الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ هَلْ يُقَالُ رَمَضَانُ أَوْ شَهْرُ رَمَضَانَ وَمَنْ رَأَى كُلَّهُ وَاسِعًا:
Bab: Ramzan kaha jaye ya Maah Ramzan? Aur jin ke nazdeek dono lafzon ki gunjaish hai.
Hadith Number: 1899
حدثني يحيى بن بكير، قال: حدثني الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني ابن ابي انس مولى التيميين ان اباه حدثه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا دخل شهر رمضان، فتحت ابواب السماء، وغلقت ابواب جهنم، وسلسلت الشياطين".
Mujh se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke mujh se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne un se Ibn Shihab Zuhri ne bayan kiya ke mujhe Bano Tamim ke maula Abu Suhail Bin Abi Anas ne khabar di, un se un ke walid ne bayan kiya, aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko kehte suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jab Ramzan ka mahina aata hai to aasman ke tamam darwaze khol diye jate hain, jahannum ke darwaze band kar diye jate hain aur shayateen ko zanjeeron se jakar diya jata hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1900
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثني الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني سالم بن عبد الله بن عمر، ان ابن عمر رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا رايتموه فصوموا، وإذا رايتموه فافطروا، فإن غم عليكم فاقدروا له"، وقال غيره، عن الليث، حدثني عقيل ويونس لهلال رمضان.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Salim ne khabar di ke Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne kaha mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jab Ramzan ka chand dekho to roza shuru kar do aur jab Shawwal ka chand dekho to roza iftar kar do aur agar abr ho to andaze se kaam karo. (Yani tees roze poore kar lo) aur baaz ne Laith se bayan kiya ke mujh se Aqeel aur Yunus ne bayan kiya ke ”Ramzan ka chand“ murad hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ صَامَ رَمَضَانَ إِيمَانًا وَاحْتِسَابًا وَنِيَّةً:
Bab: Jo shakhs Ramzan ke roze iman ke sath sawab ki niyat kar ke rakhe is ka sawab.
Hadith Number: Q1901
وقالت عائشة رضي الله عنها: عن النبي صلى الله عليه وسلم يبعثون على نياتهم.
Aur Aisha (Radi Allahu Anha) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal kiya ke logon ko qayamat mein un ki niyaton ke mutabiq uthaya jaye ga
.
.
Hadith Number: 1901
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام، حدثنا يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من قام ليلة القدر إيمانا واحتسابا، غفر له ما تقدم من ذنبه، ومن صام رمضان إيمانا واحتسابا، غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Hisham Dastuwai ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kathir ne bayan kiya, un se Abu Salma ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo koi Shab-e-Qadr mein iman ke sath aur husool-e-sawab ki niyat se ibadat mein khara ho is ke tamam agle gunah bakhsh diye jayein ge aur jis ne Ramzan ke roze iman ke sath aur sawab ki niyat se rakkhe is ke agle tamam gunah maaf kar diye jayein ge
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَجْوَدُ مَا كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَكُونُ فِي رَمَضَانَ:
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzan mein sab se zyada sakhaawat kiya karte the.
Hadith Number: 1902
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا إبراهيم بن سعد، اخبرنا ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان ابن عباس رضي الله عنه، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم اجود الناس بالخير، وكان اجود ما يكون في رمضان حين يلقاه جبريل، وكان جبريل عليه السلام يلقاه كل ليلة في رمضان، حتى ينسلخ يعرض عليه النبي صلى الله عليه وسلم القرآن، فإذا لقيه جبريل عليه السلام، كان اجود بالخير من الريح المرسلة".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, unhein Ibn Shihab ne khabar di, unhein Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba ne ke Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) sakhawat aur khair ke mamle mein sab se zyada sakhi thay aur aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sakhawat is waqt aur zyada barh jati thi jab Jibrail (Alaihis Salam) aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Ramzan mein milte, Jibrail (Alaihis Salam) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Ramzan Shareef ki har raat mein milte yahan tak ke Ramzan guzar jata. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Jibrail (Alaihis Salam) se Quran ka daur karte thay, jab Jibrail (Alaihis Salam) aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se milne lagte to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) chalti hawa se bhi zyada bhalayi pohanchane mein sakhi ho jaya karte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يَدَعْ قَوْلَ الزُّورِ وَالْعَمَلَ بِهِ فِي الصَّوْمِ:
Bab: Jo shakhs Ramzan mein jhoot bolna aur dagha baazi karna na chhore.
Hadith Number: 1903
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من لم يدع قول الزور والعمل به، فليس لله حاجة في ان يدع طعامه وشرابه".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi-al-Zib ne bayan kiya, un se Saeed Maqbari ne, un se un ke walid Kaisan ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, agar koi shakhs jhoot bolna aur dagha baazi karna (roze rakh kar bhi) na chore to Allah Ta'ala ko is ki koi zaroorat nahi ke wo apna khana peena chor de
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يَقُولُ إِنِّي صَائِمٌ. إِذَا شُتِمَ:
Bab: Koi roza dar ko agar gali de to ise ye kehna chahiye ke mein roza se hoon?
Hadith Number: 1904
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، عن ابن جريج، قال: اخبرني عطاء، عن ابي صالح الزيات، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: قال الله:" كل عمل ابن آدم له، إلا الصيام فإنه لي، وانا اجزي به، والصيام جنة، وإذا كان يوم صوم احدكم فلا يرفث ولا يصخب، فإن سابه احد او قاتله، فليقل: إني امرؤ صائم، والذي نفس محمد بيده، لخلوف فم الصائم اطيب عند الله من ريح المسك، للصائم فرحتان يفرحهما: إذا افطر فرح، وإذا لقي ربه فرح بصومه".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum ko Hisham Bin Yusuf ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne kaha ke mujhe Ata ne khabar di, unhein Abu Salih (jo roghan-e-zaitoon aur ghee bechte thay) ne unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Allah Paak farmata hai ke insan ka har naik amal khud isi ke liye hai magar roza ke wo khas mere liye hai aur mein hi is ka badla doon ga aur roza gunahon ki ek dhaal hai, agar koi roze se ho to usay fuhsh goi na karni chahiye aur na shor machaye, agar koi shakhs is ko gaali de ya larna chahe to is ka jawab sirf ye ho ke mein ek roza dar aadmi hoon, is zaat ki qasam jis ke hath mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jaan hai! roza dar ke munh ki boo Allah Ta'ala ke nazdeek mushk ki khushboo se bhi zyada behtar hai, roza dar ko do khushiyan hasil hon gi (ek to jab) wo iftar karta hai to khush hota hai aur (doosre) jab wo apne Rabb se mulaqat kare ga to apne roze ka sawab pa kar khush ho ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّوْمِ لِمَنْ خَافَ عَلَى نَفْسِهِ الْعُزُوبَةَ:
Bab: Jo kunwara ho aur zina se dare to woh roza rakhe.
Hadith Number: 1905
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، قال: بينا انا امشي مع عبد الله رضي الله عنه، فقال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" من استطاع الباءة فليتزوج، فإنه اغض للبصر واحصن للفرج، ومن لم يستطع فعليه بالصوم، فإنه له وجاء".
Hum se Abdan ne bayan kiya, un se Abu Hamza ne, un se Amash ne, un se Ibrahim ne un se Alqama ne bayan kiya ke mein Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ke sath ja raha tha. Aap ne kaha ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath thay to aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya agar koi sahab-e-taqat ho to usay nikah kar lena chahiye kyunke nazar ko neechi rakhne aur sharmgah ko bad-fayli se mehfooz rakhne ka ye zariya hai aur kisi mein nikah karne ki taqat na ho to usay roze rakhne chahiyein kyunke wo is ki shahwat ko khatam kar deta hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «إِذَا رَأَيْتُمُ الْهِلاَلَ فَصُومُوا وَإِذَا رَأَيْتُمُوهُ فَأَفْطِرُوا» :
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad jab tum (Ramzan ka) chand dekho to roze rakho aur jab Shawwal ka chand dekho to roze rakhna chhor do.
Hadith Number: Q1906
وقال صلة: عن عمار من صام يوم الشك فقد عصى ابا القاسم صلى الله عليه وسلم.
Aur Sila ne Ammar (Radi Allahu Anhu) se bayan kiya ke jis ne shakk ke din roza rakkha to is ne Abu-al-Qasim (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki na-farmani ki
.
.
Hadith Number: 1906
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم ذكر رمضان، فقال:" لا تصوموا حتى تروا الهلال، ولا تفطروا حتى تروه، فإن غم عليكم فاقدروا له".
Hum se Abdullah Bin Muslimah Qanabi ne bayan kiya, un se Imam Malik ne, un se Nafi ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Ramzan ka zikr kiya to farmaya ke jab tak chand na dekho roza shuru na karo, isi tarah jab tak chand na dekh lo roza mauqoof na karo aur agar badal cha jaye to tees din poore kar lo
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة