الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا ذُكِرَ عَنْ بَنِي إِسْرَائِيلَ:
Bab: Bani Isra’il ke waqiaat ka bayan.
Hadith Number: 3456
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا ابو غسان، قال: حدثني زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لتتبعن سنن من قبلكم شبرا بشبر وذراعا بذراع حتى لو سلكوا جحر ضب لسلكتموه، قلنا: يا رسول الله اليهود والنصارى، قال: فمن".
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya kaha hum se Abu Ghassan ne bayan kiya kaha ke mujh se Zaid Bin Aslam ne bayan kiya un se Ata Bin Yasar ne aur un se Abu Saeed (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tum log pehli ummaton ke tariqon ki qadam ba-qadam pairwi karo ge yahan tak ke agar wo log kisi sahana ke surakh mein dakhil hue to tum bhi is mein dakhil ho ge. Hum ne poocha ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Kya aap ki murad pehli ummaton se Yahood-o-Nasara hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya phir kaun ho sakta hai?"
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3457
حدثنا عمران بن ميسرة، حدثنا عبد الوارث، حدثنا خالد، عن ابي قلابة، عن انس رضي الله عنه، قال:" ذكروا النار والناقوس فذكروا اليهود والنصارى فامر بلال ان يشفع الاذان وان يوتر الإقامة".
Hum se Imran Bin Maisarah ne bayan kiya kaha hum se Abdul Waris ne bayan kiya kaha hum se Khalid ne un se Abu Qilabah ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke (namaz ke liye elan ke tariqe par bahas karte waqt) Sahaba ne aag aur naqoos ka zikr kiya lekin baaz ne kaha ke ye to Yahood-o-Nasara ka tariqa hai. Aakhir Bilal (Radi Allahu Anhu) ko hukam hua ke azan mein (kalimat) do do dafa kahein aur takbeer mein ek ek dafa
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3458
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها" كانت تكره ان يجعل يده في خاصرته، وتقول: إن اليهود تفعله"، تابعه شعبة، عن الاعمش.
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya un se Amash ne bayan kiya un se Abu Al-Zuha ne bayan kiya un se Masrooq ne bayan kiya ke Aisha (Radi Allahu Anha) kokh par hath rakhne ko napasand karti thien aur farmati thien ke is tarah Yahood karte hain
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3459
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ليث، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إنما اجلكم في اجل من خلا من الامم ما بين صلاة العصر إلى مغرب الشمس، وإنما مثلكم ومثل اليهود والنصارى كرجل استعمل عمالا، فقال: من يعمل لي إلى نصف النهار على قيراط قيراط فعملت اليهود إلى نصف النهار على قيراط قيراط ثم، قال: من يعمل لي من نصف النهار إلى صلاة العصر على قيراط قيراط فعملت النصارى من نصف النهار إلى صلاة العصر على قيراط قيراط ثم، قال: من يعمل لي من صلاة العصر إلى مغرب الشمس على قيراطين قيراطين الا فانتم الذين يعملون من صلاة العصر إلى مغرب الشمس على قيراطين قيراطين الا لكم الاجر مرتين فغضبت اليهود والنصارى، فقالوا: نحن اكثر عملا واقل عطاء، قال: الله هل ظلمتكم من حقكم شيئا، قالوا: لا، قال: فإنه فضلي اعطيه من شئت".
Hum se Qutaibah Bin Saeed ne bayan kiya unhon ne kaha hum se Laith ne unhon ne kaha ke hum se Nafay ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Tumhara zamana pichli ummaton ke muqable mein aisa hai jaise asar se maghrib tak ka waqt hai tumhari misal Yahood-o-Nasara ke sath aisi hai jaise kisi shakhs ne kuch mazdoor liye aur kaha ke mera kaam aadhe din tak kaun ek ek qiraat ki ujrat par kare ga? Yahood ne aadhe din tak ek ek qiraat ki mazdoori par kaam karna tay kar liya. Phir is shakhs ne kaha ke aadhe din se asar ki namaz tak mera kaam kaun shakhs ek ek qiraat ki mazdoori par kare ga. Ab Nasara ek ek qiraat ki mazdoori par aadhe din se asar ke waqt tak mazdoori karne par tayyar ho gaye. Phir is shakhs ne kaha ke asar ki namaz se sooraj doobne tak do do qiraat par kaun shakhs mera kaam kare ga? Tumhein maloom hona chahiye ke wo tumhein ho jo do do qiraat ki mazdoori par asar se sooraj doobne tak kaam karo ge. Tum aagah raho ke tumhari mazdoori dugni hai. Yahood-o-Nasara is faisla par ghussa ho gaye aur kehne lage ke kaam to hum zyada karein aur mazdoori humein ko kam mile. Allah Ta'ala ne un se farmaya kya mein ne tumhein tumhara haq dene mein koi kami ki hai? Unhon ne kaha ke nahi. Allah Ta'ala ne farmaya ke phir ye mera fazal hai mein jise chahoon zyada doon."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3460
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن طاوس، عن ابن عباس، قال: سمعت عمر رضي الله عنه، يقول: قاتل الله فلانا الم يعلم ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لعن الله اليهود حرمت عليهم الشحوم فجملوها فباعوها"، تابعه جابر وابو هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya un se Amr ne un se Taoos ne un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein ne Umar (Radi Allahu Anhu) se suna unhon ne kaha Allah Ta'ala falan ko tabah kare unhein kya maloom nahi ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha "Yahood par Allah ki laanat ho un ke liye charbi haram hui to unhon ne ise pighla kar bechna shuru kar diya." Is riwayat ko Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke sath Jabir aur Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat kiya hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3461
حدثنا ابو عاصم الضحاك بن مخلد، اخبرنا الاوزاعي، حدثنا حسان بن عطية، عن ابي كبشة، عن عبد الله بن عمرو، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بلغوا عني ولو آية وحدثوا عن بني إسرائيل ولا حرج ومن كذب علي متعمدا فليتبوا مقعده من النار".
Hum se Abu Asim Zahhak Bin Makhlad ne bayan kiya kaha hum ko Auzai ne khabar di kaha hum se Hassan Bin Atiyyah ne bayan kiya un se Abu Kabshah ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Mera paigham logon ko pahunchao agarche ek hi aayat ho aur Bani Israel ke waqiaat tum bayan kar sakte ho un mein koi haraj nahi aur jis ne mujh par qasdan jhoot bandha to ise apne jahannam ke thikane ke liye tayyar rehna chahiye."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3462
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: قال ابو سلمة بن عبد الرحمن، إن ابا هريرة رضي الله عنه، قال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إن اليهود والنصارى لا يصبغون فخالفوهم".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya kaha ke mujh se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya un se Salih ne un se Ibn Shihab ne bayan kiya un se Abu Salamah ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Yahood-o-Nasara (darhi waghaira) mein khizab nahi lagate tum log is ke khilaf tariqa ikhtiyar karo (yani khizab lagaya karo)."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3463
حدثني محمد، قال: حدثني حجاج، حدثنا جرير، عن الحسن، حدثنا جندب بن عبد الله في هذا المسجد وما نسينا منذ حدثنا وما نخشى، ان يكون جندب كذب على رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كان فيمن كان قبلكم رجل به جرح فجزع فاخذ سكينا فحز بها يده فما رقا الدم حتى مات، قال الله تعالى بادرني عبدي بنفسه حرمت عليه الجنة".
Mujh se Muhammad ne bayan kiya kaha mujh se Hajjaj ne bayan kiya kaha hum se Jarir ne bayan kiya un se Hasan ne kaha hum se Jundub Bin Abdullah ne isi masjid mein bayan kiya (Hasan ne kaha ke) unhon ne jab hum se bayan kiya hum ise bhoole nahi aur na humein is ka andesha hai ke unhon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki taraf is hadees ki nisbat ghalat ki hogi unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Pichle zamane mein ek shakhs (ke hath mein) zakham ho gaya tha aur ise is se bari takleef thi aakhir is ne churi se apna hath kaat liya is ka natija ye hua ke khoon behne laga aur isi se wo mar gaya phir Allah Ta'ala ne farmaya ke mere bande ne khud mere pas aane mein jaldi ki is liye mein ne bhi jannat ko is par haram kar diya."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حَدِيثُ أَبْرَصَ وَأَعْمَى وَأَقْرَعَ فِي بَنِي إِسْرَائِيلَ:
Bab: Bani Isra’il ke ek korhi aur ek nabeena aur ek ganje ka bayan.
Hadith Number: 3464
حدثني احمد بن إسحاق، حدثنا عمرو بن عاصم، حدثنا همام، حدثنا إسحاق بن عبد الله، قال: حدثني عبد الرحمن بن ابي عمرة، ان ابا هريرة حدثه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني محمد حدثنا عبد الله بن رجاء، اخبرنا همام، عن إسحاق بن عبد الله، قال:اخبرني عبد الرحمن بن ابي عمرة، ان ابا هريرة رضي الله عنه حدثه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن ثلاثة في بني إسرائيل ابرص واقرع واعمى بدا لله عز وجل ان يبتليهم فبعث إليهم ملكا فاتى الابرص، فقال: اي شيء احب إليك، قال: لون حسن وجلد حسن قد قذرني الناس، قال: فمسحه فذهب عنه فاعطي لونا حسنا وجلدا حسنا، فقال: اي المال احب إليك، قال: الإبل او، قال: البقر هو شك في ذلك إن الابرص والاقرع، قال: احدهما الإبل، وقال: الآخر البقر فاعطي ناقة عشراء، فقال: يبارك لك فيها واتى الاقرع، فقال: اي شيء احب إليك، قال: شعر حسن ويذهب عني هذا قد قذرني الناس، قال: فمسحه فذهب واعطي شعرا حسنا، قال: فاي المال احب إليك، قال: البقر، قال: فاعطاه بقرة حاملا، وقال: يبارك لك فيها واتى الاعمى، فقال: اي شيء احب إليك، قال: يرد الله إلي بصري فابصر به الناس، قال: فمسحه فرد الله إليه بصره، قال: فاي المال احب إليك، قال: الغنم فاعطاه شاة والدا فانتج هذان وولد هذا فكان لهذا واد من إبل ولهذا واد من بقر ولهذا واد من غنم ثم إنه اتى الابرص في صورته وهيئته، فقال: رجل مسكين تقطعت بي الحبال في سفري فلا بلاغ اليوم إلا بالله، ثم بك اسالك بالذي اعطاك اللون الحسن والجلد الحسن والمال بعيرا اتبلغ عليه في سفري، فقال له: إن الحقوق كثيرة، فقال له: كاني اعرفك الم تكن ابرص يقذرك الناس فقيرا فاعطاك الله، فقال: لقد ورثت لكابر عن كابر، فقال: إن كنت كاذبا فصيرك الله إلى ما كنت واتى الاقرع في صورته وهيئته، فقال له: مثل ما، قال: لهذا فرد عليه مثل ما رد عليه هذا، فقال: إن كنت كاذبا فصيرك الله إلى ما كنت واتى الاعمى في صورته، فقال: رجل مسكين وابن سبيل وتقطعت بي الحبال في سفري فلا بلاغ اليوم إلا بالله ثم بك اسالك بالذي رد عليك بصرك شاة اتبلغ بها في سفري، فقال: قد كنت اعمى فرد الله بصري وفقيرا فقد اغناني فخذ ما شئت فوالله لا اجهدك اليوم بشيء اخذته لله، فقال: امسك مالك فإنما ابتليتم فقد رضي الله عنك وسخط على صاحبيك".
Mujh se Ahmad Bin Ishaq ne bayan kiya kaha hum se Amr Bin Asim ne bayan kiya un se Hammam ne bayan kiya un se Ishaq Bin Abdullah ne bayan kiya kaha mujh se Abdur Rahman Bin Abi Hamzah ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna (doosri sanad) aur mujh se Muhammad ne bayan kiya kaha hum se Abdullah Bin Rajaa ne bayan kiya unhein Hammam ne khabar di un se Ishaq Bin Abdullah ne bayan kiya unhein Abdur Rahman Bin Abi Amrah ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Bani Israel mein teen shakhs thay ek korhi doosra andha aur teesra ganja Allah Ta'ala ne chaha ke un ka imtihan le. Chunancha Allah Ta'ala ne un ke pas ek farishta bheja. Farishta pehle korhi ke pas aaya aur is se poocha ke tumhein sab se zyada kya cheez pasand hai? Is ne jawab diya ke accha rang aur acchi chamri kyunke mujh se log parhez karte hain. Bayan kiya ke farishte ne is par apna hath phera to is ki bimari door ho gayi aur is ka rang bhi khubsurat ho gaya aur chamri bhi acchi ho gayi. Farishte ne poocha kis tarah ka maal tum zyada pasand karo ge? Is ne kaha ke ont! Ya is ne gaye kahi Ishaq Bin Abdullah ko is silsile mein shak tha ke korhi aur ganje dono mein se ek ne ont ki khwahish ki thi aur doosre ne gaye ki. Chunancha ise hamila ontni di gayi aur kaha gaya ke Allah Ta'ala tumhein is mein barkat de ga phir farishta ganje ke pas aaya aur is se poocha ke tumhein kya cheez pasand hai? Is ne kaha ke umda baal aur maujooda aib mera khatam ho jaye kyunke log is ki wajah se mujh se parhez karte hain. Bayan kiya ke farishte ne is ke sar par hath phera aur is ka aib jata raha aur is ke bajaye umda baal aa gaye. Farishte ne poocha kis tarah ka maal pasand karo ge? Is ne kaha ke gaye! Bayan kiya ke farishte ne ise hamila gaye de di aur kaha ke Allah Ta'ala is mein barkat de ga. Phir andhay ke pas farishta aaya aur kaha ke tumhein kya cheez pasand hai? Is ne kaha ke Allah Ta'ala mujhe aankhon ki roshni de de taake mein logon ko dekh sakoon. Bayan kiya ke farishte ne hath phera aur Allah Ta'ala ne is ki binayi ise wapas de di. Phir poocha ke kis tarah ka maal tum pasand karo ge? Is ne kaha ke bakriyan! Farishte ne ise hamila bakri de di. Phir teenon janwaron ke bacche paida hue yahan tak ke korhi ke onton se is ki waadi bhar gayi ganje ki gaye bail se is ki waadi bhar gayi aur andhay ki bakriyon se is ki waadi bhar gayi. Phir dobara farishta apni isi pehli shakal mein korhi ke pas aaya aur kaha ke mein ek nihayat miskeen-o-faqeer aadmi hoon safar ka tamam saman-o-asbab khatam ho chuka hai aur Allah Ta'ala ke siwa aur kisi se hajat poori hone ki umeed nahi lekin mein tum se isi zaat ka wasta de kar jis ne tumhein accha rang aur accha chamra aur maal ata kiya ek ont ka sawal karta hoon jis se safar ko poora kar sakoon. Is ne farishte se kaha ke mere zimma huqooq aur bahut se hain. Farishta ne kaha ghaliban mein tumhein pehchanta hoon kya tumhein korh ki bimari nahi thi jis ki wajah se log tum se ghin khate thay. Tum ek faqeer aur qallash thay. Phir tumhein Allah Ta'ala ne ye cheezon ata kiein? Is ne kaha ke ye sari doulat to mere baap dada se chali aa rahi hai. Farishte ne kaha ke agar tum jhoote ho to Allah tumhein apni pehli halat par louta de. Phir farishta ganje ke pas apni isi pehli surat mein aaya aur is se bhi wohi darkhwast ki aur is ne bhi wohi korhi wala jawab diya. Farishte ne kaha ke agar tum jhoote ho to Allah Ta'ala tumhein apni pehli halat par louta de. Is ke baad farishta andhay ke pas aaya apni isi pehli surat mein aur kaha ke mein ek miskeen aadmi hoon safar ke tamam saman khatam ho chuke hain aur siwa Allah Ta'ala ke kisi se hajat poori hone ki tawaqqo nahi. Mein tum se is zaat ka wasta de kar jis ne tumhein tumhari binayi wapas di hai ek bakri mangta hoon jis se apne safar ki zarooriyat poori kar sakoon. Andhay ne jawab diya ke waqai mein andha tha aur Allah Ta'ala ne mujhe apne fazal se binayi ata farmayi aur waqai mein faqeer-o-muhtaj tha aur Allah Ta'ala ne mujhe maldar banaya. Tum jitni bakriyan chaho le sakte ho Allah ki qasam jab tum ne Allah ka wasta diya hai to jitna bhi tumhara ji chahe le jao mein tumhein hargiz nahi rok sakta. Farishte ne kaha ke tum apna maal apne pas rakkho ye to sirf imtihan tha aur Allah Ta'ala tum se raazi aur khush hai aur tumhare dono saathiyon se naraz hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {أَمْ حَسِبْتَ أَنَّ أَصْحَابَ الْكَهْفِ وَالرَّقِيمِ}:
Bab: (Ashab-e-Kahf ka bayan) (Surah Al-Kahf mein Allah Taala ne farmaya hai)“Ay Paighambar! Kya tu samjha ke Kahf aur Raqeem hamari qudrat ki nishaniyon mein ajeeb the”.
Hadith Number: Q3465
الكهف الفتح في الجبل والرقيم الكتاب مرقوم مكتوب من الرقم وربطنا على قلوبهم سورة الكهف آية 14 الهمناهم صبرا شططا سورة الكهف آية 14 إفراطا الوصيد الفناء وجمعه وصائد ووصد ويقال الوصيد الباب مؤصدة سورة البلد آية 20مطبقة آصد الباب واوصد بعثناهم سورة الكهف آية 19 احييناهم ازكى سورة الكهف آية 19 اكثر ريعا فضرب الله على آذانهم فناموا رجما بالغيب سورة الكهف آية 22 لم يستبن وقال مجاهد تقرضهم سورة الكهف آية 17 تتركهم.
«kahfun» pahar mein jo darra ho. «raqimun» ke maani likhi hui kitab. «marqumun» ke maani bhi likhi hui. «rabatna ala qulubihim» hum ne un ke dilon mein sabar dala. «shatatan» zulm aur zyada-ti. «waseedun» ke maani lagan aur sehan is ki jama «wasa-idu» aur «wusudun» aati hai. «waseedun» darwaze ko bhi kehte hain. (Dehleez) ko «mu-sadatun» jo Surah Humazah mein hai yani band darwaza lagi hui Arab log kehte hain. «asadal baba» aur «ausadal baba» yani darwaza band kiya. «ba-athnahum» hum ne un ko zinda kar diya. «azka» yani zyada sone wala ya pakiza khush maza ya sust. «fazarraballahu ala azanihim» yani Allah Ta'ala ne un ko sula diya. «rajman bil-ghaibi» yani be-daleel (mahz guman atkal pacho). Mujahid ne kaha «taqrizuhum» yani chor deta hai katra jata hai. Surah Al-Kahf mein in jawanon ka tafseeli zikr maujood hai