الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ حُمِلَ مَعَهُ الْمَاءُ لِطُهُورِهِ:
Bab: Kisi shakhs ke hamrah us ki taharat ke liye pani le jana ja’iz hai.
Show diacritics
Hadith Number: 151
حدثنا سليمان بن حرب، قال: حدثنا شعبة، عن ابي معاذ هو عطاء بن ابي ميمونة، قال: سمعت انسا، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا خرج لحاجته تبعته انا وغلام منا معنا إداوة من ماء".
Hum se Sulaiman bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne bayan kiya, woh Ata bin Abi Maimunah se naql karte hain, unhon ne Anas Radhiallahu Anhu se suna, woh kehte hain ke jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam qazaa-e-haajat ke liye nikalte, main aur ek ladka dono Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke peeche jaate the aur hamaare saath paani ka ek bartan hota tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حَمْلِ الْعَنَزَةِ مَعَ الْمَاءِ فِي الاِسْتِنْجَاءِ:
Bab: Istinja ke liye pani ke sath neza (bhi) le jana sabit hai.
Show diacritics
Hadith Number: 152
حدثنا محمد بن بشار، قال: حدثنا محمد بن جعفر، قال: حدثنا شعبة، عن عطاء بن ابي ميمونة، سمع انس بن مالك، يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يدخل الخلاء، فاحمل انا وغلام إداوة من ماء وعنزة يستنجي بالماء"، تابعه النضر وشاذان، عن شعبة، العنزة عصا عليه زج.
Hum se Muhammed bin Bashshaar ne bayan kiya, un se Muhammed bin Ja’far ne, un se Sho’bah ne Ata bin Abi Maimunah ke waaste se bayan kiya, unhon ne Anas bin Malik se suna, woh kehte the ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam bait-ul-khala mein jaate to main aur ek ladka paani ka bartan aur nezah le kar chalte the. Paani se Aap tahaarat karte the, (doosri sanad se) Nazr aur Shaazaan ne is Hadees ki Sho’bah se Mutaba’at ki hai. Anazah laathi ko kehte hain jis par phalka laga huwa ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّهْيِ عَنْ الاِسْتِنْجَاءِ بِالْيَمِينِ:
Bab: Daahine haath se taharat karne ki mamanu’at hai.
Show diacritics
Hadith Number: 153
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام هو الدستوائي، عن يحيى بن ابي كثير، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا شرب احدكم فلا يتنفس في الإناء، وإذا اتى الخلاء فلا يمس ذكره بيمينه، ولا يتمسح بيمينه".
Hum se Mu’aaz bin Fazalah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hishaam Dastuwaayi ne Yahya bin Abi Katheer ke waaste se bayan kiya, woh Abdullah bin Abi Qatadah se, woh apne baap Abu Qatadah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain. Woh kehte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jab tum mein se koi paani piye to bartan mein saans na le aur jab bait-ul-khala mein jaaye to apni sharmgaah ko daahne haath se na chhooye aur na daahne haath se istinja kare.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُمْسِكُ ذَكَرَهُ بِيَمِينِهِ إِذَا بَالَ:
Bab: Is bare mein ke peshab ke waqt apne uzw ko apne daahine haath se na pakre.
Show diacritics
Hadith Number: 154
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا الاوزاعي، عن يحيى بن ابي كثير، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا بال احدكم فلا ياخذن ذكره بيمينه، ولا يستنجي بيمينه، ولا يتنفس في الإناء".
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum se Awzaa’ee ne Yahya bin Katheer ke waaste se bayan kiya, woh Abdullah bin Abi Qatadah ke waaste se bayan karte hain, woh apne baap se riwayat karte hain, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jab tum mein se koi peshaab kare to apna uzw apne daahne haath se na pakde, na daahne haath se tahaarat kare, na (paani peete waqt) bartan mein saans le.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِسْتِنْجَاءِ بِالْحِجَارَةِ:
Bab: Pattharon se istinja karna sabit hai.
Show diacritics
Hadith Number: 155
حدثنا احمد بن محمد المكي، قال: حدثنا عمرو بن يحيى بن سعيد بن عمرو المكي، عن جده، عن ابي هريرة، قال: اتبعت النبي صلى الله عليه وسلم وخرج لحاجته، فكان لا يلتفت، فدنوت منه، فقال:" ابغني احجارا استنفض بها او نحوه، ولا تاتني بعظم ولا روث، فاتيته باحجار بطرف ثيابي فوضعتها إلى جنبه واعرضت عنه، فلما قضى اتبعه بهن".
Hum se Ahmad bin Muhammed Al-Makki ne bayan kiya, kaha ke hum se ’Amr bin Yahya bin Sa’eed bin ’Amr Al-Makki ne apne daada ke waaste se bayan kiya. Woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se naql karte hain, woh kehte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam (ek martaba) rafa-e-haajat ke liye tashreef le gaye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki aadat-e-mubarakah thi ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (chalte waqt) idhar udhar nahi dekha karte the. To main bhi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke peeche peeche Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke qareeb pahunch gaya. (Mujhe dekh kar) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke mujhe paththar dhoond do, taake main un se paaki haasil karun, ya isi jaisa (koi lafz) farmaaya aur farmaaya ke haddi aur gobar na laana. Chunanche main apne daaman main paththar (bhar kar) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas le gaya aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke pehlu mein rakh diye aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas se hat gaya, jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam (qazaa-e-haajat se) faarigh huwe to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne paththaron se istinja kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُسْتَنْجَى بِرَوْثٍ:
Bab: Is bare mein ke gobar se istinja na kare.
Show diacritics
Hadith Number: 156
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا زهير، عن ابي إسحاق، قال: ليس ابو عبيدة ذكره، ولكن عبد الرحمن بن الاسود، عن ابيه، انه سمع عبد الله، يقول:" اتى النبي صلى الله عليه وسلم الغائط، فامرني ان آتيه بثلاثة احجار، فوجدت حجرين والتمست الثالث فلم اجده، فاخذت روثة فاتيته بها، فاخذ الحجرين والقى الروثة، وقال: هذا ركس"، وقال إبراهيم بن يوسف، عن ابيه، عن ابي إسحاق، حدثني عبد الرحمن.
Hum se Abu Nu’aim ne bayan kiya, kaha hum se Zubair ne Abu Ishaaq ke waaste se naql kiya, Abu Ishaaq kehte hain ke is Hadees ko Abu Ubaidah ne zikr nahi kiya. Lekin Abdur Rahman bin Al-Aswad ne apne baap se zikr kiya, unhon ne Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu se suna, woh kehte the ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam rafa-e-haajat ke liye gaye. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe farmaaya ke main teen paththar talaash kar ke Aap ke paas laaun. Lekin mujhe do paththar mile. Teesra dhoonda magar mil na saka. To main ne khushk gobar utha liya. Us ko le kar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aa gaya. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne paththar (to) le liye (magar) gobar phenk diya aur farmaaya yeh khud napaak hai. (Aur yeh Hadees) Ibrahim bin Yousuf ne apne baap se bayan ki. Unhon ne Abu Ishaaq se suna, un se Abdur Rahman ne bayan kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْوُضُوءِ مَرَّةً مَرَّةً:
Bab: Wudu mein har uzw ko ek ek dafa dhona bhi sabit hai.
Show diacritics
Hadith Number: 157
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا سفيان، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابن عباس، قال:" توضا النبي صلى الله عليه وسلم مرة مرة".
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, un se Sufyan ne Zaid bin Aslam ke waaste se bayan kiya, woh Ata bin Yasaar se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Wuzu mein har uzw ko ek ek martaba dhoya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْوُضُوءِ مَرَّتَيْنِ مَرَّتَيْنِ:
Bab: Is bare mein ke wudu mein har uzw do do baar dhona bhi sabit hai.
Show diacritics
Hadith Number: 158
حدثنا حسين بن عيسى، قال: حدثنا يونس بن محمد، قال: حدثنا فليح بن سليمان، عن عبد الله بن ابي بكر بن عمرو بن حزم، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد،" ان النبي صلى الله عليه وسلم توضا مرتين مرتين".
Hum se Husain bin Esa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Younus bin Muhammed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Fulaih bin Sulaiman ne Abdullah bin Abi Bakr bin Muhammed bin ’Amr bin Hazm ke waaste se bayan kiya, woh Abbad bin Tameen se naql karte hain, woh Abdullah bin Zaid Radhiallahu Anhu ke waaste se bayan karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Wuzu mein aazaa ko do do baar dhoya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْوُضُوءِ ثَلاَثًا ثَلاَثًا:
Bab: Wudu mein har uzw ko teen teen baar dhona (sunnat hai).
Show diacritics
Hadith Number: 159
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله الاويسي، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، ان عطاء بن يزيد اخبره، ان حمران مولىعثمان اخبره، انه راى عثمان بن عفان دعا بإناء، فافرغ على كفيه ثلاث مرار فغسلهما، ثم ادخل يمينه في الإناء فمضمض واستنشق، ثم غسل وجهه ثلاثا ويديه إلى المرفقين ثلاث مرار، ثم مسح براسه، ثم غسل رجليه ثلاث مرار إلى الكعبين، ثم قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من توضا نحو وضوئي هذا، ثم صلى ركعتين لا يحدث فيهما نفسه غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abdul ’Aziz bin Abdullah Al-Uwaisi ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Ibrahim bin Sa’d ne bayan kiya, woh Ibn-e-Shihaab se naql karte hain, unhein ’Ata bin Yazeed ne khabar di, unhein Humran Uthman ke Maula ne khabar di ke unhon ne Uthman bin Affan Radhiallahu Anhu ko dekha, unhon ne (Humran se) paani ka bartan maanga. (Aur le kar pehle) apni hatheliyon par teen martaba paani daala phir unhein dhoya. Us ke baad apna dahna haath bartan mein daala. Aur (paani le kar) kulli ki aur naak saaf ki, phir teen baar apna chehra dhoya aur kohniyon tak teen baar dono haath dhoye phir apne sar ka masah kiya phir (paani le kar) takhnon tak teen martaba apne dono paaon dhoye. Phir kaha ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya hai ke jo shakhs meri tarah aisa Wuzu kare, phir do rakat padhe, jis mein apne nafs se koi baat na kare. To us ke guzashta gunaah mu’aaf kar diye jaate hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 160
وعن إبراهيم، قال: قال صالح بن كيسان، قال ابن شهاب: ولكن عروة يحدث، عن حمران، فلما توضا عثمان، قال: الا احدثكم حديثا لولا آية ما حدثتكموه، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول: لا يتوضا رجل فيحسن وضوءه ويصلي الصلاة، إلا غفر له ما بينه وبين الصلاة حتى يصليها. قال عروة الآية: إن الذين يكتمون ما انزلنا من البينات سورة البقرة آية 159.
Aur riwayat ki Abdul Aziz ne Ibrahim se, unhon ne Saleh bin Kaisaan se, unhon ne Ibn-e-Shihaab se, lekin Urwah Humran se riwayat karte hain ke jab Uthman Radhiallahu Anhu ne Wuzu kiya to farmaaya main tum ko ek Hadees sunaata hun, agar Quran-e-Paak ki ek Aayat (naazil) na hoti to main yeh Hadees tum ko na sunaata. Main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate the ke jab bhi koi shakhs achchi tarah Wuzu karta hai aur (khuloos ke saath) Namaz padhta hai to us ke ek Namaz se doosri Namaz ke padhne tak ke gunaah mu’aaf kar diye jaate hain. Urwah kehte hain woh Aayat yeh hai «إِنَّ الَّذِينَ يَكْتُمُونَ مَا أَنْزَلْنَا مِنَ الْبَيِّنَاتِ» (Jis ka tarjumah yeh hai ke) Jo log Allah ki us naazil ki hue hidaayat ko chupaate hain jo us ne logon ke liye apni kitaab mein bayan ki hai. Un par Allah ki la’nat hai aur (doosre) la’nat karne waalon ki la’nat hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة