الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِذَا أَسْلَمَ عَلَى يَدَيْهِ:
Jab koi kisi Musalman ke haath par Islam laaye (to woh us ka waaris hota hai ya nahin).
Hadith Number: Q6757
وكان الحسن لا يرى له ولاية، وقال النبي صلى الله عليه وسلم الولاء لمن اعتق ويذكر، عن تميم الداري رفعه قال هو اولى الناس بمحياه ومماته واختلفوا في صحة هذا الخبر
Aur Imam Hasan Basri is ke saath walaa ke talluq ko durust nahi samajhte thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke walaa is ke saath qaim ho gi jo aazad kare aur Tameem bin Aus Daari se manqool hai , unhon ne marfoo-an riwayat ki ke woh zindagi aur maut donon halaton mein sab logon se zyada is par haq rakkhta hai lekin is hadees ki sehat mein ikhtilaf hai .
Hadith Number: 6757
حدثنا قتيبة بن سعيد، عن مالك، عن نافع، عن ابن عمر" ان عائشة ام المؤمنين ارادت ان تشتري جارية تعتقها، فقال اهلها: نبيعكها على ان ولاءها لنا، فذكرت ذلك لرسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: لا يمنعك ذلك، فإنما الولاء لمن اعتق".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya , in se Imam Malik rahmahullah ne bayan kiya , in se Nafi ne , in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne ek kaneez ko aazad karne ke liye khareedna chaha to kaneez ke maalkon ne kaha ke hum beich sakte hain lekin walaa hamare saath ho gi . Umm al-Momineen ne is ka zikr Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is shart ko manay na ban-ne do , walaa hamesha isi ke saath qaim hoti hai jo aazad kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6758
حدثنا محمد، اخبرنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" اشتريت بريرة، فاشترط اهلها ولاءها، فذكرت ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم، فقال: اعتقيها فإن الولاء لمن اعطى الورق، قالت: فاعتقتها، قالت: فدعاها رسول الله صلى الله عليه وسلم، فخيرها من زوجها، فقالت: لو اعطاني كذا وكذا ما بت عنده، فاختارت نفسها، قال: وكان زوجها حرا".
Hum se Muhammad ne bayan kiya , kaha hum ko Jareer ne khabar di , unhein Mansoor ne , unhein Ibrahim ne , unhein Aswad ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne Bareera ko khareedna chaha to in ke maalkon ne shart lagayi ke walaa in ke saath qaim hu gi . Main ne is ka tazhkira Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kiya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein aazad kar do , walaa qeemat ada karne wale hi ke saath qaim hoti hai . Bayan kiya ke phir main ne aazad kar diya . Phir unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bulaya aur in ke shohar ke muamla mein ikhtiyar diya . Unhon ne kaha ke agar mujhe yeh yeh cheezin bhi woh de-de to main is ke saath raat guzarne ke liye tayyar nahi . Chunanche is ne shohar se alaihidgi ko pasand kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَرِثُ النِّسَاءُ مِنَ الْوَلاَءِ:
Wala ka ta'alluq aurat ke saath qaim ho sakta hai.
Hadith Number: 6759
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا همام، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" ارادت عائشة ان تشتري بريرة، فقالت للنبي صلى الله عليه وسلم: إنهم يشترطون الولاء، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اشتريها فإنما الولاء لمن اعتق".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Humam ne bayan kiya , in se Nafi ne aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne Bareera razi Allahu anha ko khareedna chaha aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke yeh log walaa ki shart lagate hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khareed lo , walaa to isi ke saath qaim hoti hai jo aazad kare (aazad karaye) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6760
حدثنا ابن سلام، اخبرنا وكيع، عن سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن الاسود، عن عائشة، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الولاء لمن اعطى الورق، وولي النعمة".
Hum se Ibn Salam ne bayan kiya , kaha hum ko Waki ne khabar di , unhein Sufyan ne , unhein Mansoor ne , unhein Ibrahim ne , unhein Aswad ne , aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke walaa is ke saath qaim hu gi jo qeemat de aur ihsan kare (aazad kar ke) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَوْلَى الْقَوْمِ مِنْ أَنْفُسِهِمْ، وَابْنُ الأُخْتِ مِنْهُمْ:
Jo shakhs kisi qaum ka ghulam ho aazaad kiya gaya woh usi qaum mein shumaar ho ga, isi tarah kisi qaum ka bhanja bhi usi qaum mein daakhil ho ga.
Hadith Number: 6761
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا معاوية بن قرة، وقتادة، عن انس بن مالك رضي الله عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" مولى القوم من انفسهم" او كما قال.
Hum se Adam ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Muawiyah bin Qurrah aur Qatadah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kisi gharane ka ghulam isi ka ek fard hota hai“ «au kamaa qaala» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6762
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ابن اخت القوم منهم او من انفسهم".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Qatadah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”kisi gharane ka bhanja is ka ek fard hai .“ ( «minhum» ya «min anfusihim» ke alfaz farmaye) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِيرَاثِ الأَسِيرِ:
Qaidi ki waraasat ka bayaan.
Hadith Number: Q6763
قال وكان شريح يورث الاسير في ايدي العدو ويقول هو احوج إليه، وقال عمر بن عبد العزيز اجز وصية الاسير وعتاقه وما صنع في ماله ما لم يتغير عن دينه فإنما هو ماله يصنع فيه ما يشاء
Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke Shuraih qazhi qadi ko tarka dilate thay aur kehte thay ke woh to aur zyada muhtaj hai . Aur Umar bin Abd-ul-Aziz ne kaha ke qadi ki wasiyat aur is ki aazadi aur jo kuch woh apne maal mein tasar-ruf karta hai woh nafizh hu gi jab tak woh apne deen se nahi phirta kyunke woh maal isi ka maal rehta hai woh is mein jis tarah chahe tasar-ruf kar sakta hai .
Hadith Number: 6763
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن عدي، عن ابي حازم، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من ترك مالا فلورثته، ومن ترك كلا فإلينا".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Adi ne , in se Abu Hazim ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne maal chhorra (apni maut ke baad) woh is ke warison ka hai aur jis ne qarz chhorra hai woh hamare zimma hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَرِثُ الْمُسْلِمُ الْكَافِرَ وَلاَ الْكَافِرُ الْمُسْلِمَ، وَإِذَا أَسْلَمَ قَبْلَ أَنْ يُقْسَمَ الْمِيرَاثُ فَلاَ مِيرَاثَ لَهُ:
Musalman kaafir ka waaris nahin ho sakta aur na kaafir Musalman ka aur agar miraas ki taqseem se pehle Islam laya tab bhi miraas mein us ka haq nahin ho ga.
Hadith Number: 6764
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن ابن شهاب، عن علي بن حسين، عن عمرو بن عثمان، عن اسامة بن زيد رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" لا يرث المسلم الكافر، ولا الكافر المسلم".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya , in se Ibn Jurayj ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , in se Ali bin Husain ne bayan kiya , in se Umar bin Usman ne bayan kiya aur in se Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Musalman baap kafir bete ka waris nahi hota aur na kafir beta Musalman baap ka .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة