الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مِنْ أَيْنَ تُؤْتَى الْجُمُعَةُ وَعَلَى مَنْ تَجِبُ:
Bab: Jumu’ah ke liye kitni door walon ko aana chahiye aur kin logon par jumu’ah wajib hai?
Show diacritics
Hadith Number: 902
حدثنا احمد بن صالح، قال: حدثنا عبد الله بن وهب، قال: اخبرني عمرو بن الحارث، عن عبيد الله بن ابي جعفر، ان محمد بن جعفر بن الزبير حدثه، عن عروة بن الزبير، عن عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" كان الناس ينتابون يوم الجمعة من منازلهم والعوالي، فياتون في الغبار يصيبهم الغبار والعرق فيخرج منهم العرق، فاتى رسول الله صلى الله عليه وسلم إنسان منهم وهو عندي، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: لو انكم تطهرتم ليومكم هذا".
Hum se Ahmad bin Saleh ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Amr bin Haarith ne khabar di , un se Ubaydullah bin Abi Jafar ne ke Muhammad bin Jafar bin Zubayr ne un se byaan kiya , un se Urwah bin Zubayr ne aur un se Aishah razi Allahu anha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zaujah mutahharah ne , Aap ne kaha ke log juma ki namaaz parhne apne gharon se aur atraf Madinah gaon se (Masjid Nabawi mein) baari baari aya karte thay . Log gard o ghubar mein chale aate , gard mein atte huay aur paseene mein sharabor . Is qadar paseena hota ke thhamta (rukta) nahi tha . Isi haalat mein ek aadmi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas aaya , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum log is din (juma mein) ghusl kar liya karte to behtar hota .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَقْتُ الْجُمُعَةِ إِذَا زَالَتِ الشَّمْسُ:
Bab: Jumu’ah ka waqt sooraj dhalne se shuru hota hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q903
وكذلك يروى عن عمر، وعلي، والنعمان بن بشير، وعمرو بن حريث رضي الله عنهم.
Aur Umar aur Ali aur Numan bin Bashir aur Amr bin Hurayth ridwan Allah alayhim ajmaeen se isi tarah marwi hai .


Show diacritics
Hadith Number: 903
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا يحيى بن سعيد، انه سال عمرة عن الغسل يوم الجمعة، فقالت: قالت عائشة رضي الله عنها:" كان الناس مهنة انفسهم، وكانوا إذا راحوا إلى الجمعة راحوا في هيئتهم فقيل لهم لو اغتسلتم".
Hum se Abdaan Abdullah bin Usman ne byaan kiya , kaha ke hamein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hamein Yahya bin Saeed ne khabar di ke unhon ne Umrah bint Abdur Rahman se juma ke din ghusl ke baare mein poocha . Unhon ne byaan kiya ke Aishah razi Allahu anha farmati thi ke log apne kaamon mein mashghool rehte aur juma ke liye isi haalat (mail kucheel) mein chale aate , is liye un se kaha gaya ke kaash tum log (kabhi) ghusl kar liya karte .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 904
حدثنا سريج بن النعمان، قال: حدثنا فليح بن سليمان، عن عثمان بن عبد الرحمن بن عثمان التيمي، عن انس بن مالك رضي الله عنه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي الجمعة حين تميل الشمس".
Hum se Sareej bin Numan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Fulayh bin Sulayman ne byaan kiya , un se Usman bin Abdur Rahman bin Usman Teemi ne byaan kiya , un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam juma ki namaaz us waqt parhte jab sooraj dhal jaata .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 905
حدثنا عبدان، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا حميد، عن انس، قال:" كنا نبكر بالجمعة ونقيل بعد الجمعة".
Hum se Abdaan ne byaan kiya , kaha ke hamein Abdullah bin Mubarak ne khabar di , kaha ke hamein Hameed Taweel ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se khabar di . Aap ne farmaya ke hum juma sawere parh liya karte aur juma ke baad aaram karte the .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا اشْتَدَّ الْحَرُّ يَوْمَ الْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah jab sakht garmi mein aa pare.
Show diacritics
Hadith Number: 906
حدثنا محمد بن ابي بكر المقدمي، قال: حدثنا حرمي بن عمارة، قال: حدثنا ابو خلدة هو خالد بن دينار، قال: سمعت انس بن مالك، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا اشتد البرد بكر بالصلاة، وإذا اشتد الحر ابرد بالصلاة يعني الجمعة"، قال يونس بن بكير: اخبرنا ابو خلدة، فقال: بالصلاة ولم يذكر الجمعة، وقال بشر بن ثابت حدثنا ابو خلدة، قال: صلى بنا امير الجمعة، ثم قال لانس رضي الله عنه: كيف كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الظهر؟.
Hum se Muhammad bin Abi Bakr Muqaddami ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hurmi bin Umarah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Khaldah jin ka naam Khalid bin Dinar hai , ne byaan kiya ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se suna , aap ne farmaya ke agar sardi zyadah parti to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam namaaz sawere parh lete . Lekin jab garmi zyadah hoti to thanday waqt namaaz parhte . Aap ki muraad juma ki namaaz se thi . Yunus bin Bukayr ne kaha ke hamein Abu Khaldah ne khabar di . Unhon ne sirf namaaz kaha . Juma ka zikr nahin kiya aur Bishr bin Thaabit ne kaha ke hum se Abu Khaldah ne byaan kiya ke ameer ne hamein juma ki namaaz parhayi . Phir Anas razi Allahu anhu se poocha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam zuhr ki namaaz kis waqt parhte the ?


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَشْيِ إِلَى الْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah ki namaz ke liye chalne ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q907
وقول الله جل: ذكره فاسعوا إلى ذكر الله سورة الجمعة آية 9، ومن قال: السعي: العمل والذهاب لقوله تعالى وسعى لها سعيها سورة الإسراء آية 19، وقال ابن عباس رضي الله عنهما يحرم البيع حينئذ، وقال عطاء تحرم الصناعات كلها، وقال إبراهيم بن سعد عن الزهري إذا اذن المؤذن يوم الجمعة وهو مسافر فعليه ان يشهد.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Al-Juma) mein farmaya «fas'au ila zikrillahi» ke ”Allah ke zikr ki taraf tezi ke sath chalo“ aur us ki tafseer jis ne yeh kaha ke «sa'a» ke maani amal karna aur chalna jaise Surah Bani Israil mein hai «sa'a laha sa'yaha» yahan «sa'a» ke yahi maani hain . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke khareed o farokht juma ki azaan hote hi haram ho jati hai Ata ne kaha ke tamam karobar us waqt haram ho jate hain . Ibrahim bin Saad ne Zuhri ka yeh qaul naqal kiya ke juma ke din jab muazzin azaan de to musafir bhi shirkat kare .


Show diacritics
Hadith Number: 907
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا الوليد بن مسلم، قال: حدثنا يزيد بن ابي مريم، قال: حدثنا عباية بن رفاعة، قال: ادركني ابو عبس وانا اذهب إلى الجمعة، فقال سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من اغبرت قدماه في سبيل الله حرمه الله على النار".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha ke hum se Waleed bin Muslim ne byaan kiya , kaha ke hum se Yazid bin Abi Maryam ne byaan kiya , kaha ke hum se Abayah bin Rifa'ah bin Rafi bin Khadeej ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke main juma ke liye ja raha tha . Raaste mein Abu Abs razi Allahu anhu se meri mulaqat hui , unhon ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna hai ke jis ke qadam Allah ki raah mein ghubaar aalood ho gaye Allah Ta'ala use dozakh par haram kar de ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 908
حدثنا آدم، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، قال حدثنا الزهري، عن سعيد، وابي سلمة عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني ابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" إذا اقيمت الصلاة فلا تاتوها تسعون واتوها تمشون عليكم السكينة، فما ادركتم فصلوا وما فاتكم فاتموا".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibn Abi Zayb ne byaan kiya , kaha ke hum se Zuhri ne Saeed aur Abu Salamah se byaan kiya , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (doosri sanad se byaan kiya) Imam Bukhari rahmahu Allah ne kaha aur hum se Abul Yamaan ne byaan kiya , kaha ke hamein Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne aur unhein Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di , woh Abu Hurairah razi Allahu anhu se riwayat karte thay ke Aap ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko yeh kehte hue suna ke jab namaaz ke liye takbeer kahi jaye to dorte hue mat aao balkay (apni mamooli raftar se) aao poore itminan ke sath phir namaaz ka jo hissa (Imam ke sath) palo use parh lo aur jo reh jaye to use baad mein poora karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 909
حدثنا عمرو بن علي، قال: حدثني ابو قتيبة، قال: حدثنا علي بن المبارك، عن يحيى بن ابي كثير، عن عبد الله بن ابي قتادة لا اعلمه إلا، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقوموا حتى تروني وعليكم السكينة".
Hum se Amr bin Ali Falaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Qutaybah bin Qutaybah ne byaan kiya , kaha ke hum se Ali bin Mubarak ne Yahya bin Abi Kaseer se byaan kiya , un se Abdullah bin Abi Qatadah ne (Imam Bukhari rahmahu Allah kehte hain ke mujhe yaqeen hai ke) Abdullah ne apne baap Abu Qatadah se riwayat ki hai , woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se raawi hain ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab tak mujhe dekh na lo saf bandi ke liye kharay na hua karo aur aahistagi se chalna laazim kar lo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة