الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العلم
Kitab: Ilm ke bayan mein
باب من يرد الله به خيرا يفقهه فى الدين:
Bab: Is bare mein ke Allah Taala jis shakhs ke sath bhalai karna chahta hai usay deen ki samajh inayat farma deta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 71
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: قال حميد بن عبد الرحمن، سمعت معاوية خطيبا، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين، وإنما انا قاسم والله يعطي، ولن تزال هذه الامة قائمة على امر الله لا يضرهم من خالفهم حتى ياتي امر الله".
Hum se Sa’eed bin ’Ufair ne bayan kiya, un se Wahab ne Younus ke waaste se naql kiya, woh Ibn-e-Shihaab se naql karte hain, un se Humaid bin Abdur Rahman ne kaha ke main ne Mu’aawiyah se suna. Woh khutbah mein farmaa rahe the ke main ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh farmaate huwe suna ke jis shakhs ke saath Allah Ta’ala bhalaayi ka iradah kare use deen ki samajh inaayat farmaa deta hai aur main to mahez taqseem karne waala hun, dene waala to Allah hi hai aur yeh ummat hamesha Allah ke hukm par qaayim rahegi aur jo shakhs un ki mukhalafat karega, unhein nuqsaan nahi pahuncha sakega, yahan tak ke Allah ka hukm (qiyamat) aa jaaye (aur yeh aalam fana ho jaaye).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3116
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، عن يونس، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، انه سمع معاوية، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين والله المعطي وانا القاسم، ولا تزال هذه الامة ظاهرين على من خالفهم حتى ياتي امر الله وهم ظاهرون".
Hum se Habban Bin Musa ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Mubarak ne, unhein Yunus ne, unhein Zuhri ne, unhein Humaid Bin Abdur Rahman ne, unhon ne Muawiyah (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jis ke sath Allah Ta'ala bhalayi chahta hai ise deen ki samajh de deta hai. Aur dene wala to Allah hi hai mein to sirf taqseem karne wala hoon aur apne dushmanon ke muqable mein ye Ummat (Muslima) hamesha ghalib rahegi. Ta-aanke Allah ka hukm (Qiyamat) aa jaye aur is waqt bhi wo ghalib hi honge."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3316
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن كثير، عن عطاء، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما رفعه، قال:" خمروا الآنية، واوكوا الاسقية، واجيفوا الابواب، واكفتوا صبيانكم عند العشاء، فإن للجن انتشارا وخطفة، واطفئوا المصابيح عند الرقاد، فإن الفويسقة ربما اجترت الفتيلة فاحرقت اهل البيت، قال: ابن جريج وحبيب، عن عطاء فإن للشياطين.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Kaseer ne, un se Ata ne aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Paani ke bartanon ko dhak liya karo, mashkeezon (ke munh) ko baandh liya karo, darwaze band kar liya karo aur apne bacchon ko apne paas jama kar liya karo, kyunke sham hote hi jinnat (roye zameen par) phailte hain aur achakte phirte hain aur sote waqt chiragh bujha liya karo, kyunke mozi janwar (chooha) baaz auqat jalti batti ko khainch lata hai aur is tarah saare ghar ko jala deta hai." Ibn Juraij aur Habib ne bhi is ko Ata se riwayat kiya, is mein jinnat ke badal shayatin mazkoor hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3641
حدثنا الحميدي، حدثنا الوليد، قال: حدثني ابن جابر، قال: حدثني عمير بن هانئ، انه سمع معاوية، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا يزال من امتي امة قائمة بامر الله لا يضرهم من خذلهم، ولا من خالفهم حتى ياتيهم امر الله وهم على ذلك"، قال: عمير، فقال مالك بني خامر: قال معاذ وهم بالشام، فقال معاوية: هذا مالك يزعم انه سمع معاذا، يقول: وهم بالشام.
Hum se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Waleed ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yazid bin Jabir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Umair bin Hani ne bayan kiya aur unhon ne Muawiya bin Abi Sufyan se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna tha. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam farma rahe thay ke meri ummat mein hamesha ek giroh aisa maujood rahega jo Allah Ta'ala ki shariat par qaim rahega, unhein zaleel karne ki koshish karne wale aur isi tarah un ki mukhalifat karne wale unhein koi nuqsan na pahuncha sakein gay, yahan tak ke Qiyamat aa jayegi aur woh isi halat par rahein gay. Umair ne bayan kiya ke is par Malik bin Yakhamir ne kaha ke Mu'adh bin Jabal Radi Allahu Anhu ne kaha tha ke hamare zamane mein yeh log Shaam mein hain. Ameer Muawiya Radi Allahu Anhu ne kaha ke dekho yeh Malik bin Yakhamir yahan maujood hain, jo keh rahe hain ke unhon ne Mu'adh Radi Allahu Anhu se suna ke yeh log Shaam ke mulk mein hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7312
حدثنا إسماعيل، حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، اخبرني حميد، قال: سمعت معاوية بن ابي سفيان يخطب قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين، وإنما انا قاسم ويعطي الله ولن يزال امر هذه الامة مستقيما حتى تقوم الساعة، او حتى ياتي امر الله".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ibn Shihab ne unhein Humayd ne khabar di, kaha ke main ne Muawiyah bin Abi Sufyan raziAllahu anhuma se suna, woh khutba de rahe thay, unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah jis ke saath khair ka irada karta hai usay deen ki samajh ata farma deta hai aur main to sirf taqseem karne wala hoon aur deta Allah hai aur is ummat ka muamla hamesha durust rahe ga, yahan tak ke Qayamat qaim ho jaye ya (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yun farmaya ke) yahan tak ke Allah ka hukm aa pahunche.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7460
حدثنا الحميدي، حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا ابن جابر، حدثني عمير بن هانئ، انه سمع معاوية، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لا يزال من امتي امة قائمة بامر الله ما يضرهم من كذبهم ولا من خالفهم حتى ياتي امر الله وهم على ذلك"، فقال مالك بن يخامر: سمعت معاذا يقول: وهم بالشام، فقال معاوية: هذا مالك يزعم انه سمع معاذا، يقول: وهم بالشام.
Hum se Humaydi ne bayan kiya, kaha hum se Waleed bin Muslim ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Jabir ne bayan kiya, kaha mujh se Umair bin Hani ne bayan kiya, unhon ne Muawiyah razi Allahu anhuse suna, bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke meri ummat mein se ek giroh hamesha Quran wa hadees par qaim rahe ga, usay jhutlane wale aur mukhalifeen koi nuqsan nahi pahuncha sakein ge, yahan tak ke «amrul-laahi» (Qayamat) aa jaye gi aur woh isi haal mein hon ge. Is par Malik bin Yakhamir ne kaha ke main ne Maaz razi Allahu anhuse suna, woh kehte thay ke yeh giroh Sham mein ho ga. Is par Muawiyah razi Allahu anhune kaha ke yeh Malik razi Allahu anhukehte hain ke Maaz razi Allahu anhune kaha thu ke yeh giroh Sham mein ho ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة