الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)

صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كِتَاب الصَّوْمِ
The Book of As-Saum (The Fasting).
بَابُ صَوْمِ يَوْمِ الْفِطْرِ:
Chapter. Observing Saum on the first day of Eid-uI- Fitr.
Show diacritics
Hadith Number: 1990
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن ابي عبيد مولى ابن ازهر، قال:" شهدت العيد مع عمر بن الخطابرضي الله عنه، فقال: هذان يومان نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن صيامهما: يوم فطركم من صيامكم، واليوم الآخر تاكلون فيه من نسككم"، قال ابو عبد الله: قال ابن عيينة: من قال مولى ابن ازهر فقد اصاب، ومن قال مولى عبد الرحمن بن عوف، فقد اصاب.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne, unhon ne kaha ke hum se Ibn Azhar ke ghulam Abu Ubaid ne bayan kiya ke Eid ke din mein Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) ke khidmat mein hazir tha. Aap ne farmaya ye do din aise hain jin ke rozon ki Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne maman'at farmayi hai. (Ramzan ke) rozon ke baad iftar ka din (Eid-ul-Fitr) aur doosra wo din jis mein tum apni qurbani ka gosht khate ho (yaani Eid-ul-Adha ka din). Imam Bukhari (Rahimahullah) ne kaha Sufyan Bin Uyainah ne kaha, jis ne Abu Ubaid ko Ibn Azhar ka ghulam kaha is ne bhi theek kaha, aur jis ne Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ka ghulam kaha is ne bhi theek kaha. (Is ki wajah ye hai ke Ibn Azhar aur Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu donon is ghulam mein shareek thay)
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1991
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا عمرو بن يحيى، عن ابيه، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن صوم يوم الفطر والنحر، وعن الصماء، وان يحتبي الرجل في ثوب واحد.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, un se Wuhaib ne bayan kiya, kaha ke hum se Amr Bin Yahya ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Eid-ul-Fitr aur qurbani ke dinon ke rozon ki maman'at ki thi aur ek kapra saare badan par lapait lene se aur ek kapre mein got maar kar baithne se
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain
Show diacritics
Hadith Number: 1992
وعن صلاة بعد الصبح والعصر".
Aur subah aur asr ke baad namaz parhne se (mana farmaya)
.


تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Mazeed Takhrij al-Hadith Sharh Dekhain