الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الِاعْتِصَامِ بِالْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ
The Book of Holding Fast To The Qur’An and The Sunna
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «لاَ تَزَالُ طَائِفَةٌ مِنْ أُمَّتِي ظَاهِرِينَ عَلَى الْحَقِّ يُقَاتِلُونَ» . وَهُمْ أَهْلُ الْعِلْمِ:
Chapter. The statement of the Prophet (p.b.u.h.),“A group of my followers will remain victorious in their struggle in the cause of the Truth.”Those are the religious learned men (i.e., Mujtahidun).
Hadith Number: 7311
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسماعيل، عن قيس، عن المغيرة بن شعبة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يزال طائفة من امتي ظاهرين حتى ياتيهم امر الله وهم ظاهرون".
Hum se Ubaidullah bin Musa ne bayan kiya, in se Ismail ne, in se Qays ne, in se Mugheera bin Shubah razi Allahu anhune ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meri ummat ka ek giroh hamesha ghalib rahe ga (is mein ilmi wa deeni ghalba bhi dakhil hai) yahan tak ke Qayamat aa jaye gi aur woh ghalib hi rahein ge.“
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7312
حدثنا إسماعيل، حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، اخبرني حميد، قال: سمعت معاوية بن ابي سفيان يخطب قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" من يرد الله به خيرا يفقهه في الدين، وإنما انا قاسم ويعطي الله ولن يزال امر هذه الامة مستقيما حتى تقوم الساعة، او حتى ياتي امر الله".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah bin Wahb ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ibn Shihab ne unhein Humayd ne khabar di, kaha ke main ne Muawiyah bin Abi Sufyan raziAllahu anhuma se suna, woh khutba de rahe thay, unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah jis ke saath khair ka irada karta hai usay deen ki samajh ata farma deta hai aur main to sirf taqseem karne wala hoon aur deta Allah hai aur is ummat ka muamla hamesha durust rahe ga, yahan tak ke Qayamat qaim ho jaye ya (Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yun farmaya ke) yahan tak ke Allah ka hukm aa pahunche.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة