الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْمَغَازِي
The Book of Al- Maghazi
بَابُ مَنْ قُتِلَ مِنَ الْمُسْلِمِينَ يَوْمَ أُحُدٍ:
Chapter. The Muslims who were killed on the day (of the battle) of Uhud.
Show diacritics
Hadith Number: Q4078
منهم حمزة بن عبد المطلب واليمان وانس بن النضر ومصعب بن عمير.
Un hi mein Hamza Bin Abdul Muttalib, Abu Huzaifa Al-Yaman, Anas Bin Nazr aur Musab Bin Umair (Radi Allahu Anhum) bhi thay
.


Show diacritics
Hadith Number: 4078
حدثني عمرو بن علي حدثنا معاذ بن هشام قال: حدثني ابي عن قتادة قال ما نعلم حيا من احياء العرب اكثر شهيدا اعز يوم القيامة من الانصار. قال قتادة وحدثنا انس بن مالك انه قتل منهم يوم احد سبعون، ويوم بئر معونة سبعون، ويوم اليمامة سبعون، قال وكان بئر معونة على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، ويوم اليمامة على عهد ابي بكر يوم مسيلمة الكذاب.
Hum se Amr Bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Muaz Bin Hisham ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere walid ne bayan kiya, un se Qatada ne bayan kiya ke Arab ke tamam qabail mein koi qabila Ansar ke muqable mein is izzat ko hasil nahi kar saka ke is ke sab se zyada aadmi shaheed hue aur wo qabila qayamat ke din sab se zyada izzat ke sath utthe ga. Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne hum se bayan kiya ke Ghazwa Uhud mein qabila-e-Ansar ke sattar aadmi shaheed hue aur Bir Mauna ke hadise mein is ke sattar aadmi shaheed hue aur Yamama ki larayi mein is ke sattar aadmi shaheed hue. Ravi ne bayan kiya ke Bir Mauna ka waqia Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke waqt mein pesh aaya tha aur Yamama ki jung Abu Bakr Radi Allahu Anhu ke ahd-e-khilafat mein hui thi jo Musailma Kazzab se hui thi
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4079
حدثنا قتيبة بن سعيد حدثنا الليث عن ابن شهاب عن عبد الرحمن بن كعب بن مالك ان جابر بن عبد الله رضي الله عنهما اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يجمع بين الرجلين من قتلى احد في ثوب واحد ثم يقول: «ايهم اكثر اخذا للقرآن» . فإذا اشير له إلى احد، قدمه في اللحد، وقال: «انا شهيد على هؤلاء يوم القيامة» . وامر بدفنهم بدمائهم، ولم يصل عليهم، ولم يغسلوا.
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Abdur Rahman Bin Kaab Bin Malik ne aur unhein Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Uhud ke shuhada ko ek hi kapre mein do do ko kafan diya aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam daryaft farmate ke in mein Quran ka aalim sab se zyada kaun hai? Jab kisi ek ki taraf ishara kar ke Aap ko bataya jata to lahad mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam unhi ko aage farmate. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke qayamat ke din mein in sab par gawah rahoonga. Phir Aap ne tamam shuhada ko khoon samait dafan karne ka hukm farma diya aur in ki namaz-e-janaza nahi parhi aur na unhein ghusal diya gaya
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4080
وقال ابو الوليد عن شعبة عن ابن المنكدر قال: سمعت جابرا قال لما قتل ابي جعلت ابكي واكشف الثوب عن وجهه، فجعل اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم ينهوني والنبي صلى الله عليه وسلم لم ينه، وقال النبي صلى الله عليه وسلم: «لا تبكيه او ما تبكيه، ما زالت الملائكة تظله باجنحتها حتى رفع» .
Aur Abul Walid ne bayan kiya, un se Shuba ne, un se Ibn Al-Munkadir ne, unhon ne Jabir Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke mere walid Abdullah Radi Allahu Anhu shaheed kar diye gaye to mein rone laga aur bar bar in ke chehre se kapra hatata. Sahaba mujhe rokte thay lekin Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne nahi roka. (Fatima Bint-e-Amr Radi Allahu Anha Abdullah ki bahen bhi rone lagin) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un se farmaya ke roo mat. (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne «la tabkihi» farmaya, ya «ma tabkihi» . Ravi ko shaq ho gaya) Farishte barabar in ki lash par apne paron ka saye kiye hue thay. Yahan tak ke un ko utha liya gaya
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4081
حدثنا محمد بن العلاء حدثنا ابو اسامة عن بريد بن عبد الله بن ابي بردة عن جده ابي بردة عن ابي موسى رضي الله عنه ارى عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: «رايت في رؤياي اني هززت سيفا فانقطع صدره، فإذا هو ما اصيب من المؤمنين يوم احد، ثم هززته اخرى فعاد احسن ما كان، فإذا هو ما جاء به الله من الفتح واجتماع المؤمنين، ورايت فيها بقرا والله خير، فإذا هم المؤمنون يوم احد» .
Hum se Muhammad Bin Alaa ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Yazid Bin Abdullah Bin Abi Burda ne, un se in ke dada Abu Burda ne aur un se Abu Musa Ash'ari Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ”Mein ne khwab mein dekha ke mein ne talwar ko hilaya aur is se is ki dhaar toot gayi. Is ki tabeer musalmanon ke is nuqsan ki shakl mein zahir hui jo Ghazwa Uhud mein unhein uthana para tha. Phir mein ne dubara is talwar ko hilaya, to phir wo is se bhi zyada umda ho gayi jaisi pehle thi. Is ki tabeer Allah Ta'ala ne fatah aur musalmanon ke phir az-sar-e-nau ijtima ki surat mein zahir ki. Mein ne isi khwab mein ek gaye dekhi thi (jo zibah ho rahi thi) aur Allah Ta'ala ke tamam kaam khair-o-barkat liye hote hain. Is ki tabeer wo musalman thay (jo) Uhud ki larayi mein (shaheed hue)“
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 4082
حدثنا احمد بن يونس حدثنا زهير حدثنا الاعمش عن شقيق عن خباب رضي الله عنه قال هاجرنا مع النبي صلى الله عليه وسلم ونحن نبتغي وجه الله، فوجب اجرنا على الله، فمنا من مضى او ذهب لم ياكل من اجره شيئا، كان منهم مصعب بن عمير قتل يوم احد، فلم يترك إلا نمرة كنا إذا غطينا بها راسه خرجت رجلاه، وإذا غطي بها رجلاه خرج راسه، فقال لنا النبي صلى الله عليه وسلم: «غطوا بها راسه، واجعلوا على رجليه الإذخر» . او قال: «القوا على رجليه من الإذخر» . ومنا من اينعت له ثمرته فهو يهدبها.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Zuhair ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, un se Shaqiq ne aur un se Khabbab Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath hijrat ki aur hamara maqsad is se sirf Allah Ta'ala ki raza mandi hasil karna tha. Zaroori tha ke Allah Ta'ala humein is par sawab deta. Hum mein se baaz log to wo thay jo Allah se ja mile aur (duniya mein) unhon ne apna koi sawab nahi dekha. Musab Bin Umair Radi Allahu Anhu bhi unhein mein se thay. Ghazwa Uhud mein unhon ne shahadat payi aur ek chadar ke siwa aur koi cheez unhon ne nahi chori. Is chadar se (kafan deyte waqt) jab hum in ka sar chupate to paon khul jate aur paon chupate to sar khul jata tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne hum se farmaya ” «ghattu biha rasahu, waj'alu ala rijlaihil izkhir» chadar se sar chupa do aur paon par izkhir ghas rakh do.“ Ya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yun farmaya ” «alqu ala rijlaihi minal izkhir» yani in ke pairon par izkhir ghas daal do.“ (Dono jumlon ka matlab ek hi hai) aur hum mein baaz wo hain jinhein in ke is amal ka phal (isi duniya mein) de diya gaya aur wo is se khoob faida utha rahe hain
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain