الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ لاَ يُحْلَفُ بِاللاَّتِ وَالْعُزَّى وَلاَ بِالطَّوَاغِيتِ:
Laat o Uzza aur buton ki qasam na khaaye.
Hadith Number: 6650
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من حلف، فقال في حلفه: باللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ومن قال لصاحبه: تعال اقامرك: فليتصدق".
Mujh se Abdullah bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hisham bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hamain ko Mamar ne khabar di, unhon ne kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, unhein Humayd bin Abd-ur-Rahman ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ne qasam khayi aur kaha ke ”Laat o Uzza ki qasam“ to usay phir kalma «laa ilaaha illallaahu» keh lena chahiye aur jo shakhs apne saathi se kahe ke aao jua khelein to usay chahiye ke (is ke kaf-fare mein) sadqa kare.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ حَلَفَ عَلَى الشَّيْءِ وَإِنْ لَمْ يُحَلَّفْ:
Bila qasam diye qasam khana kaisa hai.
Hadith Number: 6651
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم اصطنع خاتما من ذهب، وكان يلبسه فيجعل فصه في باطن كفه، فصنع الناس خواتيم، ثم إنه جلس على المنبر فنزعه، فقال:" إني كنت البس هذا الخاتم، واجعل فصه من داخل فرمى به، ثم قال: والله لا البسه ابدا"، فنبذ الناس خواتيمهم.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, in se Nafi ne, in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne sone ki ek angoothi banwayi aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam usay pehnte thay, is ka nageena hatheli ke hisse ki taraf rakhte thay. Phir logon ne bhi aaisi angoothiyaan banwa lein is ke baad ek din Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mimbar par baithe aur apni angoothi utar di aur farmaya ke main usay pehnta tha aur is ka nageena andar ki jaanib rakhta thu, phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne usay utar kar phenk diya aur farmaya ke Allah ki qasam main ab usay kabhi nahi pehnoon ga. Pas logon ne bhi apni angoothiyaan utar kar phenk dein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ حَلَفَ بِمِلَّةٍ سِوَى مِلَّةِ الإِسْلاَمِ:
Is shakhs ke baare mein jis ne Islam ke siwa aur kisi mazhab par qasam khaai.
Hadith Number: Q6652
وقال النبي صلى الله عليه وسلم: من حلف باللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ولم ينسبه إلى الكفر.
Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne Laat aur Uzza ki (ittifaqan baghair qasd aur aqeedat ke) qasam kha li usay bataur kaf-fara kalma e tawheed «laa ilaaha illallaahu» parh lena chahiye (aise bhool chook mein qasam khane wale ko) Aap ne kufr ki taraf mansub nahi farmaya.
Hadith Number: 6652
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا وهيب، عن ايوب، عن ابي قلابة، عن ثابت بن الضحاك، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من حلف بغير ملة الإسلام، فهو كما قال، قال: ومن قتل نفسه بشيء، عذب به في نار جهنم، ولعن المؤمن، كقتله، ومن رمى مؤمنا بكفر، فهو كقتله".
Hum se Mualla bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya, unhon ne Ayub se riwayat kiya, unhon ne Abu Qulabah se, unhon ne Sabit bin Zhah-hak se, unhon ne kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo Islam ke siwa kisi aur mazhab par qasam khaye pas woh aisa hi hai jaisi ke us ne qasam khayi hai aur jo shakhs apne nafs ko kisi cheez se halak kare woh dozakh mein isi cheez se azab diya jata rahe ga aur momin par lanat bheijna us ko qatl karne ke barabar hai aur jis ne kisi momin par kufr ka ilzam lagaya pas woh bhi is ke qatl karne ke barabar hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَقُولُ مَا شَاءَ اللَّهُ وَشِئْتَ. وَهَلْ يَقُولُ أَنَا بِاللَّهِ ثُمَّ بِكَ؟
Yun kehna mana hai ke jo Allah chahe aur aap chahein (woh ho ga) aur kya koi shakhs yun keh sakta hai ke mujh ko Allah ka aasra hai phir aap ka?
Hadith Number: 6653
وقال عمرو بن عاصم، حدثنا همام، حدثنا إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، حدثنا عبد الرحمن بن ابي عمرة، ان ابا هريرة، حدثه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" إن ثلاثة في بني إسرائيل اراد الله ان يبتليهم، فبعث ملكا فاتى الابرص فقال: تقطعت بي الحبال، فلا بلاغ لي إلا بالله، ثم بك"، فذكر الحديث".
Aur Amr bin Aasim ne kaha hamase Humam bin Yahya ne bayan kiya, kaha hamase Ishaq bin Abdullah ne, kaha hamase Abd-ul-Rahman bin Abi Amrah ne, in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke Bani Israeel mein teen shakhs thay Allah ne un ko azmana chaha (phir saara qissa bayan kiya) farishte को korhi ke paas bheija woh is se kehne laga meri rozi ke saare zariye kat gaye hain ab Allah hi ka aasra hai phir tera (ya ab Allah hi ki madad darkaar hai phir teri) phir poori hadees ko zikr kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَأَقْسَمُوا بِاللَّهِ جَهْدَ أَيْمَانِهِمْ}:
Allah Pak ka Surat An-Nur mein irshaad "yeh munaafiq Allah ki bari pakki qasmein khate hain".
Hadith Number: Q6654
وقال ابن عباس: قال ابو بكر: فوالله يا رسول الله، لتحدثني بالذي اخطات في الرؤيا، قال: لا تقسم.
Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke Abu Bakr Siddiq razi Allahu anhu ne kaha: Allah ki qasam, ya Rasool Allah! Mujh se bayan farmayiye main ne tabeer dene mein kya ghalati ki, Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya qasam mat kha.
Hadith Number: 6654
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن اشعث، عن معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن اشعث، عن معاوية بن سويد بن مقرن، عن البراء رضي الله عنه، قال:" امرنا النبي صلى الله عليه وسلم: بإبرار المقسم".
Hum se Qubaysah bin Uqbah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne, unhon ne Ash-as bin Abi al-Shas-sa se, unhon ne Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin se, unhon ne Bara bin Azib se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar Muhammad bin Jafar ne, kaha hamase Shubah ne, unhon ne Ash-as se, unhon ne Muawiyah bin Suwayd bin Muqarrin se, unhon ne Bara razi Allahu anhu se, unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne qasam khane wale ko sacha karne ka hukm farmaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6655
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، اخبرنا عاصم الاحول، سمعت ابا عثمان، يحدث، عن اسامة، ان بنتا لرسول الله صلى الله عليه وسلم ارسلت إليه، ومع رسول الله صلى الله عليه وسلم اسامة بن زيد، وسعد، وابي: ان ابني قد احتضر فاشهدنا، فارسل يقرا السلام، ويقول:" إن لله ما اخذ وما اعطى، وكل شيء عنده مسمى، فلتصبر وتحتسب"، فارسلت إليه، تقسم عليه، فقام وقمنا معه، فلما قعد رفع إليه، فاقعده في حجره، ونفس الصبي جئث، ففاضت عينا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال سعد: ما هذا يا رسول الله؟ قال:" هذه رحمة يضعها الله في قلوب من يشاء من عباده، وإنما يرحم الله من عباده الرحماء".
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, kaha hamain ko Aasim al-Ahwal ne khabar di, kaha main ne Abu Usman se suna, woh Usamah se naqal karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki ek sahib-zadi (Zaynub) ne Aap ko bula bheija is waqt Aap ke paas Usamah bin Zayd aur Saad bin Ubadah aur Ubayy bin Kabb razi Allahu anhum bhi baithe thay. Sahib-zadi sahiba ne kehla bheija ke in ka bacha marne ke qareeb hai Aap tashreef laayiye. Aap ne in ke jawab mein yun kehla bheija mera salam kaho aur kaho sab Allah ka maal hai jo us ne le liya aur jo us ne inayat farmaya aur har cheez ka is ke paas waqt muqarrar hai, sabr karo aur Allah se sawab ki umeed rakkho. Sahib-zadi sahiba ne qasam de kar phir kehla bheija ke nahi Aap zaroor tashreef laayiye. Is waqt Aap uthe, hum log bhi saath uthe jab Aap sahib-zadi sahiba ke ghar par pahunche aur wahan ja kar baithe to bache ko utha kar Aap ke paas laaye. Aap ne usay god mein bitha liya woh dam torr raha tha. Yeh haal pur-malal dekh kar Aap ki aankhon se aansu beh nikle. Saad bin Ubadah razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Yeh rona kaisa hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh rona raham ki wajah se hai aur Allah apne jis bande ke دل mein chahta hai raham rakhta hai ya yeh hai ke Allah apne un hi bandon par raham kare ga jo doosron par raham karte hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6656
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن ابن المسيب، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا يموت لاحد من المسلمين ثلاثة من الولد، تمسه النار، إلا تحلة القسم".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya, in se Sufyan ne, in se Musa bin Uqbah ne aur in se Salim ne aur in se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki qasam bas itni thi ke nahi! Dilon ke pherne wale Allah ki qasam.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6657
حدثنا محمد بن المثنى، حدثني غندر، حدثنا شعبة، عن معبد بن خالد، سمعت حارثة بن وهب، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" الا ادلكم على اهل الجنة؟ كل ضعيف، متضعف، لو اقسم على الله لابره، واهل النار؟ كل جواظ، عتل، مستكبر".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , kaha mujh se Ghundar ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne bayan kiya , in se Ma'bad bin Khalid ne , kaha main ne Harisa bin Wahb se suna , kaha main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke main tum ko batlaoon bahishti kaun log hain , har ek ghareeb natewan jo agar Allah ke bharose par qasam kha baithe to Allah us ko sacha kare (is ki qasam poori kar de) aur dozakhi kaun log hain har ek mota , laraka , maghroor , fasadi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة