الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِثْمِ مَنْ لاَ يَأْمَنُ جَارُهُ بَوَايِقَهُ:
Is shakhs ka gunaah jis ka padosi us ke shar se aman mein na rehta ho.
Show diacritics
Hadith Number: Q6016
{يوبقهن} يهلكهن. {موبقا} مهلكا.
Quran Majeed mein jo lafz «yoobiq-hunna» hai is ke maani un ko halak kar daale. «maubiqan» ke maani halakat.


Show diacritics
Hadith Number: 6016
حدثنا عاصم بن علي، حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد، عن ابي شريح، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" والله لا يؤمن والله لا يؤمن والله لا يؤمن" قيل: ومن يا رسول الله؟ قال:" الذي لا يامن جاره بوايقه"، تابعه شبابة، واسد بن موسى، وقال : حميد بن الاسود، وعثمان بن عمر، وابو بكر بن عياش، وشعيب بن إسحاق، عن ابن ابي ذئب، عن المقبري عن ابي هريرة.
Hum se Aasim bin Ali ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, in se Saeed ne bayan kiya, in se Abu Shuraih ne bayan kiya aur in se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bayan kiya ”wallah! Woh iman wala nahi. wallah! Woh iman wala nahi. wallah! Woh iman wala nahi.“ Arz kiya gaya kaun: ya Rasool اللہ? Farmaya woh jis ke shar se is ka parosi mahfooz na ho. Is hadees ko Shababa aur Asad bin Musa ne bhi riwayat kiya hai aur Humayd bin al-Aswad aur Usman bin Amr aur Abu Bakr bin Ay-yash aur Shuayb bin Ishaq ne is hadees ko Ibn Abi Zib se yun riwayat kiya hai, unhon ne Muqbiri se, unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ تَحْقِرَنَّ جَارَةٌ لِجَارَتِهَا:
Koi aurat apni padosan ke liye kisi cheez ke dene ko haqeer na samjhe.
Show diacritics
Hadith Number: 6017
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، حدثنا سعيد هو المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" يا نساء المسلمات لا تحقرن جارة لجارتها ولو فرسن شاة".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Layth ne bayan kiya, kaha hum se Saeed ne bayan kiya woh Saeed Muqbiri hain, in se un ke walid ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmaya karte thay ”Ae Musalman aurato! Tum mein se koi aurat apni kisi parosan ke liye kisi bhi cheez ko (hadiya mein) dene ke liye haqeer na samjhe khwah bakri ka paaya hi kyun na ho.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ كَانَ يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الآخِرِ فَلاَ يُؤْذِ جَارَهُ:
Jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhta ho woh apne padosi ko takleef na pahunchaye.
Show diacritics
Hadith Number: 6018
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ابو الاحوص، عن ابي حصين، عن ابي صالح، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فلا يؤذ جاره، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم ضيفه، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليقل خيرا او ليصمت".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu al-Ahwas ne bayan, in se Abu Haseen ne, in se Abu Salih ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne parosi ko takleef na pahunchaye aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne mehman ki izzat kare aur jo koi Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh achhi baat zaban se nikale warna khamosh rahe.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6019
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، قال: حدثني سعيد المقبري، عن ابي شريح العدوي، قال: سمعت اذناي وابصرت عيناي حين تكلم النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" من كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم جاره، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليكرم ضيفه جائزته"، قال: وما جائزته يا رسول الله؟ قال:" يوم وليلة، والضيافة ثلاثة ايام فما كان وراء ذلك فهو صدقة عليه، ومن كان يؤمن بالله واليوم الآخر فليقل خيرا او ليصمت".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Layth bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Saeed Muqbiri ne bayan kiya, in se Abu Shuraih Adawi razi Allahu anhu ne bayan kiya unhon ne kaha ke mere kaanon ne suna aur meri aankhon ne dekha jab Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam guftagu farma rahe thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne parosi ka ikram kare aur jo shakhs Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh apne mehman ki dastoor ke muwafiq har tarah se izzat kare. Poochha: ya Rasool اللہ! Dastoor ke muwafiq kab tak hai. Farmaya ek din aur ek raat aur mezbani teen din ki hai aur jo is ke baad ho woh is ke liye sadqa hai aur jo Allah aur aakhirat ke din par iman rakhta ho woh behtar baat kahe ya khamosh rahe.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حَقِّ الْجِوَارِ فِي قُرْبِ الأَبْوَابِ:
Padosiyon mein kaun sa padosi muqaddam hai?
Show diacritics
Hadith Number: 6020
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال: اخبرني ابو عمران، قال: سمعت طلحة، عن عائشة، قالت: قلت يا رسول الله:" إن لي جارين فإلى ايهما اهدي؟ قال: إلى اقربهما منك بابا".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abu Imran ne khabar di, kaha ke main ne Talha se suna aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool اللہ! Meri parosnein hain (agar hadiya ek ho to) main in mein se kis ke paas hadiya bheijoon? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”jis ka darwaza tum se (tumhare darwaze se) zyada qareeb ho.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ كُلُّ مَعْرُوفٍ صَدَقَةٌ:
Har neek kaam sadaqa hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6021
حدثنا علي بن عياش، حدثنا ابو غسان، قال: حدثني محمد بن المنكدر، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" كل معروف صدقة".
Hum se Ali bin Ay-yash ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Ghassan ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Muhammad bin al-Munkadir ne bayan kiya, in se Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”har naik kaam sadqa hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6022
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا سعيد بن ابي بردة بن ابي موسى الاشعري، عن ابيه، عن جده، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" على كل مسلم صدقة" قالوا: فإن لم يجد؟ قال:" فيعمل بيديه فينفع نفسه ويتصدق" قالوا: فإن لم يستطع او لم يفعل؟ قال:" فيعين ذا الحاجة الملهوف" قالوا: فإن لم يفعل؟ قال:" فيامر بالخير او قال بالمعروف" قال: فإن لم يفعل؟ قال:" فيمسك عن الشر فإنه له صدقة".
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, in se Saeed bin Abi Burdah bin Abi Musa Ash'ari ne bayan kiya, in se un ke walid ne aur in se un ke dada (Abu Musa Ash'ari razi Allahu anhu) ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”har Musalman par sadqa karna zaroori hai.“ Sahabah ikraam razi Allahu anhum ne arz kiya agar koi cheez kisi ko (sadqa ke liye) jo mayassar na ho. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir apne hath se kaam kare aur is se khud ko bhi faida pahunchaye aur sadqa bhi kare. Sahabah ikraam razi Allahu anhum ne arz ki agar is mein is ki taqat na ho ya kaha ke na kar sake. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir kisi hajat-mand pareshan-haal ki madad kare. Sahabah ikraam razi Allahu anhum ne arz kiya agar woh yeh bhi na kar sake. Farmaya ke phir bhalayi ki taraf logon ko raghbat dilaye ya amr bil-maroof ka karna arz kiya aur agar yeh bhi na kar sake. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir burayi se ruka rahe ke yeh bhi is ke liye sadqa hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ طِيبِ الْكَلاَمِ:
Khush kalaami ka sawab.
Show diacritics
Hadith Number: Q6023
وقال ابو هريرة عن النبي صلى الله عليه وسلم الكلمة الطيبة صدقة
Aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”naik baat karne mein bhi sawab milta hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 6023
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عمرو، عن خيثمة، عن عدي بن حاتم، قال: ذكر النبي صلى الله عليه وسلم النار فتعوذ منها واشاح بوجهه، ثم ذكر النار فتعوذ منها واشاح بوجهه، قال شعبة: اما مرتين فلا اشك، ثم قال:" اتقوا النار ولو بشق تمرة، فإن لم تجد فبكلمة طيبة".
Hum se Abu al-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne, kaha ke mujhe Amr ne khabar di, unhein Khaisama ne aur in se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jahannum ka zikr kiya aur is se panah maangi aur chehre se earaz o nagowari ka izhar kiya. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne jahannum ka zikr kiya aur is se panah maangi aur chehre se earaz o nagowari ka izhar kiya, Shubah ne bayan kiya ke do martaba Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke jahannum se panah maangne ke silsile mein mujhe koi shak nahi hai. Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jahannum se bacho. Khwah aadhi khajoor hi (kisi ko) sadqa kar ke ho sake aur agar kisi ko yeh bhi mayassar na ho to achhi baat kar ke hi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة