الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِذَا رَأَيْتُمُ الْهِلاَلَ فَصُومُوا وَإِذَا رَأَيْتُمُوهُ فَأَفْطِرُوا» :
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad jab tum (Ramzan ka) chand dekho to roze rakho aur jab Shawwal ka chand dekho to roze rakhna chhor do.
Show diacritics
Hadith Number: 1907
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الشهر تسع وعشرون ليلة، فلا تصوموا حتى تروه، فإن غم عليكم فاكملوا العدة ثلاثين".
Hum se Abdullah Bin Muslimah ne bayan kiya, kaha hum se Malik ne un se Abdullah Bin Dinar ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya mahina kabhi untees raaton ka bhi hota hai is liye (untees poore ho jane par) jab tak chand na dekho roza na shuru karo aur agar badal ho jaye to tees din ka shumar poora kar lo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1908
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن جبلة بن سحيم، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الشهر هكذا وهكذا، وخنس الإبهام في الثالثة".
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Jabala Bin Suhaim ne bayan kiya, ke mein ne Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya mahina itne dinon aur itne dinon ka hota hai. Teesri martaba kehte hue Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne anghoothe ko daba liya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1909
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا محمد بن زياد، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم، او قال: قال ابو القاسم صلى الله عليه وسلم:" صوموا لرؤيته وافطروا لرؤيته، فإن غبي عليكم فاكملوا عدة شعبان ثلاثين".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Ziyad ne bayan kiya, kaha ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, aap ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ya yun kaha ke Abu-al-Qasim (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya chand hi dekh kar roze shuru karo aur chand hi dekh kar roza mauqoof karo aur agar badal ho jaye to tees din poore kar lo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1910
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن يحيى بن عبد الله بن صيفي، عن عكرمة بن عبد الرحمن، عن ام سلمة رضي الله عنها،" ان النبي صلى الله عليه وسلم، آلى من نسائه شهرا، فلما مضى تسعة وعشرون يوما، غدا، او راح، فقيل له: إنك حلفت ان لا تدخل شهرا، فقال: إن الشهر يكون تسعة وعشرين يوما".
Hum se Abu Asim ne bayan kiya, un se Ibn Juraij ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abdullah Bin Saifi ne, un se Ikrima Bin Abdur Rahman ne aur un se Umm-e-Salma (Radi Allahu Anha) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) apni azwaj se ek mahine tak juda rahe phir untees din poore ho gaye to subah ke waqt ya sham ke waqt Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) un ke paas tashreef le gaye is par kisi ne kaha aap ne to ahd kiya tha ke aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek mahine tak un ke yahan tashreef nahi le jayein ge to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mahina untees din ka bhi hota hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1911
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا سليمان بن بلال، عن حميد، عن انس رضي الله عنه، قال:" آلى رسول الله صلى الله عليه وسلم من نسائه، وكانت انفكت رجله، فاقام في مشربة تسعا وعشرين ليلة، ثم نزل، فقالوا: يا رسول الله، آليت شهرا؟ فقال: إن الشهر يكون تسعا وعشرين".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Suleiman Bin Bilal ne, un se Humaid ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) apni biwiyon se juda rahe thay, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paon mein moch aa gayi thi to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne balakhana mein untees din qayam kiya tha, phir wahan se utre. Logon ne arz kiya ya Rasul Allah! Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek mahine ka eela kiya tha. Jawab mein aap ne farmaya ke mahina untees din ka bhi hota hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ شَهْرَا عِيدٍ لاَ يَنْقُصَانِ:
Bab: Eid ke dono maheene kam nahi hote.
Show diacritics
Hadith Number: Q1912
قال ابو عبد الله: قال إسحاق: وإن كان ناقصا فهو تمام، وقال محمد: لا يجتمعان كلاهما ناقص.
Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha ke Ishaq Bin Rahwayh ne (is ki tashreeh mein) kaha ke agar ye kam bhi hon phir bhi (ajr ke aitbar se) tees din ka sawab milta hai Muhammad Bin Sireen (Rahimahullah) ne kaha (matlab ye hai) ke donon ek saal mein naqis (untees untees din ke) nahi ho sakte
.


Show diacritics
Hadith Number: 1912
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، قال: سمعت إسحاق بن سويد، عن عبد الرحمن بن ابي بكرة، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني مسدد، حدثنا معتمر، عن خالد الحذاء، قال: اخبرني عبد الرحمن بن ابي بكرة، عن ابيه رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" شهران لا ينقصان: شهرا عيد رمضان، وذو الحجة".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir Bin Suleiman ne bayan kiya, kaha ke mein ne Ishaq se suna, unhon ne Abdur Rahman Bin Abi Bakrah (Radi Allahu Anhu) se, unhon ne apne walid se, unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se (doosri sanad) Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha aur mujhe Musaddad ne khabar di, un se Mutamir ne bayan kiya, un se Khalid Hazza ne bayan kiya ke mujhe Abdur Rahman Bin Abi Bakrah (Radi Allahu Anhu) ne khabar di aur unhein un ke walid ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya donon mahine naqis nahi rehte. Murad Ramzan aur Dhul Hijjah ke donon mahine hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لاَ نَكْتُبُ وَلاَ نَحْسُبُ» :
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ka ye farmana ke hum log hisab kitab nahi jaante.
Show diacritics
Hadith Number: 1913
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا الاسود بن قيس، حدثنا سعيد بن عمرو، انه سمع ابن عمر رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إنا امة امية، لا نكتب ولا نحسب الشهر هكذا"، وهكذا يعني مرة تسعة وعشرين، ومرة ثلاثين.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Aswad Bin Qais ne bayan kiya, un se Saeed Bin Amr ne bayan kiya aur unhon ne Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, hum ek be parhi likhi qaum hain na likhna jante hain na hisab karna. Mahina yun hai aur yun hai. Aap ki murad ek martaba untees (dinon se) thi aur ek martaba tees se. (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne dason ungliyon se teen baar batlaya)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَتَقَدَّمَنَّ رَمَضَانَ بِصَوْمِ يَوْمٍ وَلاَ يَوْمَيْنِ:
Bab: Ramzan se ek ya do din pehle roze na rakhe jayen.
Show diacritics
Hadith Number: 1914
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يتقدمن احدكم رمضان بصوم يوم او يومين، إلا ان يكون رجل كان يصوم صومه فليصم ذلك اليوم".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kathir ne, un se Abu Salma ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tum mein se koi shakhs Ramzan se pehle (Shaban ki aakhri tareekhon mein) ek ya do din ke roze na rakhe albatta agar kisi ko in mein roze rakhne ki aadat ho to wo is din bhi roza rakh le
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ جَلَّ ذِكْرُهُ: {أُحِلَّ لَكُمْ لَيْلَةَ الصِّيَامِ الرَّفَثُ إِلَى نِسَائِكُمْ هُنَّ لِبَاسٌ لَكُمْ وَأَنْتُمْ لِبَاسٌ لَهُنَّ عَلِمَ اللَّهُ أَنَّكُمْ كُنْتُمْ تَخْتَانُونَ أَنْفُسَكُمْ فَتَابَ عَلَيْكُمْ وَعَفَا عَنْكُمْ فَالآنَ بَاشِرُوهُنَّ وَابْتَغُوا مَا كَتَبَ اللَّهُ لَكُمْ}:
Bab: Allah Azzawajal ka farmana ke halal kar diya gaya hai tumhare liye Ramzan ki raaton mein apni biwiyon se sohbat karna, woh tumhara libas hain aur tum un ka libas ho, Allah ne maloom kiya ke tum chori se aisa karte the, so maaf kar diya tum ko aur darguzar ki tum se pas ab sohbat karo un se aur dhoondo jo likh diya Allah Taala ne tumhari qismat mein (aulad se).
Show diacritics
Hadith Number: 1915
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال:" كان اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم، إذا كان الرجل صائما فحضر الإفطار فنام قبل ان يفطر، لم ياكل ليلته ولا يومه حتى يمسي"، وإن قيس بن صرمة الانصاري كان صائما، فلما حضر الإفطار اتى امراته، فقال لها: اعندك طعام؟ قالت: لا، ولكن انطلق فاطلب لك، وكان يومه يعمل فغلبته عيناه، فجاءته امراته، فلما راته، قالت: خيبة لك، فلما انتصف النهار غشي عليه، فذكر ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فنزلت هذه الآية: احل لكم ليلة الصيام الرفث إلى نسائكم سورة البقرة آية 187، ففرحوا بها فرحا شديدا، ونزلت: وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الابيض من الخيط الاسود سورة البقرة آية 187.
Hum se Ubaidullah Bin Musa ne bayan kiya, un se Israel ne, un se Abu Ishaq ne aur un se Bara (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke (shuru Islam mein) Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke Sahaba (Radi Allahu Anhum) jab roza se hote aur iftar ka waqt aata to koi roza dar agar iftar se pehle bhi so jata to phir is raat mein bhi aur aane wale din mein bhi unhein khane peene ki ijazat nahi thi ta-aan-kay phir sham ho jati, phir aisa hua ke Qais Bin Sarma Ansari (Radi Allahu Anhu) bhi roze se thay jab iftar ka waqt hua to wo apni biwi ke paas aaye aur un se poocha kya tumhare paas kuch khana hai ? Unhon ne kaha (is waqt kuch) nahi hai lekin mein jati hoon kahin se laoongi, din bhar unhon ne kaam kiya tha is liye aankh lag gayi jab biwi wapas hueein aur unhein (sote hue) dekha to farmaya afsos tum mahroom hi rahe, lekin doosre din wo dopahar ko behosh ho gaye jab is ka zikr Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kiya gaya to ye ayat nazil hui ”halal kar diya gaya tumhare liye Ramzan ki raaton mein apni biwiyon se suhbat karna“ is par Sahaba (Radi Allahu Anhum) bahut khush hue aur ye ayat nazil hui ”khao piyo yahan tak ke mumtaz ho jaye tumhare liye subah ki safaid dhari (subah sadiq) siyah dhari (subah kazib) se.“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة