الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الْبُيُوعِ
The Book of Sales (Bargains)
بَابُ بَيْعِ الْمُلاَمَسَةِ:
Chapter. Al-Limas or Mulamasa sale, i.e., by touching the thing only and not looking at it.
Show diacritics
Hadith Number: Q2144
وقال انس نهى عنه النبي صلى الله عليه وسلم.
Aur Anas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se mana farmaya hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 2144
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عامر بن سعد، ان ابا سعيد رضي الله عنه، اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن المنابذة وهي طرح الرجل ثوبه بالبيع إلى الرجل قبل ان يقلبه او ينظر إليه، ونهى عن الملامسة، والملامسة لمس الثوب لا ينظر إليه".
Hum se Saeed Bin Afir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Liath Bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Aamir Bin Saeed ne khabar di, aur unhein Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne munabaza ki bai se mana farmaya tha. Is ka tareeqa ye tha ke ek aadmi bechne ke liye apna kapra doosre shakhs ki taraf (jo khareedar hota) phainkta aur is se pehle ke wo usay ulte palte ya is ki taraf dekhe (sirf phaink dene ki wajah se wo bai lazim samjhi jati thi) isi tarah Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bai-e-mulamasa se bhi mana farmaya. Is ka ye tareeqa tha ke (khareedne wala) kapre ko baghair dekhe sirf usay chhoo deta (aur isi se bai lazim ho jati thi usay bhi dhoka ki bai qarar diya gaya
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 2145
حدثنا قتيبة، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" نهي عن لبستين، ان يحتبي الرجل في الثوب الواحد ثم يرفعه على منكبه، وعن بيعتين اللماس والنباذ".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Sireen ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke do tarah ke libas pehn-ne mana hain. ke koi aadmi ek hi kapre mein got maar kar baithe, phir usay monde par utthakar daal le (aur sharmgah khuli rahe) aur do tarah ki bai se mana kiya ek bai-e-mulamasa se aur doosri bai-e-munabaza se
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain