الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب أصحاب الحراب فى المسجد:
Bab: Chhote chhote nezon (bhalon) se masjid mein khelne walon ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 454
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان عائشة، قالت:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم يوما على باب حجرتي والحبشة يلعبون في المسجد، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه، انظر إلى لعبهم".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Saleh bin Kaisan ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Urwah bin Zubair ne khabar di ke Aisha raziyallahu anha ne kaha mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko ek din apne hijra ke darwaze par dekha . Is waqt Habsha ke kuch log masjid mein neezo se khel rahe thay hathiyar chalane ki mashq kar rahe thay Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne mujhe apni chadar mein chhupa liya taake mein un ka khel dekh sakun .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 455
زاد إبراهيم بن المنذر، حدثنا ابن وهب، اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، قالت: رايت النبي صلى الله عليه وسلم والحبشة يلعبون بحرابهم.
Ibrahim bin Al-Munzir se riwayat mein yeh zyadti manqool hai ke unhon ne kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya , kaha ke mujhe Yunus ne Ibn Shihab ke wastay se khabar di , unhon ne Urwah se , unhon ne Aisha raziyallahu anha se ke mein ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ko dekha jab ke Habsha ke log chhote neezo bhalon se masjid mein khel rahe thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 950
وكان يوم عيد يلعب السودان بالدرق والحراب فإما سالت النبي صلى الله عليه وسلم وإما قال: تشتهين تنظرين فقلت: نعم، فاقامني وراءه خدي على خده وهو يقول: دونكم يا بني ارفدة حتى إذا مللت، قال: حسبك، قلت: نعم، قال: فاذهبي".
Aur yeh Eid ka din tha . Habshah ke kuch log dhalon aur barchhon se khel rahe thay . Ab khud main ne kaha ya Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tum yeh khel dekho gi? Main ne kaha ji haan . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe apne peeche khara kar liya . Mera rukhsar Aap salla Allahu alaihi wasallam ke rukhsar par tha aur Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay khelo khelo ay Bani Arfidah yeh Habshah ke logon ka laqab tha phir jab main thak gayi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”bas!“ main ne kaha ji haan . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jao .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 977
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى، عن سفيان، قال: حدثني عبد الرحمن بن عابس، قال: سمعت ابن عباس، قيل له:" اشهدت العيد مع النبي صلى الله عليه وسلم، قال: نعم، ولولا مكاني من الصغر ما شهدته حتى اتى العلم الذي عند دار كثير بن الصلت، فصلى، ثم خطب، ثم اتى النساء ومعه بلال فوعظهن وذكرهن وامرهن بالصدقة، فرايتهن يهوين بايديهن يقذفنه في ثوب بلال، ثم انطلق هو وبلال إلى بيته".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne Sufyan Thauri se byaan kiya , kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Abis ne byaan kiya , kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , in se daryaft kiya gaya tha ke kya aap Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sath Eidgah gaye thay? Unhon ne farmaya ke haan aur agar bawajood kam-umri ke meri qadr o manzilat Aap ke yahan na hoti to main ja nahi sakta tha . Aap is nishan par aaye jo Kaseer bin Salt ke ghar ke qareeb hai . Aap ne wahan namaaz parhayi phir khutbah diya . Is ke baad auraton ki taraf aaye . Aap ke sath Bilal razi Allahu anhu bhi thay . Aap ne unhein waaz aur nasihat ki aur sadqa ke liye kaha . Chunanche main ne dekha ke auraten apne haathon se Bilal razi Allahu anhu ke kapre mein daale ja rahi theen . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Bilal razi Allahu anhu ghar wapas hue .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2906
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني ابن وهب، قال: عمرو حدثني ابو الاسود، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها" دخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم وعندي جاريتان تغنيان بغناء بعاث فاضطجع على الفراش وحول وجهه فدخل ابو بكر فانتهرني، وقال: مزمارة الشيطان عند رسول الله صلى الله عليه وسلم فاقبل عليه رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" دعهما فلما غفل غمزتهما فخرجتا.
Hum se Ismail ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya ke Amr ne kaha ke mujh se Abul Aswad ne bayan kiya, un se Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) mere yahan tashreef laye to do larkiyan mere paas jung-e-Baas ke geet ga rahi thiin. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) bistar par lait gaye aur chehra mubarak doosri taraf kar liya is ke baad Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) aa gaye aur aap ne mujhe danta ke ye shaitani gana aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki maujoodgi mein! Lekin aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) un ki taraf mutawajje hue aur farmaya ke inhein gane do, phir jab Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) doosri taraf mutawajje ho gaye to mein ne un larkiyon ko ishara kiya aur wo chali gayiin
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3529
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، ان ابا بكر رضي الله عنه" دخل عليها وعندها جاريتان في ايام منى تغنيان وتدففان وتضربان، والنبي صلى الله عليه وسلم متغش بثوبه فانتهرهما ابو بكر فكشف النبي صلى الله عليه وسلم عن وجهه، فقال: دعهما يا ابا بكر فإنها ايام عيد وتلك الايام ايام منى.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) in ke yahan tashreef laye to wahan (Ansar ki) do larkiyan duf baja kar ga rahi thien. Ye Hajj ke ayyam-e-Mina ka waqia hai. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ruy-e-mubarak par kapra dale hue lete hue thay. Abu Bakr (Radi Allahu Anhu) ne unhein danta to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne chehra mubarak se kapra hata kar farmaya "Abu Bakr! Unhein chor do, ye Eid ke din hain, ye Mina mein thehrne ke din thay
."


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3931
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، ان ابا بكر دخل عليها والنبي صلى الله عليه وسلم عندها يوم فطر او اضحى , وعندها قينتان تغنيان بما تقاذفت الانصار يوم بعاث، فقال ابو بكر:" مزمار الشيطان مرتين"، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" دعهما يا ابا بكر إن لكل قوم عيدا , وإن عيدنا هذا اليوم".
Mujh se Muhammad Bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha Radi Allahu Anha ne ke Abu Bakr Siddiq Radi Allahu Anhu in ke yahan aaye to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam bhi wahin tashreef rakhte thay Eid-ul-Fitr ya Eid-ul-Adha ka din tha, do larkiyan Yaum-e-Buas ke bare mein wo ashaar parh rahi theen jo Ansar ke shu'ara ne apne fakhar mein kahe thay. Abu Bakr Radi Allahu Anhu ne kaha ye shaitani gaane baaje! (Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke ghar mein) do martaba unhon ne ye jumla dohraya, lekin aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”Abu Bakr! Unhein chor do. Har qaum ki eid hoti hai aur hamari eid aaj ka ye din hai.“
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5190
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا هشام، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة، قالت:" كان الحبش يلعبون بحرابهم، فسترني رسول الله صلى الله عليه وسلم وانا انظر، فما زلت انظر حتى كنت انا انصرف فاقدروا قدر الجارية الحديثة السن تسمع اللهو".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke kuch fauji khel ka nezah-baazi se mazahira kar rahe thay , to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (apne jism e mubarak se) mere liye parda kiya aur main woh khel dekhti rahi . Main ne usay der tak dekha aur khud hi ukata kar laut aayi . Ab tum khud samajh lo ke ek kam umr larki khel ko kitni der tak dekh sakti hai aur is mein dil-chaspi le sakti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5236
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، عن عيسى، عن الاوزاعي، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" رايت النبي صلى الله عليه وسلم يسترني بردائه وانا انظر إلى الحبشة يلعبون في المسجد حتى اكون انا التي اسام، فاقدروا قدر الجارية الحديثة السن الحريصة على اللهو".
Hum se Ishaq bin Ibrahim Hanzhali ne byaan kiya, un se Esa bin Yunus ne byaan kiya, un se Awzai ne, un se Zuhri ne, un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne dekha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere liye apni chadar se parda kiye huay hain. Main Habsha ke in logon ko dekh rahi thi jo masjid mein (jangi) khel ka mazahira kar rahe thay, aakhir main hi ukata gayi. Ab tum samajh lo ek kam umr larki jis ko khel tamasha dekhne ka bara shauq hai kitni der tak dekhti rahi ho gi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة