الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الإِيمَانِ وَقَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «بُنِيَ الإِسْلاَمُ عَلَى خَمْسٍ» :
Bab: Nabi Kareem ﷺ ka farmaan ke Islam ki bunyaad paanch cheezon par rakhi gayi hai.
Hadith Number: Q8-3
وهو قول وفعل ويزيد وينقص، قال الله تعالى: ليزدادوا إيمانا مع إيمانهم [سورة الفتح آية 4]، وزدناهم هدى [سورة الكهف آية 13]، ويزيد الله الذين اهتدوا هدى [سورة مريم آية 76]، والذين اهتدوا زادهم هدى وآتاهم تقواهم [سورة محمد آية 17]، وقوله: ويزداد الذين آمنوا إيمانا سورة المدثر آية 31، وقوله: ايكم زادته هذه إيمانا فاما الذين آمنوا فزادتهم إيمانا [سورة التوبة آية 124]، وقوله جل ذكره: فاخشوهم فزادهم إيمانا [سورة آل عمران آية 173]، وقوله تعالى: وما زادهم إلا إيمانا وتسليما [سورة الاحزاب آية 22]، والحب في الله والبغض في الله من الإيمان، وكتب عمر بن عبد العزيز إلى عدي بن عدي: إن للإيمان فرائض وشرائع وحدودا وسننا، فمن استكملها استكمل الإيمان، ومن لم يستكملها لم يستكمل الإيمان، فإن اعش فسابينها لكم حتى تعملوا بها، وإن امت فما انا على صحبتكم بحريص.
Aur imaan ka talluq qaul aur fe’l har do se hai aur woh badhta hai aur ghat’ta hai. Jaisa ke Allah Ta’ala ne farmaaya“Taaki un ke pehle imaan ke saath imaan mein aur ziyaadti ho.”(Surat-ul-Fat’h: 4) Aur farmaaya ke“Hum ne un ko hidaayat mein aur ziyada badha diya.”(Surat-ul-Kahf: 13) Aur farmaaya ke“Jo log seedhi raah par hain un ko Allah aur hidaayat deta hai.”(Surah Maryam: 76) Aur farmaaya ke“Jo log hidaayat par hain Allah ne unhein aur ziyada hidaayat di aur un ko parhezgaari ata farmaayi.”(Surah Muhammed: 17) Aur farmaaya ke“Jo log imaandaar hain un ka imaan aur ziyada huwa.”(Surah Al-Muddassir: 31) Aur farmaaya ke“Is Surah ne tum mein se kis ka imaan badha diya? fil-waaqe’ jo log imaan laaye hain un ka imaan aur ziyada ho gaya.”(Surah At-Taubah: 124) Aur farmaaya ke“Munafiqon ne mominon se kaha ke tumhaari barbaadi ke liye log ba-kasrat jama ho rahe hain, un ka khauf karo. Pas yeh baat sun kar imaan waalon ka imaan aur badh gaya aur un ke munh se yahi nikla «حَسْبُنَا اللَّهُ وَنِعْمَ الْوَكِيلُ» ”(Surah Aal-e-Imran: 173) Aur farmaaya ke“Un ka aur kuch nahi badha, haan imaan aur ita’at ka shewah zaroor badh gaya.”(Surat-ul-Ahzaab: 22) aur Hadees mein waarid huwa ke“Allah ki raah mein mohabbat rakhna aur Allah hi ke liye kisi se dushmani karna imaan main daakhil hai.”(Rawahu Abu Dawood An Abi Umamah) aur Khalifa Umar bin Abdul ’Aziz Rahimahullah ne Adi bin Adi ko likha tha ke“Imaan ke andar kitne hi faraaiz aur aqaaid hain aur hudood hain aur mustahab wa masnoon baatein hain jo sab imaan mein daakhil hain. Pas jo un sab ko poora kare us ne apna imaan poora kar liya aur jo poore taur par un ka lihaaz rakhe na un ko poora kare us ne apna imaan poora nahi kiya. Pas agar main zindah raha to un sab ki tafseeli maloomaat tum ko batlaaunga taaki tum un par amal karo aur agar main mar hi gaya to mujh ko tumhaari sohbat mein zindah rahne ki khwahish bhi nahi.”
Hadith Number: Q8-2
وقال إبراهيم: ولكن ليطمئن قلبي [سورة البقرة آية 260]، وقال معاذ بن جبل: اجلس بنا نؤمن ساعة، وقال ابن مسعود: اليقين الإيمان كله، وقال ابن عمر: لا يبلغ العبد حقيقة التقوى حتى يدع ما حاك في الصدر، وقال مجاهد: شرع لكم من الدين، اوصيناك يا محمد وإياه دينا واحدا، وقال ابن عباس: شرعة ومنهاجا سبيلا وسنة.
Aur Ibrahim Alaihissalam ka qaul Quran-e-Majeed mein waarid huwa hai ke“Lekin main chaahta hun ke mere dil ko tasalli ho jaaye.”Aur Mu’aaz Radhiallahu Anhu ne ek baar ek Sahabi (Aswad bin Bilal naami) se kaha tha ke hamaare paas baitho taaki ek ghadi hum imaan ki baatein kar len. Aur Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu ne farmaaya tha ke“Yaqeen poora imaan hai.”(aur sabr aadha imaan hai. Rawahu At-Tabarani) Aur Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma ka qaul hai ke bandah taqwa ki asal haqeeqat yani kohna ko nahi pahunch sakta jab tak ke jo baat dil mein khatakti ho use bilkul chhod na de. Aur Mujahid Rahimahullah ne ayat-e-kareemah «شَرَعَ لَكُمْ مِنَ الدِّينِ» aakhir tak ki tafseer mein farmaaya ke“us ne tumhaare liye deen ka wahi raasta thehraaya jo Nooh Alaihissalam ke liye thehraaya tha”is ka matlab yeh hai ke aye Muhammed! Hum ne tum ko aur Nooh ko ek hi deen ke liye wasiyyat ki hai aur Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma ne ayat-e-kareemah «شِرْعَةً وَمِنْهَاجًا» ke mutalliq farmaaya ke is se Sabeel (seedha raasta) aur sunnat (neik tareeqa) muraad hai.
بَابُ دُعَاؤُكُمْ إِيمَانُكُمْ:
Bab: Is baat ka bayan ke tumhari du’aaen tumhare imaan ki alamaat hain.
Hadith Number: Q8
لقوله عز وجل: قل ما يعبا بكم ربي لولا دعاؤكم [سورة الفرقان آية 77]، ومعنى الدعاء في اللغة الإيمان.
Aur Surah Furqan ki aayat Main lafz «دُعَاؤُكُمْ» ke baare Main farmaaya ke «إِيمَانُكُمْ» is se tumhaara Imaan muraad hai.
Hadith Number: 8
حدثنا عبيد الله بن موسى، قال: اخبرنا حنظلة بن ابي سفيان، عن عكرمة بن خالد، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بني الإسلام على خمس، شهادة ان لا إله إلا الله وان محمدا رسول الله، وإقام الصلاة، وإيتاء الزكاة، والحج، وصوم رمضان".
Hum se Ubaidullah bin Musa ne yeh Hadees bayan ki. Unhon ne kaha ke hamein is ki baabat Hanzalah bin Abi Sufyan ne khabar di. Unhon ne Ikrimah bin Khalid se riwayat ki unhon ne Abdullaah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat ki ke Rasoolulllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya islam ki bunyaad paanch cheezon par qaayem ki gayi hai. Awwal gawaahi dena ke Allah ke siwa koi ma’bood nahi aur be-shak Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke sachche Rasool hain aur namaz qaayem karna aur zakat ada karna aur hajj karna aur Ramadhan ke roze rakhna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أُمُورِ الإِيمَانِ:
Bab: Imaan ke a’maal ka bayan.
Hadith Number: Q9
وقول الله تعالى: {ليس البر ان تولوا وجوهكم قبل المشرق والمغرب ولكن البر من آمن بالله واليوم الآخر والملائكة والكتاب والنبيين وآتى المال على حبه ذوي القربى واليتامى والمساكين وابن السبيل والسائلين وفي الرقاب واقام الصلاة وآتى الزكاة والموفون بعهدهم إذا عاهدوا والصابرين في الباساء والضراء وحين الباس اولئك الذين صدقوا واولئك هم المتقون}. وقوله: {قد افلح المؤمنون} الآية.
Aur Allah paak ke is farmaan ki tashreeh ke neki yahi nahi hai ke tum (namaz mein) apna munh poorab ya pachchim ki taraf kar lo balke asli neki to us insaan ki hai jo Allah (ki zaat o safhaat) par yaqeen rakhe aur qiyamat ko barhaq maane aur farishton ke wujood par imaan laaye aur aasman se naazil hone waali kitaab ko sachcha tasleem kare. Aur jis qadr Nabi Rasool duniya mein tashreef laaye un sab ko sachcha tasleem kare. Aur woh shakhs maal deta ho Allah ki mohabbat mein apne (haajatmand) rishtedaaron ko aur (naadaar) yateemon ko aur doosre mohtaaj logon ko aur (tangdast) musaafiron ko aur (laachaari) mein sawaal karne waalon ko aur (qaidi aur ghulamon ki) gardan chudaane mein aur namaz ki paabandi karta ho aur zakaat ada karta ho aur apne wa’don ko poora karne waale jab woh kisi amr ki baabat wada karein. Aur woh log jo sabr-o-shukr karne waale hain tangdasti mein aur beemari mein aur (ma’arka) jihaad mein yahi log woh hain jin ko sachcha momin kaha jaa sakta hai aur yahi log dar-haqeeqat parhezgaar hain. Yaqeenan imaan waale kamyaab ho gaye. Jo apni namaazon mein khushoo’ khuzoo’ karne waale hain aur jo laghw baaton se barkinaar rahne waale hain aur woh jo zakaat se pakeezgi karne waale hain. Aur jo apni sharamgaahon ki hifaazat karne waale hain siwaaye apni biwiyon aur laundiyon se kiunki un ke saath sohbat karne mein un par koi ilzaam nahi. Haan jo un ke alawah (zina ya liwatat ya mushtzani waghera se) shehwat-raani karein aise log hadd se nikalne waale hain. Aur jo log apni amanat-o-ahed ka khayaal rakhne waale hain aur jo apni namaazon ki kaamil taur par hifaazat karte hain yahi log Jannat-ul-Firdous ki wiraasat haasil kar lenge phir woh us mein hamesha rahenge.
Hadith Number: 9
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: حدثنا ابو عامر العقدي، قال: حدثنا سليمان بن بلال، عن عبد الله بن دينار، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الإيمان بضع وستون شعبة، والحياء شعبة من الإيمان".
Hum se bayan kiya Abdullah bin Muhammad Jo’fi ne, unhon ne kaha hum se bayan kiya Abu Amir Aqadi ne, unhon ne kaha hum se bayan kiya Sulaiman bin Bilal ne, unhon ne Abdullah bin Dinaar se, unhon ne riwayat kiya Abu Saleh se, unhon ne naqal kiya Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se, unhon ne naqal farmaaya janab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Imaan ki saath (60) se kuch upar shaakhen hain. Aur haya (sharm) bhi Imaan ki aik shaakh hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُسْلِمُ مَنْ سَلِمَ الْمُسْلِمُونَ مِنْ لِسَانِهِ وَيَدِهِ:
Bab: Musalman woh hai jis ki zabaan aur haath se deegar musalman bache rahen (koi takleef na payen).
Hadith Number: 10
حدثنا آدم بن ابي إياس، قال: حدثنا شعبة، عن عبد الله بن ابي السفر، وإسماعيل بن ابي خالد، عن الشعبي، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" المسلم من سلم المسلمون من لسانه ويده، والمهاجر من هجر ما نهى الله عنه"، قال ابو عبد الله: وقال ابو معاوية: حدثنا داود، عن عامر، قال: سمعت عبد الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وقال عبد الاعلى: عن داود، عن عامر، عن عبد الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Adam bin Abi Iyaas ne yeh Hadees bayan ki, un ko Sho’bah ne woh Abdullah bin Abi As-Safar aur Ismail se riwayat karte hain, woh dono Sha’bi se naql karte hain, unhon ne Abdullah bin Amr bin Aas Radhiallahu Anhuma se, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya musalmaan woh hai jis ki zabaan aur haath se musalmaan bache rahen aur muhajir woh hai jo un kaamon ko chor de jin se Allah ne mana farmaaya. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne farmaaya aur Abu Mu’aawiyah ne ke hum ko Hadees bayan ki Dawood bin Abi Hind ne, unhon ne riwayat ki Amir Sha’bi se, unhon ne kaha ke main ne suna Abdullah bin Amr bin Aas se, woh Hadees bayan karte hain janab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se (wahi mazkoorah Hadees) aur kaha ke Abdul A’laa ne riwayat kiya Dawood se, unhon ne Amir se, unhon ne Abdullah bin Amr bin Aas se, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ أَيُّ الإِسْلاَمِ أَفْضَلُ؟
Bab: Kaun sa Islam afzal hai?
Hadith Number: 11
حدثنا سعيد بن يحيى بن سعيد القرشي، قال: حدثنا ابي، قال: حدثنا ابو بردة بن عبد الله بن ابي بردة، عن ابي بردة، عن ابي موسى رضي الله عنه، قال: قالوا: يا رسول الله، اي الإسلام افضل؟ قال:" من سلم المسلمون من لسانه ويده".
Hum ko Sa’eed bin Yahya bin Sa’eed Umawi Quraishi ne yeh Hadees sunaayi, unhon ne is Hadees ko apne waalid se naql kiya, unhon ne Abu Burdah bin Abdullah bin Abi Burdah se, unhon ne Abi Burdah se, unhon ne Abu Musa Radhiallahu Anhu se, woh kehte hain ke logon ne poocha ya RasoolAllah! Kaun sa Islam afzal hai? To Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya woh jis ke maanne waale musalmaanon ki zabaan aur haath se saare musalmaan salaamti mein rahen.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِطْعَامُ الطَّعَامِ مِنَ الإِسْلاَمِ:
Bab: Khana khilana (bhooke naadaaron ko) bhi Islam mein daakhil hai.
Hadith Number: 12
حدثنا عمرو بن خالد، قال: حدثنا الليث، عن، يزيد، عن ابي الخير، عن عبد الله بن عمرو رضي الله عنهما، ان رجلا سالا النبي صلى الله عليه وسلم، اي الإسلام خير؟ قال:" تطعم الطعام، وتقرا السلام على من عرفت ومن لم تعرف".
Hum se Hadees bayan ki Amr bin Khalid ne, un ko Laith ne, woh riwayat karte hain Yazeed se, woh Abul Khair se, woh Abdullah bin Amr bin Aas Radhiallahu Anhuma se ke ek din ek aadmi ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se poocha ke kaun sa Islam behtar hai? Farmaaya ke tum khaana khilaao, aur jis ko pehchaano us ko bhi aur jis ko na pehchaano us ko bhi, al-gharz sab ko salaam karo.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِنَ الإِيمَانِ أَنْ يُحِبَّ لأَخِيهِ مَا يُحِبُّ لِنَفْسِهِ:
Bab: Imaan mein daakhil hai ke musalman jo apne liye pasand kare wahi cheez apne bhai ke liye pasand kare.
Hadith Number: 13
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وعن حسين المعلم، قال: حدثنا قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يؤمن احدكم حتى يحب لاخيه ما يحب لنفسه".
Hum se Hadees bayan ki Musaddad ne, un ko Yahya ne, unhon ne Sho’bah se naql kiya, unhon ne Qatadah se, unhon ne Anas Radhiallahu Anhu khaadim-e-Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat kiya. Aur Sho’bah ne Husain Mu’allim se bhi riwayat kiya, unhon ne Qatadah se, unhon ne Anas Radhiallahu Anhu se, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se naql farmaaya ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya tum mein se koi shakhs imaandaar na hoga jab tak apne bhai ke liye woh na chaahe jo apne nafs ke liye chaahta hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة