الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ التَّطَوُّعِ بَعْدَ الْمَكْتُوبَةِ:
Bab: Farzon ke baad sunnat ka bayan.
Hadith Number: 1173
وحدثتني اختي حفصة ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي سجدتين خفيفتين بعد ما يطلع الفجر، وكانت ساعة لا ادخل على النبي صلى الله عليه وسلم فيها. تابعه كثير بن فرقد وايوب عن نافع. وقال ابن ابي الزناد عن موسى بن عقبة عن نافع بعد العشاء في اهله.
Un se (Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke) meri behen Hafsa razi Allahu anha ne mujh se byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Fajr hone ke baad do halki rakatain (sunnat Fajr) parhte aur yeh aisa waqt hota ke mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas nahin jaati thi . Ubaydullah ke saath is hadees ko Kaseer bin Farqad aur Ayub ne bhi Nafi se riwayat kiya aur Ibn Abi al-Zanad ne is hadees ko Musa bin Uqbah se , unhon ne Nafi se riwayat kiya . Is mein «fi baytihi» ke badal «fi ahlihi» hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يَتَطَوَّعْ بَعْدَ الْمَكْتُوبَةِ:
Bab: Is ke bare mein jis ne farz ke baad sunnat namaz nahi parhi.
Hadith Number: 1174
حدثنا علي بن عبد الله , قال: حدثنا سفيان، عن عمرو , قال: سمعت ابا الشعثاء جابرا , قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ثمانيا جميعا وسبعا جميعا , قلت: يا ابا الشعثاء اظنه اخر الظهر وعجل العصر وعجل العشاء واخر المغرب، قال: وانا اظنه".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan bin Uyaynah ne Amr bin Dinar se byaan kiya , unhon ne kaha ke mein ne Abul Shatha Jabir bin Abdullah se suna , unhon ne byaan kiya ke mein ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne kaha ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath aath rakat ek saath (Zohar aur Asar) aur saat rakat ek saath (Maghrib aur Isha mila kar) parhein . (beech mein sunnat waghaira kuch nahin) Abul Shatha se mein ne kaha mera khayal hai ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Zohar aakhir waqt mein aur Asar awwal waqt mein parhi ho gi . Isi tarah Maghrib aakhir waqt mein parhi ho gi aur Isha awwal waqt mein . Abul Shatha ne kaha ke mera bhi yehi khayal hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَلاَةِ الضُّحَى فِي السَّفَرِ:
Bab: Safar mein chasht ki namaz parhna.
Hadith Number: 1175
حدثنا مسدد , قال: حدثنا يحيى، عن شعبة، عن توبة، عن مورق , قال:" قلت لابن عمر رضي الله عنهما: اتصلي الضحى؟ , قال: لا، قلت: فعمر؟ , قال: لا، قلت: فابو بكر؟ , قال: لا، قلت: فالنبي صلى الله عليه وسلم؟ , قال: لا إخاله".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Shubah bin Hajjaj ne , un se Tauba bin Kaysan ne , un se Mauriq bin Mushmiraj ne , unhon ne byaan kiya ke mein ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se poocha ke kya Aap chasht ki namaaz parhte hain ? Unhon ne farmaya ke nahin . Main ne poocha aur Umar parhte thay ? Aap ne farmaya ke nahin . Main ne poocha aur Abu Bakr razi Allahu anhu ? Farmaya nahin . Main ne poocha aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ? Farmaya nahin . Mera khayal yehi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1176
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عمرو بن مرة , قال: سمعت عبد الرحمن بن ابي ليلى , يقول:" ما حدثنا احد، انه راى النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الضحى غير ام هانئ، فإنها قالت: إن النبي صلى الله عليه وسلم دخل بيتها يوم فتح مكة فاغتسل وصلى ثماني ركعات، فلم ار صلاة قط اخف منها غير انه يتم الركوع والسجود".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , kaha ke hum se Amr bin Murrah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mein ne Abdur Rahman bin Abi Layla se suna , woh kehte thay ke mujh se Umm Hani razi Allahu anha ke siwa kisi (sahabi) ne yeh nahin byaan kiya ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko chasht ki namaaz parhte dekha hai . Sirf Umm Hani razi Allahu anha ne farmaya ke Fatah Makkah ke din Aap salla Allahu alaihi wasallam un ke ghar tashreef laaye , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ghusl kiya aur phir aath rakat (chasht ki) namaaz parhi . To mein ne aisi halki phulki namaaz kabhi nahin dekhi . Albatta Aap salla Allahu alaihi wasallam ruku aur sajda poori tarah ada karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ لَمْ يُصَلِّ الضُّحَى وَرَآهُ وَاسِعًا:
Bab: Chasht ki namaz parhna aur us ko zaroori na jaanna.
Hadith Number: 1177
حدثنا آدم , قال: حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" ما رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم سبح سبحة الضحى وإني لاسبحها".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibn Abi Zi'b ne byaan kiya , un se Zuhri ne byaan kiya , un se Urwah bin Zubayr ne , un se Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne ke mein ne to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko chasht ki namaaz parhte nahin dekha magar main khud parhti hoon .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صَلاَةِ الضُّحَى فِي الْحَضَرِ:
Bab: Chasht ki namaz apne shehr mein parhe.
Hadith Number: Q1178
قاله: عتبان بن مالك عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Yeh Utban bin Malik ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se naqal kiya hai .
Hadith Number: 1178
حدثنا مسلم بن إبراهيم، اخبرنا شعبة، حدثنا عباس الجريري هو ابن فروخ، عن ابي عثمان النهدي، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال:" اوصاني خليلي بثلاث لا ادعهن حتى اموت، صوم ثلاثة ايام من كل شهر، وصلاة الضحى، ونوم على وتر".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha humein Shubah ne khabar di , unhon ne kaha hum se Abbas Jurayri ne jo Farookh ke bete thay byaan kiya , un se Abu Usman Nahdi ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne farmaya ke mujhe mere jaani dost (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam) ne teen cheezon ki wasiyat ki hai ke maut se pehle un ko na chhoroon . Har maheena mein teen din roze . Chasht ki namaaz aur witr parh kar sona .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1179
حدثنا علي بن الجعد، اخبرنا شعبة، عن انس بن سيرين , قال: سمعت انس بن مالك الانصاري , قال:" قال رجل من الانصار وكان ضخما للنبي صلى الله عليه وسلم: إني لا استطيع الصلاة معك؟ فصنع للنبي صلى الله عليه وسلم طعاما فدعاه إلى بيته، ونضح له طرف حصير بماء فصلى عليه ركعتين , وقال: فلان بن فلان بن جارود، لانس رضي الله عنه، اكان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الضحى؟ , فقال: ما رايته صلى غير ذلك اليوم".
Hum se Ali bin Jad ne byaan kiya ke hum ko Shubah ne khabar di , un se Anas bin Sirin ne byaan kiya ke mein ne Anas bin Malik Ansari razi Allahu anhu se suna ke Ansar mein se ek shakhs (Utban bin Malik) ne jo bohat mote aadmi thay , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya ke mein Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath namaaz parhne ki taqat nahin rakhta (mujh ko ghar par namaaz parhne ki ijazat dijiye to) unhon ne apne ghar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye khana pakwaya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ko apne ghar bulaya aur ek chatayi ke kinare ko Aap salla Allahu alaihi wasallam ke liye paani se saaf kiya , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne us par do rakat namaaz parhi . Aur falan bin falan bin Jarood ne Anas razi Allahu anhu se poocha ke kya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam chasht ki namaaz parha karte thay ? To Aap ne farmaya ke mein ne is roz ke siwa Aap salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi yeh namaaz parhte nahin dekha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الرَّكْعَتَيْنِ قَبْلَ الظُّهْرِ:
Bab: Zuhr se pehle do rak’at sunnat parhna.
Hadith Number: 1180
حدثنا سليمان بن حرب , قال: حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال:" حفظت من النبي صلى الله عليه وسلم عشر ركعات ركعتين قبل الظهر وركعتين بعدها وركعتين بعد المغرب في بيته وركعتين بعد العشاء في بيته وركعتين قبل صلاة الصبح، وكانت ساعة لا يدخل على النبي صلى الله عليه وسلم فيها.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya , un se Nafi ne , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se das rakat sunnatein yaad hain . Do rakat sunnat Zohar se pehle , do rakat sunnat Zohar ke baad , do rakat sunnat Maghrib ke baad apne ghar mein , do rakat sunnat Isha ke baad apne ghar mein aur do rakat sunnat subah ki namaaz se pehle aur yeh woh waqt hota tha jab Aap salla Allahu alaihi wasallam ke paas koi nahin jata tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1181
حدثتني حفصة، انه كان إذا اذن المؤذن وطلع الفجر صلى ركعتين".
Mujh ko Umm al-Mumineen Hafsa razi Allahu anha ne batlaya ke muazzin jab azaan deta aur Fajr ho jaati to Aap salla Allahu alaihi wasallam do rakatain parhte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة