الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يَقَعُ مِنَ النَّجَاسَاتِ فِي السَّمْنِ وَالْمَاءِ:
Bab: Un najasaton ke bare mein jo ghee aur pani mein gir jayen.
Hadith Number: 236
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا معن، قال: حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن ابن عباس، عن ميمونة، ان النبي صلى الله عليه وسلم سئل عن فارة سقطت في سمن؟ فقال:" خذوها وما حولها فاطرحوه"، قال معن: حدثنا مالك ما لا احصيه، يقول: عن ابن عباس، عن ميمونة.
Hum se ’Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Ma’n ne, kaha hum se Malik ne Ibn-e-Shihaab ke waaste se bayan kiya, woh Ubaidullah Ibn-e-Abdullah bin ’Utbah bin Mas’ood se, woh Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se woh Maimunah Radhiallahu Anha se naql karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se chuhe ke baare mein daryaaft kiya gaya jo ghee mein gir gaya tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke us chuhe ko aur us ke aas paas ke ghee ko nikaal kar phenk do. Ma’n kehte hain ke Malik ne itni baar ke main gin nahi sakta (yeh Hadees) Ibn-e-Abbas se aur unhon ne Maimunah Radhiallahu Anha se riwayat ki hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 237
حدثنا احمد بن محمد، قال: اخبرنا عبد الله، قال: اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل كلم يكلمه المسلم في سبيل الله يكون يوم القيامة كهيئتها، إذ طعنت تفجر دما اللون لون الدم، والعرف عرف المسك".
Hum se Ahmad bin Muhammed ne bayan kiya, unhon ne kaha hamein Abdullah ne khabar di, unhon ne kaha mujhe Ma’mar ne Hammam bin Munabbih se khabar di aur woh Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain, woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya har zakhm jo Allah ki raah mein musalmaan ko lage woh qiyamat ke din usi haalat mein hoga jis tarah woh laga tha. Us mein se khoon behta hoga. Jis ka rang (to) khoon ka sa hoga aur khusbhoo mushk ki si hogi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْبَوْلِ فِي الْمَاءِ الدَّائِمِ:
Bab: Is bare mein ke thehre hue pani mein peshab karna mana’ hai.
Hadith Number: 238
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، قال: اخبرنا ابو الزناد، ان عبد الرحمن بن هرمز الاعرج حدثه، انه سمع ابا هريرة، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" نحن الآخرون السابقون".
Hum se Abul Yamaan bayan kiya, kaha hum ko Sho’aib ne khabar di, kaha mujhe Abuz Zinaad ne khabar di ke un se Abdur Rahman bin Hurmuz Al-A’raj ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se suna, unhon ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate the ke hum (log) duniya mein pichle zamaane mein aaye hain (magar aakhirat mein) sab se aage hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 239
وبإسناده وبإسناده قال:" لا يبولن احدكم في الماء الدائم الذي لا يجري، ثم يغتسل فيه".
Aur isi sanad se (yeh bhi) farmaaya ke tum mein se koi thehre huwe paani mein jo jaari na ho peshaab na kare. Phir usi mein ghusl karne lage.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا أُلْقِيَ عَلَى ظَهْرِ الْمُصَلِّي قَذَرٌ أَوْ جِيفَةٌ لَمْ تَفْسُدْ عَلَيْهِ صَلاَتُهُ:
Bab: Jab namazi ki pusht par (achanak) koi najasat ya murdar daal diya jaye to us ki namaz fasid nahi hoti.
Hadith Number: Q240
وكان ابن عمر إذا راى في ثوبه دما وهو يصلي وضعه ومضى في صلاته، وقال ابن المسيب والشعبي: إذا صلى وفي ثوبه دم او جنابة او لغير القبلة او تيمم صلى، ثم ادرك الماء في وقته لا يعيد.
Aur Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma jab Namaz padhte waqt kapde mein khoon laga huwa dekhte to us ko utaar daalte aur Namaz padhte rehte, Ibn-e-Musaiyab aur Sha’bi kehte hain ke jab koi shakhs Namaz padhe aur us ke kapde par najasat ya janabat lagi ho, ya (bhool kar) qible ke alawah kisi aur taraf Namaz padhi ho ya Tayammum kar ke Namaz padhi ho, phir Namaz hi ke waqt mein paani mil gaya ho to (ab) Namaz na dohraaye.
Hadith Number: 240
حدثنا عبدان، قال: اخبرني ابي، عن شعبة، عن ابي إسحاق، عن عمرو بن ميمون، عن عبد الله، قال: بينا رسول الله صلى الله عليه وسلم ساجد. ح قال: وحدثني احمد بن عثمان، قال: حدثنا شريح بن مسلمة، قال: حدثنا إبراهيم بن يوسف، عن ابيه، عن ابي إسحاق، قال: حدثني عمرو بن ميمون، ان عبد الله بن مسعود حدثه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم كان يصلي عند البيت وابو جهل واصحاب له جلوس، إذ قال بعضهم لبعض، ايكم يجيء بسلى جزور بني فلان فيضعه على ظهر محمد، إذا سجد فانبعث اشقى القوم، فجاء به، فنظر حتى إذا سجد النبي صلى الله عليه وسلم وضعه على ظهره بين كتفيه وانا انظر لا اغير شيئا لو كان لي منعة، قال: فجعلوا يضحكون ويحيل بعضهم على بعض، ورسول الله صلى الله عليه وسلم ساجد لا يرفع راسه حتى جاءته فاطمة، فطرحت عن ظهره، فرفع راسه، ثم قال: اللهم عليك بقريش ثلاث مرات، فشق عليهم إذ دعا عليهم، قال: وكانوا يرون ان الدعوة في ذلك البلد مستجابة، ثم سمى اللهم عليك بابي جهل، وعليك بعتبة بن ربيعة، وشيبة بن ربيعة، والوليد بن عتبة، وامية بن خلف، وعقبة بن ابي معيط، وعد السابع، فلم يحفظ، قال: فوالذي نفسي بيده لقد رايت الذين عد رسول الله صلى الله عليه وسلم صرعى في القليب قليب بدر".
Hum se Abdan ne bayan kiya, kaha mujhe mere baap (Uthman) ne Sho’bah se khabar di, unhon ne Abu Ishaaq se, unhon ne ’Amr bin Maimoon se, unhon ne Abdullah se woh kehte hain ke ek dafa Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka’ba shareef mein sajde mein the. (Ek doosri sanad se) hum se Ahmad bin Uthman ne bayan kiya, kaha hum se Shuraih bin Maslamah ne, kaha hum se Ibrahim bin Yousuf ne apne baap ke waaste se bayan kiya, woh Abu Ishaaq se riwayat karte hain. Un se ’Amr bin Maimoon ne bayan kiya ke Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhuma ne un se Hadees bayan ki ke ek dafa Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ka’ba ke nazdeek Namaz padh rahe the aur Abu Jahl aur us ke saathi (bhi wahien) baithe huwe the to un main se ek ne doosre se kaha ke tum mein se koi shakhs hai jo qabeele ki (jo) oontni zabah hue hai (us ki) ojhdi utha laaye aur (laa kar) jab Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam sajde main jaayen to un ki peeth par rakh de. Yeh sun kar un mein se ek sab se ziyada badbakht (aadmi) utha aur woh ojhdi le kar aaya aur dekhta raha jab Aap ne sajdah kiya to us ne us ojhdi ko Aap ke dono kandhon ke darmiyaan rakh diya (Abdullah bin Mas’ood kehte hain) main yeh (sab kuch) dekh raha tha magar kuch na kar sakta tha. Kaash! (Us waqt) mujhe rokne ki taaqat hoti. Abdullah kehte hain ke woh hansne lage aur (hansi ke maare) lot-pot hone lage aur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam sajde mein the (boojh ki wajah se) apna sar nahi utha sakte the. Yahan tak ke Fatima Radhiallahu Anha aayein aur woh boojh Aap ki peeth se utaar kar phenka, tab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne sar uthaaya phir teen baar farmaaya. Ya Allah! Tu Quraish ko pakad le, yeh (baat) un kaafiron par bahut bhaari hue ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne unhein bad-dua di. Abdullah kehte hain ke woh samjhte the ke us shahar (Makkah) mein jo dua ki jaaye woh zaroor qabool hoti hai phir Aap ne (un mein se) har ek ka (juda juda) naam liya ke aye Allah! In zaalimon ko zaroor halaak kar de. Abu Jahl, ’Utbah bin Rabee’ah, Shaibah bin Rabee’ah, Waleed bin ’Utbah, Umaiyah bin Khalaf aur ’Uqbah bin Abi Mu’ait ko. Saatwen (aadmi) ka naam (bhi) liya magar mujhe yaad nahi raha. Us zaat ki qasam jis ke qabze mein meri jaan hai ke jin logon ke (bad-dua karte waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne naam liye the, main ne un ki (laashon) ko Badr ke kunwen mein pada huwa dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْبُزَاقِ وَالْمُخَاطِ وَنَحْوِهِ فِي الثَّوْبِ:
Bab: Kapre mein thook aur reent waghera lag jane ke bare mein.
Hadith Number: Q241
قال عروة: عن المسور، ومروان، خرج النبي صلى الله عليه وسلم زمن حديبية فذكر الحديث، وما تنخم النبي صلى الله عليه وسلم نخامة إلا وقعت في كف رجل منهم فدلك بها وجهه وجلده.
’Urwah ne Miswar aur Marwan se riwayat ki hai ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Hudaibiyah ke zamaane mein nikle (is silsila mein) unhon ne poori Hadees zikr ki (aur phir kaha) ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne jitni martaba bhi thooka woh (thook) logon ki hatheli par pada. Phir woh logon ne apne chehron aur badan par mal liya.
Hadith Number: 241
حدثنا محمد بن يوسف، قال: حدثنا سفيان، عن حميد، عن انس، قال:" بزق النبي صلى الله عليه وسلم في ثوبه"، طوله ابن ابي مريم، قال: اخبرنا يحيى بن ايوب، حدثني حميد، قال: سمعت انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Muhammed bin Yousuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne Humaid ke waaste se bayan kiya, woh Anas Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (ek martaba) apne kapde mein thooka. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne farmaaya ke Sa’eed bin Abi Maryam ne is Hadees ko tiwalat ke saath bayan kiya unhon ne kaha hum ko khabar di Yahya bin Ayyub ne, kaha mujh se Humaid ne bayan kiya, kaha main ne Anas se suna, woh Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karte hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَجُوزُ الْوُضُوءُ بِالنَّبِيذِ وَلاَ الْمُسْكِرِ:
Bab: Nabeez se aur kisi nasha wali cheez se wudu ja’iz nahi.
Hadith Number: Q242
وكرهه الحسن، وابو العالية، وقال عطاء: التيمم احب إلي من الوضوء بالنبيذ واللبن.
Hasan Basri aur Abul ’Aaliyah ne ise Makrooh kaha aur Ata kehte hain ke nabeez aur doodh se Wuzu karne ke muqaable mein mujhe Tayammum karna ziyada pasand hai.
Hadith Number: 242
حدثنا علي بن عبد الله، قال: حدثنا سفيان، قال: حدثنا الزهري، عن ابي سلمة، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل شراب اسكر فهو حرام".
Hum se ’Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne, un se Zohri ne Abu Salamah ke waaste se bayan kiya, woh Aisha Radhiallahu Anha se woh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam se riwayat karti hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke peene ki har woh cheez jo nasha laane waali ho haraam hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة