الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ فَضْلِ مَنِ اسْتَبْرَأَ لِدِينِهِ:
Bab: Is shakhs ki fazilat ke bayan mein jo apna deen qaim rakhne ke liye gunah se bach gaya.
Hadith Number: 52
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زكرياء، عن عامر، قال: سمعت النعمان بن بشير، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" الحلال بين والحرام بين، وبينهما مشبهات لا يعلمها كثير من الناس، فمن اتقى المشبهات استبرا لدينه وعرضه، ومن وقع في الشبهات كراع يرعى حول الحمى يوشك ان يواقعه، الا وإن لكل ملك حمى، الا إن حمى الله في ارضه محارمه، الا وإن في الجسد مضغة إذا صلحت صلح الجسد كله وإذا فسدت فسد الجسد كله، الا وهي القلب".
Hum se Abu Nu’aim ne bayan kiya, kaha hum se Zakariyya ne, unhon ne Amir se, kaha main ne No’maan bin Basheer Radhiallahu Anhuma se suna, woh kehte the main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate the halaal khula huwa hai aur haraam bhi khula huwa hai aur un dono ke darmiyaan baaz cheezein shuba ki hain jin ko bahut log nahi jaante (ke halaal hain ya haraam) phir jo koi shuba ki cheezon se bhi bach gaya us ne apne deen aur izzat ko bacha liya aur jo koi un shuba ki cheezon mein pad gaya us ki misaal us charwaahe ki hai jo (shaahi mehfooz) charagaah ke aas paas apne jaanwaron ko charaaye. Woh qareeb hai ke kabhi us charagaah ke andar ghus jaaye (aur shaahi mujrim qaraar paaye) sun lo har baadshaah ki ek charagaah hoti hai. Allah ki charagaah us ki zameen par haraam cheezein hain. (pas un se bacho aur) sun lo badan mein ek gosht ka tukda hai jab woh durust hoga saara badan durust hoga aur jahaan bigda saara badan bigad gaya. Sun lo woh tukda aadmi ka dil hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَدَاءُ الْخُمُسِ مِنَ الإِيمَانِ:
Bab: Maal-e-ghanimat se paanchwaan hissa ada karna bhi imaan se hai.
Hadith Number: 53
حدثنا علي بن الجعد، قال: اخبرنا شعبة، عن ابي جمرة، قال: كنت اقعد مع ابن عباس يجلسني على سريره، فقال: اقم عندي حتى اجعل لك سهما من مالي، فاقمت معه شهرين، ثم قال: إن وفد عبد القيس لما اتوا النبي صلى الله عليه وسلم، قال: من القوم او من الوفد؟ قالوا: ربيعة، قال: مرحبا بالقوم او بالوفد غير خزايا ولا ندامى، فقالوا: يا رسول الله، إنا لا نستطيع ان ناتيك إلا في الشهر الحرام وبيننا وبينك هذا الحي من كفار مضر، فمرنا بامر فصل نخبر به من وراءنا وندخل به الجنة، وسالوه عن الاشربة؟" فامرهم باربع ونهاهم عن اربع، امرهم بالإيمان بالله وحده، قال: اتدرون ما الإيمان بالله وحده؟ قالوا: الله ورسوله اعلم، قال: شهادة ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، وصيام رمضان، وان تعطوا من المغنم الخمس، ونهاهم عن اربع: عن الحنتم والدباء والنقير والمزفت، وربما قال: المقير، وقال: احفظوهن واخبروا بهن من وراءكم".
Hum se Ali bin Ja’d ne bayan kiya, kaha hum ko Sho’bah ne khabar di, unhon ne Abu Jamrah se naql kiya ke main Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma ke paas baitha karta tha woh mujh ko khaas apne takht par bithaate (ek dafa) kehne lage ke tum mere paas mustaqil taur par reh jaao main apne maal mein se tumhaara hissah muqarrar kar dunga. To main do maah tak un ki khidmat mein reh gaya. Phir kehne lage ke Abdul Qais ka wafd jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aaya to Aap ne poocha ke yeh kaun si qaum ke log hain ya yeh wafd kahaan ka hai? Unhon ne kaha ke Rabee’ah khaandaan ke log hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya Marhaba is qaum ko ya is wafd ko na zaleel hone waale na sharmindah hone waale (yani un ka aana bahut khoob hai) woh kehne lage aye Allah ke Rasool! Hum Aap ki khidmat mein sirf in hurmat waale maheenon mein aa sakte hain kiunki hamaare aur Aap ke darmiyaan Muzar ke kaafiron ka qabeela aabaad hai. Pas Aap hum ko ek aisi Qat’ee baat batla dijiye jis ki khabar hum apne pichle logon ko bhi kar den jo yahan nahi aaye aur us par amal dar-aamad kar ke hum jannat mein daakhil ho jaayen aur unhon ne Aap se apne bartanon ke baare mein bhi poocha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ko chaar baaton ka hukm diya aur chaar qism ke bartanon ko iste’maal mein laane se mana farmaaya. Un ko hukm diya ke ek akele Allah par imaan laao. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne poocha ke jaante ho ek akele Allah par imaan laane ka matlab kya hai? Unhon ne kaha ke Allah aur us ke Rasool hi ko ma’loom hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke is baat ki gawaahi dena ke Allah ke siwa koi Ma’bood nahi aur yeh ke Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam us ke sachche Rasool hain aur namaz qaayim karna aur zakaat ada karna aur Ramadhan ke roze rakhna aur maal-e-ghaneemat se jo mile us ka paanchvaan hissah (musalmaanon ke Bait-ul-Maal mein) daakhil karna aur chaar bartanon ke iste’maal se Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ko mana farmaaya. Sabz laakhi martabaan se aur kaddu ke banaaye huwe bartan se, lakdi ke khode huwe bartan se, aur roghani bartan se aur farmaaya ke in baaton ko hifz kar lo aur un logon ko bhi batla dena jo tum se peeche hain aur yahan nahi aaye hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا جَاءَ أَنَّ الأَعْمَالَ بِالنِّيَّةِ وَالْحِسْبَةِ وَلِكُلِّ امْرِئٍ مَا نَوَى:
Bab: Is baat ke bayan mein ke amal baghair niyyat aur ikhlas ke sahi nahi hote aur har aadmi ko wahi mile ga jo niyyat kare.
Hadith Number: Q54
فدخل فيه الإيمان والوضوء والصلاة والزكاة والحج والصوم والاحكام. وقال الله تعالى: {قل كل يعمل على شاكلته} على نيته. «نفقة الرجل على اهله يحتسبها صدقة» . وقال: «ولكن جهاد ونية» .
To amal main imaan, Wuzu, Namaz, Zakat, Hajj, Roza aur saare ahkaam aa gaye aur (Surah Bani Israael mein) Allah ne farmaaya aye Paighambar! Keh dijiye ke har koi apne tareeq yani apni niyyat par amal karta hai aur (isi wajah se) aadmi agar sawab ki niyyat se Allah ka hukm samajh kar apne ghar waalon par kharch kar de to us mein bhi us ko sadqa ka sawab milta hai aur jab Makkah fatah ho gaya to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya tha ke ab hijrat ka silsila khatm ho gaya lekin Jihaad aur niyyat ka silsila baaqi hai.
Hadith Number: 54
حدثنا عبد الله بن مسلمة، قال: اخبرنا مالك، عن يحيى بن سعيد، عن محمد بن إبراهيم، عن علقمة بن وقاص، عن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الاعمال بالنية ولكل امرئ ما نوى، فمن كانت هجرته إلى الله ورسوله فهجرته إلى الله ورسوله، ومن كانت هجرته لدنيا يصيبها او امراة يتزوجها فهجرته إلى ما هاجر إليه".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Maalik Rahimahullah ne khabar di, unhon ne Yahya bin Sa’eed se, unhon ne Muhammed bin Ibrahim se, unhon ne Alqamah bin Waqqaas se, unhon ne Umar Radhiallahu Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya amal niyyat hi se sahih hote hain (ya niyyat hi ke mutabiq un ka badla milta hai) aur har aadmi ko wahi milega jo niyyat karega. Pas jo koi Allah aur us ke Rasool ki raza ke liye hijrat kare us ki hijrat Allah aur us ke Rasool ki taraf hogi aur jo koi duniya kamaane ke liye ya kisi aurat se shaadi karne ke liye Hijrat karega to us ki Hijrat un hi kaamon ke liye hogi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 55
حدثنا حجاج بن منهال، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني عدي بن ثابت، قال: سمعت عبد الله بن يزيد، عن ابي مسعود، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا انفق الرجل على اهله يحتسبها فهو له صدقة".
Hum se Hajjaaj bin Minhaal ne bayan kiya, woh kehte hain ke hum se Sho’bah ne bayan kiya, woh kehte hain mujh ko ’Adi bin Saabit ne khabar di, unhon ne Abdullah bin Yazeed se suna, unhon ne Abdullah bin Mas’ood se naql kiya, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya jab aadmi sawab ki niyyat se apne ahl-o-iyaal par kharch kare pas woh bhi us ke liye sadqa hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 56
حدثنا الحكم بن نافع، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني عامر بن سعد، عن سعد بن ابي وقاص انه اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إنك لن تنفق نفقة تبتغي بها وجه الله إلا اجرت عليها حتى ما تجعل في فم امراتك".
Hum se Hakam bin Nafi’ ne bayan kiya, kaha hum ko Sho’aib ne Zohri se khabar di, unhon ne kaha ke mujh se Amir bin Sa’d ne Sa`d bin Abi Waqqas se bayan kiya, unhon ne un ko khabar di ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya be-shak tu jo kuch kharch kare aur us se teri niyyat Allah ki raza haasil karni ho to tujh ko us ka sawab milega. Yahan tak ke us par bhi jo tu apni biwi ke munh mein daale.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «الدِّينُ النَّصِيحَةُ لِلَّهِ وَلِرَسُولِهِ وَلأَئِمَّةِ الْمُسْلِمِينَ وَعَامَّتِهِمْ»
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka ye farmana ke deen sache dil se Allah ki farmabardari aur us ke Rasool aur musalman hakimon aur tamaam musalmanon ki khair-khwahi ka naam hai.
Hadith Number: Q57
وقوله تعالى: {إذا نصحوا لله ورسوله}:
Aur Allah ne (Surah At-Taubah mein) farmaaya jab woh Allah aur us ke Rasool ki khairkhwaahi mein rahen.
Hadith Number: 57
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن إسماعيل، قال: حدثني قيس بن ابي حازم، عن جرير بن عبد الله، قال:" بايعت رسول الله صلى الله عليه وسلم على إقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، والنصح لكل مسلم".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Yahya bin Sa’eed bin Qattaan ne bayan kiya, unhon ne Ismail se, unhon ne kaha mujh se Qais bin Abi Haazim ne bayan kiya, unhon ne Jareer bin Abdullah Bajali Radhiallahu Anhu se suna, unhon ne kaha Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se main ne Namaz qaayim karne aur Zakat ada karne aur har musalmaan ki khairkhwaahi karne par Bai’at ki.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 58
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا ابو عوانة، عن زياد بن علاقة، قال: سمعت جرير بن عبد الله، يقول: يوم مات المغيرة بن شعبة قام فحمد الله واثنى عليه، وقال:" عليكم باتقاء الله وحده لا شريك له، والوقار والسكينة حتى ياتيكم امير، فإنما ياتيكم الآن، ثم قال: استعفوا لاميركم فإنه كان يحب العفو، ثم قال: اما بعد، فإني اتيت النبي صلى الله عليه وسلم، قلت: ابايعك على الإسلام، فشرط علي والنصح لكل مسلم، فبايعته على هذا"، ورب هذا المسجد إني لناصح لكم، ثم استغفر ونزل.
Hum se Abu No’maan ne bayan kiya, kaha hum se Abu ’Awaanah ne bayan kiya, unhon ne Ziyaad se, unhon ne ’ilaaqah se, kaha main ne Jareer bin Abdullah se suna jis din Mughira bin Sho’bah (haakim-e-Kufah) ka inteqaal huwa to woh khutbah ke liye khade huwe aur Allah ki ta’reef aur khoobi bayan ki aur kaha tum ko akele Allah ka darr rakhna chaahiye us ka koi shareek nahi aur tahammul aur itminaan se rehna chaahiye us waqt tak ke koi doosra haakim tumhaare upar aaye aur woh abhi aane waala hai. Phir farmaaya ke apne marne waale haakim ke liye dua-e-maghfirat karo kiunki woh (Mughira) bhi Mu’aafi ko pasand karta tha phir kaha ke is ke baad tum ko ma’loom hona chaahiye ke main ek dafa Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aaya aur main ne arz kiya ke main Aap se Islam par Bai’at karta hun Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujh se har musalmaan ki khairkhwaahi ke liye shart ki, pas main ne us shart par Aap se Bai’at kar li (pas) is masjid ke Rabb ki qasam ke main tumhaara khairkhwaah hun phir istighfaar kiya aur mimbar se utar aaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة