الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ بَدَأَ بِالْحِلاَبِ أَوِ الطِّيبِ عِنْدَ الْغُسْلِ:
Bab: Is bare mein ke jis ne khilaab se ya khushboo laga kar ghusl kiya to us ka bhi ghusl ho gaya.
Hadith Number: 258
حدثنا محمد بن المثنى، قال: حدثنا ابو عاصم، عن حنظلة، عن القاسم، عن عائشة، قالت:" كان النبي صلى الله عليه وسلم إذا اغتسل من الجنابة دعا بشيء نحو الحلاب، فاخذ بكفه فبدا بشق راسه الايمن، ثم الايسر، فقال: بهما على وسط راسه".
Muhammed bin Musanna ne hum se bayan kiya, kaha ke hum se Abu ’Aasim (Zahhak bin Makhlad) ne bayan kiya, woh Hanzalah bin Abi Sufyan se, woh Qasim bin Muhammed se, woh Aisha Radhiallahu Anha se. Aap ne farmaaya ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam jab ghusl-e-janabat karna chaahte to Hilaab ki tarah ek cheez mangaate. Phir (paani ka chullu) apne haath mein lete aur sar ke daahne hisse se ghusl ki ibtida karte. Phir baayein hisse ka ghusl karte. Phir apne dono haathon ko sar ke beech mein lagaate the.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَضْمَضَةِ وَالاِسْتِنْشَاقِ فِي الْجَنَابَةِ:
Bab: Is bayan mein ke ghusl-e-janabat karte waqt kulli karna aur naak mein pani daalna chahiye.
Hadith Number: 259
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، قال: حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني سالم، عن كريب، عن ابن عباس، قال: حدثتنا ميمونة، قالت:" صببت للنبي صلى الله عليه وسلم غسلا، فافرغ بيمينه على يساره فغسلهما، ثم غسل فرجه، ثم قال: بيده الارض فمسحها بالتراب ثم غسلها، ثم تمضمض واستنشق، ثم غسل وجهه وافاض على راسه، ثم تنحى فغسل قدميه، ثم اتي بمنديل فلم ينفض بها".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne bayan kiya, kaha ke hum se mere waalid ne bayan kiya, kaha ke hum se A’mash ne, kaha mujh se Salim ne Kuraib ke waasta se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain, kaha hum se Maimunah ne bayan farmaaya ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye ghusl ka paani rakha. To pehle Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne paani ko daayen haath se baayein par giraaya. Is tarah apne dono haathon ko dhoya. Phir apni sharmgaah ko dhoya. Phir apne haath ko zameen par ragad kar use mitti se mila aur dhoya. Phir kulli ki aur naak mein paani daala. Phir apne chehre ko dhoya aur apne sar par paani bahaaya. Phir ek taraf ho kar dono paaon dhoye. Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ko rumaal diya gaya. Lekin Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne us se paani ko khushk nahi kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَسْحِ الْيَدِ بِالتُّرَابِ لِيَكُونَ أَنْقَى:
Bab: Is bare mein ke (gandagi paak karne ke baad) haathon ko mitti se milna taake woh khoob saaf ho jayen.
Hadith Number: 260
حدثنا الحميدي، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب، عن ابن عباس، عن ميمونة،" ان النبي صلى الله عليه وسلم اغتسل من الجنابة، فغسل فرجه بيده ثم دلك بها الحائط، ثم غسلها، ثم توضا وضوءه للصلاة، فلما فرغ من غسله غسل رجليه".
Hum se Abdullah bin Zubair Humaidi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se A’mash ne bayan kiya Salim bin Abi-Ja’d ke waaste se, unhon ne Kuraib se, unhon ne Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se, unhon ne Maimunah Radhiallahu Anha se ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne ghusl-e-janabat kiya to pehle apni sharmgaah ko apne haath se dhoya. Phir haath ko deewaar par ragad kar dhoya. Phir Namaz ki tarah Wuzu kiya aur jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam apne ghusl se faarigh ho gaye to dono paaon dhoye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ هَلْ يُدْخِلُ الْجُنُبُ يَدَهُ فِي الإِنَاءِ قَبْلَ أَنْ يَغْسِلَهَا إِذَا لَمْ يَكُنْ عَلَى يَدِهِ قَذَرٌ غَيْرُ الْجَنَابَةِ:
Bab: Kya junubi apne haathon ko dhone se pehle bartan mein daal sakta hai? jab ke janabat ke siwa haath mein koi gandagi nahi lagi hui ho.
Hadith Number: Q261
وادخل ابن عمر، والبراء بن عازب يده في الطهور ولم يغسلها، ثم توضا، ولم ير ابن عمر، وابن عباس باسا بما ينتضح من غسل الجنابة.
Ibn-e-Umar aur Bara bin Aazib Radhiallahu Anhum ne haath dhone se pehle ghusl ke paani mein apna haath daala tha. Aur Ibn-e-Umar aur Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhum us paani se ghusl mein koi muzaiqah nahi samjhte the jis mein ghusl-e-janabat ka paani tapak kar gir gaya ho.
Hadith Number: 261
حدثنا عبد الله بن مسلمة، اخبرنا افلح، عن القاسم، عن عائشة، قالت:" كنت اغتسل انا والنبي صلى الله عليه وسلم من إناء واحد تختلف ايدينا فيه".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne bayan kiya, kaha hum se Aflah bin Humaid ne bayan kiya Qasim se, woh Aisha Radhiallahu Anha se, aap ne farmaaya ke main aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ek bartan mein is tarah ghusl karte the ke hamaare haath baari baari us mein padte the.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 262
حدثنا مسدد، قال: حدثنا حماد، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اغتسل من الجنابة غسل يده".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hammad ne Hishaam ke waaste se bayan kiya, woh apne waalid se, woh Aisha Radhiallahu Anha se, aap ne farmaaya ke jab Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ghusl-e-janabat farmaate to (pehle) apna haath dhote.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 263
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن ابي بكر بن حفص، عن عروة، عن عائشة، قالت:" كنت اغتسل انا والنبي صلى الله عليه وسلم من إناء واحد من جنابة"، وعن عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه، عن عائشة مثله.
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya. Kaha hum se Sho’bah ne Abu Bakr bin Hafs ke waaste se bayan kiya, woh Urwah se, woh Aisha Radhiallahu Anha se, unhon ne kaha ke main aur Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam (dono mil kar) ek hi bartan mein ghusl-e-janabat karte the. Aur Sho’bah ne Abdur Rahman bin Qasim se, unhon ne apne waalid (Qasim bin Muhammed bin Abi Bakr Radhiallahu Anhu) se woh Aisha Radhiallahu Anha se. Isi tarah riwayat karte hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 264
حدثنا ابو الوليد، قال: حدثنا شعبة، عن عبد الله بن عبد الله بن جبر، قال: سمعت انس بن مالك، يقول:" كان النبي صلى الله عليه وسلم والمراة من نسائه يغتسلان من إناء واحد"، زاد مسلم، ووهب بن جرير، عن شعبة من الجنابة.
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Sho’bah ne Abdullah bin Abdullah bin Jabr se unhon ne kaha ke main ne Anas bin Malik se suna ke Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam aur Aap ki koi zauja-e-mutahharah ek bartan mein ghusl karte the. Is Hadees mein Muslim bin Ibrahim aur Wahb bin Jareer ki riwayat mein Sho’bah se «مِنَ الْجَنَابَة» ka lafz (ziyada) hai. (Yani yeh janabat ka ghusl hota tha).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَفْرِيقِ الْغُسْلِ وَالْوُضُوءِ:
Bab: Is bayan mein ke ghusl aur wudu ke darmiyan fasl karna bhi ja’iz hai.
Hadith Number: Q265
ويذكر عن ابن عمر، انه غسل قدميه بعد ما جف وضوءه.
Ibn-e-Umar Radhiallahu Anhuma se manqool hai ke unhon ne apne qadmon ko Wuzu kardah aazaa ke khushk hone ke baad dhoya.
Hadith Number: 265
حدثنا محمد بن محبوب، قال: حدثنا عبد الواحد، قال: حدثنا الاعمش، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب مولى ابن عباس، عن ابن عباس، قال: قالت ميمونة:" وضعت لرسول الله صلى الله عليه وسلم ماء يغتسل به، فافرغ على يديه فغسلهما مرتين مرتين او ثلاثا، ثم افرغ بيمينه على شماله فغسل مذاكيره، ثم دلك يده بالارض، ثم مضمض واستنشق، ثم غسل وجهه ويديه وغسل راسه ثلاثا، ثم افرغ على جسده، ثم تنحى من مقامه فغسل قدميه".
Hum se Muhammed bin Mahboob ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyaad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se A’mash ne Salim bin Abi-Ja’d ke waaste se bayan kiya, unhon ne Kuraib Maula Ibn-e-Abbas se, unhon ne Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se ke Maimunah Radhiallahu Anha ne kaha ke main ne Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke liye ghusl ka paani rakha. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne pehle paani apne haathon par gira kar unhein do ya teen baar dhoya. Phir apne daahne haath se baayein par gira kar apni sharamgaahon ko dhoya. Phir haath ko zameen par ragda. Phir kulli ki aur naak mein paani daala phir apne chehre aur haathon ko dhoya. Phir apne sar ko teen martaba dhoya, phir apne saare badan par paani bahaaya, phir Aap apni ghusl ki jagah se alag ho gaye. Phir apne qadmon ko dhoya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة