الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ كَيْفَ كَانَ صَلاَةُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَكَمْ كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي مِنَ اللَّيْلِ:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ki raat ki namaz ki kya kaifiyat thi? aur Rasoolullah ﷺ raat ki namaz mein kitni rak’aten parha karte the?
Show diacritics
Hadith Number: 1137
حدثنا ابو اليمان , قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري , قال: اخبرني سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , قال: إن رجلا قال:" يا رسول الله كيف صلاة الليل؟ قال: مثنى مثنى، فإذا خفت الصبح فاوتر بواحدة".
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , kaha ke humein Shuayb ne Zuhri se khabar di , kaha ke mujhe Salim bin Abdullah ne khabar di ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne farmaya ek shakhs ne daryaft kiya ya Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam! Raat ki namaaz kis tarah parhi jaye ? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya do , do rakat aur jab tulu subah hone ka andesha ho to ek rakat witr parh kar apni saari namaaz ko taaq bana le .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1138
حدثنا مسدد , قال: حدثنا يحيى، عن شعبة , قال: حدثني ابو جمرة، عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" كانت صلاة النبي صلى الله عليه وسلم ثلاث عشرة ركعة يعني بالليل".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Shubah ne kaha ke mujh se Abu Hamzah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki raat ki namaaz terah rakat hoti thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1139
حدثنا إسحاق , قال: حدثنا عبيد الله , قال: اخبرنا إسرائيل، عن ابي حصين، عن يحيى بن وثاب، عن مسروق , قال: سالت عائشة رضي الله عنها عن صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم بالليل، فقالت:" سبع وتسع وإحدى عشرة سوى ركعتي الفجر".
Hum se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya , kaha ke hum se Ubaydullah bin Musa ne byaan kiya , kaha ke humein Israeel ne khabar di , unhein Abu Husayn Uthman bin Asim ne , unhein Yahya bin Wathab ne , unhein Masrooq bin Ajda ne , Aap ne kaha ke mein ne Aisha Siddiqa razi Allahu anha se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki raat ki namaaz ke mutaliq poocha to Aap ne farmaya ke Aap salla Allahu alaihi wasallam saat , nau aur gyarah tak rakatain parhte thay . Fajr ki sunnat is ke siwa hoti .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1140
حدثنا عبيد الله بن موسى , قال: اخبرنا حنظلة، عن القاسم بن محمد، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي من الليل ثلاث عشرة ركعة، منها الوتر وركعتا الفجر".
Hum se Ubaydullah bin Musa ne byaan kiya , kaha ke humein Hanzalah bin Abi Sufyan ne khabar di , unhein Qasim bin Muhammad ne aur unhein Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne , Aap ne batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam raat ko terah rakatain parhte thay . Witr aur Fajr ki do sunnat rakatain isi mein hotain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قِيَامِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِاللَّيْلِ وَنَوْمِهِ وَمَا نُسِخَ مِنْ قِيَامِ اللَّيْلِ:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka raat ko qiyam karne aur sone ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q1141
وقوله تعالى: يايها المزمل {1} قم الليل إلا قليلا {2} نصفه او انقص منه قليلا {3} او زد عليه ورتل القرءان ترتيلا {4} إنا سنلقي عليك قولا ثقيلا {5} إن ناشئة الليل هي اشد وطا واقوم قيلا {6} إن لك في النهار سبحا طويلا {7} سورة المزمل آية 1-7 وقوله: علم ان لن تحصوه فتاب عليكم فاقرءوا ما تيسر من القرءان علم ان سيكون منكم مرضى وآخرون يضربون في الارض يبتغون من فضل الله وآخرون يقاتلون في سبيل الله فاقرءوا ما تيسر منه واقيموا الصلاة وآتوا الزكاة واقرضوا الله قرضا حسنا وما تقدموا لانفسكم من خير تجدوه عند الله هو خيرا واعظم اجرا سورة المزمل آية 20 , قال ابو عبد الله: قال ابن عباس رضي الله عنهما نشا قام بالحبشية وطاء , قال: مواطاة القرآن اشد موافقة لسمعه وبصره وقلبه ليواطئوا ليوافقوا.
Aur Allah Ta'ala ne isi baab mein (Surah Muzzammil mein) farmaya ae kapra lapaitne wale! Raat ko (namaaz mein) khara reh aadhi raat ya is se kuch kam «subhan taweela» tak . Aur farmaya ke Allah Paak jaanta hai ke tum raat ki itni ibadat ko nibah na sako ge to tum ko maaf kar diya . «wastaghfirullah innallaha ghafoorur raheem» tak . Aur Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne kaha Quran mein jo lafz «nashiatal layl» hai to «nashaa» ke maani Habshi zaban mein khara hua aur «witaa» ke maani muwafiq hona yani raat ka Quran kaan aur aankh aur dil ko mila kar parha jata hai .


Show diacritics
Hadith Number: 1141
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله , قال: حدثني محمد بن جعفر، عن حميد، انه سمع انسا رضي الله عنه يقول:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يفطر من الشهر حتى نظن ان لا يصوم منه، ويصوم حتى نظن ان لا يفطر منه شيئا، وكان لا تشاء ان تراه من الليل مصليا إلا رايته، ولا نائما إلا رايته" تابعه سليمان، وابو خالد الاحمر، عن حميد.
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Humayd Taweel ne , unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna , woh kehte thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kisi maheena mein roza na rakhte to aisa maloom hota ke ab Aap salla Allahu alaihi wasallam is maheena mein roza hi nahin rakhein ge aur agar kisi maheena mein roza rakhna shuru karte to khayal hota ke ab Aap salla Allahu alaihi wasallam ka is maheena ka ek din bhi baghair roza ke nahin reh jaye ga aur raat ko namaaz to aisi parhte thay ke tum jab chahte Aap ko namaaz parhte dekh lete aur jab chahte sota dekh lete . Muhammad bin Jafar ke saath is hadees ko Sulayman aur Abu Khalid ne bhi Humayd se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ عَقْدِ الشَّيْطَانِ عَلَى قَافِيَةِ الرَّأْسِ إِذَا لَمْ يُصَلِّ بِاللَّيْلِ:
Bab: Jab aadmi raat ko namaz na parhe to shaytan ka gaddi par girah lagana.
Show diacritics
Hadith Number: 1142
حدثنا عبد الله بن يوسف , قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" يعقد الشيطان على قافية راس احدكم، إذا هو نام ثلاث عقد يضرب كل عقدة عليك ليل طويل فارقد، فإن استيقظ فذكر الله انحلت عقدة، فإن توضا انحلت عقدة، فإن صلى انحلت عقدة، فاصبح نشيطا طيب النفس وإلا اصبح خبيث النفس كسلان".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , kaha ke humein Imam Malik rahimahullah ne khabar di , unhein Abuz Zanad ne , unhein Aaraj ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Akram salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Shaytan aadmi ke sar ke peeche raat mein sote waqt teen girhein laga deta hai aur har girah par yeh afsoon phoonk deta hai ke so ja abhi raat bohat baqi hai phir agar koi bedaar ho kar Allah ki yaad karne laga to ek girah khul jati hai phir jab wuzu karta hai to doosri girah khul jati hai . Phir agar namaaz (farz ya nafl) parhe to teesri girah bhi khul jati hai . Is tarah subah ke waqt aadmi chaaq o chauband khush mizaj rehta hai . Warna sust aur bad-batin rehta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1143
حدثنا مؤمل بن هشام , قال: حدثنا إسماعيل , قال: حدثنا عوف , قال: حدثنا ابو رجاء , قال: حدثنا سمرة بن جندب رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم في الرؤيا , قال:" اما الذي يثلغ راسه بالحجر، فإنه ياخذ القرآن فيرفضه وينام عن الصلاة المكتوبة".
Hum se Mumal bin Hisham ne byaan kiya , kaha ke hum se Ismail bin Ulayyah ne byaan kiya , kaha ke hum se Awf Aarabi ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Rajaa ne byaan kiya , kaha ke hum se Samurah bin Jundub razi Allahu anhu ne byaan kiya un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khwab byaan karte huay farmaya ke jis ka sar patthar se kuchla ja raha tha woh Quran ka hafiz tha magar woh Quran se ghafil ho gaya aur farz namaaz parhe baghair so jaya karta tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا نَامَ وَلَمْ يُصَلِّ بَالَ الشَّيْطَانُ فِي أُذُنِهِ:
Bab: Jo shakhs sota rahe aur (subah ki) namaz na parhe, maloom hua ke shaytan ne us ke kaanon mein peshab kar diya hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1144
حدثنا مسدد , قال: حدثنا ابو الاحوص , قال: حدثنا منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه , قال:" ذكر عند النبي صلى الله عليه وسلم رجل فقيل: ما زال نائما حتى اصبح ما قام إلى الصلاة، فقال: بال الشيطان في اذنه".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Abul Ahwas Salam bin Sulaym ne byaan kiya , kaha ke hum se Mansoor bin Mutamir ne Abu Wail se byaan kiya aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saamne ek shakhs ka zikr aaya ke woh subah tak para sota raha aur farz namaaz ke liye bhi nahin utha . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Shaytan ne is ke kaan mein peshab kar diya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الدُّعَاءِ وَالصَّلاَةِ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ:
Bab: Aakhir raat mein dua aur namaz ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q1145
وقال الله عز وجل: كانوا قليلا من الليل ما يهجعون سورة الذاريات آية 17 اي ما ينامون وبالاسحار هم يستغفرون.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah az-Zariyat mein) farmaya ke raat mein woh bohat kam sote aur sahar ke waqt istighfar karte thay . «hujoo» ke maani sona .