الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Hammam ibn Munabbih (rh)
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
Show diacritics
Hadith Number: 21
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " من احب لقاء الله احب الله لقاءه، ومن لم يحب لقاء الله لم يحب الله لقاءه"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jo shakhs Allah ke milne ko dost rakhta hai, Allah bhi is se milne ko dost rakhta hai, aur jo Allah se milne ko pasand nahi karta, Allah bhi is se milne ko pasand nahi karta.“


Show diacritics
Hadith Number: 22
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " من اطاعني فقد اطاع الله، ومن يعصني فقد عصى الله، ومن يطع الامير فقد اطاعني، ومن يعص الامير فقد عصاني"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jis ne meri ita'at ki goya us ne Allah ki ita'at ki, aur jis ne meri nafarmani ki us ne Allah Ta'ala ki nafarmani ki, aur jis ne (Mere muqarrar kiye hue) ameer ki ita'at ki goya us ne meri ita'at ki, aur jis ne ameer ki nafarmani ki us ne meri nafarmani ki.“


Show diacritics
Hadith Number: 23
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا تقوم الساعة حتى يكثر فيكم المال فيفيض، حتى يهم رب المال من يتقبل منه صدقته، قال: ويقبض العلم ويقترب الزمان وتظهر الفتن ويكثر الهرج"، قالوا: الهرج ما هو يا رسول الله؟ قال:" القتل القتل"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qayamat is waqt tak qaim nahi ho gi jab tak tum mein maal ki kasrat na ho jaye, pas wo beh pade ga, yahan tak ke maaldar ko is baat ki fikr ho gi ke meri zakat mujh se kaun qabool kare ga.“ Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Aur ilm utha liya jaye ga, aur zamana (qayamat se) qareeb ho jaye ga, aur fitne zahir hon ge, aur haraj kasrat se ho ga.“ Logon ne arz kiya: Ae Allah ke Rasul! (haraj) kya hai? Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qatl-o-gaarat, qatl-o-gaarat.“


Show diacritics
Hadith Number: 24
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا تقوم الساعة حتى تقتتل فئتان عظيمتان، يكون بينهما مقتلة عظيمة ودعواهما واحدة"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak do badi jama'atein aapas mein jang na kar lein, donon mein badi bhaari jang ho gi, halanke donon ka dawa ek hi ho ga.“


Show diacritics
Hadith Number: 25
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا تقوم الساعة حتى ينبعث دجالون كذابون قريب من ثلاثين، كلهم يزعم انه رسول الله"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak taqreeban tees jhoote Dajjal na niklein, in mein se har ek ka yahi guman ho ga ke wo Allah ka Rasul hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 26
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لا تقوم الساعة حتى تطلع الشمس من مغربها، فإذا طلعت ورآها الناس آمنوا اجمعون، وذلك حين لا ينفع نفسا إيمانها لم تكن آمنت من قبل، او كسبت في إيمانها خيرا"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qayamat is waqt tak qaim na ho gi jab tak sooraj magrib se tulu na ho ga. (Phir is ke baad) jab wo tulu ho ga to log ise dekhte hi iman le aayein ge, magar yeh aisa marhala ho ga jab kisi nafs ke liye is ka iman qabool kar lena sood-mand na ho ga. Kyunke is se pehle na to us ne iman qabool kiya tha aur na hi apne iman se (kisi) acchayi ko hasil kiya tha.“


Show diacritics
Hadith Number: 27
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا نودي بالصلاة، ادبر الشيطان له ضراط حتى لا يسمع التاذين، فإذا قضي التاذين اقبل حتى إذا ثوب بها ادبر حتى إذا قضي التثويب اقبل، يخطر بين المرء ونفسه ويقول: اذكر كذا اذكر كذا لما لم يكن يذكر من قبل، حتى يظل الرجل إن يدري كيف صلى"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab namaz ke liye (azan) hoti hai, to shaitan peeth pher kar gooz maarta hua bhaag nikalta hai, jis se ise azan ki aawaz sunayi nahi deti. Jab nida-e-salat ikhtitam ko pahunch jati hai, to phir wo lout aata hai. Is ke baad jab namaz ke liye takbeer kahi jati hai, to phir wo peeth pher kar bhaag jata hai aur jab takbeer ikhtitam ko pahunch jati hai, to (wo) namazi ke dil mein khatka daalta hai aur kehta hai ke falan baat yaad kar, falan waqia yaad kar, jo is se pehle is ko yaad nahi hota. Hatta ke namazi ko yeh yaad nahi rehta, us ne kitni (rak'aat) namaz parhi hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 28
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " يمين الله ملاى لا يغيضها نفقة سحاء الليل والنهار، ارايتم ما انفق منذ خلق السماء والارض؟ فإنه لم ينقص مما في يمينه، قال: وعرشه على الماء وبيده الاخرى القبض يرفع ويخفض"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah Ta'ala ka dayan haath bhara hua hai aur shab-o-roz ka musalsal kharch karna bhi is mein kami nahi karta. Zara dekho! jab se us ne zameen o aasman ki takhlooq ki hai us ne kis qadar kharch kiya hai? Phir bhi jo us ke seedhe haath mein hai is se kuch kam nahi hua.“ Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Allah Ta'ala ka Arsh pani par hai aur us ke doosre haath mein (ashya ki kami-beshi) ki qudrat hai. Wahi (ashya ko) garaan aur arzaan karta hai.“


Show diacritics
Hadith Number: 29
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده، لياتين على احدكم يوم لا يراني، ثم لان يراني احب إليه من مثل اهله وماله معهم"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai! tum mein se kisi shakhs par aisa din zaroor aaye ga jis mein wo mujhe nahi dekhe ga, phir aisa daur aaye ga ke ise apne ahl aur maal ke dekhne ki ba-nisbat mujhe dekhna zyada mahboob ho ga.“


Show diacritics
Hadith Number: 30
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " يهلك كسرى ثم لا كسرى بعده، وقيصر ليهلكن ثم لا يكون قيصر بعده، ولتنفقن كنوزهما في سبيل الله وسمى الحرب خدعة"
`Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Kisra, yaani Shah-e-Iran, halak ho jaye ga. Phir is ke baad koi (doosra) Kisra na ho ga. (Isi tarah) Qaisar, yaani Shah-e-Room, bhi halak ho jaye ga. Phir is ke baad koi doosra Qaisar (paida) na ho ga. Aur tum zaroor ba zaroor in donon ke khazane Allah ki raah mein kharch karo ge.“ Aur Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne jang ko dhoka se mausoom kiya.