الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 3485
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبيد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، اخبرني سالم، ان ابن عمر حدثه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" بينما رجل يجر إزاره من الخيلاء خسف به فهو يتجلجل في الارض إلى يوم القيامة، تابعه عبد الرحمن بن خالد، عن الزهري.
Hum se Bishr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah Bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Yunus ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne khabar di aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Ek shakhs takabbur ki wajah se apna tehband zameen se ghasitta hua ja raha tha ke ise zameen mein dhansa diya aur ab wo qiyamat tak yun hi zameen mein dhans-ta chala jaye ga." Yunus ke sath is hadees ko Abdur Rahman Bin Khalid ne bhi Zuhri se riwayat kiya hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3486
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، قال: حدثني ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" نحن الآخرون السابقون يوم القيامة بيد كل امة اوتوا الكتاب من قبلنا، واوتينا من بعدهم فهذا اليوم الذي اختلفوا فيه فغدا لليهود وبعد غد للنصارى".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya kaha mujh se Abdullah Bin Taoos ne bayan kiya un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Hum (duniya mein) tamam ummaton ke aakhir mein aaye lekin (qiyamat ke din) tamam ummaton se aage hon ge. Sirf itna farq hai ke unhein pehle kitab di gayi aur humein baad mein mili aur yehi wo (Jummah ka) din hai jis ke baare mein logon ne ikhtilaf kiya. Yahoodiyon ne to ise is ke doosre din (Hafta ko) kar liya aur Nasara ne teesre din (Itwar ko)
."
."
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3487
«على كل مسلم في كل سبعة ايام يوم يغسل راسه وجسده» .
Pas har Musalman ko hafte mein ek din (yani Jummah ke din) to ise jism aur sar ko dho lena lazim hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3488
حدثنا آدم حدثنا شعبة حدثنا عمرو بن مرة سمعت سعيد بن المسيب قال قدم معاوية بن ابي سفيان المدينة آخر قدمة قدمها، فخطبنا فاخرج كبة من شعر فقال ما كنت ارى ان احدا يفعل هذا غير اليهود، وإن النبي صلى الله عليه وسلم سماه الزور- يعني الوصال في الشعر. تابعه غندر عن شعبة.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya un se Amr Bin Murrah ne kaha ke mein ne Saeed Bin Musayyib se suna aap ne bayan kiya ke Muawiyah Bin Abi Sufyan (Radi Allahu Anhu) ne Madinah ke apne aakhri safar mein humein khitab farmaya aur (khutba ke douran) aap ne balon ka ek guccha nikala aur farmaya, mein samajhta hoon ke Yahoodiyon ke siwa aur koi is tarah na karta hoga aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is tarah baal sanwarne ka naam «al-zooru» (fareb-o-jhoot) rakkha hai. Aap ki murad «wisalun fish shari» se thi. Yani balon mein jor lagane se thi (jaise aksar auratein masnooyi balon mein jor kiya karti hain) Adam ke sath is hadees ko Ghundar ne bhi Shuba se riwayat kiya hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة