الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ هَلْ عَلَى مَنْ لَمْ يَشْهَدِ الْجُمُعَةَ غُسْلٌ مِنَ النِّسَاءِ وَالصِّبْيَانِ وَغَيْرِهِمْ:
Bab: Jo log jumu’ah ki namaz ke liye na aayen jaisa ke auraten, bache, musafir aur ma’zoor waghera un par ghusl wajib nahi hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q894
وقال ابن عمر: إنما الغسل على من تجب عليه الجمعة.
Aur Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne kaha ghusl usi ko wajib hai jis par juma wajib hai .


Show diacritics
Hadith Number: 894
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني سالم بن عبد الله، انه سمع عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" من جاء منكم الجمعة فليغتسل".
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Shoaib ne Zuhri se khabar di , unhon ne kaha ke mujh se Salim bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne (apne walid) Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna woh farmate thay ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna ke tum mein se jo shakhs juma parhne aaye to ghusl kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 895
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن صفوان بن سليم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" غسل يوم الجمعة واجب على كل محتلم".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , un se Imam Malik ne byaan kiya , un se Safwan bin Saleem ne , un se Ata bin Yasar ne , un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har baligh ke oopar juma ke din ghusl wajib hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 896
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا وهيب، قال: حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" نحن الآخرون السابقون يوم القيامة اوتوا الكتاب من قبلنا واوتيناه من بعدهم، فهذا اليوم الذي اختلفوا فيه فهدانا الله فغدا لليهود وبعد غد للنصارى، فسكت.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha ke hum se Wuhaib bin Khalid ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdullah bin Taus ne byaan kiya , un se un ke baap Taus ne , un se Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hum (dunya mein) to baad mein aye lekin qiyamat ke din sab se aage hon ge , farq sirf yeh hai ke Yahood o Nasara ko kitaab hum se pehle di gayi aur hamein baad mein . To yeh din (juma) woh hai jis ke bare mein ahl kitaab ne ikhtilaaf kiya , Allah Taala ne hamein yeh din batla diya (is ke baad) doosra din (haftah) Yahood ka din hai aur teesra din (itwar) Nasara ka . Aap phir khamosh ho gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 897
ثم قال: حق على كل مسلم ان يغتسل في كل سبعة ايام، يوما يغسل فيه راسه وجسده".
Is ke baad farmaya ke har musalman par haq hai (Allah Taala ka) har saat din mein ek din juma mein ghusl kare jis mein apne sar aur badan ko dhoye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 898
رواه ابان بن صالح، عن مجاهد، عن طاوس، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم: لله تعالى على كل مسلم حق ان يغتسل في كل سبعة ايام يوما.
Is hadees ki riwayat Aban bin Saleh ne Mujahid se ki hai , un se Taus ne , un se Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Taala ka har musalman par haq hai ke har saat din mein ek din (juma) ghusl kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 899
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا شبابة، حدثنا ورقاء، عن عمرو بن دينار، عن مجاهد، عن ابن عمر، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ائذنوا للنساء بالليل إلى المساجد".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha ke hum se Shababah ne byaan kiya , kaha ke hum se Warqa bin Amr ne byaan kiya , un se Amr bin Dinar ne , un se Mujahid ne , un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya auraton ko raat ke waqt masjidon mein aane ki ijazat de diya karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 900
حدثنا يوسف بن موسى، حدثنا ابو اسامة، حدثنا عبيد الله بن عمر، عن نافع، عن ابن عمر، قال:" كانت امراة لعمر تشهد صلاة الصبح والعشاء في الجماعة في المسجد، فقيل لها: لم تخرجين وقد تعلمين ان عمر يكره ذلك ويغار، قالت: وما يمنعه ان ينهاني، قال: يمنعه قول رسول الله صلى الله عليه وسلم: لا تمنعوا إماء الله مساجد الله".
Hum se Yusuf bin Musa ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Usamah ne byaan kiya kaha ke hum se Ubaydullah ibn Umar ne byaan kiya , un se Nafi ne , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne , unhon ne kaha ke Umar razi Allahu anhu ki ek biwi thi jo subah aur Isha ki namaaz jamaat se parhne ke liye masjid mein aya karti thi . Un se kaha gaya ke bawajood is ilm ke ke Umar razi Allahu anhu is baat ko makrooh jaante hain aur woh ghayrat mehsoos karte hain phir Aap masjid mein kyun jati hain . Is par unhon ne jawab diya ke phir woh mujhe mana kyun nahi kar dete . Logon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki is hadees ki wajah se ke Allah ki bandiyon ko Allah ki masjidon mein aane se mat roko .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الرُّخْصَةِ إِنْ لَمْ يَحْضُرِ الْجُمُعَةَ فِي الْمَطَرِ:
Bab: Agar barish ho rahi ho to jumu’ah mein haazir hona wajib nahi.
Show diacritics
Hadith Number: 901
حدثنا مسدد، قال: حدثنا إسماعيل، قال: اخبرني عبد الحميد صاحب الزيادي، قال: حدثنا عبد الله بن الحارث، ابن عم محمد بن سيرين قال ابن عباس لمؤذنه في يوم مطير:" إذا قلت اشهد ان محمدا رسول الله فلا تقل حي على الصلاة، قل صلوا في بيوتكم فكان الناس استنكروا، قال: فعله من هو خير مني إن الجمعة عزمة وإني كرهت ان احرجكم فتمشون في الطين والدحض".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya . Unhon ne kaha ke hum se Ismail bin Aliyah byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Sahib Ziyadi Abdul Hameed ne khabar di , kaha ke hum se Muhammad bin Sireen ke chachazad bhai Abdullah bin Haarith ne byaan kiya ke Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne apne moazzin se ek dafa barish ke din kaha ke «ashhadu anna Muhammadan rasoolullah» ke baad «hayya alas salah» (namaaz ki taraf aao) na kehna balkay yeh kehna ke «salloo fi buyootikum» (apne gharon mein namaaz parh lo) logon ne is baat par taajjub kiya to Aap ne farmaya ke isi tarah mujh se behtar insaan (Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam) ne kiya tha . Beshak juma farz hai aur main makrooh jaanta hoon ke tumhein gharon se bahar nikaal kar mitti aur keechad phislan mein chalaoon .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِنْ أَيْنَ تُؤْتَى الْجُمُعَةُ وَعَلَى مَنْ تَجِبُ:
Bab: Jumu’ah ke liye kitni door walon ko aana chahiye aur kin logon par jumu’ah wajib hai?
Show diacritics
Hadith Number: Q902
لقول الله جل وعز: إذا نودي للصلاة من يوم الجمعة فاسعوا إلى ذكر الله سورة الجمعة آية 9، وقال عطاء: إذا كنت في قرية جامعة فنودي بالصلاة من يوم الجمعة فحق عليك ان تشهدها سمعت النداء او لم تسمعه وكان انس رضي الله عنه في قصره احيانا يجمع واحيانا لا يجمع وهو بالزاوية على فرسخين
Kyunke Allah Taala ka (surah Juma mein) irshaad hai «iza noodiya lis salati min yawmil jumati» ”jab juma ke din namaaz ke liye azaan ho (to Allah ke zikr ki taraf doro)“ Ata ne kaha ke jab tum aisi basti mein ho jahan juma ho raha hai aur juma ke din namaaz ke liye azaan di jaye to tumhare liye juma ki namaaz parhne aana wajib hai . Azaan suni ho ya na suni ho . Aur Anas bin Malik razi Allahu anhu (Basrah se) chhe meel door maqaam Zawiyah mein rehte thay , Aap yahan kabhi apne ghar mein juma parh lete aur kabhi yahan juma nahi parhte . (balkay Basrah ki jami masjid mein juma ke liye tashreef laya karte thay) .