الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ الْحِجَامَةِ لِلْمُحْرِمِ:
Bab: Muharram ka pachna lagwana kaisa hai?
Hadith Number: 1835
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: قال عمرو: اول شيء سمعت عطاء، يقول: سمعت ابن عباس رضي الله عنه، يقول:" احتجم رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو محرم"، ثم سمعته يقول: حدثني طاوس، عن ابن عباس، فقلت: لعله سمعه منهما.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya ke Amr Bin Dinar ne bayan kiya pehli baat mein ne jo Ata Bin Abi Rabah se suni thi, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, wo keh rahe thay ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) jab muhrim thay is waqt aap ne pachna lagwaya tha. Phir mein ne unhein ye kehte suna ke mujh se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se Taous ne ye hadees bayan ki thi. Is se mein ne ye samjha ke shayad unhon ne in donon hazraat se ye hadees suni ho gi (mutakallim Amr hain aur donon hazraat se murad Ata aur Taous Rahmahullah Alaihima hain)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1836
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان بن بلال، عن علقمة بن ابي علقمة، عن عبد الرحمن الاعرج، عن ابن بحينة رضي الله عنه، قال:" احتجم النبي صلى الله عليه وسلم وهو محرم بلحي جمل في وسط راسه".
Hum se Khalid Bin Makhlad ne bayan kiya, kaha ke un se Sulaiman Bin Bilal ne bayan kiya, un se Alqama Bin Abi Alqama ne, un se Abdur Rahman Aaraj ne aur un se Ibn Buhainah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) muhrim thay apne sar ke beech mein maqam-e-Lahi Jamal mein pachna lagwaya tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَزْوِيجِ الْمُحْرِمِ:
Bab: Muharram nikah kar sakta hai.
Hadith Number: 1837
حدثنا ابو المغيرة عبد القدوس بن الحجاج، حدثنا الاوزاعي، حدثني عطاء بن ابي رباح، عن ابن عباس رضي الله عنه،" ان النبي صلى الله عليه وسلم تزوج ميمونة وهو محرم".
Hum se Abu-al-Mughira Abdul Quddus Bin Hajjaj ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Auzai ne bayan kiya, un se Ata Bin Abi Rabah ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jab Maimoonah (Radi Allahu Anha) se nikah kiya to aap muhrim thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُنْهَى مِنَ الطِّيبِ لِلْمُحْرِمِ وَالْمُحْرِمَةِ:
Bab: Ihram wale mard aur aurat ko khushboo lagana mana hai.
Hadith Number: Q1838
وقالت عائشة رضي الله عنها: لا تلبس المحرمة ثوبا بورس او زعفران.
Aur Aisha (Radi Allahu Anha) ne farmaya ke muhrim aurat wars ya zafran mein ranga hua kapra na pehne
.
.
Hadith Number: 1838
حدثنا عبد الله بن يزيد، حدثنا الليث، حدثنا نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، قال: قام رجل، فقال: يا رسول الله،" ماذا تامرنا ان نلبس من الثياب في الإحرام؟ فقال النبي صلى الله عليه وسلم: لا تلبسوا القميص، ولا السراويلات، ولا العمائم، ولا البرانس، إلا ان يكون احد ليست له نعلان فليلبس الخفين، وليقطع اسفل من الكعبين، ولا تلبسوا شيئا مسه زعفران، ولا الورس، ولا تنتقب المراة المحرمة، ولا تلبس القفازين"، تابعه موسى بن عقبة، وإسماعيل بن إبراهيم بن عقبة، وجويرية، وابن إسحاق في النقاب والقفازين، وقال عبيد الله: ولا ورس، وكان يقول: لا تتنقب المحرمة ولا تلبس القفازين، وقال مالك، عن نافع، عن ابن عمر: لا تتنقب المحرمة، وتابعه ليث بن ابي سليم.
Hum se Abdullah Bin Yazid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, un se Nafi ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke ek shakhs ne kharay ho kar poocha ya Rasul Allah! halat-e-ihram mein humein kaun se kapre pehnne ki ijazat dete hain ? To Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke na qameez pehno na pajame, na amame aur na burnus. Agar kisi ke joote na hon to mauzon ko takhnon ke neeche se kaat kar pehen le. Isi tarah koi aisa libas na pehno jis mein zafran ya wars laga ho. Ihram ki halat mein aurtein munh par naqab na dalein aur dastane bhi na pehnein. Laith ke sath is riwayat ki mutabi’at Musa Bin Uqba aur Ismail Bin Ibrahim Bin Uqba aur Juwairiyah aur Ibn Ishaq ne naqab aur dastanon ke zikr ke silsile mein ki hai. Ubaidullah (Rahimahullah) ne «wa la wars» ka lafz bayan kiya wo kehte thay ke ihram ki halat mein aurat munh par na naqab dale aur na dastane istemal kare aur Imam Malik ne Nafi se bayan kiya aur unhon ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) se bayan kiya ke ihram ki halat mein aurat naqab na dale aur Laith Bin Abi Saleem ne Malik ki tarah riwayat ki hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1839
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن الحكم، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" وقصت برجل محرم ناقته فقتلته، فاتي به رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: اغسلوه وكفنوه، ولا تغطوا راسه، ولا تقربوه طيبا فإنه يبعث يهل".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Jareer ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Hakam ne, un se Saeed Bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke ek muhrim shakhs ke ont ne Hajjat-ul-Wida ke mauqe par is ki gardan (gira kar) tod di aur usay jaan se maar diya, is shakhs ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne laya gaya to aap ne farmaya ke unhein ghusl aur kafan de do lekin un ka sar na dhako aur na khushboo lagao kyunke (qayamat mein) ye labbaik kehte hue utthe ga
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الاِغْتِسَالِ لِلْمُحْرِمِ:
Bab: Muharram ko ghusl karna kaisa hai?
Hadith Number: Q1840
وقال ابن عباس رضي الله عنه: يدخل المحرم الحمام، ولم ير ابن عمر، وعائشة بالحك باسا.
Aur Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke muhrim (ghusl ke liye) hammam mein ja sakta hai. Ibn Umar aur Aisha (Radi Allahu Anhum) badan ko khujane mein koi haraj nahi samajhte thay
.
.
Hadith Number: 1840
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن زيد بن اسلم، عن إبراهيم بن عبد الله بن حنين، عن ابيه، ان عبد الله بن العباس، والمسور بن مخرمة اختلفا بالابواء، فقال عبد الله بن عباس: يغسل المحرم راسه؟ وقال المسور: لا يغسل المحرم راسه، فارسلني عبد الله بن العباس إلى ابي ايوب الانصاري فوجدته يغتسل بين القرنين وهو يستر بثوب، فسلمت عليه، فقال: من هذا؟ فقلت: انا عبد الله بن حنين، ارسلني إليك عبد الله بن العباس اسالك،" كيف كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يغسل راسه وهو محرم؟ فوضع ابو ايوب يده على الثوب، فطاطاه حتى بدا لي راسه، ثم قال لإنسان يصب عليه اصبب: فصب على راسه، ثم حرك راسه بيديه فاقبل بهما وادبر، وقال: هكذا رايته صلى الله عليه وسلم يفعل.
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Zaid Bin Aslam ne, unhein Ibrahim Bin Abdullah Bin Hunain ne, unhein un ke walid ne ke Abdullah Bin Abbas aur Miswar Bin Makhramah (Radi Allahu Anhum) ka maqam-e-Abwa mein (ek masla par) ikhtilaf hua. Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne mujhe Abu Ayyub (Radi Allahu Anhu) ke yahan (masla poochne ke liye) bheja, mein jab un ki khidmat mein pohancha to wo kunwein ke do lakriyon ke beech ghusl kar rahe thay, ek kapre se unhon ne parda kar rakha tha mein ne pohanch kar salam kiya to unhon ne daryaft farmaya ke kaun ho ? Mein ne arz ki ke mein Abdullah Bin Hunain hoon, Aap (Radi Allahu Anhu) ki khidmat mein mujhe Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bheja hai ye daryaft karne ke liye ke ihram ki halat mein Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) sar mubarak kis tarah dhowte thay. Ye sun kar unhon ne kapre par (jis se parda tha) hath rakh kar usay neeche kiya. Ab aap ka sar dikhayi de raha tha, jo shakhs un ke badan par pani daal raha tha, us se unhon ne pani dalne ke liye kaha. Us ne un ke sar par pani dala, phir unhon ne apne sar ko donon hath se hilaya aur donon hath aage le gaye aur phir peeche laye farmaya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko (ihram ki halat mein) isi tarah karte dekha tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لُبْسِ الْخُفَّيْنِ لِلْمُحْرِمِ إِذَا لَمْ يَجِدِ النَّعْلَيْنِ:
Bab: Muharram ko jab jotiyan na milen to woh moze pehn sakta hai.
Hadith Number: 1841
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عمرو بن دينار، سمعت جابر بن زيد، سمعت ابن عباس رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يخطب بعرفات:" من لم يجد النعلين، فليلبس الخفين، ومن لم يجد إزارا، فليلبس سراويل للمحرم".
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Shuba ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Amr Bin Dinar ne khabar di, unhon ne Jabir Bin Zaid se suna, unhon ne Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se suna, Aap ne kaha ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Arafat mein khutba dete suna tha ke jis ke pas ihram mein joote na hon wo mauze pehen le aur jis ke pas tehband na ho wo pajama pehen le
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1842
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا إبراهيم بن سعد، حدثنا ابن شهاب، عن سالم، عن عبد الله رضي الله عنه، سئل رسول الله صلى الله عليه وسلم،" ما يلبس المحرم من الثياب؟ فقال: لا يلبس القميص، ولا العمائم، ولا السراويلات، ولا البرنس، ولا ثوبا مسه زعفران، ولا ورس، وإن لم يجد نعلين فليلبس الخفين وليقطعهما حتى يكونا اسفل من الكعبين".
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Ibn Shihab ne bayan kiya, un se Salim ne aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha gaya ke muhrim kaun se kapre pehen sakta hai ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke qameez, amama, pajama aur burnus (kan-top ya baran-coat) na pehne aur na koi aisa kapra pehne jis mein zafran ya wars lagi ho aur agar jootiyan na hon to mauze pehen le, albatta is tarah kaat le ke takhnon se neeche ho jayein
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة