الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْمُحْرِمِ يَمُوتُ بِعَرَفَةَ:
Bab: Agar muhrim Arafat mein mar jaye.
Show diacritics
Hadith Number: 1849
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن عمرو بن دينار، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" بينا رجل واقف مع النبي صلى الله عليه وسلم بعرفة، إذ وقع عن راحلته، فوقصته، او قال: فاقعصته، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء وسدر، وكفنوه في ثوبين، او قال: ثوبيه، ولا تحنطوه، ولا تخمروا راسه، فإن الله يبعثه يوم القيامة يلبي".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke maidan-e-Arafat mein ek shakhs Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath thehra hua tha ke apni ontni se gir para aur is ontni ne is ki gardan tod dali, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke pani aur beri ke patton se usay ghusl do aur ihram hi ke do kapron ka kafan do lekin khushboo na lagana na is ka sar chupana kyunke Allah Ta'ala qayamat mein usay labbaik kehte hue uthaye ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1850
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد، عن ايوب، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" بينا رجل واقف مع النبي صلى الله عليه وسلم بعرفة، إذ وقع عن راحلته فوقصته، او قال: فاوقصته، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء وسدر، وكفنوه في ثوبين، ولا تمسوه طيبا، ولا تخمروا راسه، ولا تحنطوه، فإن الله يبعثه يوم القيامة ملبيا".
Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Ayyub ne bayan kiya, un se Saeed Bin Jubair ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke ek shakhs Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Arafat mein thehra hua tha ke apni ontni se gir para aur is ne is ki gardan tod di, to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke usay pani aur beri se ghusl de kar do kapron (ihram walon hi mein) kafna do lekin khushboo na lagana, na sar chupana aur na hanoot lagana kyunke Allah Ta'ala qayamat mein usay labbaik pukaarte hue uthaye ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ سُنَّةِ الْمُحْرِمِ إِذَا مَاتَ:
Bab: Jab muhrim wafat pa jaye to is ka kafan dafan kis tarah masnoon hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1851
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه،" ان رجلا كان مع النبي صلى الله عليه وسلم، فوقصته ناقته وهو محرم، فمات، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اغسلوه بماء وسدر، وكفنوه في ثوبيه، ولا تمسوه بطيب، ولا تخمروا راسه، فإنه يبعث يوم القيامة ملبيا".
Hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hushaim ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Abu Bishr ne khabar di, unhon ne kaha ke humein Saeed Bin Jubair ne khabar di aur unhein Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke ek shakhs Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath maidan-e-Arafat mein tha ke is ke ont ne gira kar is ki gardan tod di. Wo shakhs muhrim tha aur mar gaya. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye hidayat di ke usay pani aur beri ka ghusl aur (ihram ke) do kapron ka kafan diya jaye albatta is ko khushboo na lagao na is ka sar chupao kyunke qayamat ke din wo labbaik kehta hua utthe ga
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَجِّ وَالنُّذُورِ عَنِ الْمَيِّتِ، وَالرَّجُلُ يَحُجُّ عَنِ الْمَرْأَةِ:
Bab: Mayyit ki taraf se hajj aur nazar ada karna aur mard kisi aurat ke badle mein hajj kar sakta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1852
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، ان امراة من جهينة جاءت إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت:" إن امي نذرت ان تحج فلم تحج حتى ماتت، افاحج عنها؟ قال: نعم، حجي عنها، ارايت لو كان على امك دين اكنت قاضية، اقضوا الله، فالله احق بالوفاء".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah Waddah Shukri ne bayan kiya, un se Abu Bishr Jafar Bin Iyas ne, un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke qabila Juhaina ki ek aurat Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hui aur kaha ke meri walda ne Hajj ki mannat mani thi lekin wo Hajj na kar sakein aur un ka intiqal ho gaya to kya mein un ki taraf se Hajj kar sakti hoon ? Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke han un ki taraf se to Hajj kar. Kya tumhari maan par qarz hota to tum usay ada na kartein ? Allah Ta'ala ka qarza to is ka sab se zyada mustahiq hai ke usay poora kiya jaye. Pas Allah Ta'ala ka qarz ada karna bahut zaroori hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَجِّ عَمَّنْ لاَ يَسْتَطِيعُ الثُّبُوتَ عَلَى الرَّاحِلَةِ:
Bab: Is ki taraf se hajj badal jis mein sawari par baithe rehne ki taqat na ho.
Show diacritics
Hadith Number: 1853
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن ابن شهاب، عن سليمان بن يسار، عن ابن عباس، عن الفضل بن عباس رضي الله عنه: ان امراة. ح.
Hum se Abu Asim ne Ibn Juraij se bayan kiya, unhon ne kaha un se Ibn Shihab ne, un se Sulaiman Bin Yasar ne, un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne aur un se Fazl Bin Abbas (Radi Allahu Anhum) ne ke ek khatoon. . . (Hadees number 1854 dekhein)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1854
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد العزيز بن ابي سلمة، حدثنا ابن شهاب، عن سليمان بن يسار، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" جاءت امراة من خثعم عام حجة الوداع، قالت: يا رسول الله، إن فريضة الله على عباده في الحج، ادركت ابي شيخا كبيرا، لا يستطيع ان يستوي على الراحلة، فهل يقضي عنه ان احج عنه؟ قال: نعم.
(Doosri sanad se Imam Bukhari Rahimahullah ne) kaha hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Aziz Bin Abi Salamah ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Shihab Zuhri ne bayan kiya, un se Sulaiman Bin Yasar ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Hajjat-ul-Wida ke mauqe par qabila Khash'am ki ek aurat aayi aur arz ki ya Rasul Allah! Allah Ta'ala ki taraf se fariza-e-Hajj jo is ke bandon par hai us ne mere boodhe baap ko pa liya hai lekin un mein itni sakat nahi ke wo sawari par bhi baith sakein to kya mein un ki taraf se Hajj kar loon to un ka Hajj ada ho jaye ga ? Aap ne farmaya ke han
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حَجِّ الْمَرْأَةِ عَنِ الرَّجُلِ:
Bab: Aurat ka mard ki taraf se hajj karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1855
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن سليمان بن يسار، عن عبد الله بن عباس رضي الله عنه، قال: كان الفضل رديف النبي صلى الله عليه وسلم، فجاءت امراة من خثعم، فجعل الفضل ينظر إليها وتنظر إليه، فجعل النبي صلى الله عليه وسلم يصرف وجه الفضل إلى الشق الآخر، فقالت:" إن فريضة الله ادركت ابي شيخا كبيرا لا يثبت على الراحلة، افاحج عنه؟ قال: نعم، وذلك في حجة الوداع".
Hum se Abdullah Bin Muslimah ne bayan kiya, un se Imam Malik ne, un se Ibn Shihab Zuhri ne, un se Sulaiman Bin Yasar ne, un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Fazl Bin Abbas (Radi Allahu Anhu) Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki sawari par peeche baithe hue thay. Itne mein qabila Khash'am ki ek aurat aayi. Fazl (Radi Allahu Anhu) is ko dekhne lage aur wo Fazl (Radi Allahu Anhu) ko dekhne lagi. Is liye Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Fazl ka chehra doosri taraf pherne lage, is aurat ne kaha ke Allah ka fariza (Hajj) ne mere boodhe walid ko is halat mein pa liya hai ke wo sawari par baith bhi nahi sakte to kya mein un ki taraf se Hajj kar sakti hoon, aap ne farmaya ke han. Ye Hajjat-ul-Wida ka waqiyah hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ حَجِّ الصِّبْيَانِ:
Bab: Bachon ka hajj karna.
Show diacritics
Hadith Number: 1856
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن عبيد الله بن ابي يزيد، قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنه، يقول:" بعثني، او قدمني النبي صلى الله عليه وسلم في الثقل من جمع بليل".
Hum se Abu-al-Numan ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Ubaidullah Bin Abi Yazid (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhe Muzdalifa ki raat Mina mein saman ke sath aage bhej diya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1857
حدثنا إسحاق، اخبرنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابن اخي ابن شهاب، عن عمه، اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، ان عبد الله بن عباس رضي الله عنه، قال:" اقبلت وقد ناهزت الحلم اسير على اتان لي، ورسول الله صلى الله عليه وسلم قائم يصلي بمنى، حتى سرت بين يدي بعض الصف الاول، ثم نزلت عنها فرتعت، فصففت مع الناس وراء رسول الله صلى الله عليه وسلم"، وقال يونس: عن ابن شهاب بمنى في حجة الوداع.
Hum se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya, unhon ne kaha humein Yaqub Bin Ibrahim ne khabar di, un se un ke bhatije Ibn Shihab Zuhri ne bayan kiya, un se un ke chacha ne, unhein Ubaidullah Bin Abdullah Bin Utba ne, khabar di ke Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha mein apni ek gadhi par sawar ho kar (Mina mein aya) is waqt mein jawani ke kareeb tha, Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Mina mein kharay namaz parha rahe thay. Mein pehli saff ke ek hissa ke aage se ho kar guzra phir sawari se neeche utar aya aur usay charne ke liye chor diya. Phir Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke peeche logon ke sath saff mein shareek ho gaya, Yunus ne Ibn Shihab ke wasta se bayan kiya ke ye Hajjat-ul-Wida ke mauqe par Mina ka waqiyah hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1858
حدثنا عبد الرحمن بن يونس، حدثنا حاتم بن إسماعيل، عن محمد بن يوسف، عن السائب بن يزيد، قال:" حج بي مع رسول الله صلى الله عليه وسلم وانا ابن سبع سنين".
Hum se Abdur Rahman Bin Yunus ne bayan kiya, un se Hatim Bin Ismail ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Yusuf ne aur un se Saib Bin Yazid (Radi Allahu Anhu) ne ke mujhe Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Hajj karaya gaya tha. Mein is waqt saat saal ka tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة