الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يُسْتَحَبُّ لِمَنْ يُتَوَفَّى فَجْأَةً أَنْ يَتَصَدَّقُوا عَنْهُ، وَقَضَاءِ النُّذُورِ عَنِ الْمَيِّتِ:
Bab: Agar kisi ko achaanak maut aa jaye to is ki taraf se khairaat karna mustahab hai aur mayyit ki nazron ko poori karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2760
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها ان رجلا، قال للنبي صلى الله عليه وسلم:" إن امي افتلتت نفسها واراها، لو تكلمت تصدقت، افاتصدق عنها؟ قال: نعم تصدق عنها".
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya ' kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya ' un se Hisham ne ' un se un ke baap ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke ek sahabi (Saad Bin Ubadah) ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kaha ke meri walida ki maut achanak waqi ho gayi ' mera khayal hai ke agar unhein guftagu ka moqa milta to wo sadqa kartein to kya mein un ki taraf se khairat kar sakta hoon? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya haan un ki taraf se khairat kar
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2761
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان سعد بن عبادة رضي الله عنه استفتى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: إن امي ماتت وعليها نذر، فقال:" اقضه عنها".
Hum se Abdullah Bin Yusuf Tainisi ne bayan kiya ' kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di Ibn Shihab se ' unhein Ubaidullah Bin Abdullah ne aur unhein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Saad Bin Ubadah (Radi Allahu Anhu) ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se masla poocha ' unhon ne arz kiya ke meri maan ka intiqal ho gaya hai aur us ke zimma ek nazar thi. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke in ki taraf se nazar poori kar de
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الإِشْهَادِ فِي الْوَقْفِ وَالصَّدَقَةِ:
Bab: Waqf aur sadaqa par gawah banana.
Show diacritics
Hadith Number: 2762
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني يعلى، انه سمع عكرمة مولى ابن عباس، يقول: انبانا ابن عباس، ان سعد بن عبادة رضي الله عنهم اخا بني ساعدة توفيت امه وهو غائب عنها، فاتى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، إن امي توفيت وانا غائب عنها، فهل ينفعها شيء إن تصدقت به عنها؟ قال:" نعم، قال: فإني اشهدك ان حائطي المخراف صدقة عليها".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya ' kaha ke hum ko Hisham Bin Yusuf ne khabar di ' unhein Ibn Juraij ne khabar di kaha ke mujhe Ya'la Bin Muslim ne khabar di ' unhon ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ke ghulam Akrimah se suna aur unhein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke qabila Bani Sa'idah ke bhai Saad Bin Ubadah (Radi Allahu Anhu) ki maan ka intiqal hua to wo in ki khidmat mein hazir nahi thay (balki Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath ghazwa Domat-ul-Jandal mein shareek thay) is liye wo Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas aaye aur arz kiya ya Rasul Allah! Meri walida ka intiqal ho gaya hai aur mein is waqt maujood nahi tha to agar mein in ki taraf se khairat karoon to unhein is ka faida pahunche ga? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke haan! Saad (Radi Allahu Anhu) ne is par kaha ke mein aap ko gawah banata hoon ke mera bagh Mikhraf nami in ki taraf se khairat hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَآتُوا الْيَتَامَى أَمْوَالَهُمْ وَلاَ تَتَبَدَّلُوا الْخَبِيثَ بِالطَّيِّبِ وَلاَ تَأْكُلُوا أَمْوَالَهُمْ إِلَى أَمْوَالِكُمْ إِنَّهُ كَانَ حُوبًا كَبِيرًا وَإِنْ خِفْتُمْ أَنْ لاَ تُقْسِطُوا فِي الْيَتَامَى فَانْكِحُوا مَا طَابَ لَكُمْ مِنَ النِّسَاءِ}:
Bab: Allah Taala ka irshad (Surah Nisa mein) ke“aur yateemon ko un ka maal pohancha do aur suthre maal ke ewaz ganda maal mat lo. Aur un ka maal apne maal ke sath gud mud kar ke na khao beshak ye bohot bara gunah hai aur agar tumhein andesha ho ke tum yateem larkiyon mein insaf na kar sako ge to doosri auraten jo tumhein pasand hon, un se nikah kar lo“.
Show diacritics
Hadith Number: 2763
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: كان عروة بن الزبير يحدث، انه سال عائشة رضي الله عنها وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى فانكحوا ما طاب لكم من النساء سورة النساء آية 3، قالت: هي اليتيمة في حجر وليها فيرغب في جمالها، ومالها، ويريد ان يتزوجها بادنى من سنة نسائها، فنهوا عن نكاحهن إلا ان يقسطوا لهن في إكمال الصداق، وامروا بنكاح من سواهن من النساء، قالت عائشة: ثم استفتى الناس رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد، فانزل الله عز وجل ويستفتونك في النساء قل الله يفتيكم فيهن سورة النساء آية 127، قالت: فبين الله في هذه ان اليتيمة إذا كانت ذات جمال ومال رغبوا في نكاحها ولم يلحقوها بسنتها بإكمال الصداق، فإذا كانت مرغوبة عنها في قلة المال والجمال تركوها والتمسوا غيرها من النساء، قال: فكما يتركونها حين يرغبون عنها، فليس لهم ان ينكحوها إذا رغبوا فيها إلا ان يقسطوا لها الاوفى من الصداق ويعطوها حقها".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya ' kaha hum ko Shuaib ne khabar di Zuhri se ke Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) un se hadees bayan karte thay unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se ayat «Wa In Khiftum An La Tuqsitu fil Yatama Fankihu Ma Taba Lakum Minan Nisa'i‏» "Aur agar tum daro ke yateemon ke haq mein insaf nahi karo ge to (aur) aurton mein se jo tumhein pasand hon un se nikah karlo." Ka matlab poocha to Aisha (Radi Allahu Anha) ne farmaya ke is se murad wo yateem larki hai jo apne wali ki zer-e-parwarish ho ' phir wali ke dil mein us ka husn aur us ke maal ki taraf se raghbat-e-nikah paida ho jaye magar is kam mahar par jo waisi larkiyon ka hona chahiye to is tarah nikah karne se roka gaya lekin ye ke wali un ke sath poore mahar ki adayigi mein insaf se kaam lein (to nikah kar sakte hain) aur unhein larkiyon ke siwa doosri aurton se nikah karne ka hukm diya gaya. Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke phir logon ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha to Allah Azzawajal ne ye ayat nazil farmayi «Wa Yastaftunaka fin Nisa'i Qulillahu Yuftikum Fihinna‏» "Aap se log aurton ke mutaliq poochte hain aap keh dein ke Allah tumhein un ke baare mein hidayat karta hai." Aisha (Radi Allahu Anha) ne kaha ke phir Allah Ta'ala ne is ayat mein bayan kar diya ke yateem larki agar jamal aur maal wali ho aur (un ke wali) un se nikah karne ke khwahish-mand hon lekin poora mahar dene mein un ke (khandan ke) tariqon ki pabandi na kar sakein to (wo un se nikah mat karein) jabke maal aur husn ki kami ki wajah se in ki taraf unhein koi raghbat na hoti ho to unhein wo chor dete aur un ke siwa kisi doosri aurat ko talash karte. Rawi ne kaha jis tarah aise log raghbat na hone ki surat mein in yateem larkiyon ko chor dete ' isi tarah un ke liye ye bhi jaiz nahi ke jab in larkiyon ki taraf unhein raghbat ho to un ke poore mahar ke maamle mein aur un ke huqooq ada karne mein insaf se kaam liye baghair un se nikah karein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَابْتَلُوا الْيَتَامَى حَتَّى إِذَا بَلَغُوا النِّكَاحَ فَإِنْ آنَسْتُمْ مِنْهُمْ رُشْدًا فَادْفَعُوا إِلَيْهِمْ أَمْوَالَهُمْ وَلاَ تَأْكُلُوهَا إِسْرَافًا وَبِدَارًا أَنْ يَكْبَرُوا وَمَنْ كَانَ غَنِيًّا فَلْيَسْتَعْفِفْ وَمَنْ كَانَ فَقِيرًا فَلْيَأْكُلْ بِالْمَعْرُوفِ فَإِذَا دَفَعْتُمْ إِلَيْهِمْ أَمْوَالَهُمْ فَأَشْهِدُوا عَلَيْهِمْ وَكَفَى بِاللَّهِ حَسِيبًا لِلرِّجَالِ نَصِيبٌ مِمَّا تَرَكَ الْوَالِدَانِ وَالأَقْرَبُونَ وَلِلنِّسَاءِ نَصِيبٌ مِمَّا تَرَكَ الْوَالِدَانِ وَالأَقْرَبُونَ مِمَّا قَلَّ مِنْهُ أَوْ كَثُرَ نَصِيبًا مَفْرُوضًا}:
Bab: Allah Taala ka irshad (Surah Nisa mein) ke“aur yateemon ki azmaish karte raho yahan tak ke woh baligh ho jayen to agar tum un mein salahiyat dekh lo to un ke hawale un ka maal kar do aur un ke maal ko jald jald israf se aur is khayal se ke ye bare ho jayen ge mat kha dalo ‘ balkeh jo shakhs maldaar ho to yateem ke maal se bacha rahe aur jo shakhs nadar ho woh dastur ke mutabiq is mein se kha sakta hai aur jab un ke maal un ke hawale karne lago to un par gawah bhi kar liya karo aur Allah hisab karne wala kafi hai. Mardon ke liye bhi us turka mein hissa hai jis ko walidain aur qareeb ke qarabat daar chhor jayen aur auraton ke liye bhi us turka mein hissa hai jis ko walidain aur qareeb ke qarabat daar chhor jayen. Is (matrooka) mein se thora ya zyada zaroor ek hissa muqarrar hai“.
