الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مناقب الأنصار
Kitab: Ansar ke manaqib
باب هجرة النبى صلى الله عليه وسلم وأصحابه إلى المدينة:
Bab: Nabi Karim ﷺ aur Aap ke Sahaba-e-Kiram ka Madinah ki taraf hijrat karna.
Show diacritics
Hadith Number: 3897
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الاعمش، قال: سمعت ابا وائل، يقول: عدنا خبابا، فقال:" هاجرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم نريد وجه الله فوقع اجرنا على الله , فمنا من مضى لم ياخذ من اجره شيئا منهم مصعب بن عمير قتل يوم احد وترك نمرة , فكنا إذا غطينا بها راسه بدت رجلاه، وإذا غطينا رجليه بدا راسه , فامرنا رسول الله صلى الله عليه وسلم ان نغطي راسه ونجعل على رجليه شيئا من إذخر , ومنا من اينعت له ثمرته فهو يهدبها".
Hum se (Abdullah Bin Zubair) Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Amash ne bayan kiya, kaha ke mein ne Abu Wail Shaqeeq Bin Salama se suna, unhon ne bayan kiya ke hum Khabbab Bin Aratt Radi Allahu Anhu ki iyadat ke liye gaye to unhon ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se sath hum ne sirf Allah ki khushnoodi hasil karne ke liye hijrat ki thi. Allah Ta'ala humein is ka ajr de ga. Phir hamare bahut se sathi is duniya se uth gaye aur unhon ne (duniya mein) apne aamaal ka phal nahi dekha. Unhein mein Mus'ab Bin Umair Radi Allahu Anhu Uhud ki larai mein shaheed kiye gaye thay aur sirf ek dhari dar chadar chori thi. (Kafan dete waqt) jab hum un ki chadar se un ka sar dhankte to paon khul jaate aur paon dhankte to sar khul jata. Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne humein hukm diya ke un ka sar dhank dein aur paon par izkhir ghaas daal dein. (Taake chup jayein) aur hum mein aise bhi hain ke (is duniya mein bhi) un ke aamaal ka mewa pakk gaya, pas wo is ko chun rahe hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1276
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا شقيق، حدثنا خباب رضي الله عنه , قال:" هاجرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم نلتمس وجه الله فوقع اجرنا على الله، فمنا من مات لم ياكل من اجره شيئا منهم مصعب بن عمير، ومنا من اينعت له ثمرته فهو يهدبها قتل يوم احد فلم نجد ما نكفنه إلا بردة إذا غطينا بها راسه خرجت رجلاه وإذا غطينا رجليه خرج راسه , فامرنا النبي صلى الله عليه وسلم اننغطي راسه، وان نجعل على رجليه من الإذخر".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se mere waalid ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Amash ne byaan kiya ‘ kaha ke hum se Shaqiq ne byaan kiya ‘ kaha hum se Khabbab bin Arat razi Allahu anhu ne byaan kiya ‘ ke hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath sirf Allah ke liye hijrat ki . Ab humein Allah Ta'ala se ajr milna hi tha . Hamare baaz sathi to intiqal kar gaye aur (is dunya mein) unhon ne apne kiye ka koi phal nahin dekha . Musab bin Umair razi Allahu anhu bhi unhein logon mein se thay aur hamare baaz sathiyon ka mewa pak gaya aur woh chun chun kar khata hai . (Musab bin Umair razi Allahu anhu) Uhud ki larayi mein shaheed huay hum ko un ke kafan mein ek chadar ke siwa aur koi cheez na mili aur woh bhi aisi ke agar is se sar chhupate hain to paon khul jata hai aur agar paon dhakte to sar khul jata . Aakhir yeh dekh kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke sar ko chhupa dein aur paon par sabz ghaas izkhir nami daal dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3914
وحدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن الاعمش، قال: سمعت شقيق بن سلمة، قال: حدثنا خباب، قال:" هاجرنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم نبتغي وجه الله , ووجب اجرنا على الله , فمنا من مضى لم ياكل من اجره شيئا منهم مصعب بن عمير قتل يوم احد فلم نجد شيئا نكفنه فيه إلا نمرة , كنا إذا غطينا بها راسه خرجت رجلاه , فإذا غطينا رجليه خرج راسه , فامرنا رسول الله صلى الله عليه وسلم ان نغطي راسه بها ونجعل على رجليه من إذخر , ومنا من اينعت له ثمرته فهو يهدبها".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha un se Yahya Bin Saeed Qattan ne bayan kiya, un se Amash ne, unhon ne Shaqeeq Bin Salama se suna, kaha ke hum se Khabbab Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath hijrat ki to hamara maqsad sirf Allah ki raza thi aur Allah Ta'ala humein is ka ajr bhi zarooro de ga. Pas hum mein se baaz to pehle hi is duniya se uth gaye. Aur yahan apna koi badla unhon ne nahi paya. Mus'ab Bin Umair Radi Allahu Anhu bhi unhein mein se hain. Uhud ki larai mein unhon ne shahadat payi. Aur un ke kafan ke liye hamare paas ek kambal ke siwa aur kuch nahi tha. Aur wo bhi aisa ke agar is se hum un ka sar chupate to un ke paon khul jaate. Aur agar paon chupate to sar khula reh jata. Chunanche Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne hukm diya ke un ka sar chupa diya jaye aur paon ko izkhir ghaas se chupa diya jaye. Aur hum mein baaz wo hain jinhon ne apne amal ka phal is duniya mein pukhta kar liya. Aur ab wo is ko khoob chun rahe hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4047
حدثنا احمد بن يونس , حدثنا زهير , حدثنا الاعمش , عن شقيق , عن خباب بن الارت رضي الله عنه , قال: هاجرنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم نبتغي وجه الله , فوجب اجرنا على الله ومنا من مضى او ذهب لم ياكل من اجره شيئا , كان منهم مصعب بن عمير قتل يوم احد لم يترك إلا نمرة كنا إذا غطينا بها راسه خرجت رجلاه , وإذا غطي بها رجلاه خرج راسه , فقال لنا النبي صلى الله عليه وسلم:" غطوا بها راسه واجعلوا على رجله الإذخر" , او قال:" القوا على رجله من الإذخر" , ومنا من قد اينعت له ثمرته فهو يهدبها.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhair Bin Muawiya ne bayan kiya, un se Aamash ne bayan kiya, un se Shaqiq Bin Salama ne aur un se Khabbab Bin Al-Aratt Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum ne Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath hijrat ki thi. Hamara maqsad sirf Allah ki raza thi. Is ka sawab Allah ke zimme tha. Phir hum mein se baaz log to wo thay jo guzar gaye aur koi ajr unhon ne is duniya mein nahi dekha, unhein mein se Musab Bin Umair Radi Allahu Anhu bhi thay. Uhud ki larayi mein unhon ne shahadat payi thi. Ek dhari dar chadar ke siwa aur koi cheez in ke pas nahi thi (aur wahi in ka kafan bani) jab hum is se in ka sar chupate to paon khul jate aur paon chupate to sar khul jata. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke sar chadar se chupa do aur paon par izkhir ghas daal do. Ya Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye alfaz farmaye thay ke «alqu ala rijlihi minal izkhir» bajaye «ij'alu ala rijlihi al-izkhir» ke aur hum baaz wo thay jinhein in ke is amal ka badla (isi duniya mein) mil raha hai aur wo is se faida utha rahe hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4082
حدثنا احمد بن يونس حدثنا زهير حدثنا الاعمش عن شقيق عن خباب رضي الله عنه قال هاجرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم ونحن نبتغي وجه الله، فوجب اجرنا على الله، فمنا من مضى او ذهب لم ياكل من اجره شيئا، كان منهم مصعب بن عمير قتل يوم احد، فلم يترك إلا نمرة كنا إذا غطينا بها راسه خرجت رجلاه، وإذا غطي بها رجلاه خرج راسه، فقال لنا النبي صلى الله عليه وسلم: «غطوا بها راسه، واجعلوا على رجليه الإذخر» . او قال: «القوا على رجليه من الإذخر» . ومنا من اينعت له ثمرته فهو يهدبها.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhair ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, un se Shaqiq ne aur un se Khabbab Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath hijrat ki aur hamara maqsad is se sirf Allah Ta'ala ki raza mandi hasil karna tha. Zaroori tha ke Allah Ta'ala humein is par sawab deta. Hum mein se baaz log to wo thay jo Allah se ja mile aur (duniya mein) unhon ne apna koi sawab nahi dekha. Musab Bin Umair Radi Allahu Anhu bhi unhein mein se thay. Ghazwa Uhud mein unhon ne shahadat payi aur ek chadar ke siwa aur koi cheez unhon ne nahi chori. Is chadar se (kafan deyte waqt) jab hum in ka sar chupate to paon khul jate aur paon chupate to sar khul jata tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne hum se farmaya ” «ghattu biha rasahu, waj'alu ala rijlaihil izkhir» chadar se sar chupa do aur paon par izkhir ghas rakh do.“ Ya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yun farmaya ” «alqu ala rijlaihi minal izkhir» yani in ke pairon par izkhir ghas daal do.“ (Dono jumlon ka matlab ek hi hai) aur hum mein baaz wo hain jinhein in ke is amal ka phal (isi duniya mein) de diya gaya aur wo is se khoob faida utha rahe hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6432
حدثنا محمد بن كثير، عن سفيان، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن خباب رضي الله عنه، قال:" هاجرنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم قصه".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne bayan kiya , in se Sufyan bin Uyaynah ne , in se Aamash ne in se Abu Wail ne aur in se Khabbab bin al-Arat razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath Hijrat ki thi aur is ka qissa bayan kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6448
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الاعمش، قال: سمعت ابا وائل، قال: عدنا خبابا، فقال" هاجرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم نريد وجه الله، فوقع اجرنا على الله، فمنا من مضى لم ياخذ من اجره منهم مصعب بن عمير قتل يوم احد وترك نمرة، فإذا غطينا راسه بدت رجلاه، وإذا غطينا رجليه بدا راسه، فامرنا النبي صلى الله عليه وسلم ان نغطي راسه ونجعل على رجليه شيئا من الإذخر، ومنا من اينعت له ثمرته فهو يهدبها".
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , kaha hum se Aamash ne , kaha ke main ne Abu Wail se suna , kaha ke hum ne Khabbab bin al-Arat razi Allahu anhu se suna , unhon ne bayan kiya ke hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Allah Ta'ala ki raza haasil karne ke liye Hijrat ki . Chunanche hamara ajar Allah ke zimma raha . Pas hum mein se koi to guzar gaya aur apna ajar (is duniya mein) nahi liya . Musab bin Umair razi Allahu anhu (unhi) mein se thay , woh Jang e Uhud ke mauqa par shaheed ho gaye thay aur ek chadar chhorri ku (is chadar ka un ko kafan diya gaya thu) is chadar se hum agar in ka sar dhak-te to in ke paon khul jaate aur paon dhak-te to sar khul jata . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain hukm diya ke hum in ka sar dhak dein aur paon par izkhir ghaas daal dein aur koi hum mein se aise huay jin ke phal khoob pake aur woh maze se chun chun kar kha rahe hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة