الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ كَيْفَ كَانَتْ يَمِينُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ؟
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam qasam kis tarah khate the.
Hadith Number: 6640
حدثنا محمد، حدثنا ابو الاحوص، عن ابي إسحاق، عن البراء بن عازب، قال: اهدي إلى النبي صلى الله عليه وسلم سرقة من حرير، فجعل الناس يتداولونها بينهم، ويعجبون من حسنها ولينها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اتعجبون منها؟"، قالوا: نعم يا رسول الله، قال:" والذي نفسي بيده، لمناديل سعد في الجنة، خير منها"، لم يقل شعبة، وإسرائيل: عن ابي إسحاق: والذي نفسي بيده.
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya, kaha hum se Abu al-Ahwas ne bayan kiya, in se Abu Ishaq ne, in se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein resham ka ek tukra hadiya ke taur par aaya to log usay dast-ba-dast apne hathon mein lene lage aur is ki khoobsurti aur narmi par hairat karne lage. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke tumhein is par hairat hai? Sahabah ne arz ki ji haan, ya Rasool Allah! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai, Saad razi Allahu anhu ke rumal jannat mein is se bhi achhe hain. Shubah aur Israeel ne Abu Ishaq se alfaz ”is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai“ ka zikr nahi kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6641
حدثنا يحيى بن بكير حدثنا الليث عن يونس عن ابن شهاب حدثني عروة بن الزبير ان عائشة رضي الله عنها قالت إن هند بنت عتبة بن ربيعة قالت يا رسول الله ما كان مما على ظهر الارض اهل اخباء- او خباء- احب إلي ان يذلوا من اهل اخبائك- او خبائك، شك يحيى- ثم ما اصبح اليوم اهل اخباء- او خباء- احب إلي من ان يعزوا من اهل اخبائك او خبائك. قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: «وايضا والذي نفس محمد بيده» . قالت يا رسول الله إن ابا سفيان رجل مسيك، فهل علي حرج ان اطعم من الذي له قال: «لا إلا بالمعروف» .
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne, unhon ne Yunus se, unhon ne Ibn Shihab se, kaha mujh se Urwah bin Zubayr ne bayan kiya ke Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Hind bint Utbah bin Rabee-a (Muawiyah razi Allahu anhu ki maan) ne arz kiya: ya Rasool Allah! Saari zameen par jitne deray wale hain (yani Arab log jo aksar deron aur khaimon mein raha karte thay) main kisi ka zhaleel o khwar hona mujhko itna pasand nahi tha jitna Aap ka. Yahya bin Bukayr rawi ko shak hai (ke deray ka lafz ba-seegah e mufrad kaha ya ba-seegah e jama) ab koi dera wala ya deray wale un ko izzat aur aabroo haasil hona mujhko Aap ke deron walon se zyada pasand nahi hai (yani ab main Aap ki aur Musalmanon ki sab se zyada khair-khwah hoon) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke abhi kya hai tu aur bhi zyada khair-khwah bane gi. Qasam hai is ki jis ke hath mein Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) ki jaan hai. Phir Hind kehne lagi ya Rasool Allah! Abu Sufyan to ek bakheel aadmi hai mujh par gunah to nahi ho ga agar main is ke maal mein se (apne baal bachon ko khilaoon) Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya nahi agar tu dastoor ke muafiq kharch kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6642
حدثني احمد بن عثمان، حدثنا شريح بن مسلمة، حدثنا إبراهيم، عن ابيه، عن ابي إسحاق، سمعت عمرو بن ميمون، قال: حدثني عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال: بينما رسول الله صلى الله عليه وسلم مضيف ظهره إلى قبة من ادم يمان، إذ قال لاصحابه:" اترضون ان تكونوا ربع اهل الجنة؟"، قالوا: بلى، قال:" افلم ترضوا ان تكونوا ثلث اهل الجنة؟"، قالوا: بلى، قال:" فوالذي نفس محمد بيده، إني لارجو ان تكونوا نصف اهل الجنة".
Mujh se Ahmad bin Usman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shuraih bin Maslamah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim ne bayan kiya, in se un ke walid ne bayan kiya, in se Abu Ishaq ne, kaha ke main ne Amr bin Maymoon se suna, kaha ke mujh se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne bayan kiya ke ek mauqa par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam jab Yamani chamre ke khaima se pusht lagaye huay baithe thay to Aap ne apne sahabah se farmaya kya tum is par khush ho ke tum ahal e jannat ke ek chauthayi raho? Unhon ne arz kiya, kyun nahi. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya tum is par khush nahi ho ke tum ahal e jannat ke ek tihayi hissa pao. Sahabah ne arz kiya kyun nahi. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya, pas is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai! Mujhe umeed hai ke jannat mein aadhe tum hi ho ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6643
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن عبد الرحمن، عن ابيه، عن ابي سعيد، ان رجلا سمع رجلا يقرا: قل هو الله احد، يرددها، فلما اصبح، جاء إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكر ذلك له، وكان الرجل يتقالها، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده، إنها لتعدل ثلث القرآن".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya, in se Imam Malik ne bayan kiya, in se Abd-ul-Rahman bin Abdullah bin Abd-ul-Rahman ne bayan kiya, in se un ke walid ne bayan kiya aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke ek sahabi ne suna ke ek doosre sahabi Surah Qul huwallah baar baar parhte hain jab subah hui to woh Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas aaye aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is ka zikr kiya, woh sahabi is surat ko kam samajhte thay lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai yeh Quran Majeed ke ek tihayi hissa ke barabar hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6644
حدثني إسحاق، اخبرنا حبان، حدثنا همام، حدثنا قتادة، حدثنا انس بن مالك رضي الله عنه، انه سمع النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" اتموا الركوع والسجود، فوالذي نفسي بيده، إني لاراكم من بعد ظهري إذا ما ركعتم، وإذا ما سجدتم".
Mujh se Ishaq ne bayan kiya, kaha hamain ko Habban ne khabar di, kaha hum se Humam ne bayan kiya, kaha hamase Qatadah ne bayan kiya, kaha hamase Anas bin Malik razi Allahu anhu ne bayan kiya ke unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke rukoo aur sajda poore taur par ada kiya karo. Allah ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai main apni kamar ke peeche se tum ko dekh laita hoon jab rukoo aur sajda karte ho.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6645
حدثنا إسحاق، حدثنا وهب بن جرير، اخبرنا شعبة، عن هشام بن زيد، عن انس بن مالك، ان امراة من الانصار، اتت النبي صلى الله عليه وسلم معها اولاد لها، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده، إنكم لاحب الناس إلي"، قالها ثلاث مرار.
Hum se Ishaq ne bayan kiya, kaha hum se Wahb bin Jareer ne bayan kiya, kaha hamain ko Shubah ne khabar di Hisham bin Zaid se aur unhein Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Ansari khatoon Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huaien, in ke saath in ke bache bhi thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke is zaat ki qasam jis ke hath mein meri jaan hai tum log bhi mujhe tamam logon mein sab se zyada azeez ho. Yeh alfaz Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne teen martaba farmaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تَحْلِفُوا بِآبَائِكُمْ:
Apne baap daadon ki qasam na khao.
Hadith Number: 6646
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم ادرك عمر بن الخطاب وهو يسير في ركب، يحلف بابيه، فقال:" الا إن الله ينهاكم ان تحلفوا بآبائكم، من كان حالفا فليحلف بالله، او ليصمت".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya, in se Malik ne, in se Nafi ne, in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Umar bin Khattab razi Allahu anhu ke paas aaye to woh sawaron ki ek jama'at ke saath chal rahe thay aur apne baap ki qasam kha rahe thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khabardar tahqeeq Allah Ta'ala ne tumhein baap dadon ki qasam khane se mana kiya hai, jise qasam khani hai usay (bashart e sidq) chahiye ke Allah hi ki qasam khaye warna chup rahe.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6647
حدثنا سعيد بن عفير، حدثنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: قال سالم: قال ابن عمر: سمعت عمر، يقول: قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن الله ينهاكم ان تحلفوا بآبائكم"، قال عمر: فوالله ما حلفت بها منذ سمعت النبي صلى الله عليه وسلم ذاكرا، ولا آثرا، قال مجاهد: او اثارة من علم سورة الاحقاف آية 4، ياثر علما، تابعه عقيل، والزبيدي، وإسحاق الكلبي، عن الزهري، وقال ابن عيينة، ومعمر، عن الزهري، عن سالم، عن ابن عمر، سمع النبي صلى الله عليه وسلم: عمر.
Hum se Saeed bin Afir ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, in se Yunus ne, in se Ibn Shihab ne, in se Salim ne ke Ibn Umar razi Allahu anhuma ne kaha ke main ne Umar razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya tha ke Allah Ta'ala ne tumhein baap dadon ki qasam khane se mana kiya hai. Umar razi Allahu anhu ne bayan kiya wallah! Phir main ne in ki Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mamanat sunne ke baad kabhi qasam nahi khayi na apni taraf se ghair-Allah ki qasam khayi na kisi doosre ki zaban se naqal ki. Mujahid ne kaha Surah al-Ahqaf mein jo «asaratan min ilmin» hai is ka maani yeh hai ke ilm ki koi baat naqal karta ho. Yunus ke saath is hadees ko Aqeel aur Muhammad bin Waleed Zhubaydi aur Ishaq bin Yahya Kalbi ne bhi Zuhri se riwayat kiya aur Sufyan bin Uyaynah aur Mamar ne is ko Zuhri se riwayat kiya, unhon ne Salim se, unhon ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se, unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se ke Aap ne Umar razi Allahu anhu ko ghair-Allah ki qasam khate suna. Riwayat mein lafz «isaaratin» ki tafseer «asaran» ki munasabat se bayan kar di kyunke donon ka madda ek hi hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6648
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن مسلم، حدثنا عبد الله بن دينار، قال: سمعت عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تحلفوا بآبائكم".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abd-ul-Aziz bin Muslim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya, unhon ne kaha ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”apne baap dadon ki qasam na khao.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6649
حدثنا قتيبة، حدثنا عبد الوهاب، عن ايوب، عن ابي قلابة، والقاسم التميمي، عن زهدم، قال: كان بين هذا الحي من جرم، وبين الاشعريين ود وإخاء، فكنا عند ابي موسى الاشعري، فقرب إليه طعام فيه لحم دجاج، وعنده رجل من بني تيم الله احمر كانه من الموالي، فدعاه إلى الطعام، فقال: إني رايته ياكل شيئا فقذرته، فحلفت ان لا آكله، فقال: قم فلاحدثنك عن ذاك، إني اتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم في نفر من الاشعريين نستحمله، فقال:" والله لا احملكم وما عندي ما احملكم عليه"، فاتي رسول الله صلى الله عليه وسلم بنهب إبل، فسال عنا، فقال:" اين النفر الاشعريون"، فامر لنا بخمس ذود غر الذرى، فلما انطلقنا، قلنا: ما صنعنا حلف رسول الله صلى الله عليه وسلم لا يحملنا وما عنده ما يحملنا، ثم حملنا، تغفلنا رسول الله صلى الله عليه وسلم يمينه، والله لا نفلح ابدا، فرجعنا إليه، فقلنا له: إنا اتيناك لتحملنا، فحلفت ان لا تحملنا وما عندك ما تحملنا، فقال:" إني لست انا حملتكم، ولكن الله حملكم، والله لا احلف على يمين فارى غيرها خيرا منها، إلا اتيت الذي هو خير، وتحللتها".
Hum se Qutaybah ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahhab ne, in se Ayub ne, in se Abu Qulabah aur Qasim Taymi ne aur in se Zahdam ne bayan kiya ke in qabail, Jarm aur Ashar ke darmiyan bhai-chara tha. Hum Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ki khidmat mein maujood thay to in ke liye khana laya gaya. Is mein murghi bhi thi. In ke paas Bani Taymullah ka ek surkh rang ka aadmi bhi maujood tha. Ghaliban woh ghulamon mein se tha. Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne usay khane par bulaya to is ne kaha ke main ne murghi ko gandagi khate dekha to mujhe ghin aayi aur phir main ne qasam kha li ke ab main is ka gosht nahi khaoon ga. Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu ne kaha ke khade ho jao to main tumhein is ke baare mein ek hadees sunaoon. Main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas qabila Ashar ke chand logon ke saath aaya aur hum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se sawari ka janwar maanga. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ki qasam main tumhein sawari nahi de sakta aur na mere paas aisa koi janwar hai jo tumhein sawari ke liye de sakoon, phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas kuch maal e ghaneemat ke oont aaye to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne poochha ke Ash'ari log kahan hain phir Aap ne hamako paanch umdah qism ke oont diye jaane ka hukm farmaya. Jab hum in ko le kar chale to hum ne kaha yeh hum ne kya kiya Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam to qasam kha chuke thay ke hamako sawari nahi dein ge aur dar-haqeeqat Aap salla Allahu alaihi wasallam ke paas is waqt sawari maujood bhi na thi phir Aap ne hamako sawar kara diya. Hum ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko Aap ki qasam se ghafil kar diya. Qasam Allah ki hum is harkat ke baad kabhi falah nahi pa sakein ge. Pas hum Aap ki taraf laut kar aaye aur Aap se hum ne tafseel e bala ko arz kiya ke hum Aap ke paas aaye thay taake Aap hamako sawari par sawar kara dein pas Aap ne qasam kha li ku ke Aap hamako sawar nahi karayein ge aur dar-haqeeqat is waqt Aap ke paas sawari maujood bhi na ku. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh sab sun kar farmaya ke main ne tum ko sawar nahi karaya balkay Allah ne tum ko sawar kara diya. Allah ki qasam jab main koi qasam kha laita hoon baad mein is se behtar aur muamla dekhta hoon to main wahi karta hoon jo behtar hota hai aur is qasam ka kaf-fara ada kar deta hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة