الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ هَلْ يَدْخُلُ النِّسَاءُ وَالْوَلَدُ فِي الأَقَارِبِ:
Bab: Kya azizon mein auraten aur bache bhi dakhil hon ge.
Hadith Number: 2753
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، وابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: قام رسول الله صلى الله عليه وسلم حين انزل الله عز وجل وانذر عشيرتك الاقربين سورة الشعراء آية 214، قال: يا معشر قريش، او كلمة نحوها، اشتروا انفسكم، لا اغني عنكم من الله شيئا يا بني عبد مناف، لا اغني عنكم من الله شيئا، يا عباس بن عبد المطلب، لا اغني عنك من الله شيئا، ويا صفية عمة رسول الله، لا اغني عنك من الله شيئا، ويا فاطمة بنت محمد سليني ما شئت من مالي، لا اغني عنك من الله شيئا". تابعه اصبغ، عن ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب.
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya ' kaha hum ko Shuaib ne khabar di ' unhon ne Zuhri se ' kaha mujh ko Saeed Bin Musayyib aur Abu Salamah Bin Abdur Rahman ne khabar di ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha jab (Surat-ush-Shu'ara ki) ye ayat Allah Ta'ala ne utari «Wa Anzir Ashiratakal Aqrabina» aur apne nazdeek naate walon ko Allah ke azab se dara to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Quraish ke logo! Ya aisa hi koi aur kalma tum log apni apni janon ko (naik amaal ke badal) mol le lo (bacha lo) mein Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aoon ga (yaani is ki marzi ke khilaf mein kuch nahi kar sakoon ga) Abd Manaf ke beto! Mein Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aoon ga. Abbas Abdul Muttalib ke bete! Mein Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aoon ga. Safiyah meri phuphi! Allah ke samne tumhare kuch kaam nahi aoon ga. Fatima! Beti tu chahe mera maal mang le lekin Allah ke samne tere kuch kaam nahi aoon ga. Abul Yaman ke sath hadees ko Asbagh ne bhi Abdullah Bin Wahab se ' unhon ne Yunus se ' unhon ne Ibn Shihab se riwayat kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يَنْتَفِعُ الْوَاقِفُ بِوَقْفِهِ:
Bab: Kya waqf karne wala apne waqf se khud bhi faida utha sakta hai?
Hadith Number: Q2754
وقد اشترط عمر رضي الله عنه، لا جناح على من وليه ان ياكل منها، وقد يلي الواقف وغيره، وكذلك كل من جعل بدنة او شيئا لله فله، ان ينتفع بها كما ينتفع غيره، وإن لم يشترط.
Aur Umar (Radi Allahu Anhu) ne shart lagayi thi (apne waqf ke liye) ke jo shakhs is ka mutawalli ho us ke liye is waqf mein se kha lene se koi harj na hoga. (Dastoor ke mutabiq) waqif khud bhi waqf ka muhtamim ho sakta hai aur doosra shakhs bhi. Isi tarah agar kisi shakhs ne oont ya koi aur cheez Allah ke raste mein waqf ki to jis tarah doosre is se faida utha sakte hain khud waqf karne wala bhi utha sakta hai agarchay (waqf karte waqt) is ki shart na lagayi ho
.
.
Hadith Number: 2754
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ابو عوانة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم راى رجلا يسوق بدنة، فقال له:" اركبها، فقال: يا رسول الله، إنها بدنة، قال: في الثالثة او في الرابعة اركبها، ويلك او ويحك".
Hum se Qutaibah Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne dekha ke ek shakhs qurbani ka oont hanke liye ja raha hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne us se farmaya ke is par sawar ho ja. Is sahab ne kaha ya Rasul Allah! Ye qurbani ka oont hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne teesri ya chauthi baar farmaya afsos! Sawar bhi ho ja ya aap ne «Wailaka» ki bajaye «Waihaka» farmaya jis ke maani bhi wahi hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2755
حدثنا إسماعيل، حدثنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم راى رجلا يسوق بدنة، فقال: اركبها، قال: يا رسول الله، إنها بدنة، قال: اركبها، ويلك في الثانية او في الثالثة".
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Abul Zinad ne, un ne Aaraj se aur un Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne dekha ke ek sahab qurbani ka oont hanke liye ja rahe hain. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke is par sawar ho ja lekin unhon ne mazrat ki ke ya Rasul Allah! Ye to qurbani ka hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne phir farmaya ke sawar bhi ho ja. Afsos! Ye kalma Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne teesri ya chauthi martaba farmaya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا وَقَفَ شَيْئًا فَلَمْ يَدْفَعْهُ إِلَى غَيْرِهِ، فَهُوَ جَائِزٌ:
Bab: Agar waqf karne wala maal waqf ko (apne qabze mein rakhe) doosre ke hawale na kare to jaiz hai.
Hadith Number: Q2756-3
لان عمر رضي الله عنه اوقف، وقال: لا جناح على من وليه ان ياكل ولم يخص، إن وليه عمر، او غيره، قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي طلحة:" ارى ان تجعلها في الاقربين، فقال: افعل، فقسمها في اقاربه وبني عمه".
Is liye ke Umar (Radi Allahu Anhu) ne (Khaibar ki apni zameen) waqf ki aur farmaya ke agar is mein se is ka mutawalli bhi khaye to koi mazaqa nahi hai. Yahan aap ne is ki koi takhsees nahi ki thi ke khud aap hi is ke mutawalli hon ge ya koi doosra. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Abu Talhah (Radi Allahu Anhu) se farmaya tha ke mera khayal hai ke tum apni zameen (bagh Bir-ha sadqa karna chahte ho to) apne azeezon ko de do. Unhon ne arz kiya ke mein aisa hi karoon ga. Chunancha unhon ne apne azeezon aur chacha ke larkon mein baant diya
.
.
بَابُ إِذَا قَالَ دَارِي صَدَقَةٌ لِلَّهِ وَلَمْ يُبَيِّنْ لِلْفُقَرَاءِ أَوْ غَيْرِهِمْ. فَهُوَ جَائِزٌ، وَيَضَعُهَا فِي الأَقْرَبِينَ أَوْ حَيْثُ أَرَادَ:
Bab: Agar kisi ne yun kaha ke mera ghar Allah ki raah mein sadaqa hai, fuqara waghera ke liye sadaqa hone ki koi wazahat nahi ki to waqf jaiz hua ab is ko ikhtiyar hai ise woh apne azizon ko bhi de sakta hai aur doosron ko bhi kyunke sadaqa karte hue kisi ki takhsees nahi ki thi.
Hadith Number: Q2756-2
قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي طلحة حين قال احب اموالي إلي بيرحاء، وإنها صدقة لله، فاجاز النبي صلى الله عليه وسلم ذلك. وقال بعضهم لا يجوز حتى يبين لمن والاول اصح.
Jab Abu Talhah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mere amwal mein mujhe sab se zyada pasandida Bir-ha ka bagh hai aur wo Allah ke raste mein sadqa hai to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ise jaiz qarar diya tha (halankey unhon ne koi tayeun nahi ki thi ke wo ye kise dein ge) lekin baaz log (Shafi'iyah) ne kaha ke jab tak ye na bayan kar de ke sadqa kis liye hai, jaiz nahi hoga aur pehla qaul zyada sahih hai
.
.
بَابُ إِذَا قَالَ أَرْضِي أَوْ بُسْتَانِي صَدَقَةٌ عَنْ أُمِّي. فَهُوَ جَائِزٌ، وَإِنْ لَمْ يُبَيِّنْ لِمَنْ ذَلِكَ:
Bab: Kisi ne kaha ke meri zameen ya mera bagh meri (marhooma) maa ki taraf se sadaqa hai to ye bhi jaiz hai khwah is mein bhi is ki wazahat na ki ho ke kis ke liye sadaqa hai.
Hadith Number: 2756
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا مخلد بن يزيد، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني يعلى، انه سمع عكرمة، يقول: انبانا ابن عباسرضي الله عنهما، ان سعد بن عبادة رضي الله عنه توفيت امه وهو غائب عنها، فقال: يا رسول الله، إن امي توفيت وانا غائب عنها، اينفعها شيء إن تصدقت به عنها؟ قال: نعم، قال: فإني اشهدك ان حائطي المخراف صدقة عليها".
Hum se Muhammad Bin Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Makhlad Bin Yazid ne khabar di, unhein Ibn Juraij ne khabar di, kaha ke mujhe Ya'la Bin Muslim ne khabar di, unhon ne Akrimah se suna, wo bayan karte thay ke humein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne khabar di ke Saad Bin Ubadah (Radi Allahu Anhu) ki maan Amrah Bint-e-Masood ka intiqal hua to wo in ki khidmat mein maujood nahi thay. Unhon ne aa kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha ya Rasul Allah! Meri walida ka jab intiqal hua to mein in ki khidmat mein hazir nahi tha. Kya agar mein koi cheez sadqa karoon to is se unhein faida pahunch sakta hai? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne isbat mein jawab diya to unhon ne kaha ke mein aap ko gawah banata hoon ke mera Mikhraf nami bagh in ki taraf se sadqa hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا تَصَدَّقَ أَوْ أَوْقَفَ بَعْضَ مَالِهِ، أَوْ بَعْضَ رَقِيقِهِ أَوْ دَوَابِّهِ، فَهُوَ جَائِزٌ:
Bab: Jab kisi ne apna koi maal ya apna koi ghulam ya janwar sadaqa ya waqf kiya to jaiz hai.
Hadith Number: 2757
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبد الرحمن بن عبد الله بن كعب، ان عبد الله بن كعب، قال: سمعت كعب بن مالك رضي الله عنه، قلت: يا رسول الله، إن من توبتي ان انخلع من مالي صدقة إلى الله وإلى رسوله صلى الله عليه وسلم، قال:" امسك عليك بعض مالك فهو خير لك، قلت: فإني امسك سهمي الذي بخيبر".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya ' kaha hum se Laith ne bayan kiya ' un se Aqeel ne ' un se Ibn Shihab ne kaha ke mujhe Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Kaab ne khabar di aur un se Abdullah Bin Kaab ne bayan kiya ke mein ne Kaab Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ' wo bayan karte thay ke mein ne arz kiya ya Rasul Allah! Meri tauba (ghazwa Tabook mein na jaane ki) qabool hone ka shukrana ye hai ke mein apna maal Allah aur us ke Rasul ke raste mein dedoon. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar apne maal ka ek hissa apne paas hi baqi rakkho to tumhare haq mein ye behtar hai. Mein ne arz kiya ke phir mein apna Khaibar ka hissa apne paas mehfooz rakhta hoon
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ تَصَدَّقَ إِلَى وَكِيلِهِ ثُمَّ رَدَّ الْوَكِيلُ إِلَيْهِ:
Bab: Agar sadaqa ke liye kisi ko wakeel kare aur wakeel is ka sadaqa phair de.
Hadith Number: 2758
وقال إسماعيل: اخبرني عبد العزيز بن عبد الله بن ابي سلمة، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، لا اعلمه إلا عن انس رضي الله عنه، قال: لما نزلت لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92 جاء ابو طلحة إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، يقول الله تبارك وتعالى في كتابه لن تنالوا البر حتى تنفقوا مما تحبون سورة آل عمران آية 92 وإن احب اموالي إلي بيرحاء، قال: وكانت حديقة كان رسول الله صلى الله عليه وسلم" يدخلها ويستظل بها ويشرب من مائها فهي إلى الله عز وجل، وإلى رسوله صلى الله عليه وسلم ارجو بره وذخره فضعها اي رسول الله حيث اراك الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" بخ يا ابا طلحة ذلك مال رابح قبلناه منك ورددناه عليك، فاجعله في الاقربين، فتصدق به ابو طلحة على ذوي رحمه، قال: وكان منهم ابي، وحسان، قال: وباع حسان حصته منه من معاوية، فقيل له: تبيع صدقة ابي طلحة، فقال: الا ابيع صاعا من تمر بصاع من دراهم، قال: وكانت تلك الحديقة في موضع قصر بني حديلة الذي بناه معاوية".
Aur Ismail Bin Jafar ne bayan kiya ke mujhe Abdul Aziz Bin Abdullah Bin Abi Salamah ne khabar di ' unhein Ishaq Bin Abdullah Bin Abi Talhah ne (Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke) mein samajhta hoon ke ye riwayat unhon ne Anas (Radi Allahu Anhu) se ki hai ke unhon ne bayan kiya (jab Surat Aal-e-Imran ki) ye ayat nazil hui «Lan Tanalul Birra Hatta Tunfiqu Mimma Tuhibbuna» "Tum naiki hargiz nahi pa sakte jab tak us maal mein se kharch na karo jo tum ko zyada pasand hai." To Abu Talhah (Radi Allahu Anhu) Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hue aur arz kiya ya Rasul Allah! Allah Tabarak-o-Ta'ala apni kitab mein farmata hai «Lan Tanalul Birra Hatta Tunfiqu Mimma Tuhibbuna» "Tum naiki hargiz nahi pa sakte jab tak us maal mein se kharch na karo jo tum ko zyada pasand hai." Aur mere amwal mein sab se pasand mujhe Bir-ha hai. Bayan kiya ke Bir-ha ek bagh tha. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) bhi is mein tashreef le jaya karte ' is ke saye mein baithte aur is ka pani peete (Abu Talhah ne kaha ke) is liye wo Allah Azzawajal ki raah mein sadqa aur Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke liye hai. Mein is ki naiki aur us ke zakheera-e-akhirat hone ki umeed rakhta hoon. Pas ya Rasul Allah! Jis tarah Allah aap ko bataye ise kharch kijiye. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya wah wah shabash Abu Talhah ye to bara nafa bakhsh maal hai ' hum tum se ise qabool kar ke phir tumhare hi hawale kar dete hain aur ab tum ise apne azeezon ko dedo. Chunancha Abu Talhah (Radi Allahu Anhu) ne wo bagh apne azeezon ko de diya. Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jin logon ko bagh Aap ne diya tha un mein Ubayy aur Hassan (Radi Allahu Anhu) thay. Unhon ne bayan kiya ke Hassan (Radi Allahu Anhu) ne apna hissa Muawiyah (Radi Allahu Anhu) ko bech diya to kisi ne un se kaha ke kya aap Abu Talhah (Radi Allahu Anhu) ka diya hua maal bech rahe ho? Hassan (Radi Allahu Anhu) ne jawab diya ke mein khajoor ka ek saa' rupayon ke ek saa' ke badal kyun na bechoon. Anas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ye bagh Bani Hadilah ke muhalla ke qareeb tha jise Muawiyah (Radi Allahu Anhu) ne (ba-taur qila ke) tameer kiya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَإِذَا حَضَرَ الْقِسْمَةَ أُولُو الْقُرْبَى وَالْيَتَامَى وَالْمَسَاكِينُ فَارْزُقُوهُمْ مِنْهُ}:
Bab: Allah Taala ka irshad ke“jab (meerath ki taqseem) ke waqt rishta daar (jo waris na hon) aur yateem aur maskeen aa jayen to un ko bhi turke mein se kuch kuch khila do (aur agar khilana na ho sake to) achhi baat keh kar narmi se taal do“.
Hadith Number: 2759
حدثنا محمد بن الفضل ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:إن ناسا يزعمون ان هذه الآية نسخت، ولا، والله ما نسخت ولكنها مما تهاون الناس، هما واليان: وال يرث، وذاك الذي يرزق، ووال لا يرث فذاك الذي يقول بالمعروف، يقول: لا املك لك ان اعطيك".
Hum se Abul Numan Muhammad Bin Fazl ne bayan kiya ' kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya Abu Bishr Jafar se ' un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya ke kuch log guman karne lage hain ke ye ayat (jis zikr unwan mein hua) miras ki ayat mansookh ho gayi hai ' nahi qasam Allah ki ayat mansookh nahi hui albatta log is par amal karne mein sust ho gaye hain. Tarke ke lene wale do tarah ke hote hain ek wo jo waris hon un ko hissa diya jayega doosre wo jo waris na hon un ko narmi se jawab dene ka hukm hai. Wo yun kahe miyan mein tum ko dene ka ikhtiyar nahi rakhta
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة