الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي التَّطَوُّعِ مَثْنَى مَثْنَى:
Bab: Nafl namazen do do rak’aten kar ke parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 1163
حدثنا المكي بن إبراهيم، عن عبد الله بن سعيد، عن عامر بن عبد الله بن الزبير، عن عمرو بن سليم الزرقي، سمع ابا قتادة بن ربعي الانصاري رضي الله عنه , قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا دخل احدكم المسجد فلا يجلس حتى يصلي ركعتين".
Hum se Makki bin Ibrahim ne byaan kiya , un se Abdullah bin Saeed ne , un se Aamir bin Abdullah bin Zubayr ne byaan kiya , unhon ne Amr bin Sulaym Zarqi se , unhon ne Abu Qatadah bin Rabee Ansari sahabi razi Allahu anhu se , unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab koi tum mein se masjid mein aaye to na baithe jab tak do rakat (Tahiyatul Masjid ki) na parh le .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1164
حدثنا عبد الله بن يوسف , قال: اخبرنا مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك رضي الله عنه , قال:"صلى لنا رسول الله صلى الله عليه وسلم ركعتين، ثم انصرف".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , kaha ke humein Imam Malik ne khabar di , unhein Ishaq bin Abdullah bin Abi Talhah ne aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke humein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (hamare ghar mein jab dawat mein aaye thay) do rakat namaaz parhayi aur phir wapas tashreef le gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1165
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب , قال: اخبرني سالم، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما , قال:"صليت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ركعتين قبل الظهر وركعتين بعد الظهر وركعتين بعد الجمعة وركعتين بعد المغرب وركعتين بعد العشاء".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Layth ne Aqeel se byaan kiya , Aqeel se Ibn Shihab ne , unhon ne kaha ke mujhe Salim ne khabar di aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne , Aap ne batlaya ke mein ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Zohar se pehle do rakat sunnat parhi aur Zohar ke baad do rakat aur Juma ke baad do rakat aur Maghrib ke baad do rakat aur Isha ke baad bhi do rakat (namaaz sunnat) parhi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1166
حدثنا آدم , قال: اخبرنا شعبة، اخبرنا عمرو بن دينار , قال: سمعت جابر بن عبد الله رضي الله عنهما , قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو يخطب:" إذا جاء احدكم والإمام يخطب او قد خرج فليصل ركعتين".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha ke humein Shubah ne khabar di , unhein Amr bin Dinar ne khabar di , kaha ke mein ne Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma se suna ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Juma ka khutbah dete huay farmaya ke jo shakhs bhi (masjid mein) aaye aur Imam khutbah de raha ho ya khutbah ke liye nikal chuka ho to woh do rakat namaaz (Tahiyatul Masjid ki) parh le .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1167
حدثنا ابو نعيم , قال: حدثنا سيف بن سليمان المكي، سمعت مجاهدا يقول: اتي ابن عمر رضي الله عنهما في منزله فقيل له: هذا رسول الله صلى الله عليه وسلم قد دخل الكعبة، قال:" فاقبلت فاجد رسول الله صلى الله عليه وسلم قد خرج واجد بلالا عند الباب قائما، فقلت: يابلال صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم في الكعبة؟ قال: نعم، قلت: فاين؟ قال: بين هاتين الاسطوانتين، ثم خرج فصلى ركعتين في وجه الكعبة" , قال ابو عبد الله: قال ابو هريرة رضي الله عنه: اوصاني النبي صلى الله عليه وسلم بركعتي الضحى، وقال عتبان: غدا علي رسول الله صلى الله عليه وسلم وابو بكر رضي الله عنه بعد ما امتد النهار وصففنا وراءه فركع ركعتين.
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha ke hum se Sayf bin Sulayman ne byaan kiya ke mein ne Mujahid se suna , unhon ne farmaya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma (Makkah Sharif mein) apne ghar aaye . Kisi ne kaha baithe kya ho Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam yeh aa gaye balkay Kaba ke andar bhi tashreef le ja chukay hain . Abdullah ne kaha yeh sun kar mein aaya . Dekha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Kaba se bahar nikal chukay hain aur Bilal razi Allahu anhu darwaze par kharay hain . Main ne un se poocha ke ae Bilal! Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Kaba mein namaaz parhi ? Unhon ne kaha ke han parhi thi . Main ne poocha ke kahan parhi thi ? Unhon ne bataya ke yahan in do sutoonon ke darmiyan . Phir Aap bahar tashreef laaye aur do rakatain Kaba ke darwaze ke saamne parhein aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke mujhe Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne chasht ki do rakaton ki wasiyat ki thi aur Utban ne farmaya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma subah din charhay mere ghar tashreef laaye . Hum ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ke peeche saff bana li aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do rakat namaaz parhayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَدِيثِ، يَعْنِي بَعْدَ رَكْعَتَيِ الْفَجْرِ:
Bab: Fajr ki sunnaton ke baad baatein karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1168
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: ابو النضر حدثني، عن ابي سلمة، عن عائشة رضي الله عنها،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي ركعتين فإن كنت مستيقظة حدثني، وإلا اضطجع"، قلت لسفيان: فإن بعضهم يرويه ركعتي الفجر، قال سفيان: هو ذاك.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , un se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Abun Nadar Salim ne byaan kiya ke mujh se mere baap Abu Umayyah ne byaan kiya , un se Abu Salamah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab do rakat (Fajr ki sunnat) parh chukte to is waqt agar mein jaagti hoti to Aap salla Allahu alaihi wasallam mujh se baatein karte warna lait jaate . Main ne Sufyan se kaha ke baaz raavi Fajr ki do rakatain ise batate hain to unhon ne farmaya ke han yeh wahi hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَعَاهُدِ رَكْعَتَيِ الْفَجْرِ وَمَنْ سَمَّاهُمَا تَطَوُّعًا:
Bab: Fajr ki sunnat ki do rak’aten hamesha lazim kar lena aur un ke sunnat hone ki daleel.
Show diacritics
Hadith Number: 1169
حدثنا بيان بن عمرو، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا ابن جريج، عن عطاء، عن عبيد بن عمير، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" لم يكن النبي صلى الله عليه وسلم على شيء من النوافل اشد منه تعاهدا على ركعتي الفجر".
Hum se Bayan bin Amr ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Ibn Jurayj ne byaan kiya , un se Ata ne byaan kiya , un se Ubayd bin Umair ne , un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kisi nafl namaaz ki Fajr ki do rakaton se zyada pabandi nahin karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُقْرَأُ فِي رَكْعَتَيِ الْفَجْرِ:
Bab: Fajr ki sunnaton mein qira’at kaisi kare?
Show diacritics
Hadith Number: 1170
حدثنا عبد الله بن يوسف , قال: اخبرنا مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي بالليل ثلاث عشرة ركعة، ثم يصلي إذا سمع النداء بالصبح ركعتين خفيفتين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke humein Imam Malik rahimahullah ne khabar di , unhein Hisham bin Urwah ne , unhein un ke baap (Urwah bin Zubayr) ne aur unhein Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam raat mein terah rakatain parhte thay . Phir jab subah ki azaan sunte to do halki rakatain (sunnat Fajr) parh lete .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1171
حدثنا محمد بن بشار , قال: حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن محمد بن عبد الرحمن، عن عمته عمرة، عن عائشة رضي الله عنها , قالت: كان النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا يحيى هو ابن سعيد، عن محمد بن عبد الرحمن، عن عمرة، عن عائشة رضي الله عنها , قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يخفف الركعتين اللتين قبل صلاة الصبح، حتى إني لاقول هل قرا بام الكتاب".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya , un se Muhammad bin Abdur Rahman ne , un se un ki phoopi Umrah bint Abdur Rahman ne aur un se Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam (doosri sanad) aur hum se Ahmad bin Yunus ne byaan kiya , kaha ke hum se Zuhayr ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Ansari ne byaan kiya , un se Muhammad bin Abdur Rahman ne , un se Umrah bint Abdur Rahman ne aur un se Aisha Siddiqa razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam subah ki (farz) namaaz se pehle ki do (sunnat) rakaton ko bohat mukhtasar rakhte thay . Aap ne un mein Surah Fatiha bhi parhi ya nahin main yeh bhi nahin keh sakti .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ التَّطَوُّعِ بَعْدَ الْمَكْتُوبَةِ:
Bab: Farzon ke baad sunnat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 1172
حدثنا مسدد , قال: حدثنا يحيى بن سعيد، عن عبيد الله , قال: اخبرنا نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما , قال:" صليت مع النبي صلى الله عليه وسلم سجدتين قبل الظهر وسجدتين بعد الظهر وسجدتين بعد المغرب وسجدتين بعد العشاء وسجدتين بعد الجمعة، فاما المغرب والعشاء ففي بيته"، وقال ابن ابي الزناد، عن موسى بن عقبة، عن نافع بعد العشاء في اهله، تابعه كثير بن فرقد، وايوب، عن نافع.
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Ubaydullah Umari ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Nafi ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se khabar di , unhon ne kaha ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Zohar se pehle do rakat sunnat , Zohar ke baad do rakat sunnat , Maghrib ke baad do rakat sunnat , Isha ke baad do rakat sunnat aur Juma ke baad do rakat sunnat parhi hain aur Maghrib aur Isha ki sunnatein Aap ghar mein parhte thay . Abuz Zanad ne Musa bin Uqbah ke wasta se byaan kiya aur un se Nafi ne ke Isha ke baad apne ghar mein (sunnat parhte thay) un ki riwayat ki mutaba'at Kaseer bin Farqad aur Ayub ne Nafi ke wasta se ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة