الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب العمل في الصلاة
The Book of Dealing With Actions In As-Salat (The Prayer)
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنَ الْبُصَاقِ وَالنَّفْخِ فِي الصَّلاَةِ:
Chapter. What is said about blowing and spitting while in As-Salat (the prayer).
Hadith Number: Q1213
ويذكر عن عبد الله بن عمرو نفخ النبي صلى الله عليه وسلم في سجوده في كسوف.
Aur Abdullah bin Amr razi Allahu anhuma se grahan ki hadees mein manqool hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne grahan ki namaaz mein sajde mein phoonk maari .
Hadith Number: 1213
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد، عن ايوب، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما،" ان النبي صلى الله عليه وسلم راى نخامة في قبلة المسجد فتغيظ على اهل المسجد وقال: إن الله قبل احدكم، فإذا كان في صلاته فلا يبزقن او قال لا يتنخمن، ثم نزل فحتها بيده"، وقال ابن عمر رضي الله عنهما: إذا بزق احدكم فليبزق على يساره.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne , un se Nafi ne , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek dafa masjid mein Qibla ki taraf rent dekhi . Aap salla Allahu alaihi wasallam masjid mein maujood logon par bohat naraaz huay aur farmaya ke Allah Ta'ala tumhare saamne hai is liye namaaz mein thooka na karo , ya yeh farmaya ke rent na nikala karo . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam utre aur khud hi apne haath se ise kherach dala . Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke jab kisi ko thookna zaroori ho to apni bayein taraf thook le .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1214
حدثنا محمد، حدثنا غندر، حدثنا شعبة , قال: سمعت قتادة، عن انس رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" إذا كان في الصلاة فإنه يناجي ربه، فلا يبزقن بين يديه ولا عن يمينه، ولكن عن شماله تحت قدمه اليسرى".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya , un se Shubah ne , unhon ne kaha ke mein ne Qatadah se suna , woh Anas bin Malik razi Allahu anhu se riwayat karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se koi namaaz mein ho to woh apne Rab se sargoshi karta hai , is liye is ko saamne na thookna chahiye aur na dahine taraf albatta bayein taraf apne qadam ke neeche thook le .
تخریج الحدیث: «أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة»
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة