الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا يَقْتُلُ الْمُحْرِمُ مِنَ الدَّوَابِّ:
Bab: Ihram wala kon kon se janwar maar sakta hai.
Show diacritics
Hadith Number: 1828
حدثنا اصبغ بن الفرج، قال: اخبرني عبد الله بن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، عن سالم، قال: قال عبد الله بن عمر رضي الله عنه، قالت حفصة: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" خمس من الدواب لا حرج على من قتلهن: الغراب، والحداة، والفارة، والعقرب، والكلب العقور".
(Chauthi sanad) Aur hum se Asbagh ne bayan kiya unhon ne kaha ke mujh se Abdullah Bin Wahb ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Yunus ne, un se Ibn Shihab ne aur un se Salim ne bayan kiya, ke Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya aur un se Hafsah (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya tha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke panch janwar aise hain jinhein marne mein koi gunah nahi kuwa, cheel, chuha, bicchoo aur kaat khane wala kutta
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1829
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" خمس من الدواب كلهن فاسق، يقتلهن في الحرم: الغراب، والحداة، والعقرب، والفارة، والكلب العقور".
Hum se Yahya Bin Sulaiman ne bayan kiya, unhon ne kaha mujh se Ibn Wahb ne bayan kiya, unhon ne kaha mujhe Yunus ne khabar di, unhein Ibn Shihab ne khabar di, unhein Urwah Bin Zubair ne khabar di aur unhein Umm-ul-Momineen Aisha (Radi Allahu Anha) ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya panch janwar aise hain jo sab ke sab mozi hain aur unhein Haram mein bhi mara ja sakta hai kuwa, cheel, bicchoo, chuha aur kaatne wala kutta
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1830
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني إبراهيم، عن الاسود، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" بينما نحن مع النبي صلى الله عليه وسلم في غار بمنى، إذ نزل عليه: والمرسلات، وإنه ليتلوها، وإني لاتلقاها من فيه، وإن فاه لرطب بها إذ وثبت علينا حية، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: اقتلوها، فابتدرناها، فذهبت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: وقيت شركم، كما وقيتم شرها".
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyas ne bayan kiya, kaha hum se mere walid ne bayan kiya, un se Amash ne bayan kiya, kaha ke mujh se Ibrahim ne Aswad se bayan kiya aur un se Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath Mina ke ghar mein thay ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) par Surah-al-Mursalat nazil honi shuru hui. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) is ki tilawat karne lage aur mein aap ki zaban se usay seekhne laga, abhi Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne tilawat khatam bhi nahi ki thi ke hum par ek saanp gira. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya usay maar dalo chunanche hum is ki taraf lapke lekin wo bhag gaya. Is par Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis tarah se tum is ke shar se bach gaye wo bhi tumhare shar se bach kar chala gaya. (Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke is hadees se mera maqsad sirf ye hai ke Mina Haram mein dakhil hai aur sahaba ne Haram mein saanp marne mein koi haraj nahi samjha tha)
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1831
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها، زوج النبي صلى الله عليه وسلم،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال للوزغ: فويسق، ولم اسمعه امر بقتله"، قال ابو عبد الله: إنما اردنا بهذا ان منى من الحرم، وانهم لم يروا بقتل الحية باسا.
Hum se Ismail Bin Abi Uwais ne bayan kiya, kaha mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Urwah Bin Zubair ne aur un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki zaujah-e-mutahira Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne chipkali ko mozi kaha tha lekin mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ye nahi suna ke aap ne usay marne ka bhi hukm diya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُعْضَدُ شَجَرُ الْحَرَمِ:
Bab: Is bayan mein ke Haram Sharif ke darakht na kaate jayen.
Show diacritics
Hadith Number: Q1832
وقال ابن عباس رضي الله عنه: عن النبي صلى الله عليه وسلم: لا يعضد شوكه.
(Aur) Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal kiya ke Haram ke kante na kaate jayein
.


Show diacritics
Hadith Number: 1832
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن سعيد بن ابي سعيد المقبري، عن ابي شريح العدوي، انه قال لعمرو بن سعيد وهو يبعث البعوث إلى مكة: ائذن لي ايها الامير، احدثك قولا قام به رسول الله صلى الله عليه وسلم للغد من يوم الفتح، فسمعته اذناي، ووعاه قلبي، وابصرته عيناي حين تكلم به، إنه حمد الله واثنى عليه، ثم قال:" إن مكة حرمها الله ولم يحرمها الناس، فلا يحل لامرئ يؤمن بالله واليوم الآخر ان يسفك بها دما، ولا يعضد بها شجرة، فإن احد ترخص لقتال رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقولوا له: إن الله اذن لرسوله صلى الله عليه وسلم، ولم ياذن لكم، وإنما اذن لي ساعة من نهار وقد عادت حرمتها اليوم كحرمتها بالامس، وليبلغ الشاهد الغائب، فقيل لابي شريح: ما قال لك عمرو؟ قال: انا اعلم بذلك منك يا ابا شريح، إن الحرم لا يعيذ عاصيا، ولا فارا بدم، ولا فارا بخربة خربة بلية".
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, kaha hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Saeed Bin Abi Saeed Maqbari ne, un se Abu Shuraih Adawi (Radi Allahu Anhu) ne ke jab Amr Bin Saeed Makkah par lashkar kashi kar raha tha to unhon ne kaha ameer ijazat de to mein ek aisi hadees sunaoon jo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Fatah-e-Makkah ke doosre din irshad farmayi thi, is hadees-e-mubarak ko mere in kanon ne suna, aur mere dil ne poori tarah usay yaad kar liya tha aur jab aap irshad farma rahe thay to meri aankhein aap ko dekh rahi theen. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Allah ki hamd aur is ki sana bayan ki, phir farmaya ke Makkah ki hurmat Allah ne qayam ki hai logon ne nahi! is liye kisi aise shakhs ke liye jo Allah aur Yaum-e-Akhirat par iman rakhta ho ye jaiz aur halal nahi ke yahan khoon bahaye aur koi yahan ka ek darakht bhi na kaate lekin agar koi shakhs Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke qital (Fatah-e-Makkah ke mauqe par) se is ka jawaz nikale to us se ye keh do ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko Allah ne ijazat di thi, lekin tumhein ijazat nahi hai aur mujhe bhi thori si dair ke liye ijazat mili thi phir dobara aaj is ki hurmat aisi hi qayam ho gayi jaise pehle thi aur han jo maujood hain wo ghaib ko (Allah ka ye paigham) pohancha dein, Abu Shuraih se kisi ne poocha ke phir Amr Bin Saeed ne (ye hadees sun kar) aap ko kya jawab diya tha ? Unhon ne bataya ke Amr ne kaha Abu Shuraih! mein ye hadees tum se bhi zyada janta hoon magar Haram kisi mujrim ko panah nahi deta aur na khoon kar ke aur na kisi jurm kar ke bhagne wale ko panah deta hai. «kharba» se murad «kharba baliya» hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يُنَفَّرُ صَيْدُ الْحَرَمِ:
Bab: Haram ke shikar hanke na jayen.
Show diacritics
Hadith Number: 1833
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن الله حرم مكة، فلم تحل لاحد قبلي ولا تحل لاحد بعدي، وإنما احلت لي ساعة من نهار لا يختلى خلاها، ولا يعضد شجرها، ولا ينفر صيدها، ولا تلتقط لقطتها، إلا لمعرف"، وقال العباس: يا رسول الله، إلا الإذخر لصاغتنا وقبورنا، فقال: إلا الإذخر، وعن خالد، عن عكرمة، قال: هل تدري ما لا ينفر صيدها؟ هو ان ينحيه من الظل ينزل مكانه.
Hum se Muhammad Bin Muthanna ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, kaha hum se Khalid ne bayan kiya, un se Ikrima ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah Ta'ala ne Makkah ko hurmat wala banaya hai mujh se pehle bhi ye kisi ke liye halal nahi tha is liye mere baad bhi wo kisi ke liye halal nahi ho ga. Mere liye sirf ek din ghari bhar halal hua tha is liye is ki ghaas na ukhari jaye aur is ke darakht na kaate jayein, is ke shikar na bharkaye jayein aur na wahan ki giri hui cheez uthayi jaye. Han ailan karne wala utha sakta hai. (Taake asal malik tak pohancha de) Abbas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke ya Rasul Allah! idhkhir ki ijazat dijiye kyunke ye hamare sunaron aur hamari qabron ke liye kaam aati hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke idhkhir ki ijazat hai. Khalid ne riwayat kiya ke Ikrima (Rahimahullah) ne farmaya ke tum jante ho ke shikar ko na bharkane se kya murad hai ? Is ka matlab ye hai ke (agar kahin koi janwar saye mein betha hua hai to) usay saye se bhaga kar khud wahan qayam na kare
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَحِلُّ الْقِتَالُ بِمَكَّةَ:
Bab: Makkah mein larna jaiz nahi hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q1834
وقال ابو شريح رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم: لا يسفك بها دما.
Aur Abu Shuraih (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se bayan kiya ke wahan khoon na bahaya jaye
.


Show diacritics
Hadith Number: 1834
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن مجاهد، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم يوم افتتح مكة:" لا هجرة، ولكن جهاد ونية، وإذا استنفرتم فانفروا، فإن هذا بلد حرم الله يوم خلق السموات والارض، وهو حرام بحرمة الله إلى يوم القيامة، وإنه لم يحل القتال فيه لاحد قبلي، ولم يحل لي إلا ساعة من نهار، فهو حرام بحرمة الله إلى يوم القيامة، لا يعضد شوكه، ولا ينفر صيده، ولا يلتقط لقطته إلا من عرفها ولا يختلى خلاها"، قال العباس: يا رسول الله، إلا الإذخر فإنه لقينهم ولبيوتهم، قال: قال: إلا الإذخر.
Hum se Usman Bin Abi Shaiba ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Mujahid ne, un se Taous ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Fatah-e-Makkah ke din farmaya ab hijrat farz nahi rahi lekin (acchi) niyat aur jihad ab bhi baqi hai is liye jab tumhein jihad ke liye bulaya jaye to tayyar ho jana. Is shehar (Makkah) ko Allah Ta'ala ne isi din hurmat ata ki thi jis din us ne aasman aur zameen paida kiye, is liye ye Allah ki muqarrar ki hui hurmat ki wajah se muhtaram hai yahan kisi के liye bhi mujh se pehle larayi jaiz nahi thi aur mujhe bhi sirf ek din ghari bhar ke liye (Fatah-e-Makkah ke din ijazat mili thi) ab hamesha ye shehar Allah ki qayam ki hui hurmat ki wajah se qayamat tak ke liye hurmat wala hai pas is ka kanta kaata jaye na is ke shikar hanke jayein aur is shakhs ke siwa jo ailan karne ka irada rakhta ho koi yahan ki giri hui cheez na uthaye aur na yahan ki ghaas ukhari jaye. Abbas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ya Rasul Allah! idhkhir (ek ghaas) ki ijazat to dijiye kyunke yahan ye kaari garon aur gharon ke liye zaroori hai to aap ne farmaya ke idhkhir ki ijazat hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحِجَامَةِ لِلْمُحْرِمِ:
Bab: Muharram ka pachna lagwana kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: Q1835
وكوى ابن عمر ابنه وهو محرم ويتداوى ما لم يكن فيه طيب.
Aur muhrim hone ke bawajood Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne apne larke ke daagh lagaya tha aur aisi dawa jis mein khushboo na ho usay muhrim istemal kar sakta hai
.