الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الوضوء
Kitab: Wuzu ke bayan mein
باب البزاق والمخاط ونحوه فى الثوب:
Bab: Kapre mein thook aur reent waghera lag jane ke bare mein.
Show diacritics
Hadith Number: 241
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا سفيان، عن حميد، عن انس، قال:" بزق النبي صلى الله عليه وسلم في ثوبه"، طوله ابن ابي مريم، قال: اخبرنا يحيى بن ايوب، حدثني حميد، قال: سمعت انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne Humaid ke waaste se bayan kiya, woh Anas Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (ek martaba) apne kapde mein thooka. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne farmaaya ke Sa’eed bin Abi Maryam ne is Hadees ko tiwalat ke saath bayan kiya unhon ne kaha hum ko khabar di Yahya bin Ayyub ne, kaha mujh se Humaid ne bayan kiya, kaha main ne Anas se suna, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 405
حدثنا قتيبة، قال: حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن حميد، عن انس، ان النبي صلى الله عليه وسلم راى نخامة في القبلة، فشق ذلك عليه حتى رئي في وجهه، فقام فحكه بيده، فقال:" إن احدكم إذا قام في صلاته فإنه يناجي ربه او إن ربه بينه وبين القبلة، فلا يبزقن احدكم قبل قبلته، ولكن عن يساره او تحت قدميه، ثم اخذ طرف ردائه فبصق فيه، ثم رد بعضه على بعض، فقال: او يفعل هكذا".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya ke kaha hum se Ismail bin Jafar ne Humaid ke wasita se, unhon ne Anas bin Malik Razi Allah Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne qibla ki taraf (diwar par) balgham dekha, jo Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko nagowar guzra aur yeh nagowari Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke chehra mubarak par dikhayi dene lagi. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam uthe aur khud apne hath se ise kherach dala aur farmaya ke jab koi shakhs namaz ke liye khada hota hai to goya woh apne Rabb ke sath sargoshi karta hai, ya yun farmaya ke us ka Rabb us ke aur qibla ke darmiyan hota hai. Is liye koi shakhs (namaz mein apne) qibla ki taraf na thooke. Albatta bayein taraf ya apne qadmon ke neeche thook sakta hai. Phir Aap ne apni chadar ka kinara liya, us par thooka phir us ko ulat palat kiya aur farmaya, ya is tarah kar liya karo.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 412
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، قال: اخبرني قتادة، قال: سمعت انس بن مالك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:"لا يتفلن احدكم بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت رجله".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shoba ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Qatadah ne khabar di , unhon ne kaha mein ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya , tum apne samne ya apni dayen taraf na thooka karo , balkay bayen taraf ya bayen qadam ke neechay thook saktay ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 413
حدثنا آدم، قال: حدثنا شعبة، قال: حدثنا قتادة، قال: سمعت انس بن مالك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن المؤمن إذا كان في الصلاة فإنما يناجي ربه، فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shoba ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Qatadah ne bayan kiya , unhon ne kaha ke mein ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya momin jab namaz mein hota hai to woh apne Rab se sargoshi karta hai . Is liye woh apne samne ya dayen taraf na thookay , haan bayen taraf ya paon ke neechay thook lay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 417
حدثنا مالك بن إسماعيل، قال: حدثنا زهير، قال: حدثنا حميد، عن انس، ان النبي صلى الله عليه وسلم راى نخامة في القبلة فحكها بيده، ورئي منه كراهية او رئي كراهيته لذلك، وشدته عليه، وقال:" إن احدكم إذا قام في صلاته فإنما يناجي ربه او ربه بينه وبين قبلته، فلا يبزقن في قبلته، ولكن عن يساره او تحت قدمه، ثم اخذ طرف ردائه فبزق فيه ورد بعضه على بعض، قال: او يفعل هكذا".
Hum se Malik bin Ismail ne bayan kiya , kaha ke hum se Zuhair bin Muawiyah ne , kaha hum se Humaid ne Anas bin Malik se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne qibla ki taraf deewar par balgham dekha to aap salla Allahu alaihi wa sallam ne khud usay khurch dala aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ki nakhaushi ko mehsoos kiya gaya ya raawi ne is tarah bayan kiya ke is ki wajah se aap salla Allahu alaihi wa sallam ki shadeed nagawari ko mehsoos kiya gaya . Phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jab koi shakhs namaz ke liye khara hota hai to woh apne Rab se sargoshi karta hai , ya yeh ke is ka Rab is ke aur qibla ke darmiyan hota hai . Is liye qibla ki taraf na thooka karo , balkay bayen taraf ya qadam ke neechay thook liya karo . Phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne apni chadar ka ek kona kanara liya , is mein thooka aur chadar ki ek teh ko doosri teh par pher liya aur farmaya , ya is tarah kar liya kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 531
حدثنا مسلم بن إبراهيم، قال: حدثنا هشام، عن قتادة، عن انس، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن احدكم إذا صلى يناجي ربه، فلا يتفلن عن يمينه، ولكن تحت قدمه اليسرى"، وقال سعيد: عن قتادة، لا يتفل قدامه او بين يديه، ولكن عن يساره او تحت قدميه، وقال شعبة: لا يبزق بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه، وقال حميد: عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، لا يبزق في القبلة ولا عن يمينه، ولكن عن يساره او تحت قدمه.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Hisham bin Abdullah Dastawai ne Qatada Ibn Diama ke wastay se , unhon ne Anas raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jab tum mein se koi namaz mein hota hai to woh apne Rab se sargoshi karta rehta hai is liye apni dahni janib na thookna chahiye lekin bayen paon ke neechay thook sakta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 532
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا يزيد بن إبراهيم، قال: حدثنا قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اعتدلوا في السجود ولا يبسط ذراعيه كالكلب، وإذا بزق فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه فإنه يناجي ربه".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , kaha hum se Yazid bin Ibrahim ne , unhon ne kaha ke hum se Qatada ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se bayan kiya , aap Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke sajda karne mein itidal rakho sidhi tarah par karo aur koi shakhs tum mein se apne bazuon ko kutte ki tarah na phelaaye . Jab kisi ko thookna hi ho to samne ya dahni taraf na thooke , kyunke woh namaz mein apne Rab se posheeda batein karta rehta hai aur Saeed ne Qatada raziyallahu anhu se riwayat kar ke bayan kiya hai ke aage ya samne na thooke albatta bayen taraf paon ke neechay thook sakta hai aur Shoba ne kaha ke apne samne aur dayen janib na thooke , balkay bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai . Aur Humaid ne Anas bin Malik raziyallahu anhu se woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam se riwayat karte hain ke qibla ki taraf na thooke aur na dayen taraf albatta bayen taraf ya paon ke neechay thook sakta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 588
حدثنا محمد بن سلام، قال: حدثنا عبدة، عن عبيد الله، عن خبيب، عن حفص بن عاصم، عن ابي هريرة، قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن صلاتين بعد الفجر حتى تطلع الشمس، وبعد العصر حتى تغرب الشمس".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdah ne bayan kiya , unhon ne Ubaidullah se khabar di , unhon ne Khubaib se , unhon ne Hafs bin Aasim se , unhon ne Abu Hurairah raziyallahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne do waqt namaz parhne se mana farmaya , namaz fajr ke baad sooraj nikalne tak aur namaz asr ke baad sooraj ghuroob hone tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1214
حدثنا محمد، حدثنا غندر، حدثنا شعبة , قال: سمعت قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا كان في الصلاة فإنه يناجي ربه، فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن شماله تحت قدمه اليسرى".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya , un se Shubah ne , unhon ne kaha ke mein ne Qatadah se suna , woh Anas bin Malik razi Allahu anhu se riwayat karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se koi namaaz mein ho to woh apne Rab se sargoshi karta hai , is liye is ko saamne na thookna chahiye aur na dahine taraf albatta bayein taraf apne qadam ke neeche thook le .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة