ka bayan“Aur bila-shubha Yunus yaqeenan rasoolon mein se tha”is qaul tak“to hum ne unhein ek waqt tak faida diya”.
Show diacritics
Hadith Number: Q3412
قال مجاهد مذنب المشحون الموقر فلولا انه كان من [ ص: 1254 ] المسبحين الآية فنبذناه بالعراء بوجه الارض وهو سقيم وانبتنا عليه شجرة من يقطين من غير ذات اصل الدباء ونحوه وارسلناه إلى مائة الف او يزيدون فآمنوا فمتعناهم إلى حين ولا تكن كصاحب الحوت إذ نادى وهو مكظوم كظيم وهو مغموم.
Mujahid ne kaha: «muleemun» gunahgar. «al-mash-hoonu» bojhal bhari hui. «faloula annahu kana minal musabbiheena» aakhir tak. «fanabaznahu bil-ara-i» ka maani ruy-e-zameen. «yaqteenun» wo darakht jo apni jar par khara nahi rehta jaise kaddu waghaira. «wa arsalnahu ila mi-ati alfin au yaziduna fa-amanu famattahnahum ila hinin» . (Surah Noon mein farmaya) «makzoomun» jo «kazeemun» ke maani mein hai yani maghmoom ranjida


Show diacritics
Hadith Number: 3412
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن سفيان، قال: حدثني الاعمش، ح حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يقولن احدكم إني خير من يونس زاد مسدد: يونس بن متى".
Hum se Musaddad ne bayan kiya kaha hum se Yahya ne bayan kiya un se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya kaha ke mujh se Amash ne bayan kiya (doosri sanad) hum se Abu Nuaim ne bayan kiya kaha hum se Sufyan ne bayan kiya un se Amash ne un se Abu Wail ne aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Koi shakhs mere mutaliq ye na kahe ke mein Yunus (Alaihis Salam) se behtar hoon." Musaddad ne Yunus Bin Matta (Alaihis Salam) ke lafz barha kar riwayat kiya


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3413
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن ابي العالية، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما ينبغي لعبد ان يقول إني خير من يونس بن متى ونسبه إلى ابيه".
Hum se Hafs Bin Umar ne bayan kiya kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Qatada ne un se Abu Al-Aliyah ne aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kisi shakhs ke liye munasib nahi ke mujhe Yunus Bin Matta se behtar qarar de. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ka naam un ke walid ki taraf mansoob kar ke liya tha."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3414
حدثنا يحيى بن بكير، عن الليث، عن عبد العزيز بن ابي سلمة، عن عبد الله بن الفضل، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: بينما يهودي يعرض سلعته اعطي بها شيئا كرهه، فقال: لا والذي اصطفى موسى على البشر فسمعه رجل من الانصار فقام فلطم وجهه، وقال: تقول والذي اصطفى موسى على البشر والنبي صلى الله عليه وسلم بين اظهرنا فذهب إليه، فقال: ابا القاسم لي ذمة وعهدا فما بال فلان لطم وجهي، فقال: لم لطمت وجهه فذكره النبي صلى الله عليه وسلم حتى رئي في وجهه، ثم قال:" لا تفضلوا بين انبياء الله فإنه ينفخ في الصور فيصعق من في السموات ومن في الارض إلا من شاء الله ثم ينفخ فيه اخرى فاكون اول من بعث فإذا موسى آخذ بالعرش فلا ادري احوسب بصعقته يوم الطور ام بعث قبلي.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya kaha hum se Laith Bin Saad ne un se Abdul Aziz Bin Salamah ne un se Abdullah Bin Fuzail ne un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke ek martaba logon ko ek Yahoodi apna saman dikha raha tha lekin ise is ki jo qeemat lagayi gayi is par wo raazi na tha. Is liye kehne laga ke hargiz nahi is zaat ki qasam jis ne Musa ko tamam insanon mein barguzida qarar diya. Ye lafz ek Ansari sahabi ne sun liye aur kharay ho kar unhon ne ek thappar is ke munh par mara aur kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) abhi hum mein maujood hain aur tu is tarah qasam khata hai ke is zaat ki qasam jis ne Musa (Alaihis Salam) ko tamam insanon mein barguzida qarar diya. Is par wo Yahoodi Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua aur kaha: Ae Abu Al-Qasim! Mera Musalmanon ke sath aman aur sulah ka ahd-o-paiman hai. Phir falan shakhs ka kya haal hoga jis ne mere munh par chanta mara hai Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is sahabi se daryaft farmaya ke tum ne is ke munh par kyun chanta mara? Unhon ne wajah bayan ki to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ghusse ho gaye is qadar ke ghusse ke aasar chehra mubarak par numayan ho gaye. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Allah Ta'ala ke anbiya mein aapas mein ek ko doosre par fazeelat na diya karo jab soor phoonka jaye ga to aasman-o-zameen ki tamam makhlooq par be-hoshi tari ho jaye gi siwa un ke jinhein Allah Ta'ala chahe ga. Phir doosri martaba soor phoonka jaye ga aur sab se pehle mujhe uthaya jaye ga lekin mein dekhoon ga ke Musa (Alaihis Salam) Arsh ko pakre hue kharay hon ge ab mujhe maloom nahi ke ye unhein Toor ki be-hoshi ka badla diya gaya hoga ya mujh se bhi pehle un ki be-hoshi khatam kar di gayi hogi


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3415
ولا اقول إن احدا افضل من يونس بن متى".
Aur mein to ye bhi nahi keh sakta ke koi shakhs Yunus Bin Matta se behtar hai


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3416
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن سعد بن إبراهيم، سمعت حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا ينبغي لعبد ان يقول انا خير من يونس بن متى".
Hum se Abu Al-Walid ne bayan kiya kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Saad Bin Ibrahim ne unhon ne Humaid Bin Abdur Rahman se suna aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Kisi shakhs ke liye ye kehna layak nahi ke mein Yunus Bin Matta se afzal hoon."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَاسْأَلْهُمْ عَنِ الْقَرْيَةِ الَّتِي كَانَتْ حَاضِرَةَ الْبَحْرِ إِذْ يَعْدُونَ فِي السَّبْتِ}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-A’raf mein) ye farmana“In Yahudiyon se us basti (Iylah) ka haal poochh jo samandar ke nazdeek thi”.
Show diacritics
Hadith Number: Q3417-2
يتعدون يجاوزون في السبت {إذ تاتيهم حيتانهم يوم سبتهم شرعا} شوارع إلى قوله: {كونوا قردة خاسئين}.
Ye log hafta ke din zyada-ti karne lage. «shurra-an» yani «shuwari-un» pani par teerti hui. Aakhir-e-aayat «kunu qiradatan khasi-eena» tak


بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَآتَيْنَا دَاوُدَ زَبُورًا}:
Bab: Allah Taala ka irshad“Aur di hum ne Dawood ko Zaboor”.
Show diacritics
Hadith Number: Q3417
الزبر الكتب، واحدها زبور، زبرت كتبت. {ولقد آتينا داود منا فضلا يا جبال اوبي معه} قال مجاهد سبحي معه، {والطير والنا له الحديد ان اعمل سابغات} الدروع، {وقدر في السرد} المسامير والحلق، ولا يدق المسمار فيتسلسل، ولا يعظم فيفصم، {واعملوا صالحا إني بما تعملون بصير}.
«al-zuburu» bamaani «al-kutubu» is ka wahid «zaboor» hai. «zabartu» bamaani «katabtu» mein ne likha. Aur beshak hum ne Dawood ko apne pas se fazal diya (aur hum ne kaha tha ke) ae pahar! In ke sath tasbeeh parha kar. Mujahid (Rahimahullah) ne kaha ke ( «awwibi ma-ahu») ke maani «sabbihi ma-ahu» hai. Aur parindon ko bhi hum ne un ke sath tasbeeh parhne ka hukam diya aur lohe ko un ke liye narm kar diya tha ke is se zarhein banayein. «sabighatin» ke maani «duru-in» ke hain yani zarhein. «wa qaddir fis sardi» ka maani hain. Aur banane mein ek khass andaz rakh (yani zarah ki) keelon aur halqay ke banane mein. Keelon ko itna bareek bhi na kar ke dheeli ho jayein aur na itni bari hon ke halqa toot jaye aur acche amal karo. Beshak tum jo bhi amal karo ge mein ise dekh raha hoon