الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِلأَنْصَارِ: «اصْبِرُوا حَتَّى تَلْقَوْنِي عَلَى الْحَوْضِ» :
Bab: Nabi Karim ﷺ ka Ansar se ye farmana ke mujh se Hawz par milne tak sabr karna.
Show diacritics
Hadith Number: 3793
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن هشام، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم للانصار: إنكم ستلقون بعدي اثرة فاصبروا حتى تلقوني، وموعدكم الحوض".
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Hisham ne kaha ke mein ne Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ansar se farmaya " Mere baad tum dekho ge ke tum par doosron ko fauqiyat di jaye gi, pas tum sabr karna yahan tak ke mujh se aa milo aur meri tum se mulaqat Hauz par ho gi. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3794
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن يحيى بن سعيد، سمع انس بن مالك رضي الله عنه حين خرج معه إلى الوليد، قال: دعا النبي صلى الله عليه وسلم الانصار إلى ان يقطع لهم البحرين، فقالوا: لا إلا ان تقطع لإخواننا من المهاجرين مثلها، قال:" إما لا فاصبروا حتى تلقوني فإنه سيصيبكم بعدي اثرة".
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Suri ne bayan kiya, un se Yahya Bin Saeed ne, unhon ne Anas Radi Allahu Anhu se suna jab wo Anas Radi Allahu Anhu ke sath Khalifa Walid Bin Abdul Malik ke yahan jaane ke liye nikle. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ansar ko bulaya taake Bahrain ka mulk bator jagir unhein ata farma dein. Ansar ne kaha jab tak aap hamare bhai Muhajireen ko bhi isi jaisi jagir na ata farmayein hum ise qabool nahi karein ge. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " Dekho jab aaj tum qabool nahi karte ho to phir mere baad bhi sabr karna yahan tak ke mujh se aa milo, kyunke mere baad qareeb hi tumhari haqq talfi hone wali hai. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ دُعَاءُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَصْلِحِ الأَنْصَارَ وَالْمُهَاجِرَةَ:
Bab: Nabi Karim ﷺ ka dua karna ke (Ay Allah!) Ansar aur Muhajireen par apna karam farma.
Show diacritics
Hadith Number: 3795
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا ابو إياس معاوية بن قرة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا عيش إلا عيش الآخرة فاصلح الانصار والمهاجرة". وعن قتادة، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله، وقال:" فاغفر للانصار".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha hum se Abu Iyas ne bayan kiya un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (khandaq khodte waqt) farmaya " Haqeeqi zindagi to sirf Akhirat ki zindagi hai, pas ay Allah! Ansar aur Muhajireen par apna karam farma. " Aur Qatadah se riwayat hai un se Anas Radi Allahu Anhu ne bayan kiya Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se isi tarah, aur unhon ne bayan kiya is mein yun hai " Pas Ansar ki maghfirat farma de. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3796
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن حميد الطويل، سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال: كانت الانصار يوم الخندق، تقول: نحن الذين بايعوا محمدا على الجهاد ما حيينا ابدا فاجابهم: اللهم لا عيش إلا عيش الآخره فاكرم الانصار والمهاجره.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Humaid Taweel ne, unhon ne Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se suna Aap ne farmaya ke Ansar ghazwa Khandaq ke mauqa par (khandaq khodte hue) ye sher parhte thay «Nahnu-llazeena baya'u Muhammadan alal jihadi ma hayeena abada» " Hum wo hain jinhon ne Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) se jihad par bai'at ki hai, jab tak hamari jaan mein jaan hai. " Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne (jab ye suna to) is ke jawab mein yun farmaya «Allahumma la aisha illa aishul Akhirah fa akrimil Ansara wal Muhajirah» " Ay Allah! Akhirat ki zindagi ke siwa aur koi zindagi haqeeqi zindagi nahi hai, pas Ansar aur Muhajireen par apna fazl o karam farma. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3797
حدثني محمد بن عبيد الله، حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال: جاءنا رسول الله صلى الله عليه وسلم ونحن نحفر الخندق وننقل التراب على اكتادنا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اللهم لا عيش إلا عيش الآخره فاغفر للمهاجرين والانصار".
Mujh se Muhammad Bin Ubaidullah ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Hazim ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Sahl Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam hamare paas tashreef laye to hum khandaq khod rahe thay aur apne kandhon par matti utha rahe thay. Is waqt aap ne ye dua farmai «Allahumma la aisha illa aishul Akhirah faghfir lil Muhajireena wal Ansar» " Ay Allah! Akhirat ki zindagi ke siwa aur koi zindagi haqeeqi zindagi nahi, pas Muhajireen aur Ansar ki tu maghfirat farma. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَيُؤْثِرُونَ عَلَى أَنْفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ}:
Bab: (Is ayat ki tafseer mein)“Aur apne nafson par woh doosron ko muqaddam rakhte hain, agarche khud woh faqah hi mein mubtala hon”.
Show diacritics
Hadith Number: 3798
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الله بن داود، عن فضيل بن غزوان، عن ابي حازم، عن ابي هريرة رضي الله عنه: ان رجلا اتى النبي صلى الله عليه وسلم فبعث إلى نسائه، فقلن: ما معنا إلا الماء، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من يضم او يضيف هذا"، فقال: رجل من الانصار انا فانطلق به إلى امراته، فقال: اكرمي ضيف رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقالت: ما عندنا إلا قوت صبياني، فقال: هيئي طعامك واصبحي سراجك ونومي صبيانك إذا ارادوا عشاء , فهيات طعامها واصبحت سراجها ونومت صبيانها، ثم قامت كانها تصلح سراجها فاطفاته , فجعلا يريانه انهما ياكلان فباتا طاويين , فلما اصبح غدا إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" ضحك الله الليلة او عجب من فعالكما" , فانزل الله: ويؤثرون على انفسهم ولو كان بهم خصاصة ومن يوق شح نفسه فاولئك هم المفلحون سورة الحشر آية 9.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Abdullah Bin Dawood ne bayan kiya, un se Fazail Bin Ghazwan ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke ek sahab (khud Abu Hurairah Radi Allahu Anhu hi murad hain) Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein bhooke hazir hue, aap ne unhein Azwaj-e-Mutahharat ke yahan bheja. (Taake un ko khana khila dein) Azwaj-e-Mutahharat ne kehla bheja ke hamare paas pani ke siwa aur kuch nahi hai. Is par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke in ki kaun mehmani kare ga? Ek Ansari Sahabi bole mein karoon ga. Chunanche wo un ko apne ghar le gaye aur apni biwi se kaha ke Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke mehman ki khatir tawajjo kar, biwi ne kaha ke ghar mein bacchon ke khane ke siwa aur koi cheez bhi nahi hai, unhon ne kaha jo kuch bhi hai ise nikal do aur chiragh jala lo aur bacche agar khana mangte hain to unhein sula do. Biwi ne khana nikal diya aur chiragh jala diya aur apne bacchon ko (bhooka) sula diya, phir wo dikha to ye rahi theen jaise chiragh durust kar rahi hon lekin unhon ne ise bujha diya, is ke baad dono miyan biwi mehman par zahir karne lage ke goya wo bhi un ke sath kha rahe hain, lekin un dono ne (apne bacchon samet raat) faqa se guzar di, subah ke waqt jab wo Sahabi Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein aaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum dono miyan biwi ke naik amal par raat ko Allah Ta'ala hans para ya (ye farmaya ke ise) pasand kiya, is par Allah Ta'ala ne ye ayat nazil farmai «Wa yusiroona ala anfusihim walau kana bihim khasasatun wa may yuqa shuha nafsihi fa ulaika humul muflihoon» " Aur wo (Ansar) tarjeeh dete hain apne nafson ke upar (doosre ghareeb Sahaba ko) agarchay wo khud bhi faqa hi mein hon aur jo apni tabiyat ke bukhl se mehfooz rakkha gaya so aise hi log falah pane wale hain. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلُ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «اقْبَلُوا مِنْ مُحْسِنِهِمْ وَتَجَاوَزُوا عَنْ مُسِيئِهِمْ» :
Bab: Nabi Karim ﷺ ka ye farmana ke“Ansar ke nek logon ki nekiyon ko qabool karo aur un ke ghalat-kaaron se darguzar karo”.
Show diacritics
Hadith Number: 3799
حدثني محمد بن يحيى ابو علي، حدثنا شاذان اخو عبدان، حدثنا ابي، اخبرنا شعبة بن الحجاج، عن هشام بن زيد، قال: سمعت انس بن مالك، يقول:" مر ابو بكر , والعباس رضي الله عنهما بمجلس من مجالس الانصار وهم يبكون، فقال: ما يبكيكم، قالوا: ذكرنا مجلس النبي صلى الله عليه وسلم منا , فدخل على النبي صلى الله عليه وسلم فاخبره بذلك، قال: فخرج النبي صلى الله عليه وسلم وقد عصب على راسه حاشية برد، قال: فصعد المنبر ولم يصعده بعد ذلك اليوم فحمد الله واثنى عليه، ثم قال:" اوصيكم بالانصار فإنهم كرشي وعيبتي وقد قضوا الذي عليهم وبقي الذي لهم , فاقبلوا من محسنهم وتجاوزوا عن مسيئهم".
Mujh se Abu Ali Muhammad Bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Abdan ke bhai Shazan ne bayan kiya, kaha mujh se mere baap ne bayan kiya, humein Shuba Bin Hajjaj ne khabar di, un se Hisham Bin Zaid ne bayan kiya ke mein ne Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Abu Bakr aur Abbas Radi Allahu Anhuma Ansar ki ek majlis se guzre, dekha ke tamam ahl-e-majlis ro rahe hain, poocha aap log kyun ro rahe hain? Majlis walon ne kaha ke abhi hum Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki majlis ko yaad kar rahe thay jis mein hum baitha karte thay (ye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke marz-ul-wafat ka waqia hai) is ke baad ye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein hazir hue aur aap ko waqia ki ittila di, bayan kiya ke is par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laye, sar mubarak par kapre ki patti bandhi hui thi, rawi ne bayan kiya ke phir Aap minbar par tashreef laye aur is ke baad phir kabhi minbar par Aap tashreef na la sake, aap ne Allah ki hamd o sana ke baad farmaya mein tumhein Ansar ke bare mein wasiyat karta hoon ke wo mere jism o jaan hain, unhon ne apni tamam zimmedariyan poori ki hain lekin is ka badla jo unhein milna chahiye tha, wo milna abhi baqi hai, is liye tum log bhi un ke naik logon ki nekiyon ki qadar karna aur un ke khata karon se darguzar karte rehna
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3800
حدثنا احمد بن يعقوب، حدثنا ابن الغسيل، سمعت عكرمة، يقول: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم وعليه ملحفة متعطفا بها على منكبيه , وعليه عصابة دسماء حتى جلس على المنبر فحمد الله واثنى عليه، ثم قال:" اما بعد ايها الناس فإن الناس يكثرون وتقل الانصار حتى يكونوا كالملح في الطعام فمن ولي منكم امرا يضر فيه احدا او ينفعه , فليقبل من محسنهم ويتجاوز عن مسيئهم".
Hum se Ahmad Bin Yaqub ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Ghaseel ne bayan kiya, unhon ne kaha mein ne Ikrimah se suna, kaha ke mein ne Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhuma se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apne dono shanon par chadar odhe hue thay, aur (sar mubarak par) ek siyah patti (bandhi hui thi) Aap minbar par baith gaye aur Allah Ta'ala ki hamd o sana ke baad farmaya: Amma baad ay logo! Doosron ki to bahut kasrat ho jaye gi lekin Ansar kam ho jayein ge aur wo aise ho jayein ge jaise khane mein namak hota hai, pas tum mein se jo shakhs bhi kisi aise mehkama mein hakim ho jis ke zariya kisi ko nuqsan o nafa pahuncha sakta ho to ise Ansar ke naiku karon ki pazirai karni chahiye. Aur un ke khata karon se darguzar karna chahiye
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3801
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الانصار كرشي وعيبتي والناس سيكثرون ويقلون , فاقبلوا من محسنهم وتجاوزوا عن مسيئهم".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha ke mein ne Qatadah se suna aur unhon ne Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya " Ansar mere jism o jaan hain, ek daur aaye ga ke doosre log to bahut ho jayein ge, lekin Ansar kam reh jayein ge, is liye un ke naiku karon ki pazirai kiya karna, aur khata karon se darguzar kiya karna. "
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنَاقِبُ سَعْدِ بْنِ مُعَاذٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ:
Bab: Sa’d bin Mu’adh Radiallahu Anhu ke fazail ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3802
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول:" اهديت للنبي صلى الله عليه وسلم حلة حرير فجعل اصحابه يمسونها ويعجبون من لينها، فقال: اتعجبون من لين هذه لمناديل سعد بن معاذ خير منها او الين". رواه قتادة , والزهري , سمعا انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya kaha mujh se Shuba ne bayan kiya, un se Abu Ishaq ne kaha ke mein ne Bara Bin Azib Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas hadiya mein ek reshmi hulla aaya to Sahaba ise chone lage aur is ki narmi aur nazakat par taajjub karne lage, aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is par farmaya ke tumhein is ki narmi par taajjub hai, Saad Bin Muaz Radi Allahu Anhu ke rumal (jannat mein) is se kahin behtar hain ya (Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke) is se kahin zyada narm o nazuk hain, is hadees ki riwayat Qatadah aur Zuhri ne bhi ki hai, unhon ne Anas Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat kiya hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة