الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِذَا لَمْ يَجِدِ الإِزَارَ فَلْيَلْبَسِ السَّرَاوِيلَ:
Bab: Jis ke paas tehband na ho to woh pajama pehn sakta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1843
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا عمرو بن دينار، عن جابر بن زيد، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" خطبنا النبي صلى الله عليه وسلم بعرفات، فقال: من لم يجد الإزار فليلبس السراويل، ومن لم يجد النعلين فليلبس الخفين".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne bayan kiya, un se Jabir Bin Zaid ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hum ko maidan-e-Arafat mein waaz sunaya, is mein aap ne farmaya ke agar kisi ko ihram ke liye tehband na mile to wo pajama pehen le aur agar kisi ko joote na milein to wo mauze pehen le
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لُبْسِ السِّلاَحِ لِلْمُحْرِمِ:
Bab: Muharram ka hathiyar band hona durust hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q1844
وقال عكرمة: ذا خشي العدو لبس السلاح وافتدى، ولم يتابع عليه في الفدية.
Ikrima (Rahimahullah) ne kaha ke agar dushman ka khauf ho aur koi hathiyar bandhe to usay fidyah dena chahiye lekin Ikrima ke siwa aur kisi ne ye nahi kaha ke fidyah de
.


Show diacritics
Hadith Number: 1844
حدثنا عبيد الله، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه،" اعتمر النبي صلى الله عليه وسلم في ذي القعدة، فابى اهل مكة ان يدعوه، يدخل مكة، حتى قاضاهم لا يدخل مكة سلاحا إلا في القراب".
Hum se Ubaidullah Bin Moosli ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Israel ne, unhon ne kaha ke hum se Abu Ishaq ne bayan kiya aur un se Bara (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Dhul Qadah mein Umrah kiya to Makkah walon ne aap ko Makkah mein dakhil hone se rok diya, phir un se is shart par sulh hui ke hathiyar niyam mein daal kar Makkah mein dakhil hon ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ دُخُولِ الْحَرَمِ وَمَكَّةَ بِغَيْرِ إِحْرَامٍ:
Bab: Haram aur Makkah Sharif mein baghair ihram ke dakhil hona.
Show diacritics
Hadith Number: Q1845
ودخل ابن عمر، وإنما امر النبي صلى الله عليه وسلم بالإهلال لمن اراد الحج والعمرة، ولم يذكر للحطابين وغيرهم.
Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ihram ke baghair dakhil hue aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ihram ka hukm un hi logon ko diya jo Hajj aur Umrah ke irade se aayein. Lakri bechne ke liye aane walon aur digar logon ko aisa hukm nahi diya
.


Show diacritics
Hadith Number: 1845
حدثنا مسلم، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنه:" ان النبي صلى الله عليه وسلم وقت لاهل المدينة، ذا الحليفة، ولاهل نجد، قرن المنازل، ولاهل اليمن يلملم هن لهن، ولكل آت اتى عليهن من غيرهم ممن اراد الحج والعمرة، فمن كان دون ذلك، فمن حيث انشا حتى اهل مكة من مكة".
Hum se Muslim Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya un se Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Madinah walon ke liye Zhu-al-Hulaifah ko miqat banaya, Najd walon ke liye Qarn-al-Manazil ko aur Yemen walon ke liye Yalamlam ko. Ye miqat in mulkon ke bashindon ke liye hai aur doosre in tamam logon ke liye bhi jo in mulkon se ho kar Makkah aayein aur Hajj aur Umrah ka bhi irada rakhte hon, lekin jo log in hudood ke andar hon to un ki miqat wahi jagah hai jahan se wo apna safar shuru karein yahan tak ke Makkah walon ki miqat Makkah hi hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1846
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابن شهاب، عن انس بن مالك رضي الله عنه،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم دخل عام الفتح وعلى راسه المغفر، فلما نزعه، جاء رجل، فقال: إن ابن خطل متعلق باستار الكعبة، فقال: اقتلوه".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Ibn Shihab Zuhri ne aur unhein Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne aa kar khabar di ke Fatah-e-Makkah ke din Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab Makkah mein dakhil hue to aap ke sar par khud tha. Jis waqt aap ne utara to ek shakhs ne khabar di ke Ibn Khatal Kaabah ke pardon se latak raha hai Aap ne farmaya ke usay qatl kar do
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا أَحْرَمَ جَاهِلاً وَعَلَيْهِ قَمِيصٌ:
Bab: Agar nawaqfiyat ki wajah se koi kurta pehne hue ihram bandhe?
Show diacritics
Hadith Number: Q1847
وقال عطاء: إذا تطيب، او لبس جاهلا، او ناسيا، فلا كفارة عليه.
Aur Ata Bin Abi Rabah ne kaha nawaqifiyat mein ya bhool kar agar koi muhrim shakhs khushboo lagaye, sila hua kapra pehen le to is par kaffara nahi hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 1847
حدثنا ابو الوليد، حدثنا همام، حدثنا عطاء، قال: حدثني صفوان بن يعلى بن امية، عن ابيه، قال:" كنت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاتاه رجل عليه جبة، فيه اثر صفرة، او نحوه، كان عمر، يقول لي: تحب إذا نزل عليه الوحي ان تراه؟ فنزل عليه، ثم سري عنه، فقال: اصنع في عمرتك ما تصنع في حجك.
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha hum se Hammam ne bayan kiya hum se Ata ne bayan kiya, kaha mujh se Safwan Bin Yala ne bayan kiya, un se un ke walid ne ke mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath tha ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein ek shakhs jo jubba pehne hue tha hazir hua aur is par zardi ya isi tarah ki kisi khushboo ka nishan tha. Umar (Radi Allahu Anhu) mujh se kaha karte thay kya tum chahte ho ke jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par wahy nazil hone lage to tum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekh sako ? Is waqt aap par wahy nazil hui phir wo halat jati rahi. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis tarah apne Hajj mein karte ho isi tarah Umrah mein bhi karo
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1848
وعض رجل يد رجل يعني فانتزع ثنيته، فابطله النبي صلى الله عليه وسلم".
Ek shakhs ne doosre shakhs ke hath mein dant se kaata tha, doosre ne jo apna hath khincha to is ka dant ukharr gaya Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is ka koi badla nahi dilwaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمُحْرِمِ يَمُوتُ بِعَرَفَةَ:
Bab: Agar muhrim Arafat mein mar jaye.
Show diacritics
Hadith Number: Q1849
ولم يامر النبي صلى الله عليه وسلم ان يؤدى عنه بقية الحج.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye hukm nahi kiya ke Hajj ke baqi arkan is ke taraf se ada kiye jayein
.