الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ تَكَلَّمَ بِالْفَارِسِيَّةِ وَالرَّطَانَةِ:
Bab: Farsi ya aur kisi bhi ajmi zaban mein bolna.
Show diacritics
Hadith Number: 3072
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه: ان الحسن بن علي اخذ تمرة من تمر الصدقة فجعلها في فيه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم بالفارسية:" كخ كخ اما تعرف انا لا ناكل الصدقة".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Hasan Bin Ali (Radi Allahu Anhuma) ne sadqa ki khajoor mein se (jo Bait-ul-Maal mein aayi thi) ek khajoor utha li aur apne munh ke qareeb le gaye. Lekin Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein Farsi zaban ka ye lafz keh kar rok diya ke "Kakh Kakh" kya tumhein maloom nahi ke hum sadqa nahi khaya karte hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْغُلُولِ:
Bab: Maal-e-ghanimat mein se taqseem se pehle kuch chura lena.
Show diacritics
Hadith Number: Q3073
وقول الله تعالى: {ومن يغلل يات بما غل}.
Aur Allah Ta'ala ne (Surah Aal-e-Imran mein) farmaya "waman yaghlul yati bima ghalla" " Aur jo koi khayanat karega wo Qiyamat mein ise le kar ayega."
.


Show diacritics
Hadith Number: 3073
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن ابي حيان، قال: حدثني ابو زرعة، قال: حدثني ابو هريرة رضي الله عنه، قال: قام فينا النبي صلى الله عليه وسلم فذكر الغلول فعظمه وعظم امره، قال:" لا الفين احدكم يوم القيامة على رقبته شاة لها ثغاء على رقبته فرس له حمحمة، يقول: يا رسول الله اغثني، فاقول: لا املك لك شيئا قد ابلغتك وعلى رقبته بعير له رغاء، يقول: يا رسول الله اغثني، فاقول: لا املك لك شيئا قد ابلغتك وعلى رقبته صامت، فيقول: يا رسول الله اغثني، فاقول: لا املك لك شيئا قد ابلغتك او على رقبته رقاع تخفق، فيقول: يا رسول الله اغثني، فاقول: لا املك لك شيئا قد ابلغتك، وقال ايوب، عن ابي حيان فرس له حمحمة.
Hum se Musaddad Bin Musarhad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, un se Abu Hayyan ne bayan kiya, un se Abu Zur'a ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne humein khitab farmaya aur ghulool (khayanat) ka zikr farmaya, is jurm ki haulnaki ko wazeh karte hue farmaya ke mein tum mein kisi ko bhi Qiyamat ke din is halat mein na paoon ke is ki gardan par bakri ladi hui ho aur wo chilla rahi ho ya is ki gardan par ghoda lada hua ho aur wo chilla raha ho aur wo shakhs mujh se kahe ke Ya Rasul Allah! Meri madad farmayiye. Lekin mein ye jawab de doon ke mein tumhari koi madad nahi kar sakta. Mein to (Allah ka paigham) tum tak pahuncha chuka tha. Aur is ki gardan par ont lada hua ho aur chilla raha ho aur wo shakhs kahe ke Ya Rasul Allah! Meri madad farmayiye. Lekin mein ye jawab de doon ke mein tumhari koi madad nahi kar sakta, mein Allah ka paigham tumhein pahuncha chuka tha, ya (wo is haal mein aaye ke) wo apni gardan par sona, chandi, asbab lade hue ho aur wo mujh se kahe ke Ya Rasul Allah! Meri madad farmayiye, lekin mein is se ye keh doon ke mein tumhari koi madad nahi kar sakta, mein Allah Ta'ala ka paigham tumhein pahuncha chuka tha. Ya is ki gardan par kapde ke tukde hon jo ise harkat de rahe hon aur wo kahe ke Ya Rasul Allah! Meri madad kijiye aur mein keh doon ke mein tumhari koi madad nahi kar sakta, mein to (Allah ka paigham) pehle hi pahuncha chuka tha. Aur Ayub Sakhtiyani ne bhi Abu Hayyan se riwayat kiya hai ghoda lade dekhoon jo hin-hina raha ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْقَلِيلِ مِنَ الْغُلُولِ:
Bab: Maal-e-ghanimat mein se zara si chori kar lena.
Show diacritics
Hadith Number: Q3074
ولم يذكر عبد الله بن عمرو، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" انه حرق متاعه وهذا اصح".
Aur Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne baab ki hadees mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye riwayat nahi kiya ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne churane wale ka asbab jala diya tha aur ye zyada sahi hai is riwayat se jis mein jalane ka zikr hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 3074
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن سالم بن ابي الجعد، عن عبد الله بن عمرو، قال: كان على ثقل النبي صلى الله عليه وسلم رجل، يقال له: كركرة فمات، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هو في النار فذهبوا ينظرون إليه فوجدوا عباءة قد غلها"، قال ابو عبد الله: قال ابن سلام كركرة: يعني بفتح الكاف وهو مضبوط كذا.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Thauri ne bayan kiya, un se Amr ne, un se Salim Bin Abi Al-Jad ne, un se Abdullah Bin Amr (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke saman-o-asbab par ek sahab muqarrar thay, jin ka naam Kirkira tha. Un ka intiqal ho gaya, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke wo to Jahannum mein gaya. Sahaba unhein dekhne gaye to ek abaa jise khayanat kar ke unhon ne chhupa liya tha un ke yahan mili. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Muhammad Bin Salam ne (Ibn Uyaina se naql kiya aur) kaha ye lafz "Kirkira" bifatah kaaf hai aur isi tarah manqool hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنْ ذَبْحِ الإِبِلِ وَالْغَنَمِ فِي الْمَغَانِمِ:
Bab: Maal-e-ghanimat ke oont bakriyon ko taqseem se pehle zabh karna makrooh hai.
Show diacritics
Hadith Number: 3075
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن سعيد بن مسروق، عن عباية بن رفاعة، عن جده رافع، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بذي الحليفة فاصاب الناس جوع واصبنا إبلا وغنما، وكان النبي صلى الله عليه وسلم في اخريات الناس" فعجلوا فنصبوا القدور، فامر بالقدور فاكفئت ثم قسم فعدل عشرة من الغنم ببعير فند منها بعير وفي القوم خيل يسير فطلبوه، فاعياهم، فاهوى إليه رجل بسهم، فحبسه الله، فقال: هذه البهائم لها اوابد كاوابد الوحش فما ند عليكم فاصنعوا به هكذا، فقال جدي: إنا نرجو او نخاف ان نلقى العدو غدا وليس معنا مدى افنذبح بالقصب، فقال: ما انهر الدم وذكر اسم الله عليه فكل ليس السن والظفر وساحدثكم عن ذلك اما السن فعظم، واما الظفر فمدى الحبشة".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana Waddah Shukri ne bayan kiya, un se Said Bin Masrooq ne, un se Abaya Bin Rifaa ne aur un se un ke dada Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke maqam Zul Hulaifa mein hum ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath padao kiya. Log bhooke thay. Idhar ghaneemat mein humein ont aur bakriyan mili theen. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) lashkar ke pichhle hisse mein thay. Logon ne (bhook ke mare) jaldi ki handiyan chadha deen. Baad mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke hukm se un handiyon ko ondha diya gaya phir aap ne ghaneemat ki taqseem shuru ki das bakriyon ko ek ont ke barabar rakha ittefaq se mal-e-ghaneemat ka ek ont bhag nikla. Lashkar mein ghodon ki kami thi. Log ise pakadne ke liye daude lekin ont ne sab ko thaka diya. Aakhir ek Sahabi (khud Rafi Radi Allahu Anhu) ne ise teer mara. Allah Ta'ala ke hukm se ont jahan tha wahin reh gaya. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke in (paltu) janwaron mein bhi jungli janwaron ki tarah baaz dafa wahshat ho jati hai. Is liye agar in mein se koi qabu mein na aaye to is ke sath aisa hi karo. Abaya kehte hain ke mere dada (Rafi Radi Allahu Anhu) ne khidmat-e-Nabwi mein arz kiya, ke humein umeed hai ya (ye kaha ke) khauf hai ke kal kahin hamari dushman se mud-bher na ho jaye. Idhar hamare paas chhuri nahi hai. To kya hum bans ki khapchiyon se zibah kar sakte hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jo cheez khoon baha de aur zibah karte waqt is par Allah Ta'ala ka naam bhi liya gaya ho, to is ka gosht khana halal hai. Albatta wo cheez (jis se zibah kiya gaya ho) daant aur nakhun na hona chahiye. Tumhare samne mein is ki wajah bhi bayan karta hoon daant to is liye nahi ke wo haddi hai aur nakhun is liye nahi ke wo Habshiyon ki chhuri hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْبِشَارَةِ فِي الْفُتُوحِ:
Bab: Fath ki khushkhabri dena.
Show diacritics
Hadith Number: 3076
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا إسماعيل، قال: حدثني قيس، قال: قال لي: جرير بن عبد الله رضي الله عنه، قال لي رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الا تريحني من ذي الخلصة وكان بيتا فيه خثعم يسمى كعبة اليمانية فانطلقت في خمسين ومائة من احمس وكانوا اصحاب خيل، فاخبرت النبي صلى الله عليه وسلم اني لا اثبت على الخيل فضرب في صدري حتى رايت اثر اصابعه في صدري، فقال: اللهم ثبته واجعله هاديا مهديا، فانطلق إليها فكسرها وحرقها فارسل إلى النبي صلى الله عليه وسلم يبشره، فقال: رسول جرير لرسول الله، يا رسول الله، والذي بعثك بالحق ما جئتك حتى تركتها كانها جمل اجرب، فبارك على خيل احمس ورجالها خمس مرات، قال مسدد: بيت في خثعم".
Hum se Muhammad Bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Abu Khalid ne bayan kiya, kaha ke mujh se Qais Bin Abi Hazim ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Jareer Bin Abdullah Bajali (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mujh se Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Zul Khalasa (Yemen ke Kaabe) ko tabah kar ke mujhe kyun khush nahi karte." Ye Zul Khalasa (Yemen ke qabile) Khasham ka but-kada tha (Kaabe ke muqabil banaya tha) jise Kaabat-ul-Yamaniyah kehte thay. Chunanche mein (apne qabile) Ahmas ke dedh so sawaron ko le kar tayyar ho gaya. Ye sab acche sheh-sawar thay. Phir mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se arz kiya ke mein ghode par acchi tarah se jam nahi pata to aap ne mere seene par (dast-e-mubarak) mara aur mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki unglion ka nishan apne seene par dekha. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne phir ye dua di "Allahumma sabbithu wa-jalhu hadiyan mahdiyan. Fa-ntalaqa ilaiha fakasaraha wa-harraqaha" "Ae Allah! Ise ghode par jama de aur ise sahi rasta dikhane wala bana de aur khud ise bhi raah paya hua kar de." Phir Jareer (Radi Allahu Anhu) muhim par rawana hue aur Zul Khalasa ko tod kar jala diya is ke baad Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein khushkhabri bhijwayi Jareer (Radi Allahu Anhu) ke qasid (Husain Bin Rabia) ne (khidmat-e-Nabwi mein) hazir ho kar arz kiya Ya Rasul Allah! Is zaat-e-paak ki qasam jis ne Aap ko saccha Paighambar bana kar mabous farmaya mein is waqt tak Aap ki khidmat mein hazir nahi hua jab tak wo but-kada jal kar aisa (siyah) nahi ho gaya jaise kharish wala bimar ont siyah hua karta hai. Ye sun kar Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne qabile Ahmas ke sawaron aur un ke paidal jawanon ke liye paanch martaba barkat ki dua farmayi Musaddad ne is hadees mein yun kaha Zul Khalasa Khasham qabile mein ek ghar tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُعْطَى الْبَشِيرُ:
Bab: (Fath-e-Islam ki) khushkhabri dene wale ko inaam dena.
Show diacritics
Hadith Number: Q3077
واعطى كعب بن مالك ثوبين حين بشر بالتوبة.
Aur Kaab Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne jab unhein tauba ke qabool hone ki khushkhabri sunayi gayi to khushkhabri sunane wale ko do kapde inaam diye thay
.


بَابُ لاَ هِجْرَةَ بَعْدَ الْفَتْحِ:
Bab: Fath-e-Makkah ke baad wahan se hijrat karne ki zaroorat nahi rahi.
Show diacritics
Hadith Number: 3077
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شيبان، عن منصور، عن مجاهد، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" يوم فتح مكة لا هجرة ولكن جهاد ونية، وإذا استنفرتم فانفروا".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shaiban ne bayan kiya, un se Mujahid ne, un se Taoos ne aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne fatah-e-Makkah ke din farmaya "Ab hijrat (Makkah se Madinah ke liye) baqi nahi rahi, albatta husn-e-niyat aur Jihad baqi hai. Is liye jab tumhein Jihad ke liye bulaya jaye to fauran nikal jao."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3078
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا يزيد بن زريع، عن خالد، عن ابي عثمان النهدي، عن مجاشع بن مسعود، قال: جاء مجاشع باخيه مجالد بن مسعود إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" هذا مجالد يبايعك على الهجرة، فقال: لا هجرة بعد فتح مكة ولكن ابايعه على الإسلام".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Yazid Bin Zuraie ne khabar di, unhein Khalid ne, unhein Abu Usman Nahdi ne aur un se Mujashia Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Mujashia apne bhai Mujalid Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ko le kar khidmat-e-Nabwi (Sallallahu Alaihi Wasallam) mein hazir hue aur arz kiya ke ye Mujalid hain. Aap se hijrat par bait karna chahte hain. Lekin Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke fatah-e-Makkah ke baad ab hijrat baqi nahi rahi. Haan mein Islam par un se bait le loon ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة