الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الاِسْتِنْثَارِ فِي الْوُضُوءِ:
Bab: Wudu mein naak saaf karna zaroori hai.
Hadith Number: Q161
ذكره عثمان وعبد الله بن زيد وابن عباس رضي الله عنهم عن النبي صلى الله عليه وسلم.
“Is masle ko Uthman aur Abdullah bin Zaid aur Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhum ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql kiya hai.”
Hadith Number: 161
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: اخبرني ابو إدريس، انه سمع ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه قال:" من توضا فليستنثر، ومن استجمر فليوتر".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha unhein Younus ne Zohri ke waaste se khabar di, kaha unhein Abu Idrees ne bataaya, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se naql karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jo shakhs Wuzu kare use chaahiye ke naak saaf kare aur jo paththar se istinja kare use chaahiye ke taaq adad (yani ek ya teen ya paanch hi) se kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِسْتِجْمَارِ وِتْرًا:
Bab: Taaq adad (dhailon) se istinja karna chahiye.
Hadith Number: 162
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا توضا احدكم فليجعل في انفه ثم لينثر، ومن استجمر فليوتر، وإذا استيقظ احدكم من نومه فليغسل يده قبل ان يدخلها في وضوئه، فإن احدكم لا يدري اين باتت يده".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum ko Malik ne Abuz Zinaad ke waaste se khabar di, woh A’raj se, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se naql karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jab tum mein se koi Wuzu kare to use chaahiye ke apni naak mein paani de phir (use) saaf kare aur jo shakhs paththaron se istinja kare use chaahiye ke be-jod adad (yani ek ya teen) se istinja kare aur jab tum mein se koi so kar uthe, to Wuzu ke paani mein haath daalne se pehle use dho le. Kiunki tum mein se koi nahi jaanta ke raat ko us ka haath kahan raha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَسْلِ الرِّجْلَيْنِ وَلاَ يَمْسَحُ عَلَى الْقَدَمَيْنِ:
Bab: Dono paaon dhona chahiye aur qadmon par masah na karna chahiye.
Hadith Number: 163
حدثنا موسى، قال: حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن يوسف بن ماهك، عن عبد الله بن عمرو، قال: تخلف النبي صلى الله عليه وسلم عنا في سفرة سافرناها، فادركنا وقد ارهقنا العصر، فجعلنا نتوضا ونمسح على ارجلنا، فنادى باعلى صوته:" ويل للاعقاب من النار مرتين او ثلاثا".
Hum se Musa ne bayan kiya, un se Abu ’Awaanah ne, woh Abu Bishr se, woh Yousuf bin Maahak se, woh Abdullah bin ’Amr Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain, woh kehte hain ke (ek martaba) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ek safar mein hum se peeche reh gaye. Phir (thodi der baad) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne hum ko paa liya aur Asr ka waqt aa pahuncha tha. Hum Wuzu karne lage aur (achchi tarah paaon dhone ki bajaaye jaldi mein) hum paaon par masah karne lage. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya «وَيْلٌ لِلْأَعْقَابِ مِنَ النَّارِ» "aydiyon ke liye aag ka azaab hai" do martaba ya teen martaba farmaaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَضْمَضَةِ فِي الْوُضُوءِ:
Bab: Wudu mein kulli karna.
Hadith Number: Q164
قاله ابن عباس وعبد الله بن زيد رضي الله عنهم عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is masle ko Ibn-e-Abbas aur Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhum ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se naql kiya hai.
Hadith Number: 164
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عطاء بن يزيد، عن حمران مولى عثمان بن عفان، انه راى عثمان بن عفان دعا بوضوء، فافرغ على يديه من إنائه فغسلهما ثلاث مرات، ثم ادخل يمينه في الوضوء، ثم تمضمض واستنشق واستنثر، ثم غسل وجهه ثلاثا ويديه إلى المرفقين ثلاثا، ثم مسح براسه، ثم غسل كل رجل ثلاثا، ثم قال: رايت النبي صلى الله عليه وسلم يتوضا نحو وضوئي هذا، وقال:" من توضا نحو وضوئي هذا، ثم صلى ركعتين لا يحدث فيهما نفسه، غفر الله له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, kaha hum ko Sho’aib ne Zohri ke waaste se khabar di, kaha hum ko ’Ata bin Yazeed ne Humran Maula Uthman bin Affan Radhiallahu Anhu ke waaste se khabar di, unhon ne Uthman Radhiallahu Anhu ko dekha ke unhon ne Wuzu ka paani mangwaaya aur apne dono haathon par bartan se paani (le kar) daala. Phir dono haathon ko teen dafa dhoya. Phir apna dahna haath Wuzu kar ke paani mein daala. Phir kulli ki, phir naak mein paani diya, phir naak saaf ki. Phir teen dafa apna munh dhoya aur kohniyon tak teen dafa haath dhoye, phir apne sar ka masah kiya. Phir har ek paaon teen dafa dhoya. Phir farmaaya main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko dekha ke Aap mere is Wuzu jaisa Wuzu farmaaya karte the aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke jo shakhs mere is Wuzu jaisa Wuzu kare aur (huzoor-e-qalb se) do rakat padhe jis mein apne dil se baatein na kare. To Allah Ta’ala us ke pichle gunaah mu’aaf kar deta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَسْلِ الأَعْقَابِ:
Bab: Aediyon ke dhone ke bayan mein.
Hadith Number: Q165
وكان ابن سيرين يغسل موضع الخاتم إذا توضا.
Imam Ibn-e-Sireen Wuzu karte waqt angothi ke neeche ki jagah (bhi) dhoya karte the.
Hadith Number: 165
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا محمد بن زياد، قال: سمعت ابا هريرة، وكان يمر بنا والناس يتوضئون من المطهرة، قال: اسبغوا الوضوء، فإن ابا القاسم صلى الله عليه وسلم، قال:" ويل للاعقاب من النار".
Hum se Adam bin Abi Iyaas ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammed bin Ziyaad ne bayan kiya, woh kehte hain ke main ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna woh hamaare paas se guzre aur log laute se Wuzu kar rahe the. Aap ne kaha achchi tarah Wuzu karo kiunki Abul Qasim Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya (khushk) aydiyon ke liye aag ka ’azaab hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ غَسْلِ الرِّجْلَيْنِ فِي النَّعْلَيْنِ وَلاَ يَمْسَحُ عَلَى النَّعْلَيْنِ:
Bab: Jooton ke andar paaon dhona chahiye aur jooton par masah na karna chahiye.
Hadith Number: 166
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن سعيد المقبري، عن عبيد بن جريج، انه قال لعبد الله بن عمر: يا ابا عبد الرحمن، رايتك تصنع اربعا لم ار احدا من اصحابك يصنعها، قال: وما هي يا ابن جريج؟ قال: رايتك لا تمس من الاركان إلا اليمانيين، ورايتك تلبس النعال السبتية، ورايتك تصبغ بالصفرة، ورايتك إذا كنت بمكة اهل الناس إذا راوا الهلال ولم تهل انت حتى كان يوم التروية، قال عبد الله:" اما الاركان، فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يمس إلا اليمانيين، واما النعال السبتية فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يلبس النعل التي ليس فيها شعر ويتوضا فيها، فانا احب ان البسها، واما الصفرة فإني رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يصبغ بها، فانا احب ان اصبغ بها، واما الإهلال فإني لم ار رسول الله صلى الله عليه وسلم يهل حتى تنبعث به راحلته".
Hum se Abdullah bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum ko Malik ne Sa’eed Al-Maqburi ke waaste se khabar di, woh Ubaidullah bin Juraij se naql karte hain ke unhon ne Abdullah bin Umar se kaha aye Abu Abdur Rahman! Main ne tumhein chaar aise kaam karte huwe dekha hai jinhein tumhaare saathiyon ko karte huwe nahi dekha. Woh kehne lage, aye Ibn-e-Juraij! Woh kya hain? Ibn-e-Juraij ne kaha ke main ne tawaaf ke waqt aap ko dekha ke do yamaani rukno ke siwa kisi aur rukn ko aap nahi chhoote ho. (Doosre) main ne aap ko basti joote pahne huwe dekha aur (teesre) main ne dekha ke aap zard rang iste’maal karte ho aur (chauthi baat) main ne yeh dekhi ke jab aap Makkah main the, log (Zul-Hijjah ka) chaand dekh kar Labbaik pukaarne lagte hain. (Aur) Hajj ka Ehraam baandh lete hain aur aap aathween tareekh tak Ehraam nahi baandhte. Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma ne jawaab diya ke (doosre) arkaan ko to main yun nahi chhoota ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yamaani rukno ke alawah kisi aur rukn ko chhoote huwe nahi dekha aur rahe joote, to main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko aise joote pahne huwe dekha ke jin ke chamde par baal nahi the aur Aap unhien ko pahne pahne Wuzu farmaaya karte the, to main bhi unhien ko pahanna pasand karta hun aur zard rang ki baat yeh hai ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko zard rang rangte huwe dekha hai. To main bhi isi rang se rangna pasand karta hun aur Ehraam baandhne ka mu’aamla yeh hai ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko us waqt tak Ehraam baandhte huwe nahi dekha jab tak a Aap ki oontni Aap ko le kar na chal padti.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّيَمُّنِ فِي الْوُضُوءِ وَالْغُسْلِ:
Bab: Wudu aur ghusl mein daahini janib se ibtida karna zaroori hai.
Hadith Number: 167
حدثنا مسدد، قال: حدثنا إسماعيل، قال: حدثنا خالد، عن حفصة بنت سيرين، عن ام عطية، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم لهن في غسل ابنته:" ابدان بميامنها ومواضع الوضوء منها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, un se Ismail ne, un se Khalid ne Hafsa bint-e-Sireen ke waaste se naql kiya, woh Umm-e-Atiyyah se riwayat karti hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni (marhooma) sahebzaadi (Zainab Radhiallahu Anha) ko ghusl dene ke waqt farmaaya tha ke ghusl daahni taraf se do, aur aazaa-e-Wuzu se ghusl ki ibtida karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة