الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيفه همام بن منبه
Sahifah Hammam ibn Munabbih
Hadith Number: 11
وقال ابو هريرة: بينما رجل يسوق بدنة مقلدة، قال له رسول الله صلى الله عليه وسلم: " اركبها"، فقال: إنها بدنة يا رسول الله، فقال:" ويلك اركبها، ويلك اركبها"
And Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne farmaya ke ek martaba ek aadmi qurbani ke janwar ko is ke gale mein patta daale paidal haanke chala ja raha tha to Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne us se farmaya: ”Is par sawar ho ja.“ Is shakhs ne kaha: Ae Allah ke Rasul! yeh qurbani ka janwar hai, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tujh par afsos hai! is par sawar ho ja, tujh par afsos hai! is par sawar bhi ho ja.“
Hadith Number: 12
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لو تعلمون ما اعلم، لبكيتم كثيرا ولضحكتم قليلا"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qasam hai is zaat ki jis ke haath mein Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ki jaan hai! jo kuch mein jaanta hoon agar tumhein bhi maloom ho jaye to tum rote zyada aur kam hanste.“
Hadith Number: 13
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " إذا قاتل احدكم اخاه فليتجنب الوجه"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab tum mein se koi shakhs apne bhai ko maare to chehre (par maarne) se ijtinab kare.“
Hadith Number: 14
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " ناركم هذه ما يوقد بنو آدم جزء من سبعين جزءا من حر جهنم"، فقالوا: والله إن كانت لكافيتنا يا رسول الله، قال:" فإنها فضلت عليها بتسعة وستين جزءا، كلهن مثل حرها"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Tumhari yeh aag jo bani Adam jalate hain (hararat mein) jahannum ki aag se sattar (70) hisson mein se ek hissa hai.“ Logon ne kaha: Allah ki qasam ya Rasul Allah! hum (gunahgaron ke azab ke liye to) yeh (hamari duniya ki) aag bhi bahut thi. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne (jawaban) farmaya: ”Jahannum ki aag is (duniya ki aag se) unhattar (69) darje zyada hai aur in mein se har har darja hararat mein isi ke misl hai.“
Hadith Number: 15
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لما قضى الله الخلق، كتب كتابا فهو عنده فوق العرش: إن رحمتي سبقت غضبي"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Jab Allah Ta'ala ne makhlooq ko paida kiya to apni kitab (Lauh-e-Mahfooz) mein, jo us ke Arsh par maujood hai, us ne likha ke ”Beshak Meri rehmat Mere gusse par galib hai.““
Hadith Number: 16
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " الصيام جنة، فإذا كان يوما احدكم صائما فلا يجهل ولا يرفث، فإن امرؤ قاتله او شاتمه فليقل: إني صائم، إني صائم"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Roza dhaal hai, pas agar tum mein se koi shakhs kisi din rozadar ho, na to jahalat se pesh aaye aur na hi fuhsh-kalami kare. Pas agar koi shakhs is se ladayi kare ya ise gaali de to is (rozadar) ko chahiye ke (jawaban) kahe: Mein rozadar hoon, Mein rozadar hoon.“
Hadith Number: 17
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده، لخلوف فم الصائم اطيب عند الله من ريح المسك، يذر شهوته وطعامه وشرابه من جراي، فالصيام لي وانا اجزي به"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qasam hai is zaat ki jis ke haath mein meri Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم ki jaan hai! rozadar ke munh ki bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandida aur pakeeza hai. (Allah Ta'ala farmata hai) banda apni shahwat, apna khana, aur apna peena Mere liye chhodta hai, pas roza Mere liye hai aur Mein hi is ka badla doon ga.“
Hadith Number: 18
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " نزل نبي من الانبياء تحت شجرة فلدغته نملة، فامر بجهازه فاخرج من تحتها، فامر بها فاحرقت في النار، فاوحى الله إليه: فهلا نملة واحدة"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Anbiya mein se ek Nabi ek darakht ke saye mein utre, wahan unhein ek cheonti ne kaat liya, to unhon ne hukm diya, chunancha in ka sara saman darakht ke neeche se utha liya gaya, phir cheontiyon ko aag lagwa kar jala dala, is par Allah Ta'ala ne un par wahi bheji ke tum ko to ek hi cheonti ne kaata tha, faqat usi ko jalana tha.“
Hadith Number: 19
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفس محمد بيده، لولا ان اشق على المؤمنين، ما قعدت خلف سرية تغزو في سبيل الله، ولكن لا اجد سعة فاحملهم، ولا يجدون سعة فيتبعوني، ولا تطيب انفسهم ان يقعدوا بعدي"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Qasam hai is zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai! agar mujhe mominon par dushwari ka ihtimal na hota to mein Allah ki raah mein ladne wali kisi jama'at se peeche na baithta. Lekin khud mere paas itni wus'at nahi ke mein in sab ko sawar kar ke apne saath le chaloon, aur unhein bhi itni sawariyan muyassar nahi ke wo un par sawar ho kar mere saath chalein, aur na wo is baat ko pasand karte hain ke mere (jaane ke baad) wo peeche baithe rahein.“
Hadith Number: 20
قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: " لكل نبي دعوة تستجاب له، فاريد إن شاء الله ان اؤخر دعوتي شفاعة لامتي يوم القيامة"
Aur Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ”Har Nabi ko ek dua hasil hoti hai jo qabool ki jati hai. Pas in sha Allah mein chahta hoon ke mein apni dua ko qayamat tak apni ummat ki shafa'at ke liye multawi aur mu'akhkhar rakkhoon.“