Show diacritics
Hadith Number: Q2764
{حسيبا} يعني كافيا.
Ayat mein «Hasiba» ke maani kafi ke hain
.


بَابُ وَمَا لِلْوَصِيِّ أَنْ يَعْمَلَ فِي مَالِ الْيَتِيمِ، وَمَا يَأْكُلُ مِنْهُ بِقَدْرِ عُمَالَتِهِ:
Bab: Wasi ke liye yateem ke maal mein tijarat aur mehnat karna durust hai aur phir mehnat ke mutabiq is mein se kha lena durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2764
حدثنا هارون بن الاشعث، حدثنا ابو سعيد مولى بني هاشم، حدثنا صخر بن جويرية، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، ان عمر تصدق بمال له على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان يقال له: ثمغ، وكان نخلا، فقال: عمر يا رسول الله، إني استفدت مالا وهو عندي نفيس فاردت ان اتصدق به، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" تصدق باصله لا يباع، ولا يوهب، ولا يورث، ولكن ينفق ثمره"، فتصدق به عمر، فصدقته ذلك في سبيل الله وفي الرقاب، والمساكين، والضيف، وابن السبيل، ولذي القربى، ولا جناح على من وليه ان ياكل منه بالمعروف، او يوكل صديقه غير متمول به.
Hum se Haroon Bin Ash'as ne bayan kiya ' kaha ke hum se Banu Hashim ke ghulam Abu Saeed ne bayan kiya ' un se Sakhr Bin Juwairiyah ne bayan kiya Nafi se aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne apni ek jaidad Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamana mein waqf kar di ' is jaidad ka naam Samgh tha aur ye ek khajoor ka ek bagh tha. Umar (Radi Allahu Anhu) ne arz kiya ya Rasul Allah! Mujhe ek jaidad mili hai aur mere khayal mein nihayat umdah hai ' is liye mein ne chaha ke ise sadqa kar doon to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke asal maal ko sadqa kar ke na becha ja sake na hiba kiya ja sake aur na us ka koi waris ban sake ' sirf us ka phal (Allah ki raah mein) sarf ho. Chunancha Umar (Radi Allahu Anhu) ne ise sadqa kar diya ' un ka ye sadqa ghaziyon ke liye ' ghulam azad karane ke liye, muhtajon aur kamzoron ke liye ' musafiron ke liye aur rishtedaron ke liye tha aur ye ke is ke nigran ke liye is mein koi mazaqa nahi hoga ke wo dastoor ke muwafiq is mein se khaye ya apne kisi dost ko khilaye bashart-e-ke is mein se maal jama karne ka irada na rakhta ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2765
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها ومن كان غنيا فليستعفف ومن كان فقيرا فلياكل بالمعروف سورة النساء آية 6، قالت: انزلت في والي اليتيم ان يصيب من ماله، إذا كان محتاجا بقدر ماله بالمعروف".
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya ' kaha hum se Abu Usamah ne bayan kiya Hisham se ' un se un ke walid ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne (Quran Majeed ki is ayat) «Wa Man Kana Ghaniyyan Falyasta'fif Wa Man Kana Faqiran Fal-ya'kul Bil-Ma'rufi‏» "Aur jo shakhs maldar ho wo apne ko yateem ke maal se bilkul roke rakkhe ' albatta jo shakhs nadar ho to wo dastoor ke mutabiq kha sakta hai" ke baare mein farmaya ke yateemon ke waliyon ke baare mein nazil hui ke yateem ke maal mein se agar wali nadar ho to dastoor ke mutabiq us ke maal mein se le sakta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {إِنَّ الَّذِينَ يَأْكُلُونَ أَمْوَالَ الْيَتَامَى ظُلْمًا إِنَّمَا يَأْكُلُونَ فِي بُطُونِهِمْ نَارًا وَسَيَصْلَوْنَ سَعِيرًا}:
Bab: Allah Taala ka irshad (Surah Nisa mein) ke“beshak woh log jo yateemon ka maal zulm ke sath kha jate hain, woh apne pet mein aag bharte hain, woh zaroor dahakti hui aag hi mein jhonke diye jayen ge“.
Show diacritics
Hadith Number: 2766
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني سليمان بن بلال، عن ثور بن زيد المدني، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" اجتنبوا السبع الموبقات، قالوا: يا رسول الله، وما هن، قال: الشرك بالله، والسحر، وقتل النفس التي حرم الله إلا بالحق، واكل الربا، واكل مال اليتيم، والتولي يوم الزحف، وقذف المحصنات المؤمنات الغافلات".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya ' unhon ne kaha ke mujh se Sulaiman Bin Bilal ne bayan kiya ' un se Sawr Bin Zaid Madni ne bayan kiya ' un se Abu Ghais ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Saat gunahon se jo tabah kar dene wale hain bachte raho." Sahaba (Radi Allahu Anhum) ne poocha ya Rasul Allah! Wo kaun se gunah hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Allah ke sath kisi ko shareek thherana ' jadoo karna ' kisi ki nahaq jaan lena ke jise Allah Ta'ala ne haram qarar diya hai ' sood khana ' yateem ka maal khana ' larayi mein se bhag jana ' paak daman bholi bhali iman wali aurton par tuhmat lagana."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الْيَتَامَى قُلْ إِصْلاَحٌ لَهُمْ خَيْرٌ وَإِنْ تُخَالِطُوهُمْ فَإِخْوَانُكُمْ وَاللَّهُ يَعْلَمُ الْمُفْسِدَ مِنَ الْمُصْلِحِ وَلَوْ شَاءَ اللَّهُ لأَعْنَتَكُمْ إِنَّ اللَّهَ عَزِيزٌ حَكِيمٌ}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Baqarah mein) ye farmana ke“Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se log yateemon ke bare mein poochhte hain, Aap keh dijiye ke jahan tak ho sake un ke maalon mein behtari ka khayal rakhna hi behtar hai aur agar tum un ke sath (un ke amwaal mein) sath mil jul kar raho to (beharhaal) woh bhi tumhare hi bhai hain aur Allah Taala sanwarne wale aur fasaad paida karne wale ko khoob jaanta hai aur agar Allah Taala chahta to tumhein tangi mein mubtala kar deta, bila-shubha Allah Taala ghalib aur hikmat wala hai“.
Show diacritics
Hadith Number: Q2767
لاعنتكم سورة البقرة آية 220 لاحرجكم، وضيق، وعنت خضعت.
(Quran ki is ayat mein) «La'antakum‏» ke maani hain ke tumhein harj aur tangi mein mubtala kar deta aur (Surat Taha mein lafz) «Tahannat» ke maani munh jhuk gaye ' us Allah ke liye jo zinda hai aur sab ka sambhalne wala hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 2767
وقال لنا سليمان، حدثنا حماد، عن ايوب، عن نافع، قال: ما رد ابن عمر على احد وصية، وكان ابن سيرين احب الاشياء إليه في مال اليتيم، ان يجتمع إليه نصحاؤه واولياؤه، فينظروا الذي هو خير له، وكان طاوس إذا سئل عن شيء من امر اليتامى قرا والله يعلم المفسد من المصلح سورة البقرة آية 220. وقال عطاء في يتامى الصغير والكبير، ينفق الولي على كل إنسان بقدره من حصته.
Aur Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya ' un se Hammad Bin Usamah ne bayan kiya ' un se Ayub ne ' un se Nafi ne bayan kiya ke Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ko koi wasi banata to wo kabhi inkar na karte. Ibn Sireen Tabiee Rahimahullah ka mahboob mashghala ye tha ke yateem ke maal-o-jaidad ke silsile mein un ke khair khwahon aur waliyon ko jama karte taake un ke liye koi acchi surat paida karne ke liye ghaur karein. Taoos Tabiee Rahimahullah se jab yateemon ke baare mein koi sawal kiya jata to aap ye ayat parhte ke «Wallahu Ya'lamul Mufsida Minal Musli'hi‏» "Aur Allah fasad paida karne wale aur sanwarne wale ko khoob janta hai." Ata Rahimahullah ne yateemon ke baare mein kaha khwah wo mamooli qism ke logon mein hon ya bare darje ke ' is ka wali us ke hissa mein se jaise us ke laiq ho, waisa us par kharch kare
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة