الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مِيرَاثِ الْوَلَدِ مِنْ أَبِيهِ وَأُمِّهِ:
Larke ki (muqarrara) miraas us ke baap aur maa ki taraf se kya ho gi.
Hadith Number: Q6732
وقال زيد بن ثابت إذا ترك رجل او امراة بنتا فلها النصف وإن كانتا اثنتين او اكثر فلهن الثلثان وإن كان معهن ذكر بدئ بمن شركهم فيؤتى فريضته فما بقي فللذكر مثل حظ الانثيين سورة النساء آية 176
Aur Zayd bin Sabit ne kaha ke jab kisi mard ya aurat ne koi larki chhorri ho to is ka hissa aadha hota hai aur agar do larkiyaan hon ya zyada hon to unhein do tihayi hissa mile ga aur agar in ke saath koi (in ka bhai) larka bhi ho to pehle wirasat ke shuraka ko diya jaye ga aur jo baaqi bache ga is mein se larke ko do larkiyon ke barabar hissa diya jaye ga .
Hadith Number: 6732
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الحقوا الفرائض باهلها، فما بقي فهو لاولى رجل ذكر".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , kaha hum se Abdullah bin Taoos ne bayan kiya , in se in ke walid ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meras is ke haq-daron tak pahuncha do aur jo kuch baaqi bache woh sab se zyada qareebi mard azeez ka hissa hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِيرَاثِ الْبَنَاتِ:
Larkiyon ki miraas ka bayaan.
Hadith Number: 6733
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني عامر بن سعد بن ابي وقاص، عن ابيه، قال:" مرضت بمكة مرضا فاشفيت منه على الموت، فاتاني النبي صلى الله عليه وسلم يعودني، فقلت: يا رسول الله، إن لي مالا كثيرا وليس يرثني إلا ابنتي، افاتصدق بثلثي مالي؟ قال: لا، قال: قلت: فالشطر، قال: لا، قلت: الثلث، قال: الثلث كبير، إنك إن تركت ولدك اغنياء، خير من ان تتركهم عالة يتكففون الناس، وإنك لن تنفق نفقة إلا اجرت عليها، حتى اللقمة ترفعها إلى في امراتك، فقلت يا رسول الله: ااخلف عن هجرتي، فقال: لن تخلف بعدي فتعمل عملا تريد به وجه الله، إلا ازددت به رفعة ودرجة، ولعل ان تخلف بعدي حتى ينتفع بك اقوام ويضر بك آخرون" لكن البائس سعد بن خولة يرثي له رسول الله صلى الله عليه وسلم ان مات بمكة، قال سفيان، وسعد بن خولة رجل من بني عامر بن لؤي.
Hum se Imam Humaydi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , kaha hum se Zuhri ne bayan kiya , kaha mujhe Aamir bin Saad bin Abi Waqqas ne khabar di aur in se un ke walid ne bayan kiya ke main Makkah Mukarramah mein (Hajjat-ul-Wada mein) beemar par gaya aur maut ke qareeb pahunch gaya . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam meri iyadat ke liye tashreef laaye to main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mere paas bahut zyada maal hai aur ek larki ke siwa is ka koi waris nahi to kiya mujhe apne maal ke do tihayi hissa ka sadqa kar dena chahiye ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi . Bayan kiya ke main ne arz kiya phir aadhe ka kar doon ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke nahi . Main ne arz kiya ek tihayi ka ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan . Go tihayi bhi bahut hai , agar tum apne bachon ko maaldaar chhorro to yeh is se behtar hai ke unhein tang-dast chhorro aur woh logon ke samne hath phailate phirein aur tum jo bhi kharch karo ge is par tumhein sawab mile ga yahan tak ke is luqma par bhi sawab mile ga jo tum apni biwi ke munh mein rakkho ge . Phir main ne arz kiya: ya Rasool Allah! kiya main apni Hijrat mein peeche reh jaoon ga ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar mere baad tum peeche reh bhi gaye tab bhi jo amal tum karo ge aur is se Allah ki khushnoodi maqsud ho gi to is ke zariye darja wa martaba buland ho ga aur ghaliban tum meere baad zinda raho ge aur tum se bahut se logon ko faida ho ga aur bahuton ko nuqsan pahunche ga . Qabil e afsos to Saad Ibn Khoulah hain . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in ke baare mein is liye afsos ka izhar kiya ke (Hijrat ke baad ittifaq se) in ki wafat Makkah Mukarramah mein hi ho gayi . Sufyan ne bayan kiya ke Saad Ibn Khoulah razi Allahu anhuBani Aamir bin Luway ke ek aadmi thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6734
حدثنا محمود بن غيلان، حدثنا ابو النضر، حدثنا ابو معاوية شيبان، عن اشعث، عن الاسود بن يزيد، قال:" اتانا معاذ بن جبل، باليمن معلما واميرا، فسالناه عن رجل توفي وترك ابنته واخته، فاعطى الابنة النصف، والاخت النصف".
Mujh se Mahmood bin Ghailan ne bayan kiya , kaha hum se Abu al-Nadr ne bayan kiya , kaha hum se Abu Muawiyah Shayban ne bayan kiya , in se Ash-as bin Abi al-Shas-sa ne , in se Aswad bin Yazid ne bayan kiya ke Maaz bin Jabal razi Allahu anhu hamare yahan Yaman mein muallim wa ameer ban kar tashreef laaye . Hum ne in se ek aise shakhs ke tarke ke baare mein poochha jis ki wafat hui ho aur us ne ek beti aur ek behen chhorri ho aur us ne apni beti ko aadha aur behen ko bhi aadha diya ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِيرَاثِ ابْنِ الاِبْنِ، إِذَا لَمْ يَكُنِ ابْنٌ:
Pote ki miraas (kitni hai) jab beta na ho.
Hadith Number: Q6735
وقال زيد ولد الابناء بمنزلة الولد إذا لم يكن دونهم ولد ذكرهم كذكرهم وانثاهم كانثاهم يرثون كما يرثون ويحجبون كما يحجبون ولا يرث ولد الابن مع الابن
Zayd bin Sabit ne kaha ke beton ki aulad beton ke darje mein hai . Agar marne wale ka koi beta na ho . Aaisi surat mein pote beton ki tarah aur potiyaan betiyon ki tarah hon gi . Unhein isi tarah wirasat mile gi jis tarah beton aur betiyon ko milti hai aur in ki wajah se bahut se azeez wa aqarib isi tarah wirasat ke haq se mahroom ho jayein ge jis tarah beton aur betiyon ki maujoodgi mein mahroom ho jaate hain , albatta agar beta maujood ho to pota wirasat mein kuch nahi paaye ga .
Hadith Number: 6735
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الحقوا الفرائض باهلها فما بقي، فهو لاولى رجل ذكر".
Hum se Muslim bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , kaha hum se Abdullah bin Taoos ne bayan kiya , in se in ke walid ne aur in se Ibn Abbas ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”pehle meras in ke warison tak pahuncha do aur jo baaqi reh jaye woh us ko mile ga jo mard may-yit ka bahut nazdeeki rishta-dar ho .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِيرَاثِ ابْنَةِ ابْنٍ مَعَ ابْنَةٍ:
Beti ki maujoodgi mein poti ki miraas.
Hadith Number: 6736
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا ابو قيس، سمعت هزيل بن شرحبيل، قال:" سئل ابو موسى، عن بنت، وابنة ابن، واخت، فقال: للبنت النصف، وللاخت النصف"، وات ابن مسعود فسيتا بعني، فسئل ابن مسعود، واخبر بقول ابي موسى، فقال لقد ضللت إذا وما انا من المهتدين" اقضي فيها بما قضى النبي صلى الله عليه وسلم، للابنة النصف، ولابنة ابن السدس تكملة الثلثين، وما بقي فللاخت". فاتينا ابا موسى، فاخبرناه بقول ابن مسعود، فقال: لا تسالوني ما دام هذا الحبر فيكم.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne , kaha hum se Abu Qays Abd-ur-Rahman bin Sarwan ne , unhon ne Huzayl bin Shar-habeel se suna , bayan kiya ke Abu Musa razi Allahu anhu se beti , poti aur behen ki meras ke baare mein poochha gaya to unhon ne kaha ke beti ko aadha mile ga aur behen ko aadha mile ga aur tu Ibn Masood razi Allahu anhu ke yahan ja , shayad woh bhi yahi batayein ge . Phir Ibn Masood razi Allahu anhu se poochha gaya aur Abu Musa razi Allahu anhu ki baat bhi pahunchayi gayi to unhon ne kaha ke main agar aisa fatwa doon to gumrah ho chuka aur theek raste se bhatak gaya . Main to is mein wahi faisla karoon ga jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kiya thu ke beti ko aadha mile ga , poti ko chhata hissa mile ga , is tarah do tihayi poori ho jaye gi aur phir jo baaqi bache ga woh behen ko mile ga . Phir Abu Musa razi Allahu anhu ke paas aaye aur Ibn Masood razi Allahu anhu ki baat in tak pahunchayi to unhon ne kaha ke jab tak yeh aalim tum mein maujood hain mujh se masail na poochha karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مِيرَاثِ الْجَدِّ مَعَ الأَبِ وَالإِخْوَةِ:
Baap ya bhaiyon ki maujoodgi mein dada ki miraas ka bayaan.
Hadith Number: Q6737
وقال ابو بكر، وابن عباس، وابن الزبير الجد اب وقرا ابن عباس 0 يا بني آدم واتبعت ملة آبائي إبراهيم وإسحاق ويعقوب 0، ولم يذكر ان احدا خالف ابا بكر في زمانه واصحاب النبي صلى الله عليه وسلم متوافرون، وقال ابن عباس يرثني ابن ابني دون إخوتي ولا ارث انا ابن ابني ويذكر، عن عمر، وعلي، وابن مسعود، وزيد اقاويل مختلفة
Abu Bakr , Ibn Abbas aur Ibn Zubayr razi Allahعنہم ne farmaya ke dada baap ki tarah hai ? Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne yeh aayat parhi «ya baneee aadama» ”Ae Adam ke beto!“ «wat-taba-tu mil-lata aabaaa-ee ibraahima wa is-haaqa wa ya-qooba» ”aur main ne it-taba ki hai apne aabaa Ibrahim , Ishaq aur Yaqoob ki millat ki“ aur is ka zikr nahi milta ke kisi ne Abu Bakr razi Allahu anhu se Aap ke zamana mein ikhtilaf kiya ho haalan-ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke sahabah ki tadaad is zamana mein bahut thi aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke meere waris meere pote hon ge bhai nahi hon ge aur main apne poton ka waris nahi hoon ga . Umar , Ali , Ibn Masood aur Zayd razi Allahعنہم se mukhtalif aqwaal manqool hain .
Hadith Number: 6737
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا وهيب، عن ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الحقوا الفرائض باهلها، فما بقي فلاولى رجل ذكر".
Hum se Sulayman bin Harb ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , in se Ibn Taoos ne , in se in ke walid ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meras is ke haqdar tak pahuncha do aur jo baaqi reh jaye woh sab se qareeb wale mard ko de do .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6738
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس، قال: اما الذي، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لو كنت متخذا من هذه الامة خليلا، لاتخذته ولكن خلة الإسلام افضل" او قال خير، فإنه انزله ابا او قال قضاه ابا.
Hum se Abu Mamar ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Waris ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ayub ne bayan kiya , in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jo yeh farmaya hai ke agar main is ummat ke kisi aadmi ko khaleel banata to un ko (Abu Bakr razi Allahu anhu ko) khaleel banata , lekin Islam ka talluq hi sab se behtar hai to is mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne dada ko baap ke darje mein rakkha hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة