الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب اللِّبَاسِ
The Book of Dress
بَابُ الأَكْسِيَةِ وَالْخَمَائِصِ:
Chapter. Al-Aksiya. And Al-Khamais.
Hadith Number: 5815
حدثني يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان عائشة، وعبد الله بن عباس رضي الله عنهم، قالا: لما نزل برسول الله صلى الله عليه وسلم طفق يطرح خميصة له على وجهه، فإذا اغتم كشفها عن وجهه، فقال وهو كذلك" لعنة الله على اليهود والنصارى اتخذوا، قبور انبيائهم مساجد يحذر ما صنعوا".
Mujh se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Aqeel ne, in se Ibn Shihab ne bayan kiya ke mujhe Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah ne khabar di, in se Aisha aur Abdullah bin Abbas razi Allahu anhum ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam par jab aakhri marz tari hua to Aap apni kamli chehra mubarak par daalte thay aur jab saans ghutne lagta to chehra khol lete aur isi halat mein farmate ”Yahood o Nasara Allah Ta'ala ki rahmat se door ho gaye ke unhon ne apne ambiya ki qabron ko sajda-gah bana liya.“ Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam in ke amal e bad se (Musalmanon ko) dara rahe thay.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5816

Hadith Number: 5817
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا إبراهيم بن سعد، حدثنا ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة، قالت:" صلى رسول الله صلى الله عليه وسلم في خميصة له لها اعلام، فنظر إلى اعلامها نظرة، فلما سلم، قال: اذهبوا بخميصتي هذه إلى ابي جهم فإنها الهتني آنفا عن صلاتي، واتوني بانبجانية ابي جهم بن حذيفة بن غانم من بني عدي بن كعب".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Shihab ne bayan kiya, in se Urwah bin Zubayr ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apni ek naqshi chadar mein namaz parhi aur is ke naqsh o nigaar par namaz hi mein ek nazar daali. Phir salam pher kar farmaya ke meri yeh chadar Abu Jahm ko wapas de do. Is ne abhi mujhe meri namaz se ghafil kar diya tha aur Abu Jahm ki sadi chadar laite aao. Yeh Abu Jahm bin Huzayfah bin Ghanim Bani Adi bin Kabb qabiley mein se thay.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5818
حدثنا مسدد، حدثنا إسماعيل، حدثنا ايوب، عن حميد بن هلال، عن ابي بردة، قال:" اخرجت إلينا عائشة كساء، وإزارا غليظا، فقالت: قبض روح النبي صلى الله عليه وسلم في هذين".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Aliyyah ne bayan kiya, in se Ayub Sakhtiyani ne bayan kiya, in se Humayd bin Hilal ne aur in se Abu Burdah ne bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne hamain ek moti kamli ( «kisa») aur ek moti izaar nikaal kar dikhayi aur kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki rooh in hi do kapron mein qabz hui thi.
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة