الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ رَأَى الْهِبَةَ الْغَائِبَةَ جَائِزَةً:
Bab: Jin ke nazdeek ghaib cheez ka hibah karna durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2583
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: ذكر عروة، ان المسور بن مخرمة رضي الله عنهما، ومروان اخبراه، ان النبي صلى الله عليه وسلم حين جاءه وفد هوازن قام في الناس فاثنى على الله بما هو اهله، ثم قال: اما بعد،" فإن إخوانكم جاءونا تائبين، وإني رايت ان ارد إليهم سبيهم، فمن احب منكم ان يطيب ذلك فليفعل، ومن احب ان يكون على حظه حتى نعطيه إياه من اول ما يفيء الله علينا"، فقال الناس: طيبنا لك.
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, un se Lais ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya Ibn Shihab se, un se Urwah ne zikar kiya ke Miswar Bin Makhrama (Radi Allahu Anhu) aur Marwan Bin Hakam ne unhein khabar di ke jab qabila Hawazin ka wafad Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne logon ko khitab farmaya aur Allah ki shan ke mutabiq sana ke baad aap ne farmaya: Amma ba'du! ye tumhare bhai tauba kar ke hamare paas aaye hain aur mein yahi behtar samajhta hoon ke un ke qaidi unhein wapas kar diye jayein. Ab jo shaks apni khushi se (qaidiyou ko) wapas karna chahe wo wapas kar de aur jo ye chahe ke unhein un ka hissa mile (to wo bhi wapas kar de) aur hamein Allah Ta'ala (is ke baad) sab se pehli jo ghanimat de ga, is mein se hum ise muawaza de dein ge. Logon ne kaha hum apni khushi se (un ke qaidi wapas kar ke) Aap ka irshad tasleem karte hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2584
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: ذكر عروة، ان المسور بن مخرمة رضي الله عنهما، ومروان اخبراه، ان النبي صلى الله عليه وسلم حين جاءه وفد هوازن قام في الناس فاثنى على الله بما هو اهله، ثم قال: اما بعد،" فإن إخوانكم جاءونا تائبين، وإني رايت ان ارد إليهم سبيهم، فمن احب منكم ان يطيب ذلك فليفعل، ومن احب ان يكون على حظه حتى نعطيه إياه من اول ما يفيء الله علينا"، فقال الناس: طيبنا لك.
Hum se Saeed Bin Abi Maryam ne bayan kiya, un se Lais ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya Ibn Shihab se, un se Urwah ne zikar kiya ke Miswar Bin Makhrama (Radi Allahu Anhu) aur Marwan Bin Hakam ne unhein khabar di ke jab qabila Hawazin ka wafad Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne logon ko khitab farmaya aur Allah ki shan ke mutabiq sana ke baad aap ne farmaya: Amma ba'du! ye tumhare bhai tauba kar ke hamare paas aaye hain aur mein yahi behtar samajhta hoon ke un ke qaidi unhein wapas kar diye jayein. Ab jo shaks apni khushi se (qaidiyou ko) wapas karna chahe wo wapas kar de aur jo ye chahe ke unhein un ka hissa mile (to wo bhi wapas kar de) aur hamein Allah Ta'ala (is ke baad) sab se pehli jo ghanimat de ga, is mein se hum ise muawaza de dein ge. Logon ne kaha hum apni khushi se (un ke qaidi wapas kar ke) Aap ka irshad tasleem karte hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُكَافَأَةِ فِي الْهِبَةِ:
Bab: Hibah ka muawaza (badla) ada karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2585
حدثنا مسدد، حدثنا عيسى بن يونس، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يقبل الهدية، ويثيب عليها". لم يذكر وكيع، ومحاضر، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Isa Bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) hadiya qabool farma liya karte. Lekin is ka badla bhi de diya karte thay. Is hadees ko Wakee aur Muhazir ne bhi Riwayat kiya, magar unhon ne is ko Hisham se, unhon ne apne baap se unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se ke alfaz nahi kahe
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْهِبَةِ لِلْوَلَدِ:
Bab: Baap ka apne larke ko kuch hibah karna.
Show diacritics
Hadith Number: Q2586
وإذا اعطى بعض ولده شيئا لم يجز حتى يعدل بينهم ويعطي الآخرين مثله، ولا يشهد عليه، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: اعدلوا بين اولادكم في العطية، وهل للوالد ان يرجع في عطيته وما ياكل من مال ولده بالمعروف ولا يتعدى، واشترى النبي صلى الله عليه وسلم من عمر بعيرا، ثم اعطاه ابن عمر، وقال: اصنع به ما شئت.
Aur apne baaz larkon ko agar koi cheez hiba mein di to jab tak insaf ke sath tamam larkon ko barabar na de, ye hiba jaiz nahi ho ga aur aaisi zulm ke hiba par gawah hona bhi durust nahi. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ataya ke silsile mein apni aulad ke darmiyan insaf kiya karo, aur kya baap apna atiya wapas bhi le sakta hai? Aur baap apne larke ke mal mein se dastoor ke mutabiq jab ke zulm ka irada na ho le sakta hai. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Umar (Radi Allahu Anhu) se ek ont khareeda aur phir ise Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ko ata farmaya aur farmaya ke is ka jo chahe kar
.


Show diacritics
Hadith Number: 2586
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن حميد بن عبد الرحمن، ومحمد بن النعمان بن بشير، انهما حدثاه، عن النعمان بن بشير،" ان اباه اتى به إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: إني نحلت ابني هذا غلاما، فقال: اكل ولدك نحلت مثله، قال: لا، قال: فارجعه".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Imam Malik ne khabar di Ibn Shihab se, wo Humaid Bin Abdur Rahman aur Muhammad Bin Numan Bin Bashir se aur un se Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhuma) ne kaha un ke walid unhein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein laye aur arz kiya ke mein ne apne is bete ko ek ghalam bataur hiba diya hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya, kya aisa hi ghalam apne doosre larkon ko bhi diya hai? Unhon ne kaha nahi, to Aap ne farmaya ke phir (un se bhi) wapas le le
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِشْهَادِ فِي الْهِبَةِ:
Bab: Hibah ke oper gawah karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2587
حدثنا حامد بن عمر، حدثنا ابو عوانة، عن حصين، عن عامر، قال: سمعت النعمان بن بشير رضي الله عنهما وهو على المنبر، يقول:" اعطاني ابي عطية، فقالت عمرة بنت رواحة: لا ارضى حتى تشهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاتى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: إني اعطيت ابني من عمرة بنت رواحة عطية، فامرتني ان اشهدك يا رسول الله، قال: اعطيت سائر ولدك مثل هذا، قال: لا، قال: فاتقوا الله واعدلوا بين اولادكم، قال: فرجع فرد عطيته".
Hum se Hamid Bin Umar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya Husain se, wo Aamir se ke mein ne Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhuma) se suna wo minbar par bayan kar rahe thay ke mere baap ne mujhe ek atiya diya, to Amrah Bint Rawaha (Radi Allahu Anha) (Numan ki walda) ne kaha ke jab tak aap Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko is par gawah na banayein mein razi nahi ho sakti. Chunanchay (hazir-e-khidmat ho kar) unhon ne arz kiya ke Amrah Bint Rawaha se apne bete ko mein ne ek atiya diya to unhon ne kaha ke pehle mein aap ko is par gawah bana loon, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya ke isi jaisa atiya tum ne apni tamam aulad ko diya hai? Unhon ne jawab diya ke nahi, is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Allah se daro aur apni aulad ke darmiyan insaf ko qaim rakho. Chunanchay wo wapas hue aur hadiya wapas le liya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هِبَةِ الرَّجُلِ لاِمْرَأَتِهِ وَالْمَرْأَةِ لِزَوْجِهَا:
Bab: Khawand ka apni biwi ko aur biwi ka apne khawand ko kuch hibah kar dena.
Show diacritics
Hadith Number: Q2588
قال إبراهيم: جائزة، وقال عمر بن عبد العزيز: لا يرجعان، واستاذن النبي صلى الله عليه وسلم نساءه في ان يمرض في بيت عائشة، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: العائد في هبته كالكلب يعود في قيئه، وقال الزهري: فيمن قال لامراته هبي لي بعض صداقك او كله، ثم لم يمكث إلا يسيرا حتى طلقها فرجعت فيه، قال: يرد إليها إن كان خلبها وإن كانت اعطته عن طيب نفس ليس في شيء من امره خديعة جاز، قال الله تعالى: فإن طبن لكم عن شيء منه نفسا فكلوه سورة النساء آية 4.
Ibrahim Nakh'i ne kaha ke jaiz hai. Umar Bin Abdul Aziz ne kaha ke donon apna hiba wapas nahi le sakte. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne marz ke din Aisha (Radi Allahu Anha) ke ghar guzarne ki apni doosri biwiyon se ijazat mangi thi (aur azwaj-e-mutahiraat ne apni apni bari hiba kar di thi) aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha ke apna hiba wapas lene wala shaks is kutte ki tarah hai jo apni hi qai chat-ta hai. Zuhri ne is shaks ke bare mein jis ne apni biwi se kaha ke apna kuch mehar ya sara mehar mujhe hiba kar de (aur us ne kar diya) is ke thori hi dair baad us ne apni biwi ko talaq de di aur biwi ne (apne mehar ka hiba) wapas manga to Zuhri ne kaha ke agar shohar ne mehaz dhoka ke liye aisa kiya tha to ise mehar wapas karna ho ga. Lekin agar biwi ne apni khushi se mehar hiba kiya, aur shohar ne bhi kisi qisam ka dhoka is silsile mein ise nahi diya, to ye soorat jaiz ho gi. Allah Ta'ala ka farman hai "Fa-in tibna lakum an shai-in minhu nafsan" "Agar tumhari biwiyan dil se aur khush ho kar tumhein apne mehar ka kuch hissa de dein (to le sakte ho)."
.


Show diacritics
Hadith Number: 2588
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن معمر، عن الزهري، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله، قالت عائشة رضي الله عنها" لما ثقل النبي صلى الله عليه وسلم فاشتد وجعه استاذن ازواجه ان يمرض في بيتي، فاذن له، فخرج بين رجلين تخط رجلاه الارض، وكان بين العباس وبين رجل آخر، فقال عبيد الله: فذكرت لابن عباس ما قالت عائشة، فقال لي: وهل تدري من الرجل الذي لم تسم عائشة؟ قلت: لا، قال: هو علي بن ابي طالب".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum ko Hisham ne khabar di, unhein Maamar ne, unhein Zuhri ne, kaha ke mujhe Ubaidullah Bin Abdullah ne khabar di ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki bimari barhi aur takleef shadeed ho gayi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni biwiyon se mere ghar mein ayyam-e-marz guzarne ki ijazat chahi aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko biwiyon ne ijazat de di to Aap is tarah tashreef laye ke donon qadam zameen par ragar kha rahe thay. Aap is waqt Abbas (Radi Allahu Anhu) aur ek aur sahab ke darmiyan thay. Ubaidullah ne bayan kiya ke phir mein ne Aisha (Radi Allahu Anha) ki is hadees ka zikar Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se kiya. To unhon ne mujh se poocha, Aisha (Radi Allahu Anha) ne jin ka naam nahi liya, jante ho wo kaun thay? Mein ne kaha ke nahi? Aap ne farmaya ke wo Ali Bin Abi Talib (Radi Allahu Anhu) thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2589
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" العائد في هبته كالكلب يقيء، ثم يعود في قيئه".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Taus ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Apna hiba wapas lene wala is kutte ki tarah hai jo qai kar ke phir chaat jata hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هِبَةِ الْمَرْأَةِ لِغَيْرِ زَوْجِهَا:
Bab: Agar aurat apne khawand ke siwa aur kisi ko kuch hibah kare.
Show diacritics
Hadith Number: Q2590
وعتقها إذا كان لها زوج فهو جائز إذا لم تكن سفيهة، فإذا كانت سفيهة لم يجز، قال الله تعالى: ولا تؤتوا السفهاء اموالكم سورة النساء آية 5.
Ya ghalam londi azad kare aur hiba ke waqt is ka khawand maujood ho, to ye hiba jaiz hai lekin shart ye hai ke wo aurat be-aql na ho. Kyunke agar wo be-aql ho gi to jaiz nahi ho ga. Allah Ta'ala ka irshad hai "Wala toot-us-sufaha-a amwalakum" "Be-aql logon ko apna mal na do."
.