الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ السَّاعَةِ الَّتِي فِي يَوْمِ الْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah ke din woh ghari jis mein dua qubool hoti hai.
Hadith Number: 935
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم ذكر يوم الجمعة، فقال فيه:" ساعة لا يوافقها عبد مسلم وهو قائم يصلي يسال الله تعالى شيئا إلا اعطاه إياه واشار بيده يقللها".
Hum se Abdullah bin Muslimah Qanabi ne Imam Malik rahmahu Allah ne byaan kiya , in se Abu az-Zinaad ne , in se Abdur Rahman Aaraj ne , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Juma ke zikr mein aik dafa farmaya ke is din aik aisi ghari aati hai jis mein agar koi musalman banda khara namaaz parh raha ho aur koi cheez Allah Paak se maange to Allah Paak use woh cheez zaroor deta hai . Haath ke isharah se Aap ne batlaya ke woh saat bahut thori si hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا نَفَرَ النَّاسُ عَنِ الإِمَامِ فِي صَلاَةِ الْجُمُعَةِ فَصَلاَةُ الإِمَامِ وَمَنْ بَقِيَ جَائِزَةٌ:
Bab: Agar jumu’ah ki namaz mein kuch log imam ko chhor kar chale jayen to imam aur baqi namaziyon ki namaz sahih ho jayegi.
Hadith Number: 936
حدثنا معاوية بن عمرو، قال: حدثنا زائدة، عن حصين، عن سالم بن ابي الجعد، قال: حدثنا جابر بن عبد الله، قال:" بينما نحننصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم إذ اقبلت عير تحمل طعاما فالتفتوا إليها حتى ما بقي مع النبي صلى الله عليه وسلم إلا اثنا عشر رجلا، فنزلت هذه الآية وإذا راوا تجارة او لهوا انفضوا إليها وتركوك قائما سورة الجمعة آية 11".
Hum se Muawiyah bin Amr ne byaan kiya , kaha ke hum se Zaidah ne Husain se byaan kiya , un se Salim bin Abi Jaad ne , unhon ne kaha ke hum se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sath namaaz parh rahe thay , itne mein ghalla laade hue aik tijarati qafila idhar se guzra . Log khutbah chhor kar idhar chal diye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sath kul barah aadmi reh gaye . Is waqt Surah Al-Juma ki yeh aayat utri «wa iza ra'au tijaratan au lahwan infazzu ilaiha wa tarakooka qa'ima» ”aur jab yeh log tijarat aur khel dekhte hain to is ki taraf dor parte hain aur Aap ko khara chhor dete hain .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الصَّلاَةِ بَعْدَ الْجُمُعَةِ وَقَبْلَهَا:
Bab: Jumu’ah ke baad aur us se pehle sunnat parhna.
Hadith Number: 937
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلي قبل الظهر ركعتين وبعدها ركعتين، وبعد المغرب ركعتين في بيته، وبعد العشاء ركعتين وكان لا يصلي بعد الجمعة حتى ينصرف فيصلي ركعتين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik rahmahu Allah ne Nafi se khabar di , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Zohar se pehle do rakat , is ke baad do rakat aur Maghrib ke baad do rakat apne ghar mein parhte aur Isha ke baad do rakatein parhte aur Juma ke baad do rakatein jab ghar wapas hote tab parha karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {فَإِذَا قُضِيَتِ الصَّلاَةُ فَانْتَشِرُوا فِي الأَرْضِ وَابْتَغُوا مِنْ فَضْلِ اللَّهِ}:
Bab: Allah Azzawajal ka (Soorat-ul-Jumu’ah mein) ye farmana ke jab jumu’ah ki namaz khatm ho jaye to apne kaam-kaaj ke liye zameen mein phail jao aur Allah ke fazl (rozi, rizq ya ilm) ko dhoondo.
Hadith Number: 938
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل، قال:" كانت فينا امراة تجعل على اربعاء في مزرعة لها سلقا، فكانت إذا كان يوم جمعة تنزع اصول السلق فتجعله في قدر، ثم تجعل عليه قبضة من شعير تطحنها فتكون اصول السلق عرقه، وكنا ننصرف من صلاة الجمعة فنسلم عليها فتقرب ذلك الطعام إلينا فنلعقه، وكنا نتمنى يوم الجمعة لطعامها ذلك".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Ghassan Muhammad bin Matar Madni ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Hazim Salamah bin Dinar ne Sahl bin Saad ke waaste se byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke hamare yahan aik aurat thi jo nalon par apne aik khet mein chuqandar boti . Juma ka din aata to woh chuqandar ukhaar lateen aur ise aik haandi mein pakateen phir oopar se aik mutthi jao ka aata chhirak deteun . Is tarah yeh chuqandar gosht ki tarah ho jate . Juma se wapsi mein hum unhein salam karne ke liye hazir hote to yahi pakwan hamare aage kar deteun aur hum ise chaat jate . Hum log har Juma ko un ke is khane ke aarzoomand raha karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 939
حدثنا عبد الله بن مسلمة، قال: حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل بهذا، وقال:" ما كنا نقيل ولا نتغدى إلا بعد الجمعة".
Hum se Abdullah bin Muslimah Qanabi ne byaan kiya , kaha ke hum se Abdul Aziz bin Abi Hazim ne byaan kiya apne baap se aur un se Sahl bin Saad ne yahi byaan kiya aur farmaya ke dopehar ka sona aur dopehar ka khana Juma ki namaaz ke baad rakhte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَائِلَةِ بَعْدَ الْجُمُعَةِ:
Bab: Jumu’ah ki namaz ke baad sona.
Hadith Number: 940
حدثنا محمد بن عقبة الشيباني الكوفي، قال: حدثنا ابو إسحاق الفزاري، عن حميد، قال: سمعت انسا، يقول:" كنا نبكر إلى الجمعة ثم نقيل".
Hum se Muhammad bin Uqbah Shaybani ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Ishaq Fazari Ibrahim bin Muhammad ne byaan kiya , un se Humaid Taweel ne , unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna . Aap farmate thay ke hum Juma savere parhte , is ke baad dopehar ki neend lete thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 941
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل، قال:" كنا نصلي مع النبي صلى الله عليه وسلم الجمعة ثم تكون القائلة".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , kaha ke hum se Abu Ghassan ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abu Hazim ne Sahl bin Saad razi Allahu anhu se byaan kiya , unhon ne batlaya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sath Juma parhte , phir dopehar ki neend liya karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة