الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ غَسْلِ مَا يُصِيبُ مِنْ فَرْجِ الْمَرْأَةِ:
Bab: Is cheez ka dhona jo aurat ki sharmgah se lag jaye zaroori hai.
Show diacritics
Hadith Number: 293
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن هشام بن عروة، قال: اخبرني ابي، قال: اخبرني ابو ايوب، قال: اخبرني ابي بن كعب، انه قال: يا رسول الله، إذا جامع الرجل المراة فلم ينزل؟ قال:" يغسل ما مس المراة منه، ثم يتوضا ويصلي"، قال ابو عبد الله: الغسل احوط وذاك الآخر، وإنما بينا لاختلافهم.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne Hishaam bin ’Urwah se, kaha mujhe khabar di mere waalid ne, kaha mujhe khabar di Abu Ayyub ne, kaha mujhe khabar di Ubai bin Ka’b ne ke unhon ne poocha: Ya Rasoolullah! Jab mard aurat se jima’ kare aur inzaal na ho to kya kare? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya aurat se jo kuch use lag gaya use dho le phir Wuzu kare aur Namaz padhe. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ghusl mein ziyada ehtiyaat hai aur yeh aakhiri Ahadees hum ne is liye bayan kar dein (taaki ma’loom ho jaaye ke) is masle mein ikhtilaaf hai aur paani (se ghusl kar lena hi) ziyada paak karne waala hai. (Note: Yeh ijazat ibtida-e-Islam mein thi baad mein yeh hukm mansookh ho gaya).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة