الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الصلاة
Kitab: Namaz ke ahkam o masail
باب ما يستر من العورة:
Bab: Satr ka bayan jis ko dhankna chahiye.
Hadith Number: 367
حدثنا قتيبة بن سعيد، قال: حدثنا ليث، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابي سعيد الخدري، انه قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن اشتمال الصماء، وان يحتبي الرجل في ثوب واحد ليس على فرجه منه شيء".
Hum se Qutaiba bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Laith ne Ibn Shihab se bayan kiya, unhon ne Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah se, unhon ne Abu Saeed Khudri se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne samma ki tarah kapra badan par lapait lene se mana farmaya aur is se bhi mana farmaya ke aadmi ek kapre mein ihtiba kare aur is ki sharmgah par alaihida koi doosra kapra na ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 368
حدثنا قبيصة بن عقبة، قال: حدثنا سفيان، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن بيعتين، عن اللماس والنباذ، وان يشتمل الصماء، وان يحتبي الرجل في ثوب واحد".
Hum se Qabeesah bin Uqbah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya, jo Abu al-Zinad se naqal karte hain, woh Aaraj se, woh Abu Hurairah Razi Allah Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne do tarah ki bay o farokht se mana farmaya. Ek to chhune ki bay se, doosre phenkne ki bay se aur ishtimal-e-samma se (jis ka bayan oopar guzra) aur ek kapre mein goat maar kar baithne se.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 584
حدثنا عبيد بن إسماعيل، عن ابي اسامة، عن عبيد الله، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن بيعتين وعن لبستين وعن صلاتين نهى عن الصلاة بعد الفجر حتى تطلع الشمس، وبعد العصر حتى تغرب الشمس، وعن اشتمال الصماء، وعن الاحتباء في ثوب واحد يفضي بفرجه إلى السماء، وعن المنابذة والملامسة".
Hum se Ubaid bin Ismail ne bayan kiya , unhon ne Abi Usama ke wastay se bayan kiya . Unhon ne Ubaidullah bin Umar se , unhon ne Khubaib bin Abdur Rahman se , unhon ne Hafs bin Aasim se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne do tarah ki khareed o farokht aur do tarah ke libas aur do waqton ki namazon se mana farmaya . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne namaz fajr ke baad sooraj nikalne tak aur namaz asr ke baad ghuroob hone tak namaz parhne se mana farmaya aur kapron mein ishtimal sama yani ek kapra apne upar is tarah lapet lena ke sharmgah khul jaye . Aur ihtiba yani ek kapre mein got maar kar baithne se mana farmaya . Aur khareed o farokht mein aap salla Allahu alaihi wa sallam ne munabiza aur mulamisa se mana farmaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1991
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا عمرو بن يحيى، عن ابيه، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن صوم يوم الفطر والنحر، وعن الصماء، وان يحتبي الرجل في ثوب واحد.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, un se Wuhaib ne bayan kiya, kaha ke hum se Amr Bin Yahya ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Eid-ul-Fitr aur qurbani ke dinon ke rozon ki maman'at ki thi aur ek kapra saare badan par lapait lene se aur ek kapre mein got maar kar baithne se
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1992
وعن صلاة بعد الصبح والعصر".
Aur subah aur asr ke baad namaz parhne se (mana farmaya)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2144
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عامر بن سعد، ان ابا سعيد رضي الله عنه، اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن المنابذة وهي طرح الرجل ثوبه بالبيع إلى الرجل قبل ان يقلبه او ينظر إليه، ونهى عن الملامسة، والملامسة لمس الثوب لا ينظر إليه".
Hum se Saeed Bin Afir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Liath Bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Aamir Bin Saeed ne khabar di, aur unhein Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne munabaza ki bai se mana farmaya tha. Is ka tareeqa ye tha ke ek aadmi bechne ke liye apna kapra doosre shakhs ki taraf (jo khareedar hota) phainkta aur is se pehle ke wo usay ulte palte ya is ki taraf dekhe (sirf phaink dene ki wajah se wo bai lazim samjhi jati thi) isi tarah Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bai-e-mulamasa se bhi mana farmaya. Is ka ye tareeqa tha ke (khareedne wala) kapre ko baghair dekhe sirf usay chhoo deta (aur isi se bai lazim ho jati thi usay bhi dhoka ki bai qarar diya gaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2145
حدثنا قتيبة، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" نهي عن لبستين، ان يحتبي الرجل في الثوب الواحد ثم يرفعه على منكبه، وعن بيعتين اللماس والنباذ".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Sireen ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke do tarah ke libas pehn-ne mana hain. ke koi aadmi ek hi kapre mein got maar kar baithe, phir usay monde par utthakar daal le (aur sharmgah khuli rahe) aur do tarah ki bai se mana kiya ek bai-e-mulamasa se aur doosri bai-e-munabaza se
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2147
حدثنا عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا معمر، عن الزهري، عن عطاء بن يزيد، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن لبستين، وعن بيعتين: الملامسة، والمنابذة".
Hum se Ayash Bin Waleed ne bayan kiya, un se Abdul Ala ne bayan kiya, un se Mamar ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Ata Bin Yazid ne aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do tarah ke libas se mana farmaya, aur do tarah ki bai, bai-e-mulamasa aur bai-e-munabaza se mana farmaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5820
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عامر بن سعد، ان ابا سعيد الخدري، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن لبستين، وعن بيعتين: نهى عن الملامسة، والمنابذة في البيع"، والملامسة: لمس الرجل ثوب الآخر بيده بالليل او بالنهار ولا يقلبه إلا بذلك، والمنابذة: ان ينبذ الرجل إلى الرجل بثوبه وينبذ الآخر ثوبه ويكون ذلك بيعهما عن غير نظر ولا تراض، واللبستين: اشتمال الصماء، والصماء: ان يجعل ثوبه على احد عاتقيه فيبدو احد شقيه ليس عليه ثوب واللبسة الاخرى احتباؤه بثوبه وهو جالس ليس على فرجه منه شيء.
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, kaha hum se Layth ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Aamir bin Saad ne khabar di, aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne do tarah ke pehnawe aur do tarah ki khareed o farokht se mana farmaya. Khareed o farokht mein mulamisa aur munabizha se mana farmaya. Mulamisa ki surat yeh thi ke ek shakhs (khareedar) doosre (bechne wale) ke kapre ko raat ya din mein kisi bhi waqt bas chhoo deta (aur dekhe baghair sirf chhoone se bay ho jati) sirf chhoona hi kafi tha khol kar dekha nahi jata tha. Munabizha ki surat yeh thi ke ek shakhs apni milkiyat ka kapra doosre ki taraf phenkta aur doosra apna kapra phenkta aur baghair dekhe aur baghair bahami raza-mandi ke sirf isi se bay munaqid ho jati aur do kapre (jin se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mana farmaya unhi mein se ek) ishtimal e sima hai. Sima ki surat yeh thi ke apna kapra (ek chadar) apne ek shaane par is tarah dala jata ke ek kinara se (sharmgah) khul jati aur koi doosra kapra wahan nahi hota tha. Doosre pehnawe ka tariqa yeh thi ke baith kar apne ek kapre se kamar aur pindli baandh laite thay aur sharmgah par koi kapra nahi hota tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5821
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن لبستين: ان يحتبي الرجل في الثوب الواحد ليس على فرجه منه شيء، وان يشتمل بالثوب الواحد ليس على احد شقيه، وعن الملامسة، والمنابذة".
Hum se Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, in se Abu al-Zinad ne bayan kiya, in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do tarah ke pehnawe se mana farmaya yeh ke koi shakhs ek hi kapre se apni kamar aur pindli ko mila kar baandh le aur sharmgah par koi doosra kapra na ho aur yeh ke koi shakhs ek kapre ko is tarah jism par lapeite ke ek taraf kapre ka koi hissa na ho aur Aap ne mulamisa aur munabizha se mana farmaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5822
حدثني محمد، قال: اخبرني مخلد، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم:" نهى عن اشتمال الصماء، وان يحتبي الرجل في ثوب واحد ليس على فرجه منه شيء".
Mujh se Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Makhlad ne khabar di, unhon ne kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di, unhon ne kaha ke mujhe Ibn Shihab ne khabar di, unhon ne kaha hamain Ubaidullah bin Abdullah ne aur unhein Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ishtimal e sima se mana farmaya aur is se bhi ke koi shakhs ek kapre se pindli aur kamar ko mila le aur sharmgah par koi doosra kapra na ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6284
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن الزهري، عن عطاء بن يزيد الليثي، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن لبستين، وعن بيعتين: اشتمال الصماء، والاحتباء في ثوب واحد ليس على فرج الإنسان منه شيء، والملامسة، والمنابذة"، تابعه معمر، ومحمد بن ابي حفصة، وعبد الله بن بديل، عن الزهري.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya, in se Zuhri ne bayan kiya, in se Ata bin Yazid Laysi ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne do tarah ke pehnawe se aur do tarah ki khareed o farokht se mana farmaya thu. Ishtimal e sima aur ek kapre mein is tarah ihtiba karne se ke insan ki sharmgah par koi cheez na ho aur mulamast aur munabizat se. Is riwayat ki mutabia-t Mamar, Muhammad bin Abi Hafsa aur Abdullah bin Badeel ne Zuhri se ki hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة