الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنْ ذِكْرِ النَّاسِ نَحْوَ قَوْلِهِمُ الطَّوِيلُ وَالْقَصِيرُ:
Kisi aadmi ki nisbat yeh kehna ke lamba ya chhota hai, jaiz hai (bashartiyke us ki tahqeer ki niyat na ho gheebat nahin hai).
Show diacritics
Hadith Number: 6051
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا يزيد بن إبراهيم، حدثنا محمد، عن ابي هريرة، صلى بنا النبي صلى الله عليه وسلم الظهر ركعتين ثم سلم، ثم قام إلى خشبة في مقدم المسجد ووضع يده عليها، وفي القوم يومئذ ابو بكر وعمر فهابا ان يكلماه، وخرج سرعان الناس، فقالوا: قصرت الصلاة، وفي القوم رجل كان النبي صلى الله عليه وسلم يدعوه ذا اليدين، فقال: يا نبي الله انسيت ام قصرت؟ فقال:" لم انس ولم تقصر" قالوا: بل نسيت يا رسول الله قال:" صدق ذو اليدين"، فقام فصلى ركعتين ثم سلم ثم كبر فسجد مثل سجوده او اطول، ثم رفع راسه وكبر، ثم وضع مثل سجوده او اطول، ثم رفع راسه وكبر.
Hum se Hafs bin Umar Hauzi ne bayan kiya , kaha hum se Yazid bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain Zuhr ki namaz do rakat parhayi aur salam pher diya is ke baad Aap masjid ke aage ke hissa yani dalan mein ek lakri par sahara le kar khare ho gaye aur is par apna hath rakkha , hazireen mein Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma bhi maujood thay magar Aap ke dabdabe ki wajah se kuch bol na sake aur jild-baaz log masjid se bahar nikal gaye aapas mein sahabah ne kaha ke shayad namaz mein rakaat kam ho gayiein hain isi liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Zuhr ki namaz char ke bajaye sirf do hi rakaat parhayiein hain . Hazireen mein ek sahabi thay jinhein Aap Zhul-Yadain (lambe hathon wala) keh kar mukhatab farmaya karte thay , unhon ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Namaz ki rakaat kam ho gayiein hain ya Aap bhool gaye hain ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke na main bhoola hoon aur na namaz ki rakaat kam huiein hain . Sahabah ne arz kiya: nahi ya Rasool Allah! Aap bhool gaye hain , chunanche Aap ne yaad kar ke farmaya ke Zhul-Yadain ne sahih kaha hai . Phir Aap khare huay aur do rakaat aur parhayiein phir salam phera aur takbeer keh kar sajda (sajda e sahu) mein gaye , namaz ke sajda ki tarah balkay is se bhi zyada lamba sajda kiya phir sar uthaya aur takbeer keh kar phir sajda mein gaye pehle sajda ki tarah ya is se bhi lamba , phir sar uthaya aur takbeer kahi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْغِيبَةِ:
Gheebat ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q6052
وقول الله تعالى ولا يغتب بعضكم بعضا ايحب احدكم ان ياكل لحم اخيه ميتا فكرهتموه واتقوا الله إن الله تواب رحيم سورة الحجرات آية 12
Aur Allah Ta'ala ka farman «wa laa yaghtab ba-dukum ba-dan ayuhibbu ahadukum ay-ya'kula lahma akheehi maitan fakarihtumoohu wat-taqullaaha innallaaha tawwaabur-raheemun» ”aur tum mein baaz baaz ki gheebat na kare kya tum mein koi chahta hai ke apne murda bhai ka gosht khaye , tum usay napasand karo ge aur Allah se daro , yaqeenan Allah tauba qabool karne wala raham karne wala hai .“


Show diacritics
Hadith Number: 6052
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن الاعمش، قال: سمعت مجاهدا، يحدث عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: مر رسول الله صلى الله عليه وسلم على قبرين فقال:" إنهما ليعذبان وما يعذبان في كبير، اما هذا فكان لا يستتر من بوله، واما هذا فكان يمشي بالنميمة" ثم دعا بعسيب رطب فشقه باثنين، فغرس على هذا واحدا وعلى هذا واحدا، ثم قال:" لعله يخفف عنهما ما لم ييبسا".
Hum se Yahya bin Musa Balkhi ne bayan kiya , kaha hum se Waki ne bayan kiya , in se Aamash ne bayan kiya , unhon ne Mujahid se suna , woh Taoos se bayan karte thay aur woh Ibn Abbas razi Allahu anhuma se , unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam do qabron ke paas se guzre aur farmaya ke in donon mardon ko azab ho raha hai aur yeh kisi bare gunah ki wajah se azab mein giraftar nahi hain balkay yeh (ek qabr ka murda) apne peshab ki chheinton se nahi bachta tha (ya peshab karte waqt parda nahi karta tha) aur yeh (doosri qabr wala murda) chughal-khor tha , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ek hari shakh mangayi aur usay do tukron mein torr kar donon qabron par gaarr diya is ke baad farmaya ke jab tak yeh shakhein sookh na jayein is waqt tak shayad in donon ka azab halka rahe .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «خَيْرُ دُورِ الأَنْصَارِ» :
Nabi Karim Sallallahu alaihi wasallam ka farmana Ansaar ke sab gharon mein falana gharana behtar hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6053
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن ابي الزناد، عن ابي سلمة، عن ابي اسيد الساعدي، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" خير دور الانصار بنو النجار".
Hum se Qubaysah bin Uqbah ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne bayan kiya , in se Abu al-Zinad ne , in se Abu Salamah ne aur in se Abu Usayd Saadi razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”qabila Ansar mein sab se behtar gharana Banu Najjar ka gharana hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَجُوزُ مِنِ اغْتِيَابِ أَهْلِ الْفَسَادِ وَالرِّيَبِ:
Mufsid aur shareer logon ki ya jin par guman ghalib burai ka ho, un ki gheebat durust hona.
Show diacritics
Hadith Number: 6054
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، سمعت ابن المنكدر، سمع عروة بن الزبير، ان عائشة رضي الله عنها، اخبرته، قالت: استاذن رجل على رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" ائذنوا له بئس اخو العشيرة او ابن العشيرة"، فلما دخل الان له الكلام، قلت: يا رسول الله، قلت الذي قلت، ثم النت له الكلام، قال:" اي عائشة، إن شر الناس من تركه الناس او ودعه الناس اتقاء فحشه".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Sufyan bin Uyaynah ne khabar di , unhon ne Muhammad bin al-Munkadir se suna , unhon ne Urwah bin Zubayr se suna aur unhein Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne khabar di , unhon ne bayan kiya ke ek shakhs ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se andar aane ki ijazat chahi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke usay ijazat de do , falan qabila ka yeh bura aadmi hai jab woh shakhs andar aaya to Aap ne is ke saath bari narmi se guftagu ki . Main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap ko is ke mutalliq jo kuch kehna tha woh irshad farmaya aur phir is ke saath narm guftagu ki . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , Aisha! Woh bad-tareen aadmi hai jise is ki bad-kalami ke dar se log (usay) chhorr dein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّمِيمَةُ مِنَ الْكَبَائِرِ:
Chughal khori karna kabeera gunaahon mein se hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6055
حدثنا ابن سلام، اخبرنا عبيدة بن حميد ابو عبد الرحمن، عن منصور، عن مجاهد، عن ابن عباس، قال: خرج النبي صلى الله عليه وسلم من بعض حيطان المدينة، فسمع صوت إنسانين يعذبان في قبورهما، فقال:" يعذبان وما يعذبان في كبير وإنه لكبير، كان احدهما لا يستتر من البول، وكان الآخر يمشي بالنميمة، ثم دعا بجريدة فكسرها بكسرتين او ثنتين، فجعل كسرة في قبر هذا وكسرة في قبر هذا، فقال:" لعله يخفف عنهما ما لم ييبسا".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , kaha hum ko Ubaidah bin Abd-ur-Rahman ne khabar di , unhein Mansoor bin Mutamir ne , unhein Mujahid ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Madinah Munawwarah ke kisi bagh se tashreef laaye to Aap ne do (murda) insaanon ki aawaz suni jinhein in ki qabron mein azab diya ja raha tha phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein azab ho raha hai aur kisi bare gunah ki wajah se unhein azab nahi ho raha hai . In mein se ek shakhs peshab ke chheinton se nahi bachta tha aur doosra chughal-khor tha . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne khajoor ki ek hari shakh mangwayi aur usay do hisson mein tora aur ek tukra ek ki qabr par aur doosra doosre ki qabr par gaarr diya . Phir farmaya shayad ke in ke azab mein is waqt tak ke liye kami kar di jaye , jab tak yeh sookh na jayein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ النَّمِيمَةِ:
Chughal khori ki naapasandeedgi ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: Q6056
وقوله: {هماز مشاء بنميم}، {ويل لكل همزة لمزة}. يهمز ويلمز يعيب.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Noon mein) farmaya «hammaazin mash-shaa-im-bi-nameemin» ”aib-jo , chughal-khor“ aur Surah Humazah mein farmaya ”har aib-jo aawaz se kasne wale ki kharabi hai“ «yahmizu wa yalmizu» aur «ya-eebu» sab ke maani ek hain yani aib bayan karta hai , tane maarta hai .


Show diacritics
Hadith Number: 6056
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن همام، قال: كنا مع حذيفة، فقيل له: إن رجلا يرفع الحديث إلى عثمان، فقال له حذيفة سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" لا يدخل الجنة قتات".
Hum se Abu Nuaym (Fadl bin Dukain) ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , in se Mansoor bin Mutamir ne , in se Ibrahim Nakhai ne , in se Humam bin Haris ne bayan kiya ke hum Huzayfah razi Allahu anhu ke paas maujood thay , in se kaha gaya ke ek shakhs aisa hai jo yahan ki baatein Usman se ja lagata hai . Is par Huzayfah razi Allahu anhu ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna hai Aap salla Allahu alaihi wasallam ne batlaya ke jannat mein chughal-khor nahi jaye ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَاجْتَنِبُوا قَوْلَ الزُّورِ}:
Allah Taala ka farmaan "aye imaan walo! jhooti baat se bacho".
Show diacritics
Hadith Number: 6057
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا ابن ابي ذئب، عن المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" من لم يدع قول الزور والعمل به والجهل، فليس لله حاجة ان يدع طعامه وشرابه"، قال احمد: افهمني رجل إسناده.
Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya , kaha hum se Ibn Abi Zhayb ne bayan kiya , in se Saeed Muqbiri ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs (roza ki halat mein) jhoot baat karna aur fareeb karna aur jahalat ki baaton ko na chhorre to Allah ko is ki koi zaroorat nahi ke woh apna khana peena chhorre . Ahmad bin Yunus ne kaha yeh hadees main ne suni to thi magar main is ki sanad bhool gaya tha jo mujhko ek shakhs (Ibn Abi Zhayb) ne batla di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا قِيلَ فِي ذِي الْوَجْهَيْنِ:
Doghli baat karne wale ke baare mein jo kaha gaya hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6058
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" تجد من شر الناس يوم القيامة عند الله ذا الوجهين، الذي ياتي هؤلاء بوجه وهؤلاء بوجه".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne bayan kiya , unhon ne mujh se mere walid ne bayan kiya , kaha hum se Aamash ne bayan kiya , kaha hum se Abu Salih ne bayan kiya , in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tum Qayamat ke din Allah ke haan is shakhs ko sab se bad-tar pao ge jo kuch logon ke samne ek rukh se aata hai aur doosron ke samne doosre rukh se jata hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة