الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ تَفَاضُلِ أَهْلِ الإِيمَانِ فِي الأَعْمَالِ:
Bab: Imaan walon ka amal mein ek doosre se barh jana (ayn mumkin hai).
Show diacritics
Hadith Number: 23
حدثنا محمد بن عبيد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، عن ابي امامة بن سهل، انه سمع ابا سعيد الخدري، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بينا انا نائم رايت الناس يعرضون علي، وعليهم قمص منها ما يبلغ الثدي ومنها ما دون ذلك، وعرض علي عمر بن الخطاب وعليه قميص يجره، قالوا: فما اولت ذلك يا رسول الله، قال: الدين".
Hum se Muhammed bin Ubaidullah ne yeh Hadees bayan ki, un se Ibrahim bin Sa’d ne, woh Saleh se riwayat karte hain, woh Ibn-e-Shihaab se, woh Abu Umamah bin Sahl bin Hunaif se rawi hain, woh Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu se, woh kehte the ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke main ek waqt so raha tha, main ne khawaab main dekha ke log mere saamne pesh kiye jaa rahe hain aur woh kurte pehne huwe hain. Kisi ka kurta seene tak hai aur kisi ka us se neecha hai. (Phir) mere saamne Umar bin Khattab laaye gaye. un (ke badan) par (jo) kurta tha. Use woh ghaseet rahe the. (Yani un ka kurta zameen tak neecha tha) sahaba ne poocha ke ya RasoolAllah! Is ki kya ta’beer hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke (is se) deen muraad hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَيَاءُ مِنَ الإِيمَانِ:
Bab: Sharm-o-haya bhi imaan se hai.
Show diacritics
Hadith Number: 24
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك بن انس، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم مر على رجل من الانصار وهو يعظ اخاه في الحياء، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" دعه فإن الحياء من الإيمان".
Abdullah bin Yousuf ne hum se bayan kiya, woh kehte hain ke hamein Maalik bin Anas ne Ibn-e-Shihaab se khabar di, woh Saalim bin Abdullah se naql karte hain, woh apne baap (Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma) se ke ek dafa Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ek ansaari shakhs ke paas se guzre is haal mein ke woh apne ek bhai se keh rahe the ke tum itni sharm kiun karte ho. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us ansaari se farmaaya ke is ko is ke haal par rahne do kiunki haya bhi imaan hi ka ek hissah hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَإِنْ تَابُوا وَأَقَامُوا الصَّلاَةَ وَآتَوُا الزَّكَاةَ فَخَلُّوا سَبِيلَهُمْ}:
Bab: Allah Taala ke is farmaan ki tafseer mein ke agar woh (kafir) taubah kar len aur namaz qaim karen aur zakat ada karen to un ka raasta chhor do (yani un se jung na karo).
Show diacritics
Hadith Number: 25
حدثنا عبد الله بن محمد المسندي، قال: حدثنا ابو روح الحرمي بن عمارة، قال: حدثنا شعبة، عن واقد بن محمد، قال: سمعت ابي يحدث، عن ابن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" امرت ان اقاتل الناس حتى يشهدوا ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله، ويقيموا الصلاة، ويؤتوا الزكاة، فإذا فعلوا ذلك عصموا مني دماءهم واموالهم، إلا بحق الإسلام وحسابهم على الله".
Is Hadees ko hum se Abdullah bin Muhammed Musnadi ne bayan kiya, un se Abu Rauh Harami bin Umaarah ne, un se Sho’bah ne, woh Waaqid bin Muhammed se riwayat karte hain, woh kehte hain main ne yeh Hadees apne baap se suni, woh Ibn-e-Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, mujhe (Allah ki taraf se) hukm diya gaya hai ke logon se jung karun us waqt tak ke woh is baat ka iqraar kar len ke Allah ke siwa koi ma’bood nahi hai aur yeh ke Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke sachche Rasool hain aur namaz ada karne lagen aur zakaat den, jis waqt woh yeh karne lagenge to mujh se apne jaan-o-maal ko mehfooz kar lenge, siwaaye Islam ke haq ke. (raha un ke dil ka haal to) un ka hisaab Allah ke zimme hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ قَالَ: إِنَّ الإِيمَانَ هُوَ الْعَمَلُ:
Bab: Is shakhs ke qawl ki tasdeeq mein jis ne kaha hai ke imaan amal (ka naam) hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q26
لقول الله تعالى: {وتلك الجنة التي اورثتموها بما كنتم تعملون}. وقال عدة من اهل العلم في قوله تعالى: {فوربك لنسالنهم اجمعين عما كانوا يعملون} عن قول لا إله إلا الله. وقال: {لمثل هذا فليعمل العاملون}.
Kiunki Allah Ta’ala ka irshaad hai «وَتِلْكَ الْجَنَّةُ الَّتِي أُورِثْتُمُوهَا بِمَا كُنْتُمْ تَعْمَلُونَ» “Aur yeh jannat hai apne amal ke badle mein tum jis ke Maalik huwe ho.”Aur bahut se ahl-e-ilm Hazraat irshaad-e-Baari Ta’ala «فَوَرَبِّكَ لَنَسْأَلَنَّهُمْ أَجْمَعِينَ عَمَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ» (Aakhir tak) ki tafseer mein kehte hain ke yahan amal se muraad «لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ» kehna hai aur Allah Ta’ala ne farmaaya hai ke“Amal karne waalon ko isi jaisa amal karna chahiye.”


Show diacritics
Hadith Number: 26
حدثنا احمد بن يونس وموسى بن إسماعيل، قالا: حدثنا إبراهيم بن سعد، قال: حدثنا ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم سئل، اي العمل افضل؟ فقال: إيمان بالله ورسوله، قيل: ثم ماذا؟ قال: الجهاد في سبيل الله، قيل: ثم ماذا؟ قال: حج مبرور".
Hum se Ahmad bin Younus aur Musa bin Ismail dono ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Sa’d ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn-e-Shihaab ne bayan kiya, woh Sa’eed bin Al-Musayyab se riwayat karte hain, woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam se daryaaft kiya gaya ke kaun sa amal sab se afzal hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya“Allah aur us ke Rasool par imaan laana”kaha gaya us ke baad kaun sa? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke“Allah ki raah mein jihaad karna”kaha gaya, phir kya hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya“Hajj-e-Mabroor”.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا لَمْ يَكُنِ الإِسْلاَمُ عَلَى الْحَقِيقَةِ وَكَانَ عَلَى الاِسْتِسْلاَمِ أَوِ الْخَوْفِ مِنَ الْقَتْلِ:
Bab: Jab haqeeqi Islam par koi na ho balkeh mahaz zahir taur par musalman ban gaya ho ya qatl ke khauf se to (lughwi hesiyat se us par) musalman ka itlaaq durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q27
لقوله تعالى: {قالت الاعراب آمنا قل لم تؤمنوا ولكن قولوا اسلمنا}. فإذا كان على الحقيقة فهو على قوله جل ذكره: {إن الدين عند الله الإسلام}، {ومن يبتغ غير الإسلام دينا فلن يقبل منه}.
Jaisa ke irshaad-e-baari Ta’ala hai. Jab dihaatiyon ne kaha ke hum imaan le aaye Aap keh dijiye ke tum imaan nahi laaye balke yeh kaho ke zahir taur par musalmaan ho gaye. Lekin agar imaan haqeeqatan haasil ho to woh Allah Tabaraka wa Ta’ala ke irshaad (be-shak deen Allah ke nazdeek sirf Islam hi hai) ka misdaaq hai. Aayaat-e-shareefah mein lafz «Imaan» aur «Islam» ek hi ma’ne mein istemaal kiya gaya hai.


Show diacritics
Hadith Number: 27
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عامر بن سعد بن ابي وقاص، عن سعد رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم اعطى رهطا وسعد جالس، فترك رسول الله صلى الله عليه وسلم رجلا هو اعجبهم إلي، فقلت: يا رسول الله، ما لك عن فلان، فوالله إني لاراه مؤمنا؟ فقال: او مسلما، فسكت قليلا، ثم غلبني ما اعلم منه فعدت لمقالتي، فقلت: ما لك عن فلان، فوالله إني لاراه مؤمنا؟ فقال: او مسلما، ثم غلبني ما اعلم منه، فعدت لمقالتي وعاد رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم قال: يا سعد، إني لاعطي الرجل وغيره احب إلي منه خشية ان يكبه الله في النار"، ورواه يونس، وصالح، ومعمر، وابن اخي الزهري، عن الزهري.
Hum se Abul Yamaan ne bayan kiya, woh kehte hain ke hamein Sho’aib ne Zohri se khabar di, unhein Amir bin Sa’d bin Abi Waqqas ne apne waalid Sa’d Radhiallahu Anhu se sun kar yeh khabar di ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne chand logon ko kuch atiyah diya aur Sa’d wahaan maujood the. (Woh kehte hain ke) Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne un mein se ek shakhs ko kuch na diya. Haalaanke woh un mein mujhe sab se ziyada pasand tha. Main ne kaha: Ya RasoolAllah! Aap ne falaan ko kuch na diya haalaanke main use momin gumaan karta hun. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya momin ya musalmaan? Main thodi der chup reh kar phir pehli baat dohraane laga. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne bhi dobarah wahi jawaab diya. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke aye Sa’d! Bawjood yeh ke ek shakhs mujhe ziyada azeez hai (phir bhi main use nazarandaaz kar ke) kisi aur doosre ko is khauf ki wajah se yeh maal de deta hun ke (woh apni kamzoori ki wajah se Islam se phir jaaye aur) Allah use aag mein ondha daal de. Is Hadees ko Younus, Saleh, Ma’mar aur Zohri ke bhateeje Abdullah ne Zohri se riwayat kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِفْشَاءُ السَّلاَمِ مِنَ الإِسْلاَمِ:
Bab: Salaam phelana bhi Islam mein daakhil hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q28
وقال عمار: ثلاث من جمعهن، فقد جمع الإيمان الإنصاف من نفسك، وبذل السلام للعالم والإنفاق من الإقتار ‏‏.‏
‏‏‏Ammar ne kaha ke jis ne teen cheezon ko jama kar liya us ne saara imaan haasil kar liya. Apne nafs se insaaf karna, salaam ko aalam mein phailaana aur tangdasti ke bawjood Allah ki raah mein kharch karna.


Show diacritics
Hadith Number: 28
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا الليث، عن يزيد بن ابي حبيب، عن ابي الخير، عن عبد الله بن عمرو، ان رجلا سال رسول الله صلى الله عليه وسلم، اي الإسلام خير؟ قال:" تطعم الطعام، وتقرا السلام على من عرفت ومن لم تعرف".
Hum se Qutaibab ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, unhon ne Yazeed bin Abi Habib se, unhon ne Abul Khair se, unhon ne Abdullah bin Amr Radhiallahu Anhuma se ke ek aadmi ne Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha kaun sa Islam behtar hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke tu khaana khilaye aur har shakhs ko salaam kare khwaah us ko tu jaanta ho ya na jaanta ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كُفْرَانِ الْعَشِيرِ وَكُفْرٍ دُونَ كُفْرٍ:
Bab: Khawand ki na-shukri ke bayan mein aur ek kufr ka (apne darje mein) doosre kufr se kam hone ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: Q29
عن ابي سعيد الخدري، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baare mein woh Hadees jise Abu Sa’eed Khudri Radhiallahu Anhu ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat kiya hai.