الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب اللِّبَاسِ
The Book of Dress
بَابُ اشْتِمَالِ الصَّمَّاءِ:
Chapter. Ishtimal-as-samma.
Show diacritics
Hadith Number: 5819
حدثني محمد بن بشار، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا عبيد الله، عن خبيب، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن الملامسة، والمنابذة، وعن صلاتين بعد الفجر، حتى ترتفع الشمس، وبعد العصر حتى تغيب، وان يحتبي بالثوب الواحد ليس على فرجه منه شيء بينه وبين السماء، وان يشتمل الصماء".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahhab bin Abd-ul-Majeed Saqafi ne bayan kiya, kaha hum se Ubaidullah Umri ne bayan kiya, in se Khubaib bin Abdur Rahman ne, in se Hafs bin Aasim ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bay mulamisa aur munabizha se mana farmaya aur do waqt namazon se bhi Aap ne mana farmaya, namaz e fajr ke baad sooraj buland hone tak aur Asr ke baad sooraj ghuroob hone tak aur is se mana farmaya ke koi shakhs sirf ek kapra jism par lapeit kar ghutne oopar utha kar is tarah baith jaye ke is ki sharmgah par aasman o zameen ke darmiyan koi cheez na ho aur ishtimal e sima se mana farmaya.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 5820
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عامر بن سعد، ان ابا سعيد الخدري، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن لبستين، وعن بيعتين: نهى عن الملامسة، والمنابذة في البيع"، والملامسة: لمس الرجل ثوب الآخر بيده بالليل او بالنهار ولا يقلبه إلا بذلك، والمنابذة: ان ينبذ الرجل إلى الرجل بثوبه وينبذ الآخر ثوبه ويكون ذلك بيعهما عن غير نظر ولا تراض، واللبستين: اشتمال الصماء، والصماء: ان يجعل ثوبه على احد عاتقيه فيبدو احد شقيه ليس عليه ثوب واللبسة الاخرى احتباؤه بثوبه وهو جالس ليس على فرجه منه شيء.
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, kaha hum se Layth ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ibn Shihab ne bayan kiya, unhein Aamir bin Saad ne khabar di, aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne do tarah ke pehnawe aur do tarah ki khareed o farokht se mana farmaya. Khareed o farokht mein mulamisa aur munabizha se mana farmaya. Mulamisa ki surat yeh thi ke ek shakhs (khareedar) doosre (bechne wale) ke kapre ko raat ya din mein kisi bhi waqt bas chhoo deta (aur dekhe baghair sirf chhoone se bay ho jati) sirf chhoona hi kafi tha khol kar dekha nahi jata tha. Munabizha ki surat yeh thi ke ek shakhs apni milkiyat ka kapra doosre ki taraf phenkta aur doosra apna kapra phenkta aur baghair dekhe aur baghair bahami raza-mandi ke sirf isi se bay munaqid ho jati aur do kapre (jin se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mana farmaya unhi mein se ek) ishtimal e sima hai. Sima ki surat yeh thi ke apna kapra (ek chadar) apne ek shaane par is tarah dala jata ke ek kinara se (sharmgah) khul jati aur koi doosra kapra wahan nahi hota tha. Doosre pehnawe ka tariqa yeh thi ke baith kar apne ek kapre se kamar aur pindli baandh laite thay aur sharmgah par koi kapra nahi hota tha.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain