الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ فَرْضِ الْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah ki namaz farz hai.
Hadith Number: Q876
لقول الله تعالى: إذا نودي للصلاة من يوم الجمعة فاسعوا إلى ذكر الله وذروا البيع ذلكم خير لكم إن كنتم تعلمون سورة الجمعة آية 9
Allah tabarak wa taala ka farmaan ”juma ke din jab namaaz ke liye azaan di jaye to tum Allah ki yaad ke liye chal kharay ho aur khareed o farokht chhor do ke yeh tumhare haq mein behtar hai agar tum kuch jaante ho“ . (aayat mein) «fasaw fil amdu» ke maani mein hai (yani chal kharay ho) .
Hadith Number: 876
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، قال: حدثنا ابو الزناد، ان عبد الرحمن بن هرمز الاعرج مولى ربيعة بن الحارث، حدثه انهسمع ابا هريرة رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" نحن الآخرون السابقون يوم القيامة، بيد انهم اوتوا الكتاب من قبلنا ثم هذا يومهم الذي فرض عليهم، فاختلفوا فيه، فهدانا الله فالناس لنا فيه تبع اليهود غدا والنصارى بعد غد".
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , kaha ke hamein Shoaib ne khabar di , kaha ke hum se Abuz Zinad ne byaan kiya , un se Rabiah bin Haarith ke ghulam Abdur Rahman bin Hurmuz Araj ne byaan kiya ke unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se suna aur Aap razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap ne farmaya ke hum dunya mein tamam ummaton ke baad hone ke bawajood qiyamat mein sab se aage rahen ge farq sirf yeh hai ke kitaab unhein hum se pehle di gayi thi . Yahi (juma) un ka bhi din tha jo tum par farz hua hai . Lekin un ka is ke bare mein ikhtilaaf hua aur Allah Taala ne hamein yeh din bata diya is liye log is mein hamare tabi hon ge . Yahood doosre din hon ge aur Nasara teesre din .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ الْغُسْلِ يَوْمَ الْجُمُعَةِ، وَهَلْ عَلَى الصَّبِيِّ شُهُودُ يَوْمِ الْجُمُعَةِ أَوْ عَلَى النِّسَاءِ:
Bab: Jumu’ah ke din nahane ki fazilat aur is bare mein bachchon aur auraton par jumu’ah ki namaz ke liye aana farz hai ya nahi?
Hadith Number: 877
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا جاء احدكم الجمعة فليغتسل".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik ne Nafi se khabar di aur un ko Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum mein se jab koi shakhs juma ki namaaz ke liye aana chahe to usay ghusl kar lena chahiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 878
حدثنا عبد الله بن محمد، قال: اخبرنا جويرية بن اسماء، عن مالك، عن الزهري، عن سالم بن عبد الله بن عمر، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان عمر بن الخطاب بينما هو قائم في الخطبة يوم الجمعة، إذ دخل رجل من المهاجرين الاولين من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم، فناداه عمر: اية ساعة هذه؟ قال: إني شغلت فلم انقلب إلى اهلي حتى سمعت التاذين، فلم ازد ان توضات، فقال: والوضوء ايضا، وقد علمت" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يامر بالغسل".
Hum se Abdullah bin Muhammad bin Asma ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Juwayriyah bin Asma ne Imam Malik se byaan kiya , un se Zuhri ne , un se Salim bin Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu juma ke din kharay khutba de rahe thay ke itne mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke agle Sahabah Muhajireen mein se ek buzurg tashreef laye (yani Usman razi Allahu anhu) Umar razi Allahu anhu ne un se kaha bhala yeh kaun sa waqt hai unhon ne farmaya ke main mashghool ho gaya tha aur ghar wapas aate hi azaan suni , is liye main wuzu se zyada aur kuch (ghusl) na kar saka . Umar razi Allahu anhu ne farmaya ke wuzu bhi achha hai . Halaanke Aap ko maloom hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ghusl ke liye farmate thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 879
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن صفوان بن سليم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" غسل يوم الجمعة واجب على كل محتلم".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne hadees byaan ki , unhon ne kaha ke hamein Malik ne Safwan bin Saleem ke wastay se khabar di , unhein Ata bin Yasar ne , unhein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke juma ke din har baligh ke liye ghusl zaroori hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الطِّيبِ لِلْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah ke din namaz ke liye khushboo lagana.
Hadith Number: 880
حدثنا علي، قال: حدثنا حرمي بن عمارة، قال: حدثنا شعبة، عن ابي بكر بن المنكدر، قال: حدثني عمرو بن سليم الانصاري، قال: اشهد على ابي سعيد، قال: اشهد على رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الغسل يوم الجمعة واجب على كل محتلم، وان يستن وان يمس طيبا إن وجد"، قال عمرو: اما الغسل فاشهد انه واجب، واما الاستنان والطيب فالله اعلم اواجب هو ام لا، ولكن هكذا في الحديث، قال ابو عبد الله هو اخو محمد بن المنكدر: ولم يسم ابو بكر هذا رواه عنه بكير بن الاشج، وسعيد بن ابي هلال وعدة، وكان محمد بن المنكدر يكنى بابي بكر، وابي عبد الله.
Hum se Ali bin Madini ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Hurmi bin Umarah ne khabar di unhon ne kaha ke hum se Shubah bin Hajjaj ne Abu Bakr bin Munkadir se byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Amr bin Saleem Ansari ne byaan kiya , unhon ne kaha ke main gawah hoon ke Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne farmaya tha ke main gawah hoon ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke juma ke din har jawan par ghusl , miswaak aur khushboo lagana agar maysar ho , zaroori hai . Amr bin Saleem ne kaha ke ghusl ke mutalliq to main gawahi deta hoon ke woh wajib hai lekin miswaak aur khushboo ka ilm Allah Taala ko zyada hai ke woh bhi wajib hain ya nahi . Lekin hadees mein isi tarah hai . Abu Abdullah (Imam Bukhari rahimahullah) ne farmaya ke Abu Bakr bin Munkadir Muhammad bin Munkadir ke bhai thay aur un ka naam maloom nahi (Abu Bakr un ki kuniyat thi) Bukayr bin Ashaj . Saeed bin Abi Hilal aur bohot se log un se riwayat karte hain . Aur Muhammad bin Munkadir un ke bhai ki kuniyat Abu Bakr aur Abu Abdullah bhi thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ فَضْلِ الْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah ki namaz ko jane ki fazilat.
Hadith Number: 881
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن سمي مولى ابي بكر بن عبد الرحمن، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من اغتسل يوم الجمعة غسل الجنابة، ثم راح فكانما قرب بدنة، ومن راح في الساعة الثانية فكانما قرب بقرة، ومن راح في الساعة الثالثة فكانما قرب كبشا اقرن، ومن راح في الساعة الرابعة فكانما قرب دجاجة، ومن راح في الساعة الخامسة فكانما قرب بيضة، فإذا خرج الإمام حضرت الملائكة يستمعون الذكر".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha ke hamein Imam Malik ne Abu Bakr bin Abdur Rahman ke ghulam Sami se khabar di , jinhein Abu Saleh Saman ne , unhein Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs juma ke din ghusl junub kar ke namaaz parhne jaye to goya us ne ek oont ki qurbani di (agar awal waqt masjid mein pohancha) aur agar baad mein gaya to goya ek gaye ki qurbani di aur jo teesre number par gaya to goya us ne ek seeng wale mendhe ki qurbani di . Aur jo koi chauthe number par gaya to us ne goya ek murgi ki qurbani di aur jo koi paanchween number par gaya us ne goya anda Allah ki raah mein diya . Lekin jab imam khutbe ke liye bahar aa jata hai to farishte khutba sunne mein mashghool ho jate hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 882
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة، ان عمر رضي الله عنه بينما هو يخطب يوم الجمعة، إذ دخل رجل فقال عمر: لم تحتبسون عن الصلاة، فقال الرجل: ما هو إلا ان سمعت النداء توضات، فقال: الم تسمعوا النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا راح احدكم إلى الجمعة فليغتسل".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha ke hum se Shayban bin Abdur Rahman ne Yahya bin Abi Kathir se byaan kiya , un se Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu juma ke din khutba de rahe thay ke ek buzurg (Usman razi Allahu anhu) daakhil huay . Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne farmaya ke Aap log namaaz ke liye aane mein kyun der karte hain . (awal waqt kyun nahi aate) aane wale buzurg ne farmaya ke der sirf itni hui ke azaan sunte hi main ne wuzu kiya (aur phir haazir hua) Aap ne farmaya ke kya Aap logon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se yeh hadees nahi suni hai ke jab koi juma ke liye jaye to ghusl kar lena chahiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الدُّهْنِ لِلْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah ki namaz ke liye baalon mein tel ka istimal.
Hadith Number: 883
حدثنا آدم، قال: حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، قال: اخبرني ابي، عن ابن وديعة، عن سلمان الفارسي، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا يغتسل رجل يوم الجمعة ويتطهر ما استطاع من طهر ويدهن من دهنه او يمس من طيب بيته، ثم يخرج فلا يفرق بين اثنين، ثم يصلي ما كتب له، ثم ينصت إذا تكلم الإمام، إلا غفر له ما بينه وبين الجمعة الاخرى".
Hum se Aadam bin Abi Iyaas ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibn Abi Zib ne Saeed Maqabri se byaan kiya , kaha ke mujhe mere baap Abu Saeed Maqabri ne Abdullah bin Wadiyah se khabar di , un se Salman Farsi razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs juma ke din ghusl kare aur khoob achhi tarah se paaki haasil kare aur tel istimal kare ya ghar mein jo khushboo maysar ho istimal kare phir namaaz juma ke liye nikle aur masjid mein pohanch kar do aadmiyon ke darmiyan na ghuse , phir jitni ho sake nafl namaaz parhe aur jab imam khutba shuru kare to khamosh sunta rahe to us ke is juma se le kar doosre juma tak saare gunah maaf kar diye jate hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 884
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال طاوس: قلت لابن عباس: ذكروا ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:"اغتسلوا يوم الجمعة واغسلوا رءوسكم، وإن لم تكونوا جنبا واصيبوا من الطيب"، قال ابن عباس: اما الغسل فنعم، واما الطيب فلا ادري.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Shoaib ne Zuhri se khabar di ke Taus bin Kaysan ne byaan kiya ke main ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se poocha ke log kehte hain ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke juma ke din agarche junub na ho lekin ghusl karo aur apne sar dhoya karo aur khushboo lagaya karo . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke ghusl ka hukm to theek hai lekin khushboo ke mutalliq mujhe ilm nahi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